Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

584. Jo shakhs khud to Namaz ke liye Masjid mein chala jaata hai lekin bachon . . .

Jo shakhs khud to Namaz ke liye Masjid mein chala jaata hai lekin bachon . . .

[Sawaal]

Masjidon ke bohat se padosi . . . . . . . Allah Ta’ala unhein hidaayat farmaae . . . . . . . . . khud to Namaz ke liye aa jaate hain aur apne baaligh beton ko jin mein se kayi shaadi shudah bhi hote hain, Ghar chod aate hain aur unhein Namaz padhne ka hukm nahi dete taa ke un mein ba’az logon ke baqaul woh Namaz se mutanaffar na ho jaaein khusoosan woh Namaz-e-Fajr mein shareek nahi hote To jis ghar ke sarbaraah ka yeh ‘amal ho us par Kia waajib hai? Kia us ki apni Namaz sahih ho gi aur woh bari ul-zimma ho jaae ga. Jab ke us ke bachhe ghar bethe hue hain aur woh Namaz ba jama’at adaa nahi karte?

[Jawab]

Yeh shakhs jo khud to Namaz ke liye Masjid mein aajata hai aur apne beton ko ghar mein chod aata hai, Agar yeh us ki kotaahi hai ke yeh unhein Namaz ka hukm nahi deta aur na kotaahi karne se rokta hai to yeh un ki sahih tarbiyat aur rehnumaai na karne ki wajah se gunaah gaar hai lekin us ki apni Namaz sahih ho gi aur agar yeh shakhs khud ‘aajiz-o-qasar hai, Unhein Namaz ka hukm deta hai aur kotaahi karne se mana’ karta hai lekin bachhe us ki baat nahi maante to us par waajib hai ke un ki hukumaraanon ke paas shikaayat kare aur Allah Ta’ala ke Deen ke baare mein kisi ki malaamat se na dare. Hukumaraanon ko jab aise logon ki shikaayat ki jaae to un par Farz ‘aaid hota hai ke woh aise logon ko samjhaane ke liye munaasib karwaai ‘amal mein laaein.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents