Search
Sections
< All Topics
Print

11. Hazrat Rajaa bin Haywah (رحمہ اللہ)

Hazrat Rajaa bin Haywah رحمہ اللہ

Kindah qabile mein teen ashkhaas aise hain Jin ki wajah say Allah Ta’ala  barish nazil karta hai aur dushman par ghalbah deta hai. Un mein say ek Rajaa  bin Haywah hain.

 (Maslmah Bin Abdullah Malik)

Taaba’een kay sunehri daur mein teen aise bemisaal ashkhaas ho guzre hain jo zindagi bhar Rushd-o-Hidayat, Khair-o-Bhalai, Haq-o-Sadaqat kay almbardaar rahe jo Ilm-o-Amal say aarasta aur Taqwa-o-Taharat  kay khoogar thay. Sari umar Allah-o-Rasool ki Ita’at aur khidmat-e-khalq mein guzaar di. Azeem ul martabat  ashkhaas yeh thay. Iraq main Muhammad Bin Sireen رحمه الله.

Hijaz main Qasim bin Muhammad bin Abi Bakar رحمه الله aur Sham mein Rajaa bin Haywah رحمه الله.

Aaiyye ab ham aap ko mubarak lamhaat guzarnay kay liye in teen Burgazeeda-o-Pasandeeda shakhsiyaat mein say Hazrat Rajaa Bin Haywah رحمه  الله ki Khidmat-e-Aqdas mein liye chalte hain.

Hazrat Rajaa Bin Haywah Sarzameen-e-Falasteen kay Besaan naami qasbe mein Ameer ul Momineen Hazrat Usman Bin Affan رضی اللہ عنہ  kay Daur-e-Khilafat kay aakhir mein paida huye. Yeh Arab kay qabila kindah mein say thay.  Is tarah yeh watnan falasteeni, Aslan Arabi aur naslaa Kindi thay.

Is Kindi naujawan ne bachpan hi say Allah ki ita’at mein parwarish payi. Allah Ta’ala  ne us say mohabbat ki aur usay apni makhlooq ka mehboob bana diya. Yeh bachpan hi say Husool-e-Ilm ki taraf mutawajjah huye. Ilm ne in kay masoom munawwar aur pakeeza dil mein apna basera kar liya. Layl-o-Nahar mein har lamha sab say badi Fikar Kitaab-e-Ilaahi aur Hadees-e-Rasool علیہ السلام say apnay dil ko sairaab karnay ki rehti. Unkay Fikar-o-Khayalat Noor-e-Quran say raushan ho gaye, Unki baseerat Feezan-e-Risaalat-e-Ma’ab say chamak uthi. Aur unka dil Hikmat-o-Danish say ma’moor ho gaya. Bilashubah jisay Hikmat-o-Danish ataa kar di jaye usay bhot badi Khair-o-Barkat ka khazana ataa kar diya jata hai.

Inhein aksar Jaleel ul Qadar Sahaba Karaam رضي اللّٰہ عنہم say ilm hasil karnay ki s’aadat naseeb hui Jin me say Hazrat Abu Sa’eed Khudri رضی اللہ عنہ, Hazrat Abu Darda رضی اللہ عنہ ،Hazrat Abu Umama ،رضی اللہ عنہHazrat Ubaada Bin Saamit رضی اللہ عنہ, Hazrat Muawiyah Bin Abi Sufyan رضی اللہ عنہ,  Hazrat Abdullah Bin Umar Bin Saamit aur Nawas Bin Samaan رضی اللہ عنہ Sar-e-Fahrist hain. Ye buzurg Sahaba karaam رضی اللہ عنہم us kay liye hidayat kay charaagh,Ma’arfat ki qandilain aur azmat kay meenar sabit huye.

Is khush naseeb naujawan ne apnay liye aik dastoor ul amal bana liya jis par zindagi bhar amal paira rahe. Yeh aksar farmaaya karte they:

Woh Islam kis qadar khoobsurat hai jo Imaan say aaraasta ho.

Woh Imaan kis qadar khoobsurat hai jo taqway say muzayyan ho.

Woh taqwa kis qadar haseen hai jisay ilm ki zebaish mayassar ho.

Woh ilm kis qadar Dilruba-o-Dilkash hai jisay amal ne Tazeen-o-Aaraish ki ho.

Aur woh amal kis qadar khushnuma hai jisay rifaq, Narmi aur riqqat ne zeenat ataa ki ho.

Hazrat Rajaa Bin Haywah Banu Umaiyya kay beshtar Kuhlafa kay wazeer rahe jis ki ibtada Abdul Malik Bin Marwan say hui aur intaha Umar bin Abdul Azeez par lekin Suleiman Bin Abdul malik aur Umar bin Abdul Azeez kay sath qalbi talluq zyada raha.

Apni danishmandi, Sadaaqat, Ikhlas aur Mushkil-o-Pechida halaat par Hikmat-o-Daanayi say qaabu paane ki wajah say Khulafa-e-Banu Umaiyya  kay hamesha Manzoor-e-Nazar rahe.

In tamaam khubiyon say badh kar jis cheez ne unhein mumtaz banaye rakha woh yeh thi keh unhone kisi Khalifa say duniyawi lalach ka izhaar na kiya. Halankeh duniya kay Khalifa-e-Waqt ka taqarrub hasil karnay aur us say duniyawi fawaid hasil karnay kay har dam Koshan-o-Sargirdan rehte hain.

Khulafa-e-Banu Umaiyya kay sath unka talluq Khulafa kay liye Izzat-o-Ikram ka ba’is bana.

Aap ne hukmaraanon ko Khair-o-Bhalai ki dawat di aur neki kay raste par chalny ki unhein talqeen karte rahe. Aur bure kamon say hamesha unhein rokte rahe aur un buraiyon kay darwazy band karne kay liye hamesha koshan rahe.

Hukmraanon ko hamesha sadaqat ki raah aarasta kar kay dikhlai. Batil ki karaahat unkay dil mein bithane ki koshish ki aur unkay dil mein Allah-o-Rasool علیہ السلام ki ita’at aur musalmaanon ki khair khwahi ka jazba hamesha maujzan raha.

Hazart Rajaa Bin Haywah ki zindagi me aik aisa Ajeeb-o-Ghareeb waqia pesh aaya jis ne us kay liye khulfa-e-Banu Umaiyya  say mail jol kay raste raushan kar diye. Woh khud bayan karte hein keh aik roz main Khalifa Suleiman bin Abdul Malik kay sath logon kay hujoom me khada tha. Meine dekha keh aik Husn-o-Jamal ka paikar, Pur haibat aur bar’ob shakhs hujoom me say tezi say guzarta hua hamari taraf badh raha hai. Maine socha yeh Khalifa  say milnay kay liye betaab hai. Woh mery pehlu me aa khada hua. Mujhe basad-e-Adab-o-Ahtaraam salam kaha aur Khalifa  ki taraf ishara kar kay kehne laga.

Aye Rajaa tu is shakhs ki wajah say azmaish me daala gaya hai.

Aye Rajaa meri yeh baat zehan nasheen kar lo jis ka kisi sultan kay sath qaribi talluq ho, Woh kisi aise nadaar, Kamzor, Ghareeb, Muflis aur kangaal ki koi zaroorat Sultan kay zariye puri karwa dega, to qayamat ke din Allah Ta’ala zaroorat puri karane wale kay hisab me aasani kar dega.

Aye Rajaa yaad rakho jo apnay musalman bhai ki koi zaroorat puri karta hai, Allah Ta’ala khush ho kar us ki zaroorat puri kar dete hain.

Aye Rajaa achi tarah jaan lo kisi musalman shakhs kay dil mein khushi paida karna Allah Ta’ala kay haan bada  mahboob amal hai. Main ghaur say us ki baatain sun raha tha. Jee chahta tha keh woh kehta rahe aur me sunta rahoon. Wake baatain bari hakeemana aur dilchasp thein. Lekin Khalifa ne aawaz di Rajaa Bin Haywah kidhr hai. Main us ki taraf palta aur kaha: Ameer ul Momineen me yahan maujood hoon. Unho ne mujh say kisi cheez kay mut’alliq pucha. Maine jawab dete hi us ajnabi ki taraf dekha woh apni jagah say ghayab tha. Maine bohat dhundha lekin us ka suragh na mila.

Rajaa Bin Haywah kay Banu Umaiyya kay sath Sidq-o-Safa aur Akhlaq-o-Mohabbat par mabni waqiyat tareekh kay raushan safhaat par mahfooz hain. Aur hamesha Khalaf apnay aslaaf kay hawale say yeh waqiyat bayan karte rahenge. Unme say aik waqia Pesh-e-Khidmat hai.

Aik roz Abdul Malik Bin Marwan ki majlis mein aik shakhs ka tazkirah hua kehne wale ne kaha woh Abdullah bin Zubair رضی اللہ عنہ ka haami hai aur Banu Umaiyya ko buri nigah say dekhta hai.  Khulafaye banu Umaiyya kay khilaaf har jagah harzah surayi karta rehta hai, Yeh baatain sunkar Khalifa  ghussay say bhadak utha, Usne aag bagoola ho kar kaha: Allah ki qasam agar woh mere qabu mein aa gaya to me us ki tikka boti kar dun ga. Duniya uska hashar dekhegi to Angusht-e-Badnadan reh jayegi. Phir apnay kaarindon say kaha use pakad kar mere paas lao.

Thodi der baad us shakhs ko pakad kar Khalifa kay samnay pesh kiya gaya. Jab us par nazar padi to aag bagoola ho gaye. Qareeb tha keh us ki gardan udaane ka hukm dein lekin Rajaa Bin Haywah khade ho kar farmane lage.

Ameer ul Momineen Allah Ta’ala ne aap ko qudrat, Taqat aur hukumat ataa ki hai aap ko un nematon ka shukr baja lana chahiye.Un nematon ka taqaza hai keh aap aise kaam karen Jo Allah Ta’ala ko pasand hon, Kyunkh Allah Ta’ala ko Afu-o-Darguzar pasand hai lihaza aap bhi isay m’aaf kar dein. Ye baat sunkar Khalifa  ka dil thandha hua aur gussa jata raha. Us shakhs ko m’aaf kar diya. Usey khush karne kay liye In’aam-o-Ikraam say nawaza. Aur us kay sath Husn-e-Sulook say pesh aaye.

San 91 hijri mein Ameer ul Momineen Waleed Bin Abdul malik ne Hajj kiya. Hazrat Rajaa Bin Haywah bhi unkay hamrah thay. Jab dono Madina Munawwarah pohnche us waqt Madinay kay Governor Umar bin Abdul Azeez thay. Governor  ko sath liya aur Masjid-e-Nabwi ki ziyarat kay liye chal pade. Ameer ul Momineen ne Masjid-e-Nabwi ko tafsilan dekhne ki khwahish zahir ki kyunkh yeh usay Tool-o-Araz me wasee’ karna chahte thay. Is liye puray Ghaur-o-Khauz kay sath is ka jaizah lena zaroori tha lihazah masjid me maujood logon ko bahir nikal diya gaya takeh ziyarat me koi rukawat pesh na aaye. Sab log masjid say bahir chale gaye lekin Hazrat Sa’eed bin Musayyab badastoor apni jagah par baithay rahe, Police bhi unhein apni jagah say uthaane ki jurrat na kar saki. Surat-e-Haal ka jaizah lete huye madinay kay Governor Hazrat Umar bin Abdul Azeez رحمہ اللہ ne Hazrat Sa’eed bin Musayyab ko paighaam bheja agar thodi der kay liye aap doosre logon ki tarah Masjid say bahir chale jayen to hamein Ameer ul Momineen ko Masjid ki ziyarat karane me aasani ho jayegi.

Governor ka paighaam sunkar Hazrat Sa’eed ne farmaaya:

Main masjid say us waqt jaoonga jis waqt ma’amool kay mutabiq rozaana jata hoon.

Unki khidmat mein guzarish ki gayi jab Ameer ul Momineen aap kay paas say guzrain to aap khade ho kar unko salam keh dein. Unho ne farmaaya: Mein yahan Rabbul ‘Aalameen kay samnay khada honay kay liye aaya hoon, Kisi bande kay samnay nahi.

Governor-e-Madinah janab Umar bin Abdul ‘Azeez ko jab apnay paighaam rasaan aur Hazrat Sa’eed bin Musayyab ki  bahimi guftagu ka ilm hua to woh ehtiyaatan Khalifa  kay hamrah kanni katrate huye guzarnay lage jahan Hazart Sa’eed Musayyab baithay thay aur Rajaa Bin Haywah Ameer ul Momineen ko mashghool kiye huye thay. Kyunkh yeh dono wazeer aur Governor  Khalifa y ki ghussaili tabiyat say waqif thay unhein andesha tha keh kahin koi naagawaar Surat-e-Haal paida na ho jaye.

Ameer ul Momineen ne Masjid-e-Nabwi me chalte chalte dono say pucha woh Sheikh kaun hain? Kya woh Sa’eed bin Musayyab to nahi? Donon ne baik zuban kaha: Ameer ul Momineen aap ka andazah bilkul durust hai! Bilkul who hi hain phir dono us kay Ilm-o-Faza aur Taqwa-o-Taharat jaisi khubiyon ka tazkirah kanay lage aur sath hi yeh kaha keh agar unhein aap ki aamad ka ilm hota to yeh zaroor uth kar aap ko salam kehte kyunkh unki nigaah kamzor hai is liye unhein m’aazoor samjhein. Ameer ul Momineen ne kaha: Mujhe maloom hai lehazah ab hamara haq hai keh in kay paas ja kar salam kahein. Masjid-e-Nabwi kay sehan ka chakkar laga kar seedha un kay paas aaye salam arz kiya aur pucha Sheikh ka kya haal hai? Unho ne apni jagah baithe hi salam ka jawab diya aur farmaaya: Allah ka shukar hai uska be paaya mujh pe ehsaan hai.

Aap ne pucha Ameer ul Momineen kaise hain? Allah aap ko sidhe raste pe chalne ki taufeeq ataa kare.

Ameer ul Momineen ne Hazart Sa’eed bin Musayyab ki taraf say yeh beniyazi ka andaz dekh kar farmaaya: Bilashubah yeh Ummat-e-Muslima kay baqiyyat ul salaf aur nabaghah asar hain.

Jab Masnad-e-Khilafat par Suleiman Bin Abdul Malik jalwah afroz hua to Rajaa Bin Haywah ki Qadar-o-Manzilat me pehlay say zyada izafa ho gaya. Khalifa Suleiman ko aap par bohat aitemad tha. Har chhote bade mamle me unsay mashwara leta. Yun to Rajaa Bin Haywah ne Suleiman Bin Abdul Malik ki wazarat me rehte huye bohat say hairat angayiz moqaf ikhtiyar kiye lekin jab Suleiman Bin Abdul Malik kay Wali-e-Ahad naamzad karne ka waqt aaya to musalmaano kay liye nihayat kuthan ghari thi. Is nazuk tareen moqa par Hazart Rajaa Bin Haywah رحمہ اللہ ne jis danish mandi aur jurrat kay sath Hazart Umar bin Abdull Azeez ki khilafat kay liye rah hamwar ki. Woh aap ka yaqinan aik tarikhi karnama hai.

Hazrat Rajaa Bin Haywah رحمه الله bayan karte hain keh 99 hijri Maah-e-Safar Kay pehle juma kay din ham Ameer ul Momineen Suleiman Bin Abdul Malik kay hamrah sir Zameen-e-Sham kay wabiq nami qasbay mein thay.

Ameer ul Momineen ne Qustuntunia fatah karnay kay liye apnay bhai Masalama bin Abdul Malik ki qayadat me aik Lashkar-e-Jarrar rawana kiya hua tha. Lashkar kay sath unka beta aur bohot say Afrad-e-Khana bhi shamil thay unho ne is baat par halaf utha rakha tha keh Qustuntunia fatah kar kay wapis ayenge ya Jaam-e-Shahadat Nosh-e-Jaan kar lenge.  Jab juma ki namaz ka waqt qareeb aaya. Ameer ul Momineen ne khoob achi tarah wazu kiya  sabz chughha zaibtan kiya. Sar par sabz pagdi bandhi phir aayine me apnay Husan-o-Jamal aur qeemti libas par naz karte huye dekha us waqt unki umar chalees baras thi, Phir logon kay sath Namaz-e-Jumma say wapis aate hi shadeed bukhar me mubtala ho gaye phir din ba din bemari badhti gayi,  Mujh say irshaad farmaaya keh tum mery qareeb raha karo aik martabah mein unkay kamray me dakhil hua to woh khat likh rahe thay:

Maine kaha: Chashm-e-bad door Ameer ul Momineen kya kar rahe hain.

Farmaaya : Main apnay bete Ayyub ko wali ahad muqarrar karnay kay liye khat likh raha hoon.

Main ne kaha: Ameer ul Momineen agar bura na manen to meri mukhlisana tajweez hai. Agar aap kisi nek, Saleh aur aalim shakhs ko wali ahad muqarrar karenge to yeh amal aap kay liye qabar me aasani paida karega, Allah Subhana-o-Ta’ala  kay haan bhi aap ko bari ul zama qarar diya jaega aur Ummat-e-Muslimah par aap ka bohat ehsan hoga, Aap ka beta Ayyub abhi bacha hai, Woh San-e-Bulooghat ko bhi nahi pohcha abhi woh umar kay us hissay me hai keh aap kay samnay us ki neki aur burai wazeh nahi hui. Yeh sun kar us ne apna hath rok liya, Farmaaya: Maine khat to likh diya hai lekin mein istikhara karna chahta hoon. Is par na main musir hoon aur na hi maine usay wali ahad banane ka pukhtah irada kiya hai. Aap ne barwaqt durust mashwara de kar meri rehnumai ki hai. Yeh kaha aur khat phaad diya. Phir aik ya do din ke baad mujhe bulaya aur farmaaya: Meray bete Dawd kay mutalliq aap ka kya khayal hai? Maine kaha: Jaisa keh aap ko maloom hai woh Qustuntunia kay mahaaz par Lashkar-e-Islam kay hamrah dushman say nabard aazma hai. Wahan say abhi koi khabar bhi nahi aayi pata nahi zindah bhi hai ya Allah ko pyara ho chuka hai.

Ameer ul Momineen ne kaha: Rajaa Bin Haywah phir aap hi batayen keh is mansab kay liye kaun mozoon hoga?

maine kaha: Ameer ul Momineen raay aur marzi to aap ki hi chalegi phir us ne aik aik kar kay naam lenay shuru kar diye. Yahan tak keh unho ne khud Umar bin Abdul Azeez ka naam liya. Phir farmaaya:  Us kay mut’alliq tumhari kya raye hai.

Maine kaha: Jahan tak meri baat ka talluq hai woh Alim, Fazil, Danishwar, Jurratmand, Diyanatdaar aur deendaar insaan hai.

Ameerul Momineen ne kaha: Aap bilkul sach kehte hain, wakayi woh in khubiyon ka malik hai, Lekin agar maine usey Khalifa  naamzad kar diya. Aur Abdul Malik ki aulad ko mehroom rakha to yeh aik fitnah khara ho jega woh log use itmenaan say hukumat nahi karne denge.

Maine kaha: Khandaan-e-Abdul Malik me say aik ko in ka naaib muqarrar kar dein aur yeh hukmaana tehreer kar dein keh Umar bin Abdul Azeez kay baad Aulad-e-Abdul Malik me say falan shakhs Masnad-e-Khilafat ka haqdar hoga.

Ameer ul Momineen ne kaha: Bilkul theek. Is se hukmaraan khandan ko qadre tasalli ho jayegi aur woh is faisle ko razi khushi tasleem bhi kar lenge phir usne yeh hukmnaama tehreer kiya:

                 بِسمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ

Ameerul Momineen Suleiman Bin Abdul Malik ki janib say Umar bin Abdul Azeez kay naam mein tumhein apnay baad khilafat ka mansab sonpta hoon. Aur aap kay baad yazeed Bin Abdul Malik Masnad-e-Khilafat par mutmakkin hoga sab ri’aaya uski baat suny, Kaha maane aur tum sab Allah Ta’ala say darte rehna aur aapas mein ikhtelaaf na karna. Warna laalchi aur mafaad parast log tumhein nuqsaan pahuchayenge.

Phir tehreer khatam ki aur khat mere supurd kar diya is kay baad police interceptaur Ka’ab bin Hazir ko kaha meray khandan ko kisi aik jaga jama honay ka paighaam do aur unhein ye bta do keh jo khat Rajaa Bin Haywah kay hath mein hai woh mera tehreer kardah hai aur unhein yeh hukm suna do keh jis shakhs ko is khat me naamzad kiya gaya hai uskay hath bila chuooncharaan bai’t kar lo.

Hazrat Rajaa farmaate hain: Jab Abdul Malik ka khandan aik jagah jama ho gaya maine sab say kaha: Yeh Ameerul Momineen ka khat hai is mein unho ne apnay baad aik shakhs ko Khalifa  naamzad kiya hai aur mujhe unho ne yeh hukm diya hai keh tum sab say is kay liye bai’t loon, Sab ne bayak zuban ho kar kaha: Ameerul Momineen ka hukm sir aankhon par, Ham Ameerul Momineen ki taraf say naamzad Khalifa  ki bai’t karenge phir unho ne mutaalba kiya keh hamein Khalifa  say milnay ki ijazat le dein ham sirf unki ziyarat karna chahte hain hamara yeh dili shauq hai keh unki khairiyat daryaft karein aur unhein salam arz karein.

Maine kaha main ijaazat liye deta hoon, Jab woh Khalifa kay paas gaye to Ameerul Momineen ne unsay kaha meri baat ghuar say suno: Rajaa Bin Haywah kay hath mein jo khat hai woh mera tehreer kardah hai, Jis ka maine is me naam likha hai us ki baat ghaur say sun’na us ki ita’at karna. Uskay hath pay bai’t kar lena phir un mein say har aik ne bai’t karnay ka ahad kiya. Khandani majlis barkhwast hui. Rajaa Bin Haywah muhar band khat lekar bahir nikle, farmaate hain keh meray aur Ameerul Momineen kay siwa koi nahi jaanta ke khat mein bahaisiyat Khalifa  kis ka naam likha gaya hai jab sabhi log muntashir ho gaye to mere paas Umar bin Abdul Azeez aaye farmaaya: Aye Abu miqdam (yeh Rajaa Bin Haywah ki kuniyat hai) Ameerul Momineen ko mujh par bada aitemaad hai, Woh hamesha mere sath mohabbat aur ikhlas say pesh aaye woh musalsal mujhe aham zimmedari sonpte rahe hain, Mujhe andesha hai kahin yeh bojh meray natawaan kandhon par na daal diya jaye, Main aap ko Allah ki qasam de kar apni Izzat-o-Mohabbat ka wasta de kar poochta hoon, Agar unho ne khat mein mera naam likha hai to khudara mujhe bata dein taake main unse maa’zirat kar loon, Kahin yeh qeemti lamha hath say na nikal jaye, Mein aap ka bohat mamnoon hoonga maine kaha: Allah ki qasam is khat ka aik harf bhi kisi ko nahi bataoonga yeh meray paas qaumi amaanat hai woh mujh say naraz ho kar chale gaye phir thodi der baad Hisham Bin Abdul Malik  meray paas aay usne kaha: Aye Abu miqdam! Meray dil me aap ki bohat izzat aur purani mohabbat hai. Main aap ka tahe dil say qadar daan hoon baraye meharbani mujhe yeh bata dein keh Ameerul Momineen ne khat mein kiya likha hai? Agar Masand-e-Khilafat kay liye mera naam  likha ho to mein khamosh rehta hoon, Aur agar meray ilawah kisi aur ka naam likha gaya hai to mein ehtijaaj karunga. Bhala meray siwa khilafat par kaun mutmakkin ho sakta hai? Main halfia iqraar karta hoon main kisi kay paas naam nahi loonga.

Azrah karaam mujhe bata dijiye Allah aap ka bhala karega.

Maine kaha: Allah ki qasam! Main tujhe aik harf bhi nahi bataoonga. Yeh Ameer ul Momineen ka mere paas aik raaz hai jo main qat’an afshaan nahi kar sakta. Woh gusse say zameen par paon marta, Hath malta hua chala gaya aur sath hi yeh bhi keh raha tha keh woh kaun hai keh mujhe nazar andaaz kar kay usay Masnad-e-Khilafat par bithaya jaye? Kya ab khilafat Banu Abdul Malik kay khandaan say nikal jayegi?

Aisa hargiz nahi ho sakta main khandan Abdul Malik ka sardaar hoon, Masnad-e-Khilafat par jalwahgar hona mera khandaani haq hai mujh say yeh haq koi nahi cheen sakta.

Rajaa Bin Haywah kehte hain keh us kay baad mein Ameerul Momineen Suleiman Bin Abdul Malik kay paas kamre meray gaya, unki rooh Mahw-e-Parwaz chahti thi, Jab mout ki behoshi taari hui maine us ka munh qiblah ki taraf kar diya aur woh ukhade huye saans kay sath yeh keh rahay thay. Aye Rajaa Bin Haywah is kay baad waqt nahi rahega, Do dafa yeh kalma dohraya teesri dafa kaha: Rajaa ab waqt aa gaya kuch kar sakte ho to karo phir

 اشھد ان لا الہ الااللہ وان محمد رسول اللہ

 Kaha. Maine unka chehra dubara qiblah rukh kiya aur unhone apni jaan Jaan-e-Aafreen kay supurd  kar di.

Maine unki aankhain band ki aur sabz chadar unpar odha di darwaza band kiya aur bahar nikal aaya. Ameerul Momineen ki zaujah mohtarma ne khadim kay hath paighaam bheja keh kya main unka haal daryaft karnay kamray me aa sakti hoon? Maine paighaam rasaan kay liye darwaza khol diya aur kaha dekhiye bohat der jagnay kay baad abhi aaram ki neend soye hain, Baraye meharbani inhein jagaye nahi. Usne wapis ja kar malkah ko bata diya keh Ameer ul Momineen gehri neend soye hain bedaar karnay me unki tabiyat nasaaz ho jayegi, Usay yaqeen aa gaya kay mere sartaaj soye huye hain. Phir maine ehtiyat say darwaza band kar diya aur Qaabil-e-Aitemad chokidaar ko darwazy par bithate huye kaha keh is kay baad koi bhi aaye darwaza na kholna. Yeh hidayat de kar main wahan say chal diya. Raste me chalte huye logon ne pucha Ameerul Momineen ka kya haa hai?

Maine kaha: Jab say woh beemar huye pehli dafa aaram ki neend soye hain.

Phir maine police inspiktar Ka’ab bin Hazir say kaha: Ameer ul Momineen kay khandaan ko Wabiq qasbay ki Masjid me jama karo. Jab woh sab masjid mein ikatthe ho gaye maine kaha: Ameer ul Momineen ne is khat me jis shakhs ka naam likha hai us kay hath par bai’t karo, Unho ne kaha pehle ham gumnaam bai’t kar chukay hain kya dubara bai’t karein?

Maine kaha yeh Ameerul Momineen ka hukm hai. Jab unho ne bai’t karnay ka iqraar kar liya maine khat khol kar us ki ibarat sab ko suna di. Jab Umar bin Abdul Azeez ka naam aaya to Hishaam Bin Abdul Malik ne ahtijaaj karte huye kaha: Ham bai’t nahi karenge, Maine kaha: Khuda ki qasam! Agar tum bai’t nahi karoge main tumhari gardan uda doonga, Utho abhi meray samnay bai’t kro woh paon chatkhata hua aur انا للہ وانا الیہ راجعون kehta hua utha aur badil nakhwasta bai’t kar li, Aur woh is baat par Kaff-e-Afsoos mal raha tha keh Banu Abdul Malik say khilafat rukhsat ho gayi, Idhar Hazrat Umar bin Abdul Azeez bhi انا للہ وانا الیہ راجون  musalsal padh rahe thay kyunki unhein Masnad-e-Khilafat par mutmakkin hona qat’an pasand na tha aur keh rahe thay yeh bojh meri marzi kay khilaaf meray natawaan kandhon par laad diya gaya lekin Abu Miqdam Rajaa Bin Haywah ki danishmandi say Hazrat Umar bin Abdul Azeez kay Ameer ul Momineen ki haisiyat say intekhab ki wajah se islam ka shabaab dubara laut aaya aur yeh bargazeeda shakhsiyat deen kay liye Meenar-e-Noor sabit hui.

Ameer ul Momineen Suleiman Bin Abdul Malik ko Allah jannat naseeb karay. Woh Masand-e-Khilafat aik saaleh insaan kay supurd  kar kay Allah Ta’ala  kay haan surkharu huye aur unka bawafa, Basafa wazir Abu Miqdam Rajaa Bin Haywah Mubarakbaad kay mustahiq hain jinho ne Allah, Rasool-e-Maqbool علیہ السلام aur ayimma muslimeen kay liye nasihat ka haq adda kar diya aur unkay Musehiraan-e-Khas ko bhi Allah Ta’ala  jazaye khair ataa kare jinho ne apnay mansab ki zimmedari ko khoob nibhaya.

Bilashubah Khush naseeb hukmaraan apni Aqal-o-Danish ki noorani shu’aaon say rehnumai hasil karte hain.

Hazart Rajaa Bin Haywah kay mufassal Halat-e-Zindagi maloom karnay kay liye darjzail kitaabon ka muta’ala Karen:

1: Altbaqaat ul Kubraa                                                        5/335-339-395-407
2: Sifat ul Safwah                                                                  4/213
3: Hilyat ul Awliya                                                                  5/315/316
4: Al Bayan Wal Tabyeen (Al Hahiz)                                1/397
5: Tahzeeb ul Tahzeeb (Ibn-e-Hajar)                              3/265
6: Tarikh Tabri Ibn-e-Jarir Tabri                                         6/365-370
7: Wafayat ul Ayan Ibn-e-Khalkan                                    1/430-2/301-330-7/316-
8: Tarikh Khalifa bin Khayyat                                                357
9: Al Aqad ul Fareed (Ibn-e-Abd-e-Rabbihi)                 2/50-52-235.3/86-105-306.4/156-219.5/139-166.7/96
10: Al Tamseel Wal Muhazarh Sa’alabi                               171

REFERENCE:
Book: “Hayat-e-Taba’een kay Darakhsha pahelo”
Taleef :  Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
Urdu Translation : By Professor Mehmood Ghaznofer

حضرت رجاءبن حیوۃ رضی اللّٰہ عنہ

 

کندہ قبیلے میں تین اشخاص ایسے ہیں جن کی وجہ سے اللّٰہ تعالیٰ بارش نازل کرتا ہے اور دشمن پر غلبہ دیتا ہے – ان میں سے ایک رجاء بن حیوۃ ہیں –

(مسلمہ بن عبدالمالک)


 

تابعین کے سنہری دور میں تین ایسے بے مثال اشخاص ہو کر گزرے ہیں جو زندگی بھر رشدوہدایت, خیرو بھلائی, حق و صداقت کے علمبردار ہے جو علم و عمل سے آراستہ اور تقوی و طہارت کے خوگر تھے ساری عمر اللّٰہ و رسول کی اطاعت اور خدمت خلق میں گزار دی عظیم المرتبت اشخاص یہ تھے عراق میں محمد بن سیرینؒ –
حجاز میں قاسم محمد بن ابی بکرؒ
اور شام میں رجاءبن حیوۃؒ
آئیے اب ہم آپ کو مبارک لمحات گزارنے کیلئے ان تین برگزیدہ و پسندیدہ شخصیات میں سے حضرت رجاء بن حیوۃ علیہ الرحمتہ کی خدمت اقدس میں لیے چلتے ہیں –


حضرت رجاء بن حیوۃ سر زمین فلسطین کے بیسان نامی قصبے میں امیرالمئومنین حضرت عثمان بن عفان رضی اللّٰہ عنہ کے دور خلافت کے آخر میں پیدا ہوئے یہ عرب کے قبیلہ کندہ میں سے تھے اس طرح یہ وطنا فلسطینی –
اصلا عربی اور نہلا کندی تھے –

اس کندی نوجوان نے بچپن ہی سے اللّٰہ کی اطاعت میں پرورش پائی اللّٰہ تعالیٰ نے اس سے محبت کی اور اسے اپنی مخلوق کا محبوب بنا دیا یہ بچپن ہی سے حصولِ علم کی طرف متوجہ ہوئے علم نے ان کے معصوم منور اور پاکیزہ دل میں اپنا بسیرا کر لیا انہیں لیل و نہار میں ہر لمحہ سب سے بڑی فکر کتاب الٰہی اور حدیث رسول علیہ السلام سے اپنے دل کو سیراب کرنے کی رہتی ان کے افکار و خیالات نور قرآن سے روشن ہوگئے ان کی بصیرت فیضان رسالت ماب سے چمک اٹھی – اور انکا دل حکمت و دانش سے معمور ہو گیا بلاشبہ جسے حکمت و دانش عطا کر دی جائے اسے بہت بڑی خیرو برکت کا خزانہ عطا کر دیا جاتا ہے –
انہیں اکثر جلیل القدر صحابہ کرام رضی اللّٰہ عنہ سے علم حاصل کرنے کی سعادت نصیب ہوئی جن میں سے حضرت ابو سعید خدری رضی اللّٰہ عنہ حضرت ابو درداء رضی اللّٰہ عنہ, حضرت ابو امامہ رضی اللّٰہ عنہ حضرت عبادۃ بن صامت رضی اللّٰہ عنہ, حضرت معاویہ بن ابی سفیان رضی اللّٰہ عنہ حضرت عبداللّٰہ بن عمرو بن صامت اور نواس بن سمعان رضی اللّٰہ عنھما سر فہرست ہیں – یہ بزرگ صحابہ کرام رضی اللّٰہ عنھم اس کے لیے ہدایت کے چراغ, معرفت کی قندیلیں اور عظمت کے مینار ثابت ہوئے-

اس خوش نصیب نوجوان نے اپنے لیے ایک دستورالعمل بنا لیا جس پر زندگی بھر عمل پیرا رہے تھے یہ اکثر فرمایا کرتے تھے –
وہ اسلام کس قدر خوبصورت ہے جو ایمان سے آراستہ ہو –
وہ ایمان کس قدر خوبصورت ہے جو تقوے سے مزین ہو –
وہ تقوی کس قد حسین ہے جسے علم کی زیبائش میسر ہو – وہ علم کس قدر دلرباو دلکش ہے جسے عمل نے تزئین و آرائش کی ہو –
اور وہ عمل کس قدر خوشنما ہے جسے رفق, نرمی اور رقت نے زینت عطا کی ہو –


حضرت رجاءبن حیوۃ بنو امیہ کے بیشتر خلفاء کے وزیر رہے جس کی ابتداء عبدالملک بن مروان سے ہوئی اور انتہا عمر بن عبدالعزیز پر لیکن سلیمان بن عبدالملک اور عمر بن العزیز کے ساتھ قلبی تعلق باقی کی نسبت زیادہ رہا-


اپنی دانشمندی, صداقت, اخلاص اور مشکل و پچیدہ حالات پر حکمت و دانائی سے قابو پانے کی وجہ سے خلفائے بنو امیہ کے ہمیشہ منظور نظر رہے –

ان تمام خوبیوں سے بڑھ کر جس چیز نے انہیں ممتاز بنائے رکھا وہ یہ تھی کہ انہوں نے کسی خلیفہ سے دنیاوی لالچ کا اظہار نہ کیا – حالانکہ دنیا والے خلیفہ وقت کا تقرب حاصل کرنے اور دنیاوی فوائد حاصل کرنے کے ہر دم کوشاں و سرگرداں رہتے ہیں –

                               


خلفائے بنو امیہ کے ساتھ ان کا تعلق خلفاء کے لیے عزت و اکرام کا باعث بنا- آپ نے حکمرانوں کو خیر اور بھلائی کی طرف دعوت دی اور نیکی کے راستے پر چلنے کی انہیں تلقین کرتے رہے – اور برے کاموں سے ہمیشہ انہیں روکتے رہے اور ان پر برائیوں کے دروازے بند کرنے کے لیے ہمیشہ کوشاں رہے – حکمرانوں کو ہمیشہ حق و صداقت کی راہ آراستہ کر کے دکھلائی –
باطل کی کراہٹ انکے دل میں بٹھانے کی ہمیشہ کوشش کی اور ان کے دل میں اللّٰہ و رسول علیہ السلام کی اطاعت اور مسلمانوں کی خیر خواہی کا جزبہ ہمیشہ موجزن رہا –
حضرت رجاءبن حیوۃ کی زندگی میں ایک ایسا عجیب و غریب واقعہ پیش آیا جس نے اس کے لیے خلفائے بنو امیہ سے میل جول کے راستے روشن کر دئیے – وہ خود بیان کرتے ہیں کہ ایک روز میں خلیفہ سلیمان بن عبدالملک کے ساتھ لوگوں کے ہجوم میں کھڑا تھا – میں نے دیکھا کہ ایک حسن و جمال کا پیکر, پر ہیبت اور بار عب شخص ہجوم میں سے تیزی سے گزرتا ہوا ہماری طرف بڑھ رہا ہے – میں نے سوچا یہ خلیفہ سے ملنے کے لیے بے تاب ہے –

وہ میرے پہلو میں آکھڑا ہوا – مجھے بصد ادب واحترام سلام کہا –
اور خلیفہ کی طرف اشارہ کر کے کہنے لگا –
اے رجاء تو اس شخص کی وجہ سے آزمائش میں ڈالا گیا ہے –
اے رجاء میری یہ بات ذہہن نشین کر لو – جس کا کوئی سلطان کے ساتھ قریبی تعلق ہو, وہ کسی ایسے نادار, کمزور, غریب, مفلس, اور کنگال کی کوئی ضرورت سلطان کے ذریعے پوری کرادے تو قیامت کے دن اللّٰہ تعالیٰ ضرورت پوری کرانے والے کے حساب میں آسانی کر دے گا –
اے رجاء یاد رکھو جو اپنے مسلمان بھائی کی کوئی ضرورت پوری کرتا ہے اللّٰہ تعالیٰ خوش ہو کر اس کی ضرورت پوری کر دیتے ہیں –
اے رجاء خوب اچھی طرح جان لو کسی مسلمان شخص کے دل میں خوشی پیدا کرنا اللّٰہ تعالیٰ کے ہاں بڑا محبوب عمل ہے – میں غور سے اس کی باتیں سن رہا تھا جی چاہتا تھا کہ وہ کہتا رہے اور میں سنتا رہوں واقعی باتیں بڑی حکیمانہ اور دلچسپ تھی – لیکن خلیفہ نے آواز دی رجاءبن حیوہ کدھر ہے – میں اس کی طرف پلٹا اور کہا امیرالمومنین میں یہاں موجود ہوں, انہوں نے مجھ سے کسی چیز کے متعلق پوچھا میں نے جواب دیتے ہی اس اجنبی کی طرف دیکھا وہ اپنی جگہ سے غائب تھا میں نے بہت ڈھونڈا لیکن اس کا سراغ نہ ملا –

                       


رجاء بن حیوہ کے بنو امیہ کے ساتھ صدق و صفا اور اخلاص و محبت پر منبی واقعات تاریخ کے روشن صفحات پر محفوظ ہیں, اور ہمیشہ خلف اپنے اسلاف کے حوالے سے یہ واقعات بیان کرتے رہیں گے –

ان میں سے ایک واقعہ پیش خدمت ہے ایک روز عبدالملک بن مروان کی مجلس میں ایک شخص کا تزکرہ ہوا کہنے والے نے کہا کہ وہ عبداللّٰہ بن زبیر کا حامی ہے اور بنو امیہ کو بری نگاہ سے دیکھتا ہے خلفائے بنو امیہ کے خلاف ہر جگہ ہرزہ سرائی کرتا رہتا ہے, یہ باتیں سن کر خلیفہ غصے سے بھڑک اٹھا-
اس نے آگ بگولا ہو کر کہا,
اللّٰہ کی قسم اگر وہ میرے قابو میں آگیا تو میں اس کی تکا بوٹی کردوں گا – دنیا اس کا حشر دیکھے گی تو انگشت بدنداں رہ جائیگی – پھر اپنے کارندوں سے کہا اسے پکڑ کر میرے پاس لاو –
تھوڑی دیر بعد اس شخص کو پکڑ کر خلیفہ کے سامنے پیش کیا گیا –
جب اس پر نظر پڑی تو آگ بگولا ہو گئے قریب تھا کہ اس کی گردن اڑانے کا حکم دیں لیکن رجاءبن حیوہ کھڑے ہو کر فرمانے لگے –
امیرالمومنین اللّٰہ تعالیٰ نے آپ کو قدرت, طاقت اور حکومت عطا کی ہے آپ کو ان نعمتوں کا شکر بجالانا چائیے – ان نعمتوں کا تقاضا ہے کہ آپ ایسے کام کریں جو اللّٰہ تعالیٰ کو پسند ہوں – چونکہ اللّٰہ تعالیٰ کو عفودرگزر پسند ہے لہذا آپ بھی اسے معاف کر دیں – یہ بات سن کر خلیفہ کا دل ٹھنڈا ہوا اور غصہ جاتا رہا – اس شخص کو معاف کر دیا اسے خوش کرنے کے لئے انعام و اکرام سے نوازا – اور اس کے ساتھ حسن سلوک سے پیش آئے –     


سن ٩١ ہجری میں امیرالمومنین ولید بن عبدالملک نے حج کیا حضرت رجاء بن حیوہ بھی ان کے ہمراہ تھے –

جب ہم دونوں مدینہ پہنچے اس وقت مدینہ کے گورنر حضرت عمر بن العزیز تھے۔ گورنر کو ساتھ لیا اور مسجد نبوی کی زیارت کو چل پڑے امیر المومنین نے مسجد نبوی کو تفصیلاً دیکھنے کی خواہش ظاہر کی کیونکہ یہ اسے طول وعرض میں وسیع کرنا چاہتے تھے۔ اس لیے پورے غوروخوض کے ساتھ جائزہ لینا ضروری تھا لہذا مسجد میں موجود لوگوں کو باہر نکال دیا گیا تاکہ زیارت میں کوئی رکاوٹ پیش نہ آئے سب لوگ مسجد سے باہر چلے گئے لیکن حضرت سعید بن مسیب بدستور اپنی جگہ پر بیٹھے رہے، پولیس بھی انہیں اپنی جگہ سے اٹھانے کی جرات نہ کر سکی صورتحال کا جائزہ لیتے ہوئے مدینہ کے گورنر حضرت عمر بن العزیز علیہ الرحمہ نے حضرت سعید بن مسیب کی طرف بھیجا اگر تھوڑی دیر کیلئے آپ دوسرے لوگوں کی طرح مسجد سے باہر چلے جائیں تو ہمیں امیر المومنین کو مسجد کی زیارت کرانے میں آسانی ہو جائے گی۔
گورنر کا پیغام سن کر حضرت سعید نے فرمایا۔
میں مسجد سے اس وقت جاؤں گا جس وقت کے مطابق جاتا ہوں۔
ان کی خدمت میں گزارش کی گئی جب امیر المومنین آپ کے پاس سے گزریں تو آپ کھڑے ہوکر سلام کہہ دیں۔ انہوں نے فرمایا: میں یہاں رب العالمین کے سامنے کھڑا ہونے کے لیے آیا ہوں کس بندے کے سامنے نہیں۔

گورنر مدینہ جناب عمر بن العزیز کو جب اپنے پیغام رساں اور حضرت سعید بن مسیب کی باہمی گفتگو کا علم ہوا تو وہ احتیاطاً خلیفہ کے ہمراہ اس جگہ سے کنی کتراتے ہوئے گزرنے لگے جہاں حضرت سعید بن مسیب بیٹھے ہوئے تھے اور رجاء بن حیوۃ امیر المومنین کو مشغول کئے ہوئے تھے۔ کیونکہ یہ دونوں وزیر اور گورنر خلیفہ کی غصیلی طبیعت سے واقف تھے انہیں اندیشہ تھا کہ کہیں کوئی ناگوار صورت حال نہ پیدا ہو جائے۔
امیر المؤمنین مسجد نبوی میں چلتے چلتے دونوں سے پوچھا وہ شیخ کون ہیں؟ کیا وہ سعید بن مسیب تو نہیں؟ دونوں نے بیک زبان کہا: امیر المؤمنین آپ کا اندازہ درست ہے! بالکل وہی ہیں پھر دونوں اس کے علم وفضل اور تقوی و طہارت جیسی خوبیوں کا تذکرہ کرنے لگے۔ اور ساتھ ہی یہ کہا کہ اگر انہیں آپ کی آمد کا علم ہوتا تو یہ ضرور اٹھ کر آپ کو سلام کہتے چونکہ ان کی نگاہ کمزور ہے اس لیے انہیں معذور سمجھیں، امیر المؤمنین نے کہا: مجھے معلوم ہے لہذا اب ہمارا حق ہے کہ ان کے پاس جا کر سلام کہیں مسجد نبوی کے صحن کا چکر لگا کر سیدھے ان کے پاس آئے سلام عرض کیا اور پوچھا شیخ کا کیا حال ہے، انہوں نے اپنی جگہ پر بیٹھے ہی سلام کا جواب دیا اور فرمایا اللّٰہ کا شکر ہے اس کا بے پایاں مجھ پر احسان ہے۔ آپ نے پوچھا امیر المؤمنین کیسے ہیں اللّٰہ آپکو سیدھے راستے پر چلنے کی توفیق عطا کرے۔
امیر المؤمنین نے حضرت سعید بن مسیب کی طرف سے یہ بے نیازی کا انداز دیکھ کر فرمایا بلاشبہ یہ امت مسلمہ کے بقیۃ السلف اور نابغہ عصر ہیں۔

جب مسند خلافت پر سلیمان بن عبد الملک جلوہ افروز ہوا تو رجاء بن حیوۃ کی قدرومنزلت میں اضافہ ہو گیا۔ خلیفہ سلیمان کو آپ پر بہت اعتماد تھا ہر چھوٹے بڑے معاملے میں ان سے ضرور مشورہ لیتا یوں تو رجاء بن حیوۃ نے سلیمان بن عبد الملک کی وزارت میں رہتے ہوئے بہت سے حیرت انگیز مؤقف اختیار کیے لیکن جب سلیمان بن عبد الملک کے ولی عہد نامزد کرنے کا وقت آیا تو یہ مسلمانوں کے لیے نہایت کٹھن گھڑی تھی۔ اس نازک ترین موقع پر حضرت رجاء بن حیوۃ نے جس دانشمندی اور جرات کے ساتھ حضرت عمر بن عبد العزیز کی خلافت کے لیے راہ ہموار کی۔ وہ آپ کا یقیناً ایک تاریخی کارنامہ ہے۔


حضرت رجاء بن حیوۃ بیان کرتے ہیں کہ 99 ہجری ماہ صفر کے پہلے جمعہ کے دن ہم امیر المؤمنین سلیمان بن عبد الملک کے ہمراہ سر زمین شام کے وابق نامی قصبے میں تھے۔ امیر المؤمنین نے قسطنطنیہ فتح کرنے کے لیے اپنے بھائی مسلمہ بن عبد الملک کی قیادت میں ایک لشکر جرار روانہ کیا ہوا تھا۔ لشکر کے ساتھ ان کا بیٹا اور دیگر بہت سے افراد خانہ بھی شامل تھے انہوں نے اس بات پر حلف اٹھا رکھا تھا کہ قسطنطنیہ فتح کرکے واپس آئیں گے یا جامِ شہادت نوش جاں کر لیں گے۔

جب جمعہ کی نماز کا وقت قریب آیا، امیر المؤمنین نے خوب اچھی طرح وضو کیا سبز چوغہ زیب تن کیا۔ سر پر سبز پگڑی باندھی پھر آئینے میں اپنے حسن وجمال اور قیمتی لباس پر ناز کرتے ہوئے دیکھا اس وقت ان کی عمر صرف چالیس برس تھی، پھر لوگوں کے ساتھ نماز جمعہ سے واپس آتے ہی شدید بخار میں مبتلا ہو گئے پھر دن بدن بیماری بڑھتی گئی، مجھ سے ارشاد فرمایا کہ تم میرے قریب رہا کرو ایک مرتبہ میں ان کے کمرے میں داخل ہوا تو وہ خط لکھ رہے تھے۔
میں نے کہا: چشم بدور امیر المؤمنین کیا کر رہے ہیں۔
فرمایا: میں اپنے بیٹے ایوب کو ولی عہد مقرر کرنے کےلئے خط لکھ رہا ہوں۔
میں نے کہا: امیر المؤمنین اگر آپ برا نہ منائیں تو میری مخلصانہ تجویز ہے۔ اگر آپ کسی نیک، صالح اور عالم شخص کو ولی عہد مقرر کریں گے تو یہ عمل آپ کے لیے قبر میں آسانی پیدا کرے گا، اللّٰہ سبحانہ وتعالی کے ہاں بھی آپ کو بری الزمہ قرار دے دیا جائے گا اور امت مسلمہ پر آپ کا بہت احسان ہو گا آپ کا بیٹا ایوب ابھی بچہ ہے وہ سن بلوغت کو بھی نہیں پہنچا ابھی وہ عمر کے اس حصے میں ہے کہ آپ کے سامنے نیکی اور برائی واضح نہیں ہوئی یہ سن کر آپ نے اپنا ہاتھ روک لیا فرمایا میں نے تو خط لکھ دیا ہے لیکن میں استخارہ کرنا چاہتا ہوں اس پر نہ میں مصر ہوں اور نہ ہی میں نے اسے ولی عہد بنانے کا کوئی پختہ ارادہ کیا ہے۔

آپ نے بروقت درست مشورہ دے کر میری رہنمائی کی یہ کہا۔ اور خط پھاڑ دیا۔ پھر ایک یا دو دن کے بعد مجھے بلایا اور فرمایا: میرے بیٹے داؤد کے متعلق آپ کا کیا خیال ہے؟ میں نے کہا: جیساکہ آپ کو معلوم ہے کہ وہ قسطنطنیہ کے محاذ پر لشکر اسلام کے ہمراہ دشمن سے نبردآزما ہے۔ وہاں سے ابھی کوئی خبر بھی نہیں آئی پتا نہیں وہ زندہ بھی ہے یا اللّٰہ کو پیارا ہو چکا ہے۔
امیر المؤمنین نے کہا: رجاء بن حیوۃ پھر آپ ہی بتائیں کہ اس منصب کے لیے کون موزوں ہو گا؟
میں نے کہا: امیر المؤمنين رائے اور مرضی تو آپ کی ہی چلے گی پھر اس نے ایک ایک کرکے نام لینے شروع کر دیئے۔ یہاں تک کہ انہوں نے خود عمر بن عبد العزیز کا نام لے لیا۔ پھر فرمایا: اس کے متعلق تمہاری کیا رائے ہے۔
میں نے کہا: جہاں تک میری معلومات کا تعلق ہے۔ وہ عالم، فاضل، دانشور، جرات مند، دیانت دار اور دین دار انسان ہے۔
امیر المؤمنین نے کہا: آپ بالکل سچ کہتے ہیں، واقعی وہ ان خوبیوں کا مالک ہے، لیکن اگر میں نے اسے خلیفہ نامزد کر دیا۔ اور عبد الملک کی اولاد کو محروم رکھا تو ایک فتنہ کھڑا ہو جائے گا وہ لوگ اسے اطمینان سے حکومت نہیں کرنے دیں گے۔
میں نے کہا خاندان عبد الملک میں سے ایک کو ان کا نائب مقرر کر دیں اور یہ حکمانہ تحریر کر دیں کہ عمر بن عبد العزیز کے بعد اولاد عبد الملک میں سے فلاں شخص مسند خلافت کا حق دار ہو گا۔

میں سے فلاں شخص مسند خلافت کا حق دار ہوگا ۔

امیر المؤمنین نے کہا: بالکل ٹھیک اس سے حکمران خاندان کو قدرے تسلی ہو جائے گی اور وہ اس فیصلے کو راضی خوشی تسلیم بھی کر لیں گے پھر اس نے یہ حکمنا مہ تحریر کیا۔

 

 

حوالہ:
“کتاب: حَياتِ تابِعِين کے دَرخشاں پہلوُ”
تالیف: الاستاذ ڈاکتور عبد الرحمان رافت الباشا
ترجمه: محمود غضنفر

 

Table of Contents