Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

602. paaon kate hue Imaam ki Imaamat ka hukm

paaon kate hue Imaam ki Imaamat ka hukm

[Sawaal]

Mein ek aisa aadmi hoon Jis ka paaon takhne ke neeche se kata hoa hai, To Kia mere liye yeh jaaiz hai ke Imaam ki ‘adam maujoodgi mein mein Namaaziyon ko Namaz padha doon? Aur Kia Namaz ke liye Wuzu karte hue kate hue paaon par masaah karna jaaiz hai?

[Jawab]

Agar paaon ka kata hona khade ho kar Namaz adaa karne mein maan’a nahi hai to phir logon ki Imaamat karwaane mein koi harj nahi, basharteke aap mein Imaamat ki baaqi shartein maujood hon, Agar paaon ka kuch hissa baaqi reh gaya ho to us par masaah karne mein bhi koi harj nahi, Jab aap ne bahaalat-e-tahaarat us par mouzah ya juraab pehn rakha ho aur is tarah haalat-e-qayyam mein ek din raat aur haalat-e-safar mein teen din raat ki Namaazein aap masaah karke adaa kar sakte hain jaisa ke Nabi (ﷺ) ki Sunnat-e-sahiha se yeh saabit hai (1)

Agar paaon takhne ke upar se kata ho to us se na masaah ki zaroorat hai aur na dhone ki kyunke takhnon ke upar ki jagah dhone ya masaah karne ka maqaam nahi hai.

Allah Ta’ala aap ko acha badla de, Aap ki museebat ka silaa de aur aap ko sabar aur talab-e-sawaab ki toufeeq ‘ataa farmaae!

__Shaikh Ibn’a baaz__

(1) Sahih Muslim’ Kitaab Al-Tahaarat’ Baab Al-Tawqiyat fi Al-Masaah ‘Ali Al-Takhfeen’ H: 276

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents