608. Daadhi munde ki Imaamat ka hukm
Daadhi munde ki Imaamat ka hukm
[Sawaal]
Hamein ek daadhi munde Imaam ne Namaz padhaai to Kia us ke peeche hamari Namaz jaaiz hai ya nahi?
[Jawab]
Agar yeh daadhi manda shakhs tumhari Masjid mein mustaqil Imaam hai to koshish karo ke us se badal kar us se behtar Imaam muqarrar karo, Umeed hai tum Ahl-e-salaah-o-khair mein se yaqeenan koi aisa aadmi paa lo ge, Jo is gunaah se paak ho aur agar yeh Imaam kisi idaarah ya Madrasa mein ‘aarzi taur par kaam ke waqt Zuhr ki Namaz padhaata hai to Awwalan us se naseehat karo, Us bure f’el ke anjaam se daraao aur agar woh daadhi mundaane par israar kare aur tawbah na kare to kisi aise Imaam ko talaash karo, Jo is gunaah se paak ho, Khuwah us se qira’at mein kam martaba ho aur agar us ne mehez waqti taur par ek Namaz padhaai hai, To us ke peeche Namaz padhne mein koi harj nahi jab ke yeh Namaz padhaane ke liye aage badh gaya ho aur us se behtar qira’at waala aur koi shakhs na ho, mukhtasar yeh ke us Imaam ki iqtida mein insha Allah Namaz sahih ho gi jab ke us se bhi aur har us musalmaan ko bhi naseehat karna waajib hai jis se yeh ya is tarah ka aur koi gunaah sarzad hota ho. Wallahu A’lam
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…