Search
Sections
< All Topics
Print

17. Hazrat Umar Bin Abdul Azeez (رحمہ اللہ) 

Hazrat Umar Bin Abdul Azeez (رحمہ اللہ) 

Umar bin Abdul Azeez Ahl-e-Ilm kay haan Ilm-o-Amal Zuhad-o-Taqwa kay paiker aur khulfaae raashideen mein shumaar kiye jaate hain.

( Allama Zahabi رحمہ اللہ)

Ab ham Abid, Zahid paanchwain khalifah kay mut’alliq aisi guftagu pesh karainge jo kastoori say zyadah khushboo daar aur khush rang baaghichay say zyadah khubsurat hogi. Un ki bemisaal seerat us khush rang dilkash baagh ki maanind hai keh jis mein aap jahan bhi farokash hon wahin aap ko taro taza ghaas, Dilkash phool aur umdah mazedaar khush zaaika taaza phal dikhayi detay hain. Agarchay ham yahan unki mukammal seerat ka ihaata nahi kar sakainge jis say tareekh kay awraak atay pare hain albatta dilfarairb baaghichay say chand kaliyan chun’nay ki koshish zaroor karainge.

Yeh usooli baat hai keh jo cheez mukammal haasil na ki jaa sake us kay baa’z hisay ko chod dena koi aqal mandi nahi. Ab aap ki khidmat mein Hazrat Umar bin Abdul Azeez ki dilkash aur Qaabil-e-Rashk zindagi kay teen muhayyir ul uqool waqiyaat pesh karne ki sa’adat hasil ki jaati hai. Is waqiya kay raawi Madinah Munawwarah kay jadeed aalim mashoor qaazi aur Qaabil-e-Ahtaraam buzurg janaab Salmah Ibn deenaar hain.

Bayaan farmaate hain keh mein aik dafa Khalifat ul muslimeen Hazrat Umar bin Abdul Azeez kay paas gaya, Woh sar Zameen-e-Shaam kay mashoor sheher Halab kay maamlaat ko nimtaane mein intehaayi masroof thay, Un dinon main bhi umar raseeda ho chuka tha, Meray aur un kay darmiyan mulaqaat ko arsa daraaz beet chuka hai, Main ne unhein apnay ghar kay aik kamray mein baithay dekha, main unhein pehchan na saka kyunkeh main ne bohat pehle unhein us waqt dekha tha jab woh Madinah Munawwarah kay governor thay, Unho ne mujhe khush aamdeed kaha aur farmaaya: Abu Hazim mere qareeb baitho.

Maine un kay paas baith kar kaha: Aap Umar bin Abdul Azeez hain?

Farmaaya kyun nahi! Main who hi hoon.

Maine kaha: Aap ko kya bani, Kaunsi bipta toot padi, Kis musibat mein giraftaar ho gaye jab aap Madinah Munawwarah mein thay us waqt aap ka chehra taro taaza, Jism tanumand aur zindagi kay lamhaat nihayat khushgawaar thay?

Unho ne kaha: Aap theek kehtay hain, Us waqt meri sehat bohat achi thi. Main ne kaha ab chaandi sone kay maalik ban kar, Ameer ul Momineen ka a’laa mansab par fayez ho kar aap ko kis cheez ne yaksar badal kar rakh diya hai?

Farmaaya: Abu Hazim! Aap ko mujh mein aisi kaun si tabdeeli nazar aa rahi hai?

Main ne kaha: Aap ka jism kamzor ho chuka hai. Aap kay chehray par shikan aa chukay hain, Rang zard ho chuka hai. Aankhon ki chamak maand pad chuki hai. Yeh baatain sun kar aap ro paday aur farmaaya:

Aye Abu Hazim! Meri maut kay teen din baad agar tum mujhe is haalat mein dekho keh meri aankhon kay dele beh kar meray rukhsaaron par latak jayen, Mera pait phool kar phatt jaye, Keeday meray badan ko nochnay lagain, To aap ko meri haalat aaj ki nisbat zyadah Ajeeb-o-Ghareeb dikhaai degi.

Phir meri taraf dekha aur farmaaya: Abu Hazim! Kya woh Hadees-e-Rasool علیہ السلام yaad hai jo Madinah Munawwarah mein qayaam mein aap ne mujhe sunaai thi?

Main ne kaha: Ameer ul Momineen Madinah Munawwarah mein qayaam kay dauraan to bohat si ahadees bayaan ki thein. Aap kaun si hadees sun’na chahtay hain?

Aap ne farmaaya: Woh hadees jis kay raawi Abu Hurairah رضی اللہ عنه hain.

Main ne kaha: Haan Ameer ul Momineen woh hadees mujhe yaad aa gayi.

Farmaaya: Azraah-e-Karam usay dobara bayaan kijye mein usey sun’nay ka dili ishtiyaaq rakhta hoon. Main ne woh hadees bayan ki keh Abu Hurairah رضی اللہ عنه bayaan kartay hain keh main ne Rasool (ﷺ) ko yeh bayaan kartay huye suna keh insaan kay saamne aik kathin aur dushwar guzaar ghaati hai is ko who hi sar kar sakta hai jo Chust-o-Chalaak aur Chaak-o-Chuband ho aur us ka badan phurteela ho.

Yeh sun kar Umar bin Abdul Azeez bohot roye, Itna roye keh mujhe andesha hua keh kahin Shiddat-e-Gham say un ka kaleja na phatt jaye. Phir aap ne meray aansu saaf kiye aur mujhe dekha aur farmaaya:

Aye Abu Hazim! Ab kya tum mujhe is baat par malaamat karte ho keh main ne yeh ghaati uboor karne kay liye apne aap ko dublaa patlaa kiya hai. Lekin phir bhi mera khayaal hai keh main nijaat na paa sakoonga.


Hazrat Umar bin Abdul Azeez ki Qaabil-e-Rashk zindagi ka doosra hairat angaiz waqiya Tabri ne Tufail bin Midraas kay hawaale say tehreer kiya hai, Woh likhtay hain keh jab Ameer ul Momineen Hazrat Umar bin Abdul Azeez Masand-e-Khalafat par jalwah nasheen huye to aap ne Wast-e-Asiya ki riyaasat Sughad kay governor Suleiman ko khat likha keh pehli fursat mein musalmaanon n ki mehmaan nawazi kay liye bade bade shehron mein hotel ta’meer karwao. Jab koi bhi musalman wahan aaye usey ek din aur raat hotel mein Bataur-e-Mehmaan thehraao, Us ki khoob khaatir madaarat karo. Agar woh zyadah thakaawat mehsoos kare to usey do din aur do raatain sarkaari kharch par har qism ki sahuliyaat muhayya karo takeh woh apne aap ko halka phulka mehsoos karay. Agar Dauraan-e-Safar us kay paas kharch khatam ho chuka ho ya us kay paas sawaari ka bandobast na ho to us ki zarurat ko Pesh-e-Nazar rakhte huye kharch aur sawaari muhayya karo. Aur usey ghar tak ba-izzat tarikay say pahunchana hukumat ka farz hai, Governor ne Ameer ul Momineen kay hukm ki taa’meel karte huye ma’roof shehron mein aali shaan hotel ta’meer karway jis ki khabar har jagah jungle ki aag ki tarah phail gayi. Bilaad-e-Islaamiya kay Mashriq-o-Maghrib mein abaad logon mein Ameer ul Momineen ki fayyazi, Adal-o-Insaaf aur rehemdili ka charcha honay laga, Lekin Samarqand kay baashindon kay chehray utray huye thay, Unho ne governor Suleiman kay paas wafad bheja, Us ne governor say kaha: Aap kay Pesh-e-Roo Qutabah Bin Muslim Baahli ka daur hamaare liye Baa’is-e-Rahmat tha, Hamain kisi qism ki zillat say dochaar na hona pada.

Hamain pata chala hai keh tum apne dushmanon ko islaam qabool karne ki dawat detay ho. Agar woh islaam qabool karne say inkaar kar dain to tum unhein jaziya ada karne ka hukm detay ho. Aur agar woh ussay bhi inkaari hon to un kay khilaaf Ailaan-e-Jang kar detay ho. Ham tumhare khalifah kay Adal-o-Insaaf ko dekh lashkar kay khilaaf koi Shikwah-o-Shikayat ki jurrat na kar sakay, Lekin chand ashkhaas ne ham par zulm kiya jis ki fariyad lekar aap ki khidmat mein haazir huye hain, Hamein Khalifat ul muslimeen say mulaqaat ki ijaazat dain takeh ham Zulm-o-Jabar kay khilaaf un ki khidmat mein fariyaad kar sakain.

Agar ham haq par huye to hamari daadrasi hogi aur agar naahaq huye to wapis laut ayenge, Governor Suleiman ne wafad ko Ameer ul Momineen say milnay ki ijazat day di, Wafad ne daar ul hukumat Damishq pahunch kar apna muqaddama Khalifat ul muslimeen Hazrat Umar bin Abdul Azeez ki khidmat mein pesh kiya. Khalifah ne tamaam rawadaad sun kar apne governor Suleiman ko khat likha jis mein jis mein yeh tehreer tha:

Junhi yeh khat aap kay paas pohchay aap usi waqt Samarqand mein in ki shikayat sun’nay kay liye qaazi bitha dain, Agar qaazi in kay haq mein faisla dede to phir aap Lashkar-e-Islaam ko inka sheher khaali karne ka hukam dain aur jin musalmaanon ne in kay gharon par qabzah kiya hai woh fauri taur par khaali kar kay wahan chale jayen Jahan Qutaibah Bin Muslim Baahli kay daur mein rehaaish pazeer thay.

Jab wafad ne governor Suleiman ko Ameer ul Momineen ka khat diya to unho ne Raayes ul Quzat Jumai’ bin Hasir ko Samarqand pahunch kar wahan kay baashindon ki shikayat sun’nay kay liye kaha, Unhon ne us qaum kay shikway shikayat sunay, Lashkar-e-Islaam kay commaandaron kay bayanaat qalamband kiye, Tarfain kay bayanaat say sahi Surat-e-Haal khul kar samne aa gayi, Lehazah qaazi Jumai’ ne Samar qand kay baashindon kay haq mein faisla de diya.

Governor Suleiman ne Lashkar-e-Islaam ko un kay ghar khaali kar denay aur unhein fauran chhaaoni mein wapis aa jaane ka hukm saadir kar diya aur saath hi yeh kaha keh ab dobara kisi munasib mouqa par in say nabard aazma hona ya phir sulah ki buniyad par is ilaaqay mein daakhil hona ya ladai mein kaamyabi haasil kar kay. Jab Samarqand mein abaad is qaum kay sardaaron ny musalmaanon kay qaazi kay faisle ke mut’alliq governor ka hukam suna to aapis mein chaimagoiyyan karne lage. Woh apni qaum say kehne laga afsoos sad afsoos tum muslim qaum kay sath mil jul kar rahe. Tumne un kay akhlaaq, Seerat, Adal-o-Insaaf aur Sadaaqat-o-Haq goi ka mushahidaa kiya. Kya hua agar unhocne chand makaanon par qabzah kar liya. Aakhir unhein sar chupanay kay liye jagah chahiye. Hamari maano inhein apne paas rehnay do, Inhein yahan say wapis na jaane do, Un ki rifaaqat tumhary liye baa’is Aaraam-o-Barkat hogi, inhon ne tumhara kya bigaada hai? Tum apne paaon par kyun kulhaadi chalaa rahe ho?

Kuch socho musalmaanon ka yahan say yun chale jaana tumhare mustaqbil kay liye behter na hoga.


Hazrat Umar bin Abdul Azeez ki Zindagi ka teesra hairat angaiz waqiya Ibn Abdul Hakeem ne apni kitaab seerat Umar bin Abdul Azeez mein tehreer kiya hai.

Likhtay hain jab Ameer ul Momineen ki maut ka waqt qareeb aaya to Musaylmah bin Abdul malik un kay paas aaye aur kaha: Aye Ameer ul Momineen! Aap ne apni aulaad kay munh say niwaale cheen liye aur Maal-o-Doulat say unhein mehroom kar diya, Kitna hi acha ho agar aap mujhe yaa apne khandaan mein say kisi aur ko apni aulaad kay mut’alliq wasiyat kar jayen. Jab usne apni baat khatam kar li to Hazrat Umar bin Abdul Azeez ne irshaad farmaaya: Mujhe zara sahaara dekar bithaao, Jab aap baith gaye to irshaad farmaya: Aye Musaylmah main ne tumhari puri baat suni hai, Aap ka yeh kehna hai keh main ne apni aulaad ko Maal-o-Doulat say mehroom kar diya hai aur un kay munh say khaane kay niwaale cheen liye hain, Qat’an durust nahi hai, Allah ki qasam! Main ne un ka koi haq nahi maara aur na hi unhein main ne koi aisi cheez di hai jin par un ka koi haq nahi banta, Raha aap ka yeh mashwara keh main tujhe yaa apne khandaan mein say tujh say behter kisi shakhs ko un kay mut’alliq wasiyat kar jaaon to khoob achi tarah sun lo, Mera waaris aur kaar saaz woh Allah hai jis ne barhaq kitaab naazil ki, Aur who hi naik logon ka madad gaar hai.

Aye Musaylmah khoob achhi tarah jaan lo meray beton ki do surtain hain: Ya woh muttaqi saleh aur parhaizghar honge is surat Allah ta’ala apne Fazal-o-Karam say unhein ghani kar day ga, aur behter raaste par chalne ki tofeeq dega, Ya woh badmaash, Badqumash aur gunahon kay rasiya honge to us surat mein Maal-o-Doulat un kay hawaale kar kay gunah alood Zindagi mein un ka mua’awin nahi ban sakta.

Phir farmaaya meray beton ko meray paas bulao, Betay bulaye gaye jin ki taa’dad taqriban unnees thi, Jab unhein apne paas khade dekha to Khalifah ki aankhon se aansu jaari ho gaye aur farmaaya: Main ne apne beton ko Kangaal-o-Muflis kar diya. Phir un ki taraf dekh kar ishaarah  farmaaya: Pyare bachon! Main ne tumhary liye bohat kuch choda hai pyare beton!

Tum puray mulk mein jahan bhi jaaoge tumhein izzat ki nigah say dekha jayega, Har koi tumhaari khidmat karne ko apne liye sa’adat samjhega. Meray nazdeek naik naami bohat badi doulat hai.

Meray pyare beton ab do cheezon mein tumhein pura ikhtiyar hai ya tawsnaguri haasil kar lo. Aur tumhara baap is ki wajah say Jahannum raseed kar diya jaye.

Ya Faqr-o-Faaqa ikhtiyar kar lo is ki wajah say tumhara baap Jannat mein daakhil kar diya jayega. Mera khayaal hai keh tum apne baap ko Jahannum say azaad karaane par apni maaldaari tawaanagiri par tarjeeh doge phir un ki taraf mohabbat bhari nazron say dekha aur irshaad farmaaya:

Utho tumhara Allah nighebaan ho, Utho Allah tumhein waafir rizq ata’a karay.

Musaylmah ne Ameer ul Momineen ki taraf dekha aur kaha:

Ameer ul Momineen meray paas inhein denay kay liye behter cheez maujood hai.

