Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

633. Hawaai Jahaaz mein Namaz

Hawaai Jahaaz mein Namaz

[Sawaal]

Jab mein hawaai jahaaz mein mahu-e-parwaaz hoon aur Namaz ka waqt ho jaae to Kia tayyaarah mein Namaz padhna jaaiz hai ya nahi?

[Jawab]

Jab Namaz ka waqt ho jaae aur tayyaarah mahav-e-parwaaz ho aur kisi Airport par tayyaarah ke utarne se qabl Namaz ke waqt ke khatam ho jaane ka andesha ho to Ahl-e-ilm ka ijma’a hai ke Namaz ko waqt par baqadar-e-istita’at Ruko’ Sajood aur istaqbaal-e-qibla ke saath adaa karna waajib hai ke Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

فَاتَّقُوا اللّٰهَ مَا اسۡتَطَعۡتُمۡ

(Al-Taghabun 6416)

“So jahan tak ho sake tum Allah se daro.”

Aur Nabi (ﷺ) ne bhi farmaaya hai:

إِذَا أَمَرْتُكُمْ بِأَمْرٍ فَأْتُوْا مِنْهُ مَا اسْتَطَعْتُمْ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Hajj, Baab al-Hajj Marra fil Al-‘Umar, H: 1337,-O- Masnad Ahmad 22, 508)

“Jab mein tumhein koi hukm doon to maqdoor bhar us ki ita’at baja laao.”

Agar yeh ma’loom ho ke tayyaarah Namaz ke waqt ke khatam hone se pehle Airport par utar jaae ga ya Namaz aisi ho ke us se jam’a kar ke padha jaa sakta ho maslan Zuhr-o-‘Asar aur Maghrib-o-‘Ishaa ko yakja kar ke padha jaa sakta hai aur ma’loom ho ke tayyaarah un mein se doosri Namaz ke waqt ke khatam hone se pehle Airport par utar jaae ga aur donon Namaazon ke padhne ke liye kaafi waqt mil jaae ga to phir bhi jamhoor-e-Ahl-e-ilm ka mazhab yeh hai ke unhein tayyaare mein adaa karna jaaiz hai ke hukm yeh hai ke ju’n hi Namaz ka waqt shur’u ho jaae, Maqdoor bhar koshish ke mutaabiq us se adaa kiya jaae jaisa ke qabl-e-azeen bayaan kiya jaa chuka hai aur is masla mein yehi qawl durust hai. (Wabillah Al-Toufeeq)

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents