Search
625. Soo kilometer ki musaafat ka safar
Soo kilometer ki musaafat ka safar
[Sawaal]
Jab insaan ek sau kilometer tak ka safar karke kisi doosre shehar mein jaae to Kia woh Namaz ko jam’a aur qasar ke saath adaa kar sakta hai?
[Jawab]
Jab insaan apne shehar se safar karke sau kilometer ya us ke qareeb qareeb musaafat tey kare to woh ahkaam-e-safar maslan qasar , Iftaar , Jam’a bain al-salaateen aur mouzon par teen din tak masaah par ‘amal kar sakta hai kyunke yeh musaafat safar shumaar hoti hai, Isi tarah agar us ne assi kilometer ke qareeb safar kiya to jamhoor Ahl-e-ilm ke nazdeek yeh bhi musaafat-e-qasar shumaar hoti hai.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…