Farmaaya woh kya? Us ne kaha meray paas teen lakh denaar hain, Main yeh aap ko hibah karta hoon aap yeh raqam Bataur-e-Sadqa taqseem kar dain. Hazrat Umar bin Abdul Azeez  رحمہ اللہne irshaad farmaaya: Aye Musaylmah meray paas is say behter tajveez hai, Usne kaha: Woh kya? Farmaaya: Yeh deenaar jis say cheenay hain usay wapis kar do in pay tera koi haq nahi yeh sun kar Musaylmah ki aankhon se aansu jaari ho gaye. Aur kaha Ameercul Momineen aap par Allah ki be paayan rehmtain naazil hon, Duniya mein bhi aur aakhirat mein bhi. Aap ne hamary sakht dilon ko naram kar diya, Bhoola hua sabaq hamein yaad dila diya, Aur aap ki tarbiyat say hamein saaleheen kay zumray mein shaamil hone ki sa’adat hasil hui.


Logon ne Khalifat ul muslimeen ki wafaat kay baad us kay tamaam beton kay ma’ashi halaat dekhe. Un mein say kisi ko na mohtaaj dekha aur na hi Faqeer-o-Muflis, Allah ta’alaa ne sach farmaaya:

وَلْيَخْشَ الَّذِيْنَ لَوْ تَرَكُوْا مِنْ خَلْفِھِمْ ذُرِّيَّةً ضِعٰفًا خَافُوْا عَلَيْھِمْ  ۠ فَلْيَتَّقُوا اللّٰهَ وَلْيَقُوْلُوْا قَوْلًا سَدِيْدًا     ۝

“Tarjumah: Logon ko is baat ka khayaal kar kay darna chahiye keh agar woh khud apne peechay bebas aulaad chhodtay aur martay waqat unhein apne bachhon kay haq mein kisay kuch andeshay laahaq hotay woh khuda ka khouf karain aur raasti ki baat karain.”

(Surah An Nisaa: 9)

 

Hazrat Umar bin Abdul Azeez kay mufassal Halaat-e-Zindagi maloom karnay kay liye darjzail kitaabon ka mutaal’a karain:

1: Seerat Umar bin Abdul Azeez (Ibn-e-Abdul Hakeem)
2: Tarikh-e-Fasawi                                                                             1/568-620
3: Seerat Umar bin Abdul Azeez (Ibn Jawzi)
4: Al Tabari                                                                                        6/565-573
5: Seerat Umar bin Abdul Azeez (Aajuri)
6: Al Jarh Wal Tadeel                                                                         6/122
7: Tabaqat Ibn-e-Saad                                                                        5/330
8: Tabqaat Sherazi                                                                              64
9: Tarikh-e-Khalifa                                                                             331-332
10: Al Tarikh-e-Kabeer                                                                      6/174

REFERENCE:
Book: “Hayat-e-Taba’een kay Darakhsha pahelo”
Taleef :  Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
Urdu Translation : By Professor Mehmood Ghaznofer

حضرت عمر بن عبد العزیز رضی اللّٰہ عنہ

 

عمر بن عبد العزیز

اھل علم کے ہاں علم و عمل زھد و تقویٰ کے پیکر اور خلفائے راشدین میں شمار کیے جاتے ہیں ۔

(علامہ ذھی ؒ )

 

