Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

629. Jungle mein Namaz qasar karna

Jungle mein Namaz qasar karna

[Sawaal]

Hum log jama’at ki soorat mein jungle mein gae to Kia hamare liye Namaz ko qasar aur jam’a ki soorat mein adaa karna jaaiz tha?

[Jawab]

Jab aap log jungle mein is qadar door chale jaaein ke woh safar shumaar ho to jam’a aur qasar karne mein koi rukaawat nahi hai balkeh qasar karna poori Namaz padhne se afzal hai. Qasar ke ma’ani yeh hain ke Zuhr’ ‘Asar ko aur Maghrib-o-‘Ishaa ki Namaazon ko jam’a kar ke padh le aur jo chaahe un Namaazon ko alag alag padhe. Aur agar musaafir ne iqaamat ikhtiyaar kar rakhi ho aur woh hashaash bashaash bhi ho to afzal yeh hai ke jam’a ko tark kardiya jaae kyunke Nabi (ﷺ) ne hajjat-ul-Wida’ ke mouq’a par mana mein muddat-e-iqaamat ke dauraan Namaazon ko qasar to kiya lekin jam’a nahi kiya haan albatta zaroorat ke pesh-e-nazar ‘Arfa aur Muzdalifa mein jam’a kar ke bhi Namaazon ko padha hai aur jab musaafir kisi jagah chaar din se ziyaada iqaamat ka iraadah kare to phir ehtiyaat is mein hai ke woh qasar na kare balkeh rubaa’i Namaazon ki chaar chaar raka’at hi padhe, Aksar Ahl-e-ilm ka yehi qaul hai lekin agat iqaamat chaar din ya us se kam muddat ke liye ho to phir qasar karna afzal hai. (Wallahu Al-Toufeeq)

Baaqi rahi jam’ to us ki rukhsat bhi hai — agar woh safar mein shumar ho to jam’ aur qasr karne mein koi rukaawat nahi hai.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents