08. HAZRAT SHOAIB ( علیہ السلام )
Hazrat Shoib (علیہ السلام )
Hazrat Shoib ( علیہ السلام) Ki Ba’sat-o-Dawat Aur Quran Majeed Mein Aap Ka Tazkirah
Allah Ta’aala ne Ahl-e-Madyan ki hidayat aur rahnumai kay liye Hazrat Shoib ( علیہ السلام) ko maboos farmaya: Allah Ta’aala ne surah Al A’raf mein Hazrat Lut ( علیہ السلام) ka waqeea bayan karne kay baad farmaya:
وَاِلٰي مَدْيَنَ اَخَاهُمْ شُعَيْبًا ۭقَالَ يٰقَوْمِ اعْبُدُوا اللّٰهَ مَا لَكُمْ مِّنْ اِلٰهٍ غَيْرُهٗ ۭقَدْ جَاۗءَتْكُمْ بَيِّنَةٌ مِّنْ رَّبِّكُمْ فَاَوْفُوا الْكَيْلَ وَالْمِيْزَانَ وَلَا تَبْخَسُوا النَّاسَ اَشْـيَاۗءَهُمْ وَلَا تُفْسِدُوْا فِي الْاَرْضِ بَعْدَ اِصْلَاحِهَا ۭذٰلِكُمْ خَيْرٌ لَّكُمْ اِنْ كُنْتُمْ مُّؤْمِنِيْنَ ٨5ۚوَلَا تَقْعُدُوْا بِكُلِّ صِرَاطٍ تُوْعِدُوْنَ وَتَصُدُّوْنَ عَنْ سَبِيْلِ اللّٰهِ مَنْ اٰمَنَ بِهٖ وَتَبْغُوْنَهَا عِوَجًا ۚ وَاذْكُرُوْٓا اِذْ كُنْتُمْ قَلِيْلًا فَكَثَّرَكُمْ ۠ وَانْظُرُوْا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الْمُفْسِدِيْنَ 86وَاِنْ كَانَ طَاۗىِٕفَةٌ مِّنْكُمْ اٰمَنُوْا بِالَّذِيْٓ اُرْسِلْتُ بِهٖ وَطَاۗىِٕفَةٌ لَّمْ يُؤْمِنُوْا فَاصْبِرُوْا حَتّٰي يَحْكُمَ اللّٰهُ بَيْنَنَا ۚ وَهُوَ خَيْرُ الْحٰكِمِيْنَ 87قَالَ الْمَلَاُ الَّذِيْنَ اسْتَكْبَرُوْا مِنْ قَوْمِهٖ لَنُخْرِجَنَّكَ يٰشُعَيْبُ وَالَّذِيْنَ اٰمَنُوْا مَعَكَ مِنْ قَرْيَتِنَآ اَوْ لَتَعُوْدُنَّ فِيْ مِلَّتِنَا ۭ قَالَ اَوَلَوْ كُنَّا كٰرِهِيْنَ 88ۣقَدِ افْتَرَيْنَا عَلَي اللّٰهِ كَذِبًا اِنْ عُدْنَا فِيْ مِلَّتِكُمْ بَعْدَ اِذْ نَجّٰىنَا اللّٰهُ مِنْهَا ۭوَمَا يَكُوْنُ لَنَآ اَنْ نَّعُوْدَ فِيْهَآ اِلَّآ اَنْ يَّشَاۗءَ اللّٰهُ رَبُّنَا ۭوَسِعَ رَبُّنَا كُلَّ شَيْءٍ عِلْمًا ۭ عَلَي اللّٰهِ تَوَكَّلْنَا رَبَّنَا افْتَحْ بَيْنَنَا وَبَيْنَ قَوْمِنَا بِالْحَقِّ وَاَنْتَ خَيْرُ الْفٰتِحِيْنَ 89وَقَالَ الْمَلَاُ الَّذِيْنَ كَفَرُوْا مِنْ قَوْمِهٖ لَىِٕنِ اتَّبَعْتُمْ شُعَيْبًا اِنَّكُمْ اِذًا لَّـخٰسِرُوْنَ 90فَاَخَذَتْهُمُ الرَّجْفَةُ فَاَصْبَحُوْا فِيْ دَارِهِمْ جٰثِمِيْنَ 91ٻ الَّذِيْنَ كَذَّبُوْا شُعَيْبًا كَاَنْ لَّمْ يَغْنَوْا فِيْهَا ڔ اَلَّذِيْنَ كَذَّبُوْا شُعَيْبًا كَانُوْا هُمُ الْخٰسِرِيْنَ 92فَتَوَلّٰي عَنْهُمْ وَقَالَ يٰقَوْمِ لَقَدْ اَبْلَغْتُكُمْ رِسٰلٰتِ رَبِّيْ وَنَصَحْتُ لَكُمْ ۚ فَكَيْفَ اٰسٰي عَلٰي قَوْمٍ كٰفِرِيْنَ 93ۧ
“Aur Madyan ki taraf us kay bhai Shoib ko bhija (to) Unhon ne kaha keh ae meri qoum! Allah hi ki ibadat karo, Us kay siwa tumhara koi ma’bood nahi. Tumhare paas tumhare parwardigaar ki taraf say nishani aa chuki hai, So tum maap aur toul poora kiya karo aur logon ko un ki chizain kam nah diya karo aur zameen mein islah kay baad kharabi nah karo. Agar tum Sahib-e-Iman ho to samajh lo keh yeh baat tumhare haq mein behtar hai, Aur har raste par mat betha karo keh jo shaks Allah par iman lata hai usay tum darate aur Raah-e-Ilah-e-Haqeeqi say rokte aur us mein kaji dhondhtay ho. Aur (us waqt ko) yaad karo jab tum thode say thay to Allah ne tum ko Jama’at-e-Kaseer bana diya aur dekh lo keh kharabi karne waloon ka anjaam kesa howa? Aur agar tum mein say aik jama’at meri risalat par iman le aayi hai aur aik jama’at iman nahi layi to sabar kiye rehna yahan takkeh Allah hamare tumhare darmiyan faisla kar de aur woh sab say behtar faisla karne wala hai. (To) un ki qoum mein say jo log sardaar aur bade aadmi thay woh kehne lage keh Shoib! (Ya to ) ham tum ko aur jo log tumhare sath iman laye hain un ko apne shihr say nikal dain ge ya tum hamare mazhab mein aa jao. Unhon ne kaha: Khuwah ham! (Tumhare deen say) be zaar hi hoon (to bhi?) Agar ham us kay baad keh Allah hamein is (kufr) say nijaat baksh chuka hai tumhare mazhab mein lot jayain to beshak ham ne Allah par iftra (jhoot) bandha aur hamein shayan nahi keh ham us mein lot jayain, Haan Allah jo hamara parwardigaar hai woh chahi (to majboori hai) hamare parwardigaar ka ilm har chiez ka ihata kiye howe hai. Hamara Allah hi par bharosa hai. Ae parwardigaar! Ham mein aur hamari qoum mein insaaf kay sath faisla kar de aur tu sab say behtar faisla karne wala hai. Aur un ki qoum mein say sardaar log jo Kafir thay kehne lage keh (bhaiyu) agar tum ne Shoib ki perwi ki to beshak tum khasare mein pad gaye. Tab un ko zalzalay ne aa pakda aur woh apne gharon mein aundhay pade reh gaye. (Yeh log) jinho ne Shoib ki takzeeb ki thi, Aese barbaad howe keh goya woh un mein kabhi aabad hi nahi howe thay. (Gharz) jinho ne Shoib ko jhutlaya woh khasare mein pad gaye to Shoib un mein say nikal aaye aur kaha keh bhaiyu! Mein ne tum ko apne parwardigaar kay paighamaaat pohncha diye aur tumhari khair khuwahi kit hi. Lihaza mein kafiron par (azaab nazil hone say) Ranj-o-Gham kiyu karoon?” (Al A’raf: 7/85-93)
Hazrat Shoib ( علیہ السلام) ki qoum mukhtalif samaji jaraim mein mubtala thi aap ne un ko muaasharti buraiyun say roka to qoum aap ki dushman ho gayi. Allah taala ney farmaya:
وَاِلٰي مَدْيَنَ اَخَاهُمْ شُعَيْبًا ۭ قَالَ يٰقَوْمِ اعْبُدُوا اللّٰهَ مَا لَكُمْ مِّنْ اِلٰهٍ غَيْرُهٗ ۭ وَلَا تَنْقُصُوا الْمِكْيَالَ وَالْمِيْزَانَ اِنِّىْٓ اَرٰىكُمْ بِخَيْرٍ وَّاِنِّىْٓ اَخَافُ عَلَيْكُمْ عَذَابَ يَوْمٍ مُّحِيْطٍ 84وَيٰقَوْمِ اَوْفُوا الْمِكْيَالَ وَالْمِيْزَانَ بِالْقِسْطِ وَلَا تَبْخَسُوا النَّاسَ اَشْيَاۗءَهُمْ وَلَا تَعْثَوْا فِي الْاَرْضِ مُفْسِدِيْنَ 85 بَقِيَّتُ اللّٰهِ خَيْرٌ لَّكُمْ اِنْ كُنْتُمْ مُّؤْمِنِيْنَ ڬ وَمَآ اَنَا عَلَيْكُمْ بِحَفِيْظٍ 86قَالُوْا يٰشُعَيْبُ اَصَلٰوتُكَ تَاْمُرُكَ اَنْ نَّتْرُكَ مَا يَعْبُدُ اٰبَاۗؤُنَآ اَوْ اَنْ نَّفْعَلَ فِيْٓ اَمْوَالِنَا مَا نَشٰۗؤُا ۭ اِنَّكَ لَاَنْتَ الْحَلِيْمُ الرَّشِيْدُ 87قَالَ يٰقَوْمِ اَرَءَيْتُمْ اِنْ كُنْتُ عَلٰي بَيِّنَةٍ مِّنْ رَّبِّيْ وَرَزَقَنِيْ مِنْهُ رِزْقًا حَسَـنًا ۭ وَمَآ اُرِيْدُ اَنْ اُخَالِفَكُمْ اِلٰي مَآ اَنْهٰىكُمْ عَنْهُ ۭ اِنْ اُرِيْدُ اِلَّا الْاِصْلَاحَ مَا اسْتَطَعْتُ ۭ وَمَا تَوْفِيْقِيْٓ اِلَّا بِاللّٰهِ ۭ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ وَاِلَيْهِ اُنِيْبُ 88وَيٰقَوْمِ لَا يَجْرِمَنَّكُمْ شِقَاقِيْٓ اَنْ يُّصِيْبَكُمْ مِّثْلُ مَآ اَصَابَ قَوْمَ نُوْحٍ اَوْ قَوْمَ هُوْدٍ اَوْ قَوْمَ صٰلِحٍ ۭ وَمَا قَوْمُ لُوْطٍ مِّنْكُمْ بِبَعِيْدٍ 89 وَاسْتَغْفِرُوْا رَبَّكُمْ ثُمَّ تُوْبُوْٓا اِلَيْهِ ۭ اِنَّ رَبِّيْ رَحِيْمٌ وَّدُوْدٌ 90 قَالُوْا يٰشُعَيْبُ مَا نَفْقَهُ كَثِيْرًا مِّمَّا تَقُوْلُ وَاِنَّا لَنَرٰىكَ فِيْنَا ضَعِيْفًا ۚ وَلَوْلَا رَهْطُكَ لَرَجَمْنٰكَ ۡ وَمَآ اَنْتَ عَلَيْنَا بِعَزِيْزٍ 91قَالَ يٰقَوْمِ اَرَهْطِيْٓ اَعَزُّ عَلَيْكُمْ مِّنَ اللّٰهِ ۭ وَاتَّخَذْتُمُوْهُ وَرَاۗءَكُمْ ظِهْرِيًّا ۭ اِنَّ رَبِّيْ بِمَا تَعْمَلُوْنَ مُحِيْطٌ 92وَيٰقَوْمِ اعْمَلُوْا عَلٰي مَكَانَتِكُمْ اِنِّىْ عَامِلٌ ۭ سَوْفَ تَعْلَمُوْنَ ۙ مَنْ يَّاْتِيْهِ عَذَابٌ يُّخْزِيْهِ وَمَنْ هُوَ كَاذِبٌ ۭ وَارْتَقِبُوْٓا اِنِّىْ مَعَكُمْ رَقِيْبٌ 93وَلَمَّا جَاۗءَ اَمْرُنَا نَجَّيْنَا شُعَيْبًا وَّالَّذِيْنَ اٰمَنُوْا مَعَهٗ بِرَحْمَةٍ مِّنَّا وَاَخَذَتِ الَّذِيْنَ ظَلَمُوا الصَّيْحَةُ فَاَصْبَحُوْا فِيْ دِيَارِهِمْ جٰثِمِيْنَ 94ۙكَاَنْ لَّمْ يَغْنَوْا فِيْهَا ۭ اَلَا بُعْدًا لِّمَدْيَنَ كَمَا بَعِدَتْ ثَمُوْدُ 95ۧ
“Aur Madyan ki taraf un kay bhai Shoib ko ( bhija) to Unhon ne kaha keh ae meri qoum! Allah hi ki ibadat karo us kay siwa tumhara koi ma’bood nahi aur map aur toul mein kami nah kiya karo mein to tum ko aasoodah haal dekhta hoon aur (agar tum iman nah lao ge to) mujhe tumhare bare mein aik aese din kay azaab ka khouf hai jo tumhain ghair kar rahi ga. Aur ae meri qoum! Maap aur toul insaaf kay sath poora kiya karo aur logon ko un ki chiezain kam nah diya karo aur Zameen mein kharabi nah karte phiro. Agar tum ko (mere kehne ka) yaqeen ho to Allah ka diya howa nafa hi tumhare liye behtar hai aur mein tumhara negehbaan nahi hoon. Unhon ne kaha: Ae Shoib kiya tumhari namaz tumhain yeh sikhati hai keh jin ko hamare baap dada poojtay aaye hain ham un ko tarak kar dain ya apne maal mein jo tasarruf karna chahain nah karain? Tum to bade naram dil aur rasatbaaz ho. Unhon ne kaha keh ae meri qoum! Dekho to agar mein apne parwardigaar ki taraf say Daleel-e-Roshan par hoon aur us ne apne haan say mujhe neik rozi di ho (to kiya mein un kay khilaaf karoon ga?) Aur mein nahi chahta keh jis amar say mein tumhain mana karoon khud us ko karne lagoon. Mein to jahan tak mujh say ho sake (tumhare maamlaat ki) islah chahta hoon aur (is bare mein) mujhe toufeeq ka milna Allah hi (kay fazal) say hai. Mein isi par bharosa rakhta hoon aur isi ki taraf ruju karta hoon. Aur ae meri qoum! Meri mukhalifat tum say koi aesa kaam nah kara de keh jaisi musibat Nuh ki qoum ya Hood ki qoum ya Salih ki qoum par waqe howi thi, Wesi hi musibat tum par waqe ho. Aur Lut ki qoum (ka zamanah to) tum say kuch door nahi. Aur apne parwardigaar say bakhshish mango aur us kay aagy tubah karo. Beshak mera parwardigaar raham wala (aur) mohbbat wala hai. Unhon ne kaha keh Shoib! Tumhari buhut si batain hamari samjh mein nahi aati aur ham dekhte hain keh tum ham mein kamzoor bhi ho aur agar tumhare bhai bund nah hote to ham tum ko sangsaar kar dete aur tum ham par (kisi tarah bhi) galib nahi ho. Unhon ne kaha keh ae meri qoum! Kiya mere bhai bando ka dabao tum par Allah say zayada hai aur us ko tum ne peeth peechhay daal kar rakha hai. Mera parwardigaar to tumhare sab aamaal par ihataa kiye howe hai. Aur Biradaaraan-e-Millat! Tum apni jaga kaam kiye jao, Mein (apni jaga) kaam kiye jata hoon. Tumhain anqareeb maloom ho jaye ga keh ruswa karne wala azaab kis par aata hai aur jhoota kon hai? Aur tum intizar karo, Mein bhi tumhare sath intizar karta hoon. Aur jab hamara hukam aa pohncha to ham ne Shoib ko aur jo log un kay sath iman laye thay un ko to apni rahmat say bacha liya aur jo zalim thay un ko chinghad ne aa dabocha to woh apne gharon mein aundhay pade reh gaye goya un mein kabhi basay hi nah thay. Sun rakho! Madyan par (wesi hi) phatkaar hai jaisi phitkaar samood par thi.” (Hood: 11/84-95)
Aap ki qoum ne aap ki nasihaana guftagoo kay jawab mein aap ko jhoota qarar diya aur apni buraiyun par datay rahne ka ailaan kar diya. Allah Ta’aala ne surah Hijr mein Hazrat Lut ( علیہ السلام) ki qoum kay waqea kay baad farmaya:
وَاِنْ كَانَ اَصْحٰبُ الْاَيْكَةِ لَظٰلِمِيْنَ 78ۙفَانْتَقَمْنَا مِنْهُمْ ۘ وَاِنَّهُمَا لَبِاِمَامٍ مُّبِيْنٍ 79ۉ
“Aur ban kay rehne wale (yaani Qoum-e-Shoib kay log) bhi zalim (gunahgaar) thay. To ham ne un say badla liya aur yeh dono shihr khule raste par (mojood) hain.” (Al Hijr: 15/78-79)
Allah Ta’aala ne surah Al Shu’ara mein bhi inhi kay waqe kay baad farmaya:
كَذَّبَ اَصْحٰبُ لْــــَٔــيْكَةِ الْمُرْسَلِيْنَ ١٧٦ښ اِذْ قَالَ لَهُمْ شُعَيْبٌ اَلَا تَتَّقُوْنَ ١٧٧ۚاِنِّىْ لَكُمْ رَسُوْلٌ اَمِيْنٌ ١٧٨ۙفَاتَّقُوا اللّٰهَ وَاَطِيْعُوْنِ ١٧٩ۚوَمَآ اَسْـَٔــلُكُمْ عَلَيْهِ مِنْ اَجْرٍ ۚ اِنْ اَجْرِيَ اِلَّا عَلٰي رَبِّ الْعٰلَمِيْنَ ١٨٠ۭاَوْفُوا الْكَيْلَ وَلَا تَكُوْنُوْا مِنَ الْمُخْسِرِيْنَ ١٨١ۚوَزِنُوْا بِالْقِسْطَاسِ الْمُسْـتَقِيْمِ ١٨٢ۚوَلَا تَبْخَسُوا النَّاسَ اَشْيَاۗءَهُمْ وَلَا تَعْثَوْا فِي الْاَرْضِ مُفْسِدِيْنَ ١٨٣ۚوَاتَّقُوا الَّذِيْ خَلَقَكُمْ وَالْجِبِلَّةَ الْاَوَّلِيْنَ ١٨٤ۭقَالُوْٓا اِنَّمَآ اَنْتَ مِنَ الْمُسَحَّرِيْنَ ١٨٥ۙوَمَآ اَنْتَ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا وَاِنْ نَّظُنُّكَ لَمِنَ الْكٰذِبِيْنَ ١٨٦ۚفَاَسْقِطْ عَلَيْنَا كِسَفًا مِّنَ السَّمَاۗءِ اِنْ كُنْتَ مِنَ الصّٰدِقِيْنَ ١٨٧ۭقَالَ رَبِّيْٓ اَعْلَمُ بِمَا تَعْمَلُوْنَ ١٨٨فَكَذَّبُوْهُ فَاَخَذَهُمْ عَذَابُ يَوْمِ الظُّلَّةِ ۭ اِنَّهٗ كَانَ عَذَابَ يَوْمٍ عَظِيْمٍ ١٨٩اِنَّ فِيْ ذٰلِكَ لَاٰيَةً ۭ وَمَا كَانَ اَكْثَرُهُمْ مُّؤْمِنِيْنَ ١٩٠وَاِنَّ رَبَّكَ لَهُوَ الْعَزِيْزُ الرَّحِيْمُ ١٩١ۧ
“Ban kay rehne waloon ne bhi paighambaron ko jhutlaya. Jab un say Shoib ne kaha keh tum darte kiyu nahi? Mein to tumhara amanatdaar paighambar hoon, Lihaaza Allah say daro aur mera kehna maano. Aur mein is kaam ka tum say kuch badla nahi maangta, Mera badla to Allah Rabb-ul-Aalmeen kay zimmay hai. (dekho!) pemaana poora bhara karo aur nuqsaan (kami) nah kiya karo aur tarazoo seedhi rakh kar tola karo aur logon ko un ki chiezain kam nah diya karo aur mulk mein fasaad nah karte phiro. Aur us say daro jis ne tum ko aur tum say pehli khalqat ko peda kiya. Woh kehne lage keh tum to jadu zadah ho aur tum aur kuch nahi bas hamare jaise aadmi ho aur hamara khayal hai keh tum jhoote ho. Agar sachay ho to ham par Aasman say aik tukda laa kar girao. Shoib ne kaha keh jo kaam tum karte ho mera parwardigaar us say khoob waqif hai. So un logon ne un ko jhutlaya, Pus saibaan wale din kay azaab ne un ko aan pakda. Beshak woh bade (sakhat) din ka azaab tha. Is mein yaqeenan nishani hai aur un mein aksar iman lane wale nahi thay, Aur tumhara parwardigaar to galib (aur) mehrbaan hai.” (Al Shu’ara: 26/176-191)
Khateeb-Ul-Anbiya Ki Qoum “Madyan”
Ahl-e-Madyan arabi bashinde thay. Yeh log apne shihr “Madyan” mein rehte thay, Jo Atraaf-e-Sham mein Arz-e-Ma’aan kay nazdeek hai, Jo Hijaaz say muttasil aur bahierah qoum lut kay qareeb hai. (aaj kal Ma’aan, Urdan mein hai jab keh Arz-e-Madyan bahierah qoum lut (bahierah murdaar) kay qareeb nahi balkeh saudia arab mein Khaleej-e-Uqbah aur Bahierah-e-Ahmar kay sath sath waqe hai.) Un ka zamana bhi Qoum-e-Lut say thodi muddat baad ka hai. Madyan ka qabeela “Madyan bin Madyaan bin Ibrahim (علیہ السلام)” ki nasal say wujood mein aaya. Baaz buzrigon ne Hazrat Shoib ( علیہ السلام) ko Khateeb-ul-Anbiya kay naam say yaad kiya hai. (Al Muntazim fi Tareekh-ul-Ummam-e- wal mumlook: 1/324) kiyu keh aap qoum ko iman ki dawat dete waqat Fasahat-o-Balaghat aur ala ibarat say kaam lete thay.
Madyan kay log Kafir thay, Raha zani karte aur musafiron mein dehshat philatay aur Aaika ko poojte thay. Yeh aik qisam ka darakht tha, Jis kay ird gird darakhton ka jhund tha. In logon ka lain dain ka maamla buhut bura tha. Naap toul mein kami karte thay. Lete waqt bade pemaane say maapte aur bade baaton say tolte aur dete waqt chote pemaane aur kam wazan kay baat istimaal karte. Allah Ta’aala ne un mein say aik shakhsiyat yaani Hazrat Shoib (علیہ السلام ) ko Mansab-e-Risalat par faiz farmaya. Aap ne unhain Allahu Wahadahu Laa Shareek ki ibadat ki dawat di aur unhain soda kam dene aur raah chalte logon ko pareshan karne jaise bure kamoon say mana farmaya. Kuch log iman laye lekin aksariyat ne kufar ka raasta ikhtiyaar kiya. Tab Allah Ta’aala ne un par sakht azaab nazil farmaya.
Jaisa keh Irshad-e-Baari Ta’aala:
وَاِلٰي مَدْيَنَ اَخَاهُمْ شُعَيْبًا ۭقَالَ يٰقَوْمِ اعْبُدُوا اللّٰهَ مَا لَكُمْ مِّنْ اِلٰهٍ غَيْرُهٗ ۭقَدْ جَاۗءَتْكُمْ بَيِّنَةٌ مِّنْ رَّبِّكُمْ
“Aur Madyan ki taraf un kay bhai Shoib ko bhija (to) unhon ne kaha keh ae meri qoum! Allah hi ki ibadat karo, Us kay siwa tumhara koi ma’bood nahi. Tumhare paas tumhare parwardigaar ki taraf say nishani aa chuki hai.” (Al A’raf: 7/85)
Yaani mein wazih daleel aur Burhaan-e-Qate le kar aaya hoon, Jis say meri taleemat ki sadaqat sabit hoti hai aur is baat ka suboot milta hai keh us ne mujhe bhija hai. Daleel say muraad woh moujzaat hain jo aap kay hath par zahir howe. Quran-o-Hadith mein un ki tafseel mazkoor nahi. Taham is lafz (بَيِّنَةٌ) say in ki taraf mujamal isharah hota hai. Mazeed farmaya:
فَاَوْفُوا الْكَيْلَ وَالْمِيْزَانَ وَلَا تَبْخَسُوا النَّاسَ اَشْـيَاۗءَهُمْ وَلَا تُفْسِدُوْا فِي الْاَرْضِ بَعْدَ اِصْلَاحِهَا
“Lihaza tum maap aur toul poori kiya karo aur logon ko chizain kam nah diya karo aur Zameen mein islah kay baad kharabi nah kiya karo.” (Al A’raf: 7/85)
Aap ne unhain Adal-o-Insaaf ka hukam diya aur zulum say mana kiya aur farmaya: ۭذٰلِكُمْ خَيْرٌ لَّكُمْ اِنْ كُنْتُمْ مُّؤْمِنِيْنَ “agar tum Sahib-e-Iman ho to samjh lo keh yeh tumhare haq mein behtar hai.” (Al A’raf: 7/85) Is kay baad farmaya: وَلَا تَقْعُدُوْا بِكُلِّ صِرَاطٍ تُوْعِدُوْنَ “aur har raaste par mat betha karo keh logon ko darate raho.” (Al A’raf: 7/86)
Yaani har raaste mein beth kar logon ko pareshan nah karo, Tum un say gunda tax wasool karte ho aur dehshat gardi kar kay raaste rokte ho.
Imam Sudi (رحمہ اللہ ) waghiarah ne Sahaba Kiraam ( رضی اللہ عنھم) say mazkoorah ayat ka yeh mafhoom bayan kiya hai keh woh log guzarne wale logon kay maloon mein say daswaan hissa wusool kar liya karte thay. Hazrat Ibn-e-Abbas (رضی اللہ عنہما ) ne bhi yahi tashreeh bayan karte howe farmaya: “Sab say pehle un logon ne yeh zalima tareeqa aijaad kiya.” (Tafseer Ibn-e-Kaseer: 3/401, Tafseer surah Al A’raf: 7/86)
Yaani aap ne unhain zaahiri dunyawi raaste say rokne say bhi mana farmaya aur manwi yaani Deen kay raaste mein rukawat ban’ne say bhi.
Hazrat Shoib (علیہ السلام ) Ki Qoum Ko Nasihat Aur Qoum Ka Ailaan-e-Baghawat
Irshad-e-Baari Ta’aaala hai:
وَاذْكُرُوْٓا اِذْ كُنْتُمْ قَلِيْلًا فَكَثَّرَكُمْ ۠ وَانْظُرُوْا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الْمُفْسِدِيْنَ 86
“Aur (us waqat ko) yaad karo jab tum thode say thay to Allah ne tum ko Jama’at-e-Kaseer bana diya. Aur dekh lo keh kharabi karne waloon ka anjaam kesa howa?” (Al A’raf: 7/86)
Aap ne unhain nasihat karte howe Allah ki nemat yaad dilayi keh un ki tadaad kam thi, Allah ne zayada kar di. Aur tanbih farmayi keh agar woh aap ki hidayat ki perwi nahi karain ge to un par Allah ka azaab naazil ho jaye ga. Jaise dosre maqaam par Irshad hai:
ۭ وَلَا تَنْقُصُوا الْمِكْيَالَ وَالْمِيْزَانَ اِنِّىْٓ اَرٰىكُمْ بِخَيْرٍ وَّاِنِّىْٓ اَخَافُ عَلَيْكُمْ عَذَابَ يَوْمٍ مُّحِيْطٍ 84
“Aur maap aur toul mein kami nah kiya karo. Mein to tum ko aasoodah haal dekhta hoon aur (agar tum iman nah lao ge to) mujhe tumhare bare mein aik aese din kay azaab ka khouf hai jo tumhain ghair le ga.” (Hood: 11/84)
Yaani apne galat kamoon ko jaari nah rakho, Warna Allah Ta’aala tumhare maloon ki barkat khatam kar de ga aur tumhain muflis kar de ga aur tumhari doulat chhin le ga. Is kay ilawah aakhrat ka azaab bhi aane wala hai aur jis ko dunya mein bhi saza mili aur aakhrat mein bhi azaab bhugatana pada, Wahi asal khasare say do chaar hoga.
Is kay baad Shoib (علیہ السلام ) ne farmaya:
وَيٰقَوْمِ اَوْفُوا الْمِكْيَالَ وَالْمِيْزَانَ بِالْقِسْطِ وَلَا تَبْخَسُوا النَّاسَ اَشْيَاۗءَهُمْ وَلَا تَعْثَوْا فِي الْاَرْضِ مُفْسِدِيْنَ 85 بَقِيَّتُ اللّٰهِ خَيْرٌ لَّكُمْ اِنْ كُنْتُمْ مُّؤْمِنِيْنَ ڬ وَمَآ اَنَا عَلَيْكُمْ بِحَفِيْظٍ 86
“Aur ae meri qoum! Maap aur toul insaaf kay sath poori poori kiya karo aur logon ko un ki chizain kam nah diya karo aur Zameen mein kharabi nah karte phiro. Agar tum ko (mere kehne ka) yaqeen ho to Allah ka diya howa nafa hi tumhare liye behtar hai aur mein tumhara negehbaan nahi hoon.” (Hood: 11/85-86)
Hazrat Abdullah bin Abbas (رضی اللہ عنھما ) aur Hazrat Hasan Basri (رحمہ اللہ ) ne farmaya: بَقِيَّتُ اللّٰهِ خَيْرٌ لَّكُمْ “Allah ka diya howa nafa hi tumhare liye behtar hai” ka matlab yeh hai keh logon kay maal najaiz tareeqe say lene ki nisbat Allah ka diya howa Halal rizq tumhare liye behtar hai.
Ibn-e-Jareer (رحمہ اللہ ) ne farmaya: “Logon ko poori chiez naap toul kar dene kay baad tumhare paas jo nafa bachta hai, Woh us say behtar hai jot um naam toul mein kami kar kay logon kay haq mein say rakh lete ho.” (Tafseer Tabri: 7/131)
Yeh mafhoom Allah Ta’aala kay is farmaan say mushabah hai:
قُلْ لَّا يَسْتَوِي الْخَبِيْثُ وَالطَّيِّبُ وَلَوْ اَعْجَبَكَ كَثْرَةُ الْخَبِيْثِ
“Keh do keh paak chiezain aur na paak chiezain barabar nahi hoti go na paak chiezon ki kasrat tumhain achi hi lage.” (Al Maidah: 5/100)
Yaani thoda sa Halal maal buhut say Haram maal say behtar hai. Kiyu keh Halal thoda bhi ho to barkat wala hota hai aur Haram buhut zayada bhi ho to be barkat hota hai, Jaise Irshad-e-Baari Ta’aala hai:
يَمْحَقُ اللّٰهُ الرِّبٰوا وَيُرْبِي الصَّدَقٰتِ
“Allah sood ko na bood (yaani be barkat) karta hai aur khairaat (ki barkat) ko badhata hai.” (Al Baqarah: 2/276)
Aur Allah kay Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ka Irshad hai: “Sood zayadah bhi ho to us ka anjaam qillat hi hai.” ( Musnad-e-Ahmad: 1/395)
Neez Nabi Akram (صلی اللہ علیہ وسلم ) ne farmaya: “Bechne wala aur khareedne wala (soda qaim rakhne ya khatam karne ka) ikhtiyaar rakhte hain, Jab tak aik dosre say alag nah hoon. Agar woh sach bolain aur (soday ki haqeeqat ko) wazih karain, To dono ko un kay soday mein barkat di jaati hai aur agar woh chhupa lain (aur aik dosre ko dhoka dene ki koshish karain) aur jhoot bolain to un kay soday ki barkat mit jaati hai.” (Sahih bukhari, Al buyu, Baab-o-Iza Kaan-al-Baio Bilkhiyari………, Hadith: 2114, Sahih Muslim, Al buyu, Baab-ul-Sidqi Fil Bai wal Bayan, Hadith: 1532)
Shoib ( علیہ السلام) kay is farmaan: بَقِيَّتُ اللّٰهِ خَيْرٌ لَّكُمْ اِنْ كُنْتُمْ مُّؤْمِنِيْنَ “Agar tum ko (mere kehne ka) yaqeen ho to Allah ka diya howa nafa hi tumhare liye behtar hai.” ka yahi matlab hai.
aur Allah Ta’aala kay farmaan: وَمَآ اَنَا عَلَيْكُمْ بِحَفِيْظٍۢ “Aur mein tumhara negehbaan nahi hoon” ka mafhoom yeh hai keh mein tumhain jo hukam deta hoon us par Allah ki raza hasil karne kay liye aur sawab ki niyat say amal karo, Is liye nahi keh mein ya koi aur tumhain dekh raha hai. Qoum ne akhad pan ka muzaharah kiya aur yun goya howi:
قَالُوْا يٰشُعَيْبُ اَصَلٰوتُكَ تَاْمُرُكَ اَنْ نَّتْرُكَ مَا يَعْبُدُ اٰبَاۗؤُنَآ اَوْ اَنْ نَّفْعَلَ فِيْٓ اَمْوَالِنَا مَا نَشٰۗؤُا ۭ اِنَّكَ لَاَنْتَ الْحَلِيْمُ الرَّشِيْدُ 87
“Ae Shoib! Kiya tumhari namaz tumhain yeh sikhati hai keh jin ko hamare baap dada poojty aaye hain ham un ko tarak kar dain ya apne maal mein jo tasarruf karna chahain nah karain? Tum to bade naram dil aur raasat baaz ho.” ( Hood: 11/87)
Yeh baat unhon ne Shoib ( علیہ السلام) ka mazaq udaane kay liye kahi keh aap jo namaz padhte hain, Kiya yahi aap ko hukam deti hai keh ham par pabandiyan aaid karain keh ham sirf aap kay ma’bood ki ibadat kiya karain? Aur un sab ko chod dain jinhain hamare Aaba-o-Ajdaad poojtay aaye hain? Kiya ham apne mamlaat sirf is andaaz say anjaam diya karain jo aap ko pasand hai? Kiya ham lain dain kay woh sab tareeqay chod dain jo aap ko pasand nahi, Khuwah hamein un mein koi kharabi nazar nah aati ho?
اِنَّكَ لَاَنْتَ الْحَلِيْمُ الرَّشِيْدُ “Haqeeqat yeh hai keh sirf aap hi aqal mand aur samajhdaar hain.”Hazrat Ibn-e-Abbas, Ibn-e-Juraij aur Zaid bin Aslam aur Ibn-e-Jareer (رحم اللہ علیھم ) ne farmaya: “Allah kay dushmano ne yeh baat mazak udaate howe kahi thi.” (Tafseer Tabri: 7/135 )
Irshad-e-Baari Ta’aala hai:
قَالَ يٰقَوْمِ اَرَءَيْتُمْ اِنْ كُنْتُ عَلٰي بَيِّنَةٍ مِّنْ رَّبِّيْ وَرَزَقَنِيْ مِنْهُ رِزْقًا حَسَـنًا ۭ وَمَآ اُرِيْدُ اَنْ اُخَالِفَكُمْ اِلٰي مَآ اَنْهٰىكُمْ عَنْهُ ۭ اِنْ اُرِيْدُ اِلَّا الْاِصْلَاحَ مَا اسْتَطَعْتُ ۭ وَمَا تَوْفِيْقِيْٓ اِلَّا بِاللّٰهِ ۭ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ وَاِلَيْهِ اُنِيْبُ 88
“(Shoib (علیہ السلام ) ne) kaha: Ae meri qoum! Dekho to agar mein apne parwardigaar ki taraf say Daleel-e-Roshan par hoon aur us ne apne haan say mujhe behtreen rozi di ho (to kiya mein us kay khilaaf karoon ga?) aur mein nahi chahta keh jis amar say mein tumhain mana karoon, khud ko us ko karne lagoon, Mein to jahan tak ho sake (tumhare mamlaat ki) islah chahta hoon aur (is bare mein) mujhe toufeeq ka milna Allah hi (kay fazal) say hai. Mein usi par bharosa rakhta hoon aur usi ki taraf ruju karta hoon.” (Hood: 11/88)
Yeh Dawat-e-Haq kay liye naram alfaz istimaal karne ka usloob hai lekin is mein haq bilkul wazih kar diya gaya hai. Aap farmate hain: “Ae munkaron! Zara ghour karo mere paas wazih dalail mojood hain keh Allah ne mujhe tumhari taraf bhija hai aur mujhe achi chiez yaani Nubuwat-o-Risaalat ataa ki hai lekin tum usay pehchan’ne ki toufeeq say mehroom reh gaye ho to mein kiya kar sakta hoon?”
Nuh (علیہ السلام ) ne bhi apni qoum say baeena yahi baat farmayi thi jaise keh un kay waqeeaat mein bayan howa.
Hazrat Shoib (علیہ السلام ) ne farmaya: وَمَآ اُرِيْدُ اَنْ اُخَالِفَكُمْ اِلٰي مَآ اَنْهٰىكُمْ عَنْهُ “aur mein nahi chahta keh jis amar say mein tumhain mana karoon khud us ko karne lagoon.” Yaani mein tumhain jab hi neki ka kaam batata hoon, Sab say pehle mein khud us par amal karta hoon aur tumhain jis galat kaam say rokta hoon, Sab say pehle khud us say ijtinaab karta hoon.
Yeh aik azeem khoobi hai. Is kay bar aks kefiyat aik mazmoom kharabi hai jis mein Bani Israeel kay ulma aur jahil khutba aakhri zamanay mein girftaar ho gaye thay. Allah Ta’aala ne farmaya:
اَتَاْمُرُوْنَ النَّاسَ بِالْبِرِّ وَتَنْسَوْنَ اَنْفُسَكُمْ وَاَنْتُمْ تَتْلُوْنَ الْكِتٰبَ ۭ اَفَلَاتَعْقِلُوْنَ 44
“(Yeh) kiya (aqal ki baat hai keh) tum logon ko neki karne ko kehte ho aur khud ko faramosh kar dete ho, Halankeh kitab (Allah) bhi padhte ho. Kiya tum samajhte nahi?” (Al Baqarah: 2/44)
Aur Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم ) ne farmaya: “(Qayamat kay din) aik aadmi ko laa kar jahannam mein phinka jaye ga, Us kay pait say antadyaan baahir nikal aaye gi. Woh un kay ird gird (takleef ki shiddat say) chakar katna shuru kar de ga, Jis tarah (chakki chalane wala) ghadha chakki kay gird ghoomta hai. Jahannami ikatthay ho jayain ge. Woh kahain ge: Falan sahib! Aap ko kiya howa? Kiya aap hamein neki ka hukam nahi diya karte thay aur bure kamoon say mana nahi kiya karte thay? Woh kahi ga: “Haan! Mein neki ki talaqeen to karta tha, Lekin us par amal nahi karta tha. Burayi say mana to karta tha, Lekin khud us ka irtikaab kar liya karta tha.” (Sahih Bukhari, Bad-ul-Khalq, Baab-o-Sifat-e-Al Naari wannha Makhloqatun, Hadith: 3267 Sahih Muslim, Al Zhud, Baab-o-Uqoobati Mann Yaamuro bil Marrofi wala Yafaluho……, Hadith: 2989, Masnad-e-Ahmad: 5/205 )
Anbiya (علیھم السلام ) ki mukhalifat karne wale bad naseeb bad karoon ki yahi kefiyat hoti hai, Lekin Ahl-e-Aqal Ualma jo Rabb ka khouf rakhte hain, Un ki kefiyat woh hoti hai jaise Allah kay Nabi Hazrat Shoib (علیہ السلام ) ne farmaya:
وَمَآ اُرِيْدُ اَنْ اُخَالِفَكُمْ اِلٰي مَآ اَنْهٰىكُمْ عَنْهُ ۭ اِنْ اُرِيْدُ اِلَّا الْاِصْلَاحَ مَا اسْتَطَعْتُ
“Aur mein nahi chahta keh jis amar say mein tumhain mana karun khud us ko karne lagoon, Mein to jahan tak mujh say ho sake (tumhare mamlaat ki) islah chahta hoon.” (Hood: 11/88)
Yaani mujhe har haal mein Allah hi say toufeeq milti hai aur mein tamam mamlaat mein usi par ai’temaad karta hoon. Mere har kaam ka anjaam usi kay hath mein hai. Yeh sara kalaam “Targhieb” par mushtamil hai. Is kay baad aap ne “Tarhieb”ka pehlu ikhtiyaar karte howe farmaya:
وَيٰقَوْمِ لَا يَجْرِمَنَّكُمْ شِقَاقِيْٓ اَنْ يُّصِيْبَكُمْ مِّثْلُ مَآ اَصَابَ قَوْمَ نُوْحٍ اَوْ قَوْمَ هُوْدٍ اَوْ قَوْمَ صٰلِحٍ ۭ وَمَا قَوْمُ لُوْطٍ مِّنْكُمْ بِبَعِيْدٍ 89
“Aur ae meri qoum! Meri mukhalifat tum say koi aesa kaam nah kara de keh jaisi musibat Nuh ki qoum ya Hood ki qoum ya Salih ki qoum par waqe howi thi wesi hi musibat tum par waqe ho aur Lut ki qoum (ka zamanah to) tum say kuch door nahi.” (Hood: 11/89)
Yaani meri mukhalifat aur mere laye howe paigham say nafrat tumhain is taraf nah le jaye keh apni gumrahi aur jahalat par qaim raho, Jis kay nateejay mein tum par Allah ka azaab aa sakta hai, Jis tarah tum jaise pehle kafiron par aaya tha, Yaani jis tarah Qoum-e-Nuh aur Aad-o-Samood kay Kafir aur haq kay mukhalif Allah kay azaabon ki lapait mein aa gaye thay. Phir farmaya: وَمَا قَوْمُ لُوْطٍ مِّنْكُمْ بِبَعِيْدٍ “aur Lut ( علیہ السلام) ki qoum tum say kuch door nahi.” Yaani woh koi buhut purane door ka waqeeaa nahi. Balkeh un kay Kufur-o-Inaad ki wajah say aane wala azaab tumhain maloom hai. Aik matlab yeh hai keh un ka ilaqa aur maskan tum say kuch door nahi. Aik mafhoom yeh bhi hai keh woh log aadaat aur bad aa’maliyun kay lihaaz tum say kuch door aur zayadah mukhtalif nahi thay. Woh bhi tumhari tarah musafiron ko lootne aur pareshan karne wale aur tarah tarah kay Maker-o-Faraib kay zari’ye say aur tarah tarah kay hieloon bahanoon say logon ka maal Sar-e-Aam bhi chien lete thay aur khufya tor par bhi le lete thay.
Yeh sab aqwaal durust hain kiyu keh who zamanah, Maqaam aur aamaal kay lihaaz say un say qareeb thay. Aakhir mein Tarheeb kay baad phir Targheeb ka pehlu ikhtiyaar karte howe farmaya:
وَاسْتَغْفِرُوْا رَبَّكُمْ ثُمَّ تُوْبُوْٓا اِلَيْهِ ۭ اِنَّ رَبِّيْ رَحِيْمٌ وَّدُوْدٌ 90
“Aur apne parwardigaar say bakhshish maango aur us kay aagy tubah karo. Beshak mera parwardigaar raham wala (aur) mohbbat wala hai.” (Hood: 11/90)
Yaani apne mojoodah gunaho say baaz ajao aur rahmat karne wale muhabbat karne wale Rabb kay aagy tubah karo kiyu keh jo banda tubah karta hai Allah us ki tubah qubool farmata hai. Woh apne bandon par itna zayada raham karne wala hai keh maan bhi apne bachy par us qadar shafqat nahi kar sakti. Woh Qabil-e-Mohbbat hai kiyu keh bande ki tubah qubool karta hai khuwah kitne hi bure aur tabah kun gunahon kay baad tubah kare.
Qoum Ka Ailaan-e-Baghawat:
Hazrat Shoib ( علیہ السلام) ne qoum ki har tarah say khair khuwahi ki, Unhain Allah Ta’aala ki taraf say hasil shudah Khair-o-Barkat yaad dilayi aur buraiyun say roka magar qoum ne man’ne ki bajaye aap ko sangsaar karne aur basti say nikal dene ki dhamkiyan deen. Allah Ta’aala fermata hai:
قَالُوْا يٰشُعَيْبُ مَا نَفْقَهُ كَثِيْرًا مِّمَّا تَقُوْلُ وَاِنَّا لَنَرٰىكَ فِيْنَا ضَعِيْفًا ۚ وَلَوْلَا رَهْطُكَ لَرَجَمْنٰكَ ۡ وَمَآ اَنْتَ عَلَيْنَا بِعَزِيْزٍ 91
“Unhon ne kaha keh Shoib! Tumhari buhut si batain hamari samajh mein nahi aati aur ham dekhte hain keh tum ham mein kamzor bhi ho. Aur agar tumhare bhai band nah hote to ham tum ko sangsaar kar dete aur ham tum par (kisi tarah bhi) ghalib nahi ho.” (Hood: 11/91)
Yeh un kay shadeed Kufar-o-Inaad ka izhar hai keh unhon ne kaha: Tumhari buhut si batain hamari samajh mein nahi aati. Kiyu keh woh hamein pasand nahi, Nah ham unhain sun’na ya samajhna chahte hain. Yeh wahi baat hai quraish kay kafiron ne Rasoolullah ( صلی اللہ علیہ وسلم ) say kahi thi.
Irshad-e-Baari Ta’aala hai:
وَقَالُوْا قُلُوْبُنَا فِيْٓ اَكِنَّةٍ مِّمَّا تَدْعُوْنَآ اِلَيْهِ وَفِيْٓ اٰذَانِنَا وَقْرٌ وَّمِنْۢ بَيْنِنَا وَبَيْنِكَ حِجَابٌ فَاعْمَلْ اِنَّنَا عٰمِلُوْنَ Ĉ
“Aur woh kehte hain keh jis chiez ki taraf tum hamein bulate ho us say hamare dil parde mein hain aur hamare kanoon mein boojh (yaani behra pan) hai aur hamare aur tumhare darmiyan pardah hai, So tum (apna) kaam karo ham (apna) kaam karte hain.” (Haa Meem: 41/5)
Irshad-e-Baari Ta’aala hai:
قَالَ يٰقَوْمِ اَرَهْطِيْٓ اَعَزُّ عَلَيْكُمْ مِّنَ اللّٰهِ
“(Shoib ne) kaha keh ae meri qoum! Kiya mere bhai bandon ka dabao tum par Allah say zayadah hai?” (Hood: 11/92)
Yaani tum khandaan aur qabeelay say darte ho aur us ki wajah say mera (kuch nah kuch) lihaaz karte ho lekin kiya tumhain Allah kay azaab say khouf mehsoos nahi hota? Tum mera lihaaz is wajah say kiyu nahi karte keh mein Allah ka Rasool hoon? Goya tumhari nazron mein mera qabeela Allah Ta’aala say zayadah taqat wala hai.
وَاتَّخَذْتُمُوْهُ وَرَاۗءَكُمْ ظِهْرِيًّا ۖ “Aur tum ne Allah kay ahtiraam aur khouf ko Pass-e-Pusht daal diya hai.” اِنَّ رَبِّيْ بِمَا تَعْمَلُوْنَ مُحِيْطٌ “mera parwardigaar to tumhare sab aamaal par ihaataa kiye howe hai.” Yaani usay maloom hai jo tum kar rahi ho. Woh tumhari har choti badi harkat say baa khabar hai. Jab tum us kay paas jao gay to woh tumhain us ki poori saza de ga. Aur kaha:
وَيٰقَوْمِ اعْمَلُوْا عَلٰي مَكَانَتِكُمْ اِنِّىْ عَامِلٌ ۭ سَوْفَ تَعْلَمُوْنَ ۙ مَنْ يَّاْتِيْهِ عَذَابٌ يُّخْزِيْهِ وَمَنْ هُوَ كَاذِبٌ ۭ وَارْتَقِبُوْٓا اِنِّىْ مَعَكُمْ رَقِيْبٌ 93
“Biradiraan-e-Millat! Tum apni jaga kaam kiye jao mein (apni jaga) kaam kiye jaata hoon. Tumhain anqareeb maloom ho jaye ga keh ruswa karne wala azaab kis par aata hai aur jhoota kon hai? Aur tum bhi intizaar karo, Mein bhi tumhare sath intizaar karta hoon.” (Hood: 11/93)
Is mein sakht waeed hai keh agar woh baaz nahi aate to apne tareeqe par qaim rahain, Jald hi us ka nateeja samne aa jaye ga. Phir unhain maloom hoga keh kis ka anjaam acha hota hai aur kis par tabahi naazil hoti hai, Yaani dunya ki zindagi mein ruswayi aur aakihrat mein daimi azaab kis par toot’ta hai aur yeh bhi maloom ho jaye ga keh mein ne jo khabrain tumhain di hain aur tanbiyah ki hai, Is mein mein jhoota hoon ya tum jis mazhab aur rawaj par amal pera hoon, Us mein tum jhoote ho. وَارْتَقِبُوْٓا اِنِّىْ مَعَكُمْ رَقِيْبٌ “Aur tum bhi intizaar karo, Mein bhi tumhare sath intizaar karta hoon.”
Us ka wahi mafhoom hai jo is Ayat-e-Mubaraka ka hai:
وَاِنْ كَانَ طَاۗىِٕفَةٌ مِّنْكُمْ اٰمَنُوْا بِالَّذِيْٓ اُرْسِلْتُ بِهٖ وَطَاۗىِٕفَةٌ لَّمْ يُؤْمِنُوْا فَاصْبِرُوْا حَتّٰي يَحْكُمَ اللّٰهُ بَيْنَنَا ۚ وَهُوَ خَيْرُ الْحٰكِمِيْنَ 87
“Aur agar tum mein say aik jama’at meri risaalat par iman le aayi hai aur aik jama’at iman nahi layi to sabar kiye raho yahan tak keh Allah hamare tumhare darmiyaan faisla kar de aur woh sab say behtar faisla karne wala hai.” (Al’ A’raf: 7/87)
Azaab Ki Aamad Aur Qoum Ki Halakat Par Nabi (علیہ السلام) Ka Izhar-e-Afsoos
Azaab ki Aamad:
Qoum kay sardaaroon ne Hazrat Shoib ( علیہ السلام ) ko zabardast dhamkiyan deen aur mominun ko apne purane mazhab wapis aane ki talaqeen ki. Jab momin dat gaye to qoum ki ziyadtiyan aur bhi badh gayeen lihaaza Hazrat Shoib (علیہ السلام ) ne Nusrat-e-Rabbani kay liye dua kar di. Irshad-e-Baari Ta’aala hai:
قَالَ الْمَلَاُ الَّذِيْنَ اسْتَكْبَرُوْا مِنْ قَوْمِهٖ لَنُخْرِجَنَّكَ يٰشُعَيْبُ وَالَّذِيْنَ اٰمَنُوْا مَعَكَ مِنْ قَرْيَتِنَآ اَوْ لَتَعُوْدُنَّ فِيْ مِلَّتِنَا ۭ قَالَ اَوَلَوْ كُنَّا كٰرِهِيْنَ 88ۣ قَدِ افْتَرَيْنَا عَلَي اللّٰهِ كَذِبًا اِنْ عُدْنَا فِيْ مِلَّتِكُمْ بَعْدَ اِذْ نَجّٰىنَا اللّٰهُ مِنْهَا ۭوَمَا يَكُوْنُ لَنَآ اَنْ نَّعُوْدَ فِيْهَآ اِلَّآ اَنْ يَّشَاۗءَ اللّٰهُ رَبُّنَا ۭوَسِعَ رَبُّنَا كُلَّ شَيْءٍ عِلْمًا ۭ عَلَي اللّٰهِ تَوَكَّلْنَا رَبَّنَا افْتَحْ بَيْنَنَا وَبَيْنَ قَوْمِنَا بِالْحَقِّ وَاَنْتَ خَيْرُ الْفٰتِحِيْنَ 89
“Un ki qoum mein jo log sardaar aur bade aadmi thay woh kehne lage keh Shoib! (ya to) ham tum ko aur jo log tumhare sath iman laye hain un ko apne shihr say nikaal dain ge ya tum hamare mazhab mein ajaao. Unhon ne kaha khuwah ham (tumhare deen say) bezaar hi hoon (to bhi?) Agar ham us kay baad keh Allah hamein is (kufur) say nijaat bakhsh chuka hai tumhare mazhab mein lot jayain to beshak ham ne Allah par iftra (jhoot) bandha aur hamein layeq nahi keh us mein lot jayain. Haan Allah jo hamara parwardigaar hai woh chahey to (ham majboor hain) hamare parwardigaar ka ilm har chiez ka ihaata kiye howe hai. Hamara Allah hi par bharosa hai. Ae parwardigaar! Ham mein aur hamari qoum mein insaaf kay sath faisla kar de aur tu sab say behtar faisla karne wala hai.” (Al A’raf: 7/88-89)
Kafirun ne mutaliba kiya keh mominun ko dubaara apne Aaba-o-Ajdaad ka mazhab ikhtiyaar kar lena chahiye. Hazrat Shoib ( علیہ السلام) ne mominun ki taraf say jawab dete howe farmaya: اَوَلَوْ كُنَّا كٰرِهِيْنَ yaani momin apni khushi say to kufur ki taraf nahi lot sakte. Agar Bifarz-e-Mahaal aesa ho bhi gaya to woh tumhare zulum ki wajah say majbooran hoga. Is ki wajah yeh hai keh jab iman ki haqqaaniyat dil mein jaa guzeen ho jaye to phir insaan kay liye mumkin nahi hota keh us ko na pasand kare ya usay tark kar de.
Is liye Aap ne farmaya:
قَدِ افْتَرَيْنَا عَلَي اللّٰهِ كَذِبًا اِنْ عُدْنَا فِيْ مِلَّتِكُمْ بَعْدَ اِذْ نَجّٰىنَا اللّٰهُ مِنْهَا ۭوَمَا يَكُوْنُ لَنَآ اَنْ نَّعُوْدَ فِيْهَآ اِلَّآ اَنْ يَّشَاۗءَ اللّٰهُ رَبُّنَا ۭوَسِعَ رَبُّنَا كُلَّ شَيْءٍ عِلْمًا ۭ عَلَي اللّٰهِ تَوَكَّلْنَا
“Agar ham us kay baad keh Allah hamein is (kufur) say nijaat bakhsh chuka hai tumhare mazhab mein lot jayain to beshak ham ne Allah par iftra (jhoot) bandha aur hamein layeq nahi keh ham us mein lot jayain. Haan Allah jo hamara parwardigaar hai woh chahey to (ham majboor hain) hamare parwardigaar ka ilm har chiez ka ihaata kiye howe hai. Hamara Allah hi par bharosa hai.” (Al A’raf: 7/89)
Yaani woh Allah hamari madad kay liye kaafi hai. Woh hamari hifazat karne wala hai. Har ma’milay mein wahi hamara Malja-o-Ma’wa hai. Phir aap ne Allah Ta’aala say dua ki keh woh qoum kay khilaaf aap ki madad kare aur unhain woh saza de jis kay woh mustahiq hain. Farmaya:
رَبَّنَا افْتَحْ بَيْنَنَا وَبَيْنَ قَوْمِنَا بِالْحَقِّ وَاَنْتَ خَيْرُ الْفٰتِحِيْنَ
“Ae parwardigaar! Ham mein aur hamari qoum mein insaaf kay sath faisla kar de aur tu sab say behtar faisla karne wala hai.” (Al A’raf: 7/89)
Aap ne dua farmayi aur Allah Ta’aala apne Rasoolon ki dua rud nahi kiya karta, Jab woh Munkireen-o-Mukhalifeen kay khilaaf dua farmayeen. Is kay bawjood unhon ne apni bad aamaaliyun par qaim rehne ka azam kar liya. Chunancha un ki qoum mein say sardaar log jo kaafir thay kehne lage:
لَىِٕنِ اتَّبَعْتُمْ شُعَيْبًا اِنَّكُمْ اِذًا لَّـخٰسِرُوْنَ
“(Logo!) agar tum ne Shoib ki perwi ki to beshak tum khasare mein pad gaye.” ( Al A’raf: 7/90)
Irshad-e-Baari Ta’aala hai:
فَاَخَذَتْهُمُ الرَّجْفَةُ فَاَصْبَحُوْا فِيْ دَارِهِمْ جٰثِمِيْنَ
“To un ko zalzalay ne aa pakda aur woh apne gharoon mein aundhay pade reh gaye.” ( Al A’raf: 7/78)
Yaani zameen larazne lagi, Shadeed zalzala aa gaya jis ki wajah say un kay jismon say ruhain parwaaz kar gayeen. Un kay be jaan lashay bethay kay bethay reh gaye. Un mein jaan rahi nah harkat. Allah Ta’aala ne unhain kai tarah ki sazayain deen aur kayi tarah kay azaab un par naazil kiye kiyu keh woh buri aadaton mein mubtala thay. Allah Ta’aala ne un par aesa zalzalah musallat kiya jis say woh be Hiss-o-Harkat ho kar reh gaye aur aesi chiekh ka azaab bhijha keh tamam aawazain khamosh ho gayi aur aese badal ka saya kiya jis say har taraf aag kay angaray barasne lagy. Lekin Allah Ta’aala ne har surat mein kalaam kay Siyaaq-o-Sabaaq kay mutabiq kisi aik azaab ka tazkirah farmaya hai. Surah A’raf mein hai keh unhon ne Allah kay Nabi aur un kay sathiyun ko dhamki di keh agar unhon ne Deen-e-Haq ko tark nah kiya to unhain basti say nikal diya jaye ga. Is [ ارجاف ] “khouf zadah karne” ki saza [ رجفۃ] “zalzalah” tha.
Surah Hood mein yeh mazkoor hai keh unhon ne apne Nabi ka mazaq udate howe kaha tha:
اَصَلٰوتُكَ تَاْمُرُكَ اَنْ نَّتْرُكَ مَا يَعْبُدُ اٰبَاۗؤُنَآ اَوْ اَنْ نَّفْعَلَ فِيْٓ اَمْوَالِنَا مَا نَشٰۗؤُا ۭ اِنَّكَ لَاَنْتَ الْحَلِيْمُ الرَّشِيْدُ 87
“kiya tumhari namaz tumhain yeh sikhlaati hai keh jin ko hamare baap dada poojty aaye hain ham un ko tark kar dain ya apne maal mein jo tasarruf karna chahain nah karain. Tum to bade naram dil aur raasat baaz ho.” ( Hood: 11/87)
Unhon ne Nabi say gustakhi karte howe jo badi batain kahin thien us ki saza kay tor par aik houlnaak aawaz ka azaab naazil howa jis say woh tabah ho gaye aur tamam aawazain khamosh ho gayeen.
Surah Shu’ra mein mazkoor hai keh un par “saibaan wale din” ka jo azaab aaya woh un kay mutalibay ka jawab tha jo unhon ne kiya tha:
قَالُوْٓا اِنَّمَآ اَنْتَ مِنَ الْمُسَحَّرِيْنَ ١٨٥ۙ وَمَآ اَنْتَ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا وَاِنْ نَّظُنُّكَ لَمِنَ الْكٰذِبِيْنَ ١٨٦ۚ فَاَسْقِطْ عَلَيْنَا كِسَفًا مِّنَ السَّمَاۗءِ اِنْ كُنْتَ مِنَ الصّٰدِقِيْنَ ١٨٧ۭ قَالَ رَبِّيْٓ اَعْلَمُ بِمَا تَعْمَلُوْنَ ١٨٨
“Tum to jado zadah ho, Aur kuch nahi bas hamare jaise aadmi ho, Aur hamara khayal hai keh jhootay ho. Agar sachay ho to ham par Aasman say aik tukda laa kar girao. Shoib ne kaha tum jo kaam karte ho mera parwardigaar us say khoob waqif hai.” (Al Shu’ra: 26/185-188)
Is ki saza ka zikr howe Allah Ta’aala ne farmaya:
فَكَذَّبُوْهُ فَاَخَذَهُمْ عَذَابُ يَوْمِ الظُّلَّةِ ۭ اِنَّهٗ كَانَ عَذَابَ يَوْمٍ عَظِيْمٍ ١٨٩
“To un logon ne us (Shoib) ko jhutlaya, Pas saibaan wale din kay azaab ne un ko aa pakda. Beshak woh bade (sakht) din ka azaab tha.” (Al Shu’ra: 26/189)
Mufassireen farmate hain keh un par sakht garmi musallat ho gayi. Allah Ta’aala ne saat din hawa rok li. Garmi ki shiddat paani say kam hoti nah saye say aur nah tah khano mein dakhil ho jane say. Chunancha woh gharon say medaan mein nikal aaye. Achanak un par aik badal aaya, To woh sab us kay neechay jama ho gaye taakeh garmi say taskeen haasil ho. Jab woh sab kay sab jama ho gaye to us mein say chingariyan aur shu’lay barasne lage. Zameen zalzalay say larazne lagi aur Aasman say intihayi shadeed aawaz gounji, Jis say woh Tabah-o-Barbaad ho gaye, Jaise keh Allah Ta’aala ne farmaya:
–
فَاَخَذَتْهُمُ الرَّجْفَةُ فَاَصْبَحُوْا فِيْ دَارِهِمْ جٰثِمِيْنَ 91ٻ الَّذِيْنَ كَذَّبُوْا شُعَيْبًا كَاَنْ لَّمْ يَغْنَوْا فِيْهَا ڔ اَلَّذِيْنَ كَذَّبُوْا شُعَيْبًا كَانُوْا هُمُ الْخٰسِرِيْنَ 92
“Aur woh apne gharon mein aundhay pade reh gaye (yeh log) jinho ne Shoib ki takzeeb ki thi aese barbaad ho gaye goya woh un mein kabhi aabaad hi nahi howe thay. (Gharz) jinho ne Shoib //ko jhutlaya woh khasare mein pad gaye.” (Al A’raf: 7/91-92)
Allah Ta’aala ne Hazrat Shoib (علیہ السلام ) ko aur un par iman laane waloon ko bacha liya. Jaisa keh Irshad-e-Ilahi hai:
وَلَمَّا جَاۗءَ اَمْرُنَا نَجَّيْنَا شُعَيْبًا وَّالَّذِيْنَ اٰمَنُوْا مَعَهٗ بِرَحْمَةٍ مِّنَّا وَاَخَذَتِ الَّذِيْنَ ظَلَمُوا الصَّيْحَةُ فَاَصْبَحُوْا فِيْ دِيَارِهِمْ جٰثِمِيْنَ 94ۙ كَاَنْ لَّمْ يَغْنَوْا فِيْهَا ۭ اَلَا بُعْدًا لِّمَدْيَنَ كَمَا بَعِدَتْ ثَمُوْدُ 95ۧ
“Aur jab hamara hukam aa pohncha to ham ne Shoib ko aur jo log un kay sath iman laye thay un ko apni rahmat say bacha liya aur jo zalim thay un ko chinghaad ne aa dabocha to woh apne gharon mein aundhay pade reh gaye. Goya un mein kabhi basay hi nah thay. Sun rakho keh Madyan par (wesi hi) phitkaar hai jaisi samood par phitkaar howi thi.” (Hood: 11/94-95)
Aur mazeed farmaya:
وَقَالَ الْمَلَاُ الَّذِيْنَ كَفَرُوْا مِنْ قَوْمِهٖ لَىِٕنِ اتَّبَعْتُمْ شُعَيْبًا اِنَّكُمْ اِذًا لَّـخٰسِرُوْنَ 90 فَاَخَذَتْهُمُ الرَّجْفَةُ فَاَصْبَحُوْا فِيْ دَارِهِمْ جٰثِمِيْنَ 91ٻ الَّذِيْنَ كَذَّبُوْا شُعَيْبًا كَاَنْ لَّمْ يَغْنَوْا فِيْهَا ڔ اَلَّذِيْنَ كَذَّبُوْا شُعَيْبًا كَانُوْا هُمُ الْخٰسِرِيْنَ 92
“Aur un ki qoum mein sardaar log jo Kafir thay kehne lage keh (logo) agar tum ne Shoib ki perwi ki to beshak tum khasare mein pad gaye. Tab un ko zalzalay ne aa pakda aur woh apne gharon mein aundhay pade reh gaye (yeh log) jinho ne Shoib ki takzeeb ki thi aese barbaad ho gaye goya woh un mein kabhi aabaad hi nahi howe thay (gharz) jinhon ne Shoib ko jhutlaya woh khasare mein pad gaye.” (Al A’raf: 7/90-92)
Jab keh woh log kehte thay:
لَىِٕنِ اتَّبَعْتُمْ شُعَيْبًا اِنَّكُمْ اِذًا لَّـخٰسِرُوْنَ
“Agar tum ne Shoib ki perwi ki to beshak tum khasare mein pad gaye.” (Al A’raf: 7/90)
Qoum Ki Halakat Par Izhar-E-Afsous:
Is kay baad Allah Ta’aala ne bayan farmaya keh paighambar ne qoum ki tabahi par afsoos ka izhar kiya. Irshad-e-Baari Ta’aala hai:
فَتَوَلّٰي عَنْهُمْ وَقَالَ يٰقَوْمِ لَقَدْ اَبْلَغْتُكُمْ رِسٰلٰتِ رَبِّيْ وَنَصَحْتُ لَكُمْ ۚ فَكَيْفَ اٰسٰي عَلٰي قَوْمٍ كٰفِرِيْنَ 93ۧ
“To Shoib un mein say nikal aaye aur kaha keh bhaiyu! Mein ne tum ko apne parwardigaar kay paigham pohncha diye hain aur tumhari khair khuwahi kit hi, So mein kafiron par (azaab naazil hone say) Ranj-o-Gham kiyun karoon?” (Al A’raf: 7/93)
Yaani un logon kay tabah ho jane kay baad Hazrat Shoib (علیہ السلام ) un ki basti say yeh kehte howe chal diye keh mein ne poori khair khuwahi karte howe Allah kay ahkaam mukamal tor par tumhain pohncha kar apna farz ada kar diya hai aur jis jis tarah mujh say ho saka, Mein ne har tareeqe say tumhain sarfaraaz karne ki koshish ki lekin tum us say koi faida nah haasil kar sake kiyu keh hidayat dena Allah kay qabze mein hai. Is kay baad tum par aane wale azaab ka mujhe koi afsoos nahi kiyu keh yeh tum hi thay jo hidayat qubool karte thay nah ruswayi aur azaab kay din ka khouf mehsoos karte thay. Isi liye farmaya keh mein kafiron par (azaab naazil hone say) ranj aur gham kiyu karoon? Yaani mein un logon ka gham kiyu karoon jo haq qubool nahi karte balkeh us ki taraf tawajjah hi nahi karte. Is kay nateejay mein un par Allah ka woh azaab aa gaya jisay roka jaa sakta hai nah us ka muqabila kiya jaa sakta hai aur nah kahin us say panah mil sakti hai.
Nataij-o-Fawaid ………. Ibratain-o-Hikmatain
Islah Kay Bunyaadi Usool:
Hazrat Shoib (علیہ السلام ) kay qissay say Daeeyaan-e-Ilallah ko Islah-e-Muaasharah kay bunyadi usool milte hain. Hazrat Shoib (علیہ السلام ) ne tijarat mein dhoka dahi ki akhlaqi beemari mein mubtila qoum ki islah ka iradah farmaya to qoum ne un ki muslihana koshishon ki sakht mukhalifat ki. Aur apne Kirdaar-o-Amal par pukhtegi say wabasta rehne ka izhar kiya. Hazrat Shoib (علیہ السلام ) ne un kay us batil Rad-e-Amal ko islah kay bunyaadi usoloon say rad farmaya:
وَمَآ اُرِيْدُ اَنْ اُخَالِفَكُمْ اِلٰي مَآ اَنْهٰىكُمْ عَنْهُ ۭ اِنْ اُرِيْدُ اِلَّا الْاِصْلَاحَ مَا اسْتَطَعْتُ ۭ وَمَا تَوْفِيْقِيْٓ اِلَّا بِاللّٰهِ ۭ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ وَاِلَيْهِ اُنِيْبُ 88
“Mera yeh iradah bilkul nahi keh tumhari mukhalifat kar kay khud us chiez ki taraf jhuk jaaon jis say tumhain rok raha hoon. Mera iradah to apni taqat bhar islah karne ka hi hai. Meri tufeeq Allah hi ki madad say hai. Usi par mera bharosa hai aur usi ki taraf mein ruju karta hoon.” (Hood: 11/88)
Aap kay is farmaan mein musalihien kay liye Irshad hai keh un ka Amal-o-Kirdaar hamesha un kay aqwaal kay muwafiq hona chahiye kiyu keh aqwaal ki nisbat Kirdaar-o-Amal zayada muassar hota hai lihaaza ham dekhte hain keh koi Waiz-o-Khateeb kitna hi buland paya aur shiereen bayan kiyu nah ho agar us ka amal us ki guftaar kay mutabiq nah ho to log us say mutanaffir ho jate hain. Rasool-e-Akram ( صلی اللہ علیہ وسلم ) ne aese daeeyaan kay liye sakht waeed bayan farmayi hai jin ka amal un ki tableegh kay muwafiq nahi hota. aap ne farmaya:
“Qayamat kay roz aik shaks ko laya jaye ga, Usay jahannam mein phink diya jaye ga, Us ki aantain bahir nikli hoon gi aur woh chakki kay ghadhy ki tarah un kay gird ghoom raha hoga. Jahannami us kay gird jama ho kar pochain ge: Ae falan shaks! Tujhey kiya howa? Kiya tu hamein neki ki hidayat karta aur burayi say rokta nahi tha? Woh kahi ga: Mein tumhain neki ka hukam deta tha aur khud woh kaam nahi karta tha. Tumhain burayi say rokta tha jab keh khud us ka irtekaab karta tha.” (Sahih Bukhari, Bada’a-ul-Khalq, Hadith: 3267, Sahih Muslim, Al Zuhd, Hadith: 2989)
Aap ne dosra usool yeh farmaya keh mein Hasb-e-Taqat islah ki koshish kar raha hoon, Us say Daeeyaan-e-Ilallah ko pur khuloos aur be lous dawat dene ka dars milta hai. Neez aap kay tawakkul Alallah aur Allah Ta’aala say Madad-o-Taeed haasil karne say bhi Daeeyaan-e-Tuheed ko daras milta hai keh woh bhi hamesha apna bharosa apne parwardigaar par rakhain.
Namaz Buraiyun Say Rokti Hai:
Hazrat Shoib (علیہ السلام ) kay qissay say maloom hota hai keh aqeedah tuwheed ko apnaane aur buraiyun ko tark karne ka baais banti hai. Hazrat Shoib (علیہ السلام ) aur aap kay perokaar namaz ki adaigi ki wajah say shirk, Dhokha dahi, Faraad aur Samaan-e-Tijarat jaisi buraiyun say mahfooz ho gaye. Jab keh aap ki qoum inhi bemariyun ki wajah say Tabah-o-Barbaad ho gayi. Hazrat Shoib (علیہ السلام ) ne qoum ko un buraiyun se roka taakeh woh Dunya-o-Aakhrat mein surkhuru hoon. Aap ne farmaya:
يٰقَوْمِ اعْبُدُوا اللّٰهَ مَا لَكُمْ مِّنْ اِلٰهٍ غَيْرُهٗ ۭ وَلَا تَنْقُصُوا الْمِكْيَالَ وَالْمِيْزَانَ اِنِّىْٓ اَرٰىكُمْ بِخَيْرٍ وَّاِنِّىْٓ اَخَافُ عَلَيْكُمْ عَذَابَ يَوْمٍ مُّحِيْطٍ 84 وَيٰقَوْمِ اَوْفُوا الْمِكْيَالَ وَالْمِيْزَانَ بِالْقِسْطِ وَلَا تَبْخَسُوا النَّاسَ اَشْيَاۗءَهُمْ وَلَا تَعْثَوْا فِي الْاَرْضِ مُفْسِدِيْنَ 85
“Ae meri qoum! Allah ki ibadat karo, Us kay siwa tumhara koi ma’bood nahi aur tum naap toul mein kami nah karo. Mein to tumhain aasoodah haal dekh raha hoon. Aur mujhe tum par ghairne wale din kay azaab ka khatrah hai. Ae meri qoum! Naap toul pooray pooray insaaf kay sath karo. Logon ko un ki chiezain kam nah do. Aur zameen mein fasaad aur kharaabi nah machao.” (Hood: 11/84-85)
Qoum ne in Pand-o-Nasaih ko qubool karne ki bajaye istehza karte howe jawab diya:
يٰشُعَيْبُ اَصَلٰوتُكَ تَاْمُرُكَ اَنْ نَّتْرُكَ مَا يَعْبُدُ اٰبَاۗؤُنَآ اَوْ اَنْ نَّفْعَلَ فِيْٓ اَمْوَالِنَا مَا نَشٰۗؤُا ۭ اِنَّكَ لَاَنْتَ الْحَلِيْمُ الرَّشِيْدُ 87
“Ae Shoib kiya teri namaz tujhey yahi hukam deti hai keh ham apne baap dadoon kay ma’boodun ko chod dain aur ham apne maloon mein bhi Hasb-e-Khuwahish tasarruf karna bhi chod dain. To tu bada hi bawaqaar aur naik chalan aadmi hai.” (Hood: 11/87)
Yaani qoum ne aap ki Dawat-e-Tuwheed aur tijarat mein imandaari ko tark kar keh sabit kar diya keh namaz waqaee un chiezon ka hukam deti hai. Agar woh namaz ada karne par aamadah ho jaate to Dawat-o-Tuwhied aur imandaari ko bhi qubool kar lete. Be shak namaz behayayi aur buraiyun say rokti hai. إِنَّ ٱلصَّلَوٰةَ تَنْهَىٰ عَنِ ٱلْفَحْشَآءِ وَٱلْمُنكَرِ
Dhoka Dahi Aur Milawat Say Ahtiraaz Ka Dars:
Hazrat Shoib (علیہ السلام ) kay qissay say hamein imandaari ka dars milta hai. Logon ko dhoka dena aur chiezon mein milawat karna, Neez naap toul mein dandi marna sakht akhlaqi jaraim hain. Hazrat Shoib (علیہ السلام ) ki qoum inhi jaraim ki murtakib thi, Lihaaza aap ki muslihaana koshishoon ki nakami par sakht azaab ka shikar howi.
Islam Adal-o-Insaaf aur imandaari ki talqeen karta hai jo log dosron ko dhoka de kar Samaan-e-Ddunya jama karte hain unhain sakht waeed sunayi gayi hai. Irshad-e-Baari Ta’aala hai:
وَيْلٌ لِّـلْمُطَفِّفِيْنَ Ǻۙ الَّذِيْنَ اِذَا اكْتَالُوْا عَلَي النَّاسِ يَسْتَوْفُوْنَ Ąڮ وَاِذَا كَالُوْهُمْ اَوْ وَّزَنُوْهُمْ يُخْسِرُوْنَ Ǽۭ
“Naap toul mein kami karne waloon kay liye halakat hai keh jab logon say naap kar lete hain to poora poora lete hain aur jab unhain naap kar ya toul kar dete hain to kam dete hain.” (Al Mutaffifeen: 83/1-3)
Rasoolullah ( صلی اللہ علیہ وسلم) ne is tijarati burayi kay bare mein bayan karte howe farmaya:
“Jo qoum naam toul mein kami karti hai us par qeht saali, Sakht mehnat aur hukmurano ka Zulum-o-Sitam musallat kar diya jata hai.” ( Sunan Ibn-e-majah, Al Fitan, Baab-ul- Uqoobaat, Hadith: 4019)
Aal-e-Ibrahim Kay Anbiya ( علیہم السلام)
Guzashta auraq mein bayan ho chuka hai keh Hazrat Ibrahim ( علیہ السلام) ka apni qoum kay sath kiya maamila howa aur un waqeeaat kay nateejay mein kiya Soorat-e-Haal paish aayi? Aap par rahmatain aur salam naazil ho.
Un kay zamane mein paish aane wale Hazrat Lut (علیہ السلام ) ki qoum kay Waqeeaat-o-Halaat bhi bayan kiye jaa chuke hain. Us kay baad ham ne Hazrat Shoib (علیہ السلام ) ki Qoum-e-Madyan kay halaat bayan kiye kiyu keh Quran Majeed mein muta’addad maqamaat par un dono aqwaam ka zikr yakja kiya gaya hai, Yaani Allah Ta’aala ne Hazrat Lut ( علیہ السلام) kay waqeeaat kay baad Qoum-e-Madyan kay halaat bayan kiye hain. Sahih qoul kay mutabiq Ashab-ul-Aika say Qoum-e-Madyan hi muraad hai. Chunancha Quran kay Andaaz-e-Bayan ki ittiba’a mein ham ne bhi un aqwaam ka zikr isi tarteeb say kar diya.
Is kay baad ham Hazrat Ibrahim ( علیہ السلام ) ki Aal kay bare mein bayan karte hain kiyu keh Allah Ta’aala ne nubuwwat aur Aasmani kitabon ka silsila aap ki aulad mein rakha hai aur aap kay baad jo Nabi bhi aaya woh aap ki aulad hi mein say aaya hai.
REFERENCE:
Book: “Qisas ul Anbiya” (Urdu)
By Hafiz Ibn Kaseer Rahimahullah.
Prophet Shu’aib
Shuaib’s Message
Allah the Almighty revealed the story of Shu’aib (pbuh):
“To the people of Madyan (Madian) (We sent) their brother Shu’aib. He said: “O my people! Worship Allah, you have no other llah (God) but Him. Verily! a clear proof (sign) from your Lord has come unto you; so give full measure and full weight and wrong not men in their things. and do not mischief on the earth after it has been set in order that will be better for you, if you are believers. And sit not on every road, threatening, and hindering from the Path of Allah those who believe in Him, and seeking to make it crooked. Remember when you were but few, and He multiplied you. See what was the end of the Muf sideen (mischief makers, corrupts and liars). And if there is a party of you who believes in that which I have been sent and a party who do not believe, so be patient until Allah judges between us, and He is the Best of judges.”
The chiefs of those who were arrogant among his people said: “We shall certainly drive you out. O Shu’aib! and those who have believed with you from our town, or else you all shall return to our religion.”
He said: “Even though we hate it! We should have invented a lie against Allah if we returned to your religion, after Allah has rescued us from it. It is not for us to return to it unless Allah, our Lord, should will. Our Lord comprehends all things in His Knowledge. In Allah (Alone) we put our trust. Our Lord! Judge between us and our people in truth, for You are the Best of those Who gives judgment.”
The chiefs of those who disbelieved among his people said to their people: “If you follow Shu’aib be sure then you will be the losers!”
Then he (shu’aib) turned from them and said: “O my people! I have indeed conveyed my Lord’s Messages unto you and I have given you good advice. Then how can I sorrow for the disbelieving people’s (destruction).” (Ch 7:85-93 Quran)
The people of Madyan were Arabs who lived in the country of Ma’an, part of which today is greater Syria. They were a greedy people who did not believe that Allah existed and who led wicked lives. They gave short measure, praised their goods beyond their worth, and hid their defects. They lied to their customers, thereby cheating them.
Allah sent His Prophet Shu’aib (pbuh) armed with many miracles. Shuaib preached to them, begging them to be mindful of Allah’s favors and waming them of the consequences of their evil ways, but they only mocked him. Shu’aib remained calm as he reminded them of his kinship to them and that what he was doing was not for his personal gain.
They seized the belongings of Shu’aib and his followers, then drove them out of the city. The Messenger turned to his Lord for help, and his plea was answered. Allah sent down on them scorching heat and they suffered terribly. On seeing a cloud gathering in the sky, they thought it would bring cool, refreshing rain, and rushed outside in the hope of enjoying the rainfall. Instead the cloud burst, hurling thunderbolts and fire. They heard a thunderous sound from above which caused the earth under their feet to tremble. The evil doers perished in this state of horror.
The Disbeliever’s Ignorance
Allah the Exalted stated:
“The dwellers of Al Aiyka (near Midian, or Madyan) belied the Messengers. When Shu’aib said to them: “Will you not fear Allah and obey Him? I am a trustworthy Messenger to you. SO fear Allah, keep your duty to Him, and obey me. No reward do I ask of you for it (my message of Islamic Monotheism), my reward is only from the Lord of the Alamin (mankind, jinn and all that exists). Give full measure, and cause no loss to others. And weigh with the true and straight balance. Defraud not people by reducing their things nor do evil making corruption and mischief in the land. Fear Him Who created you and the generations of the men of old.
” They said: “You are only one of those bewitched! You are but a human being like us and verily, we think that you are one of the liars! So cause a piece of heaven to fall on us, if you are of the truthful!”
He said: “My Lord is the Best Knower of what you do.”
But, they belied him, so the torment of the day of shadow (a gloomy cloud) seized them, indeed that was the torment of a Great Day. Verily, in this is a sign yet most of them are not believers. And verily! Your Lord, He is indeed the All Mighty, the Most Merciful.” (Ch 26:176-191 Quran).
REFERENCE:
Book: “Stories Of the Prophets”
By Al-Imam Ibn Katheer.