اب ہم عابد, زاہد پانچویں خلیفہ کے متعلق ایسی گفتگو پیش کریں گے جو کستوری سے زیادہ خوشبودار اور خوش رنگ باغیچے سے زیادہ خوبصورت ہو گی – ان کی بے مثال سیرت اس خوش رنگ دلکش باغ کی مانند ہے کہ جس میں آپ جہاں بھی فروکش ہوں وہیں آپ کو تروتازہ گھاس, دلکش پھول اور عمدہ مزیدار خوش ذائقہ تازہ پھل دیکھائی دیتے ہیں – اگرچہ ہم یہاں ان کی مکمل سیرت کا احاطہ نہیں کر سکیں گے جس سے تاریخ کے اوراق اٹے پڑے ہیں البتہ دلفریب باغیچے سے چند کلیاں چننے کی کوشش تو ضرور کریں گے-
یہ اصولی بات ہے کہ جو چیز مکمل حاصل نہ کی جا سکے اس کے بعض حصے کو چھوڑ دینا کوئی عقلمندی نہیں – اب آپ کی خدمت میں حضرت عمر بن عبدالعزیز کی دلکش اور قابل رشک زندگی کے تین محیرالعقول واقعات پیش کرنے کی سعادت حاصل کی جاتی ہے اس واقعہ کے راوی مدینہ منورہ کے جید عالم مشہور قاضی اور قابل احترام بزرگ جناب سلمہ بن دینار ہیں –
بیان فرماتے ہیں کہ میں ایک دفعہ خلیفتہ المسلمین حضرت عمر بن عبدالعزیز کے پاس گیا, وہ سر زمین شام کے مشہور شہر حلب کے معاملات کو نپٹانے میں انتہائی مصروف تھے, ان دنوں میں بھی عمر رسیدہ ہو چکا تھا – اور ان کے درمیان ملاقات کو عرصہ دراز بیت چکا تھا, میں نے انہیں اپنے گھر کے ایک کمرے میں بیٹھے دیکھا- میں انہیں پہچان نہ سکا چونکہ میں نے بہت پہلے انہیں اس وقت دیکھا تھا جب وہ مدینہ منورہ کے گورنر تھے,

انہوں نے مجھے خوش آمدید کہا اور فرمایا- ابو حازم میرے قریب بیٹھو –
میں نے ان کے پاس بیٹھ کر کہا:
آپ عمر بن عبدالعزیز ہیں؟
فرمایا کیوں نہیں میں وہی ہوں-
میں نے کہا آپکو کیا بنی؟ کون سی بپتا ٹوٹ پڑی کس مصیبت میں گرفتار ہو گئے جب آپ مدینہ منورہ میں تھے اس وقت آپ کا چہرہ تروتازہ, جسم تنو مند اور زندگی کے لمحات نہایت خوش گوار گزر رہے تھے –
اس نے کہا آپ ٹھیک کہتے ہیں, میری صحت اس وقت بہت اچھی تھی- میں نے کہا اب چاندی سونے کے مالک بن کر , امیرالمئومنین کے عالی منصب پر فائز ہو کر آپ کو کس چیز نے یکسر بدل کر رکھ دیا –
فرمایا : ابو حازم آپ کو مجھ میں سے کونسی تبدیلی نظر آرہی ہے –
میں نے کہا : آپ کا جسم کمزور ہو چکا ہے – آپ کے چہرے پر شکن آچکے ہیں رنگ زرد ہو چکا ہے- آنکھوں کی چمک مانند پڑھ چکی ہے – یہ باتیں سن کر آپ رو پڑے اور فرمایا –
اے ابو حازم میری موت کے تین دن بعد اگر تم مجھے اس حالت میں دیکھو کہ میری آنکھوں کے ڈیلے بہہ کر میرے رخساروں پر لٹک جائیں, میرا پیٹ پھول کر پھٹ جائے, کیڑے میرے بدن کو نوچنے لگیں, تو آپ کو میری حالت کی نسبت زیادہ عجیب و غریب دیکھائی دے گی-
پھر میری طرف دیکھا اور فرمایا اے ابو حازم کیا وہ حدیث رسول علیہ السلام آپکو یاد ہے جو مدینہ منورہ میں قیام میں آپ نے مجھے سنائی تھی؟

میں نے کہا : امیرالمئومنین مدینہ منورہ میں قیام کے دوران تو بہت سی احادیث بیان کیں تھیں – آپ کونسی حدیث سننا چاہتے ہیں؟
آپ نے فرمایا وہ حدیث جس کے راوی ابو ہریرہ رضی اللّٰہ عنہ ہیں- میں نے کہا: ہاں امیرالمئومنین وہ حدیث مجھے یاد آگئی –
فرمایا: ازراہ کرم اسے دوبارہ بیان کیجئے میں اسے سننے کا دلی اشتیاق رکھتا ہوں – میں نے وہ حدیث بیان کی کہ حضرت ابو ہریرہ رضی اللّٰہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ میں نے رسول اللّٰہ کو یہ فرماتے ہوئے سنا کہ انسان کے سامنے ایک کٹھن اور دشوار گزار گھاٹی ہے اسکو وہی سر کر سکتا ہے جو چست و چالاک اور چاق و چوبند ہو اور اسکا بدن پھر تیلاا ہو-
یہ سن کر عمر بن عبدالعزیز بہت روئے, اتنا روئے کہ مجھے اندیشہ ہوا کہ کہیں شدت غم سے انکا کلیجہ نہ پھٹ جائے – پھر آپ نے میرے آنسو صاف کیے اور میری طرف دیکھا اور فرمایا –
اے ابو حازم اب کیا مجھے اس بات پر ملامت کرتے ہو کہ میں نے یہ گھاٹی عبور کرنے کے لیے اپنے آپ کو دبلا پتلا کیا ہوا ہے- لیکن پھر بھی میرا خیال ہے کہ میں نجات نہ پا سکوں گا –


حضرت عمر بن عبدالعزیز کی قابل رشک زندگی کا دوسرا حیرت انگیز واقعہ طبری نے طفیل بن مرداس کے حوالے سے تحریر کیا ہے, وہ لکھتے ہیں کہ جب امیرالمومنین حضرت عمر بن عبدالعزیز مسند خلافت پر جلوہ نشیں ہوئے

تو آپ نے وسط ایشیا کی ریاست صغر کے گورنر سلیمان کو خط لکھا کہ پہلی فرصت میں مسلمانوں کی مہمان نوازی کے لیے بڑے بڑے شہروں میں ہوٹل تعمیر کراؤ جب کوئی بھی مسلمان وہاں آئے اسے ایک دن رات ہوٹل میں بطور مہمان ٹھہراؤ, اس کی خوب خاطر مدارت کرو – اگر وہ زیادہ تھکاوٹ محسوس کرے تو اسے دو دن اور دو راتیں سرکاری خرچ پر ہر قسم کی سہولت مہیا کرو تاکہ وہ اپنے آپ کو ہلکا پھلکا محسوس کرے – اگر دوران سفر اس کے پاس خرچ ختم ہو چکا ہو یا اس کے پاس سواری کا بندوبست نہ ہو تو اس کی ضرورت کو پیش نظر رکھتے ہوئے خرچ اور سواری مہیا کرو – اور اسے گھر تک با عزت طریقے سے پہنچانا حکومت کا فرض ہے, گورنر نے امیرالمومنین کے حکم کی تعمیل کرتے ہوئے معروف شہروں میں عالی شان ہوٹل تعمیر کروائے جس کی خبر ہر جگہ جنگل کی آگ کی طرح پھیل گئی بلاد اسلامیہ کے مشرق و مغرب میں آباد لوگوں میں امیرالمومنین کی فیاضی, عدل و انصاف اور رحم دلی کے متعلق چرچا ہونے لگا, لیکن سمر قند کے باشندوں کے چہرے اترے ہوئے تھے, انہوں نے گورنر سلیمان کے پاس وفد بھیجا, اس نے گورنر سے کہا:
آپ کے پیش رو جرنیل قتیبہ بن مسلم باھلی کا دور ہمارے لیے باعث رحمت تھا ہمیں کسی قسم کی ذلت سے دو چار نہ ہونا پڑا –
ہمیں پتہ چلا ہے کہ تم اپنے دشمنوں کو اسلام قبول کرنے کی دعوت دیتے ہو – اگر وہ اسلام قبول کرنے سے انکار کر دیں تو تم انہیں جزیہ ادا کرنے کا حکم دیتے ہو – اور اگر وہ اس سے بھی انکاری ہوں, تو تم انکے خلاف اعلان جنگ کر دیتے ہو-

