Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

627. Muqeem taalib-e-‘ilm ke liye ta’leemi period ki wajah se Namaazon ko jam’a karna

Muqeem taalib-e-‘ilm ke liye ta’leemi period ki wajah se Namaazon ko jam’a karna

[Sawaal]

Kia hamare liye do Namaazon ko jam’a kar ke padhna jaaiz hai jab ke hum shehar mein muqeem hain aur ta’leemi idaare mein zer-e-ta’leem hone ki wajah se period ko chod kar jaana mumkin nahi? Aur Kia yeh jaaiz hai ke hum is Hadees ko daleel bana lein ke Nabi Kareem (ﷺ) ne Madina mein safar’ Barish aur beemaari waghaira ke ‘uzr ke baghair bhi Namaz jam’a kar ke padhi hai ya hamare liye yeh zaroori hai ke period chod kar Namaz ke liye Masjid mein chale jaaein?

[Jawab]

Aap ke liye zaroori yeh hai ke paanchon Farz Namaazon ko un ke auqaat mein adaa karen. Padhaai ko aisa ‘uzr qaraar nahi diya jaa sakta ke jis ki wajah se Namaz mu’akkhar kar ke padhne ki ijaazat ho. Jis Hadees ki taraf aap ne ishaarah kiya hai woh Rasoolullah (ﷺ) ke mutawaatir aur musalsal ‘amal ke khilaaf hai lehaaza zaroori hai ke ta’leemi auqaat ko is tarah tarteeb do ke Namaz ko un ke auqaat mein adaa karna mumkin ho.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents