Search
Sections
< All Topics
Print

07. AZAAB-E-QABR SE MURAD AZAAB-E-BARZAKH HAI [Al-Barzakh]

AZAAB-E-QABR SE MURAD AZAAB-E-BARZAKH HAI

Azaab-e-qabr usay diya jaata hai jo iska mustahiq ho- aur yeh baat maloom honi chaheye keh azaab-e-qabr se murad azab-e-barzakh hai- lehaza jo shakhs bhi iska mustahiq hota hai usay marne ke ba’ad uska zaiqa chakhna parhta hai, chahay usay qabr mein dafan kiya jae ya na kiya jae- aur agar kisi ko darinday khaalen ya usay aag mein jaladiya jaey yahan tak keh wo raakh hojaey aur wo raakh hawa mein urhaaadi jaey, ya kisi ko phansi pe latkadiya jaey, ya koi pani mein gharq hojaey aur wo azaab-e-qabr ka mustahiq ho tou yeh azaab uske badan aur rooh tak zarur pohanchega jesa keh kisi ko uski qabr mein azaab diya jaata hai, kyunkeh Allah Ta’aala har cheez par qadir hai aur usay koi cheez a’ajiz karne waali nahi.

 
REFERENCE:
BOOK: “ZAAD UL KHATEEB” JILD: 02
BY:  DR. MUHAMMAD ISHAQ ZAHID
Maut Se Jannat Tak Ka Safar,Class – 12, Shaikh Yasir AlJabri Madani, 20 January 2021

Table of Contents