ہم تمہارے خلیفہ کے عدل و انصاف کو دیکھ کر لشکر کے خلاف کوئی شکوہ شکایت کی جرات نہ کر سکے لیکن چند اشخاص نے ہم پر ظلم کیا جس کی فریاد لے کر آپکی خدمت میں حاضر ہوئے ہیں, ہمیں خلیفتہ المسلمین سے ملاقات کرنے کی اجازت دیں تاکہ ہم ظلم و جبر کے خلاف ان کی خدمت میں فریاد کر سکیں –
اگر ہم حق پر ہوئے تو ہماری داد رسی ہو جائیگی اور اگر نا حق ہوئے تو واپس لوٹ آئیں گے گورنر سلیمان نے وفد کو امیرالمومنین سے ملنے کی اجازت دے دی وفد نے دارالحکومت دمشق پہنچ کر اپنا مقدم خلیفتہ المسلمین حضرت عمر بن عبدالعزیز کی خدمت میں پیش کیا – خلیفہ نے تمام روئیداد سن کر اپنے گورنر سلیمان کو خط لکھا جس میں یہ تحریر تھا –
جونہی یہ خط آپکے پاس پہنچے آپ اسی وقت سمر قند میں ان کی شکایات سننے کے لیے ایک قاضی بٹھا دیں, اگر قاضی ان کے حق میں فیصلہ دے دے تو پھر آپ لشکر اسلام کو ان کا شہر خالی کرنے کا حکم دیں اور جن مسلمانوں نے انکے گھروں پر قبضہ کیا ہے وہ فوری طور پر خالی کر کے وہاں چلے جائیں گے جہاں قتیبہ بن مسلم باھلی کے دور میں رہائش پذیر تھے –
جب وفد نے گورنر سلیمان کو امیرالمومنین کا خط دیا تو انہوں نے رئیس القصناہ جمیع بن حاصر کو سمر قند پہنچ کر وہاں کے باشندوں کی شکایات سننے کے لیے کہا, انہوں نے اس قوم کے شکوے شکایات سنے لشکر اسلام کے کمانڈروں کے بیانات قلمبند کیے, طرفین کے بیانات سے صحیح صورت حال کھل کر سامنے آ گئی,

لہزا قاضی جمیع نے سمر قند کے باشندوں کے حق میں فیصلہ دے دیا –
گورنر سلیمان نے لشکر اسلام کو ان کے گھر خالی کر دینے اور انہیں فورا چھاونی میں واپس آجانے کا حکم صادر کر دیا اور ساتھ ہی یہ کہا کہ اب دوبارہ کسی مناسب موقع پر ان سے نبرد آزما ہونا یا پھر صلح کی بنیاد پر اس علاقے میں داخل ہونا یا لڑائی میں کامیابی حاصل کر کے – جب سمر قند میں آباد اس قوم کے سرداروں نے مسلمانوں کے قاضی کے فیصلہ کے مطابق گورنر کا حکم سنا تو آپس میں چہ منگوئیاں کرنے لگے . وہ اپنی قوم سے کہنے لگے افسوس صد افسوس تم مسلم قوم کیساتھ مل جل کر رہے تم نے ان کے اخلاق, سیرت, عدل و انصاف اور صداقت و حق گوئی کا مشاہدہ کیا – کیا ہوا اگر انہوں نے چند مکانوں پر قبضہ کر لیا -آخر انہیں سر چھپانے کے لیے جگہ چاہیے-
ہماری مانو انہیں اپنے پاس رہنے دو, انہیں یہاں سے واپس نہ جانے دو, ان کی رفاقت تمارے لیے باعث آرام و برکت ہو گی, انہوں نے تمہارا کیا بگاڑا ہے, تم اپنے پاؤں پر کیوں کلہاڑی چلا رہے ہو – کچھ سوچو مسلمانوں کا یہاں سے یوں چلے جانا تمہارے مستقبل کے لیے بہتر نہ ہو گا –


حضرت عمر بن عبدالعزیز کی زندگی کا تیسرا حیرت انگیز واقعