645. Mareez ki jab kayi Namaazein qaza ho jaaein to kis tarah qaza de?
Mareez ki jab kayi Namaazein qaza ho jaaein to kis tarah qaza de?
[Sawaal]
Ek mareez ka operation hoa jis ki wajah se us ki kayi Namaazein Faut ho gaen to Kia shifa yaab hone ke ba’d woh un sab Namaazon ko ikhatte padh le ya subah ki Namaz ko subah ke saath aur Zuhr ki Namaz ko Zuhr ke saath adaa kare?
[Jawab]
Yeh shakhs Faut shudah tamaam Namaazon ko ek hi waqt mein adaa kar sakta hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne Ghazwa-e-Khandaq ke mouq’a par jab Namaz-e-‘Asar Faut ho gai thi to aap ne us se Maghrib se pehle padha tha. (1) lehaaza jab kisi insaan ki kuch Farz Namaazein Faut ho jaaein to woh un sab ko ikhatha padhe aur mazeed mu’akkhar na kare.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
(1) Sahih Bukhari’ Kitaab Al-Maghazi’ Baab Ghazwat-ul-Khandaq-o-Hi Al-Ahzaab’ H: 4111′ 4112.
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…