644. Qayaam ki taaqat na hone ki soorat mein beth kar Namaz padhna
Qayaam ki taaqat na hone ki soorat mein beth kar Namaz padhna
[Sawaal]
Hamare yahan ek mareeza hai jis ki kamar tooti hoi hai aur us par plastar lagaaya gaya hai yeh khadi ho kar Namaz nahi padh sakti’ Ek maheene se yeh beth kar Namaz padh rahi hai to Kia us ki Namaz sahih hai ya nahi?
[Jawab]
Haan us ki Namaz sahih hai kyunke us se Qayaam ki istata’at hi nahi hai. Qayaam usi par Farz hai jis se khada hone ki taaqat ho aur agar kamar ke tootne ki wajah se yeh khadi nahi ho sakti to yeh beth kar Namaz padh sakti hai aur agar yeh laathi ya dewaar waghaira ke sahaare khadi ho sakti hai to phir us se sahara le kar khadi ho kar namaz padhni chaahiye. Maazi ki woh tamaam Namaazein jo khada na ho sakne ki wajah se us ne beth kar padhi hain, Sahih hain, Chunaanche Nabi Kareem (ﷺ) ne ‘Imran-bin-Hussain رضى الله عنه se farmaaya tha ke:
صَلِّ قَائِمًا فَإِنْ لَمْ تَسْتَطِعْ فَقَاعِدًا فَإِنْ لَمْ تَسْتَطِعْ فَعَلى جنب
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Taqseer, Baab Izaa Lam Yataq Qa’aidan Salla ‘Ali Janab, H: 1117, -O-Masnad Ahmad, 4426)
“Khade ho kar Namaz padho, Agar istata’at na ho to beth kar padho aur agar is ki bhi taaqat na ho to pehlu ke bal let kar padho.”
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…