Search
Sections
< All Topics
Print

13. Hazrat Umm-ul-Munzir Salmah  Bint-e-Qais (رضی اللہ عنہا)

Hazrat Umm-ul-Munzir Salmah Bint-e-Qais رضی اللہ عنہا”’

 

“Jinhon ne Ba’it-e-Rizwaan mein hissa liya woh jannati hain.”

(Farmaan-e-Rasool صلی اللہ علیہ وسلم)

Umm-ul-Munzir Salmah Bint-e-Qais رضی اللہ عنہا Ba’it-e-Rizwaan mein shareek theen lihaaza Khaatoon-e-Jannat qaraar paaein.”

 


Madinah Munawwara mein aabaad Bano Najjaar qabeelay ki Chasham-o-Chiraagh Ghazwah-e-Badar mein shareek honay waalay Jaleel-ul-Qadar Sahaabi Saleet bin Qais ki behan, Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki imaamat mein woh tarikhi Namaaz ada karne waali jis mein Tahweel-e-Qibla ka hukum naazil hua tha. Yeh do qiblon waali Namaaz ke tor par mashoor hui. Woh ‘Azeem-ul-Martabat khaatoon jo rishte mein Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ki khaala lagti theen. Bano Najjar qabeelay ke afraad ki Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ‘izzat kiya karte thay. Agar un mein koi bimaar ho jaata to Aap timaar daari ke liye tashreef le jaatay.

Hazrat Anas bin Maalik رضی اللہ عنہ bayaan karte hain keh Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم Bano Najjar ke aik bimaar shakhs ki timaardaari ke liye tashreef le gaye. Aap ne timaar daari karte hue irshaad farmaya:

 

“Maamun jaan! لا الہ الاللہ  padh lo”

Us ne kaha: “Main Aap ka maamun hoon ya chacha?”

Aap ne khush taba’i mein irshaad farmaaya: “Rishte mein aap mere maamun lagtay hain “

“Aap sirf aik daf’a zubaan se لا اله الاللہ keh den”

Us ne kaha: ” Kya yeh kehna mere liye behtar aur mufeed ho ga ?”

Farmaya: “Haan bohat behtar ho ga duniya aur aakhirat sanwar jaaye gi”

Woh ‘Azeem-ul-Martabat khatoon jis ne Muballigh-e-Islaam Hazrat Mus’ab bin ‘Umair رضی اللہ عنہ ki da’awat se mutaassir ho kar Islaam qubool kiya, Jis ki kunniyat Umm-ul-Munzir thi, Jis ka naam Salma bint-e-Qais tha, Jis ki do behnon Umm-e-Saleem bint-e-Qais aur ‘Ameerah bint-e- Qais ko bhi Islaam qabool karne aur Rasool-e-Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) ke Dast-e-Mubaarak par bai’et karne ki s’aadat haasil hui. Aaiye is Khaatoon-e-Jannat ke Haalaat-e-Zindagi ko apne liye Mash’al-e-Raah banaaein.


Chasham-e-Falak ne Madinah Munawwara mein Khawaateen-e-Islaam ke zouq wa shoq ka yeh Manzar bhi dekha keh jis tarah mardon ne Rasool-e-Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) ke haath par bai’et ki s’aadat haasil ki us tarah ‘aurton ke dil mein yeh s’aadat haasil karne ka shoq peda hua. Jab khawaateen ki jaanib se musalsal mutaalba honay laga keh hamein bhi bai’et karne ki s’aadat mein shareek kiya jaaye to Allah Rab-ul-‘Izzat ne aasmaan se yeh hukum naazil farmaaya:

 

يٰۤاَيُّهَا النَّبِىُّ اِذَا جَآءَكَ الۡمُؤۡمِنٰتُ يُبَايِعۡنَكَ عَلٰٓى اَنۡ لَّا يُشۡرِكۡنَ بِاللّٰهِ شَيۡـئًا وَّلَا يَسۡرِقۡنَ وَلَا يَزۡنِيۡنَ وَلَا يَقۡتُلۡنَ اَوۡلَادَهُنَّ وَلَا يَاۡتِيۡنَ بِبُهۡتَانٍ يَّفۡتَرِيۡنَهٗ بَيۡنَ اَيۡدِيۡهِنَّ وَاَرۡجُلِهِنَّ وَلَا يَعۡصِيۡنَكَ فِىۡ مَعۡرُوۡفٍ‌ فَبَايِعۡهُنَّ وَاسۡتَغۡفِرۡ لَهُنَّ اللّٰهَ‌ؕ اِنَّ اللّٰهَ غَفُوۡرٌ رَّحِيۡمٌ‏ ۞ 
(Al-Mumtahana: 12)

 

“Aey Nabi jab Tumhaaray paas momin ‘aurtain bai’et karne ke liye aaein aur is baat ka ‘ahad karein keh woh Allah ke saath kisi cheez ko shareek na karein gi chori na karein gi, Zina na karein gi apni aulaad ko qatal na karein gi apne haath paaon ke agay koi bohtaan ghad kar na laaein gi aur kisi amar m’aroof mein Tumhaari naafarmaani na karein gi to un se bai’et le lo aur un ke haq mein D’ua-e- Maghfirat karo. Yaqeenan Allah dar guzar karne waala aur raham karne waala hai”.

Rasool-e-Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) ne darj zail chay kaamon se kulli tor par ijtinaab karne ke m’uhaaiday par khawaateen se bai’et li jo darj zail hain:

1: Khawateen Allah ke saath kisi ko shareek na thehraaein.

2: Chori na karein.

3: Zina ka irtikaab na karein.

4: Apni aulaad ko qatal na karein.

5: Kisi par bohtaan na baandhein.

6: M’aroof mein hukum ‘aduli na karen.

Hazrat Umm-e-Munzir bayaan karti hain keh jab Ansaari khawaateen bai’et ki s’aadat haasil karne ke liye jama’ hueen, Main bhi un mein shaamil thi. Hum ne Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم se Qurani hukum ki roshni mein bai’et ke douraan yeh ‘ahad kiya keh na hum shirk ka irtikaab karein gi na chori karein gi na zina karein gi’ na hi apni aulaad ko qatal karein gi na kisi par koi bohtaan lagaaein gi aur na hi m’aroof mein kabhi hukum ‘aduli karein gi. Aap ne aakhir mein hamein yeh bhi irshaad farmaaya: Aap tamaam khawaateen ko meri taraf se yeh talqeen ki jaati hai keh apne khaawandn ko kabhi dhoka nahi dena. Hazrat Umm-ul-Munzir Salmah ki shaadi Qais bin Sa’a’sa bin Wahab se hui. Is tarah us ke baap ka naam bhi Qais tha aur khaawand ka naam bhi Qais. Us se aik beta Munzir peda hua jis ki wajah se kunniyat Umm-e-Munzir rakhi gai.


Ghazwah-e-Ahzaab ke ba’ad Ghazwah Bano Quraiza wuqu’ pazeer hua. Us mein musalsal pachees roz tak Bano Quraiza ka Mujaahideen-e-Islaam ne muhaasra kiye rakha. Chunkeh yeh qabeela Ous ke haleef thay is liye Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne qabeela Ous ke sardaar Hazrat Sa’ad bin Mu’az رضی اللہ عنہ se kaha keh tum faisla karo, Bano Quraiza ke saath kya sulook kiya jaaye. Hazrat Sa’ad bin Mu’az رضی اللہ عنہ ne yeh faisla diya keh muqaablay mein ladaai karne waalon ke sar qalam kar diye jaaein un ki aulaad ko qaidi bana liya jaaye aur un ke amwaal par qabza kar liya jaaye. Hazrat Sa’ad bin Mu’az رضی اللہ عنہ ke faislay par ‘amal dar aamaad kara diya gaya. Hazrat Sa’ad is waqt khud zakhmi haalat mein Masjid-e-Nabwi ke sehan mein nasab shuda khaimay mein Zair-e-‘Ilaaj thay. Wahin se isi haalat mein unhon ne hukum saadir kiya jis par ‘amal karte hue mujaahideen ne Bano Quraiza ke jangju afraad ke parkhachay udaa diye. Bano Quraiza ki chaal baazi, Makar-o-Faraib, Dhoka dahi, Dagha baazi ki bana par un ka qala’ qama’ karna waqt ki ahem tareen zaroorat thi.

Is naazuk tareen Soorat-e-Haal ko bhaanpte hue Rifa’ah bin Samwaal Qurazi ne Hazrat Umm-e-Munzir Salmah bint Qais se darkhuwaast ki ke mujhe panaah day dijiye Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم se amaan ki darkhuwaast paish kar dijiye, Main aap ka yeh ahsaan zindagi bhar nahi bhooloon ga. Hazrat Umm-e-Munzir رضی اللہ عنہا ko is par taras aa gaya. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki Khidmat-e-Aqdas mein darkhuwaast ki Ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم Rifa’ah ko main ne panaah di, Aap usay qubool farma lijiye. Aap ne us ki darkhuwaast ko qubool karte hue zamaanat muhayya kar di. Isi tarah woh qatal honay se bach gaya. Aik roz Hazrat Umm-e-Munzir ne Rasool-e-Aqdas se ‘arz ki: Ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم mere haan panaah guzeen Namaaz bhi padhta hai aur ount ka gosht bhi khaata hai. Aap ne muskuraatay hue irshaad farmaaya: Namaaz padhna us ke liye behtar hai agar woh apne deen par qaaim raha to yeh us ke haq mein behtar nahi ho ga. Kuch ‘arsa ba’ad Rifa’ah bin Samwaal Qurazi ne Islaam qubool kar liya. Yeh naiki bhi yaqeenan Hazrat Umm-e-Munzir رضی اللہ عنہا ke Husan-e-Sulook ki bana par un ke Naama-e-A’amaal mein darj ki jaaye gi. Agar woh panaah na deteen Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم se jaan ki amaan talab na karteen to ho sakta tha keh woh ghair Muslim hi qatal ho kar aakhirat ko sudhaar jaata. Qabeela Bano Quraiza ke qaidiyon mein Rihaana bint Zaid bin Amar bhi thi jis ko Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne Hibaal-e-‘Aqad mein le kar Umm-ul-Momineen bannay ka sharf ‘ataa kiya. Nikah ki taqreeb Hazrat Umm-ul-Munzir رضی اللہ عنہا ke ghar mun’aqqid hui. Hajjat-ul-Widaa’ se jab Aap waapas tashreef laaye to Aap ki yeh zouja mohtarma Daiee’ ajal ko labbaik kehti hui Jannat-ul-Firdos ko sudhaar gai. Usay Jannat-ul-Baqee’ mein dafan kiya gaya.

Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم basa auqaat Hazrat Umm-ul-Munzir رضی اللہ عنہ ke ghar tashreef le jaaya karte wahaan khaana tanaawul karte, Kabhi kabhi aaraam karte. Aap ko us ka tayaar karda khaana bohat pasand tha. Hazrat Umm-e-Munzir رضی اللہ عنہ Jumma’at-ul-Mubaarak ke din khaas tor par khaanay ka ihtimaam kiya karti theen. Aap ke saath chand deegar Sahaaba-e- Kiraam bhi khaana tanaawul kiya karte thay. Hazrat Umm-e-Munzir رضی اللہ عنہا un khush qismat Sahaabiyaat mein se hain jo Bai’et-e-Rizwaan mein shareek theen jin ke liye Allah Rab-ul-‘Izzat ne jannat mein jaane ka ai’laan kiya tha. Jaisa keh Muslim shareef mein yeh riwaayat aati hai, Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne irshaad farmaaya:

 

لا ید خل النار احد ممن بایع تحت الشجرة

 

“Un mein se koi bhi jahannum mein daakhil nahi ho ga jinhon ne darakht ke neechay bai’et ki”.

 

Hazrat Umm-ul-Munzir Salmah Bint-e-Qais رضی اللہ عنہا ne is haal mein duniya se kooch kiya ke Allah Ta’ala aur Us ke Rasool-e-Maqbool علیہ الصلاة والسلام un se raazi thay.


Hazrat Umm-ul-Munzir Salmah Bint-e-Qais (رضی اللہ عنہا) key mufassal Halat-e-Zindagi maloom karny key liy darj zail kitaboon ka mutala kijiy:

 

1: Al Istiyaab                                                                                                            4/320
2: Tahzeeb-ul-Tahzeeb                                                                                  12/480
3: A’alaam-ul-Nisaa                                                                                         2/252
4: Al Seerat-ul-Halabiyyah                                                                          2/77
5: Al Istibsaar                                                                                                         4.4
6: Muslim Shareef (kitaab fazaail al Sahaabat)                                                                    
7: Jaami’ al Tirmizi (Munaaqib)
8: Seerat Ibn-e-Hishaam                                                                               2/245
9: Tabqaat Ibn-e-Sa’ad                                                                                    8/131
10: Al Bidaayah wal Nihaayah                                                                      5/308
11: Al Isaabah                                                                                                             4/302
12: Uyoon-ul-Asar                                                                                                   2/103
13: Musnad Imaam Ahmad                                                                                6/380
14: Majma’-ul-Zawaaid                                                                                          5/305

 

 

REFERENCE:
Book: Sahabiyaat-e-Mubashiraat”
By Mahmood Ahmed Ghaznofar.

 

 

Table of Contents