630. Matrooka Namaazon ki jald qaza do
Matrooka Namaazon ki jald qaza do
[Sawaal]
Main ne Sa’udia se bahar ka safar kiya aur ek aise mulk mein gaya jo Islami mulk nahi hai lekin meri khuwaahish thi ke mein wahan bhi Namaz adaa karta rahoon albatta Sa’udia se waqt mukhtalif hone ki wajah se aur qibla-e-rukh ma’loom na hone ki wajah se meri kayi Namaazein reh gaen to Kia mein un Faut shudah Namaazon ko padhoon?
[Jawab]
Haan un Faut shudah Namaazon ki jald qaza do kyunke jo sabab aap ne bayaan kiya hai yeh tark-e-Namaz ke liye jawaaz nahi ban sakta Aapke liye mumkin tha ke qibla-e-rukh ka andaaze se ya qibla-e-numaa se ta’yyun kar lete Waqt ka aap taqweem se hisaab ma’loom kar sakte the, Raat din se ghadi se donon waqton ke farq ko bhi ma’loom kar sakte the aur jab aap ne aisa nahi kiya to un matrooka Namaazon ki foran aur qaza de lein khuwah tamaam Namaazon ko ikhatta ek ya do ghanton mein adaa kar lein. Wallahu A’lam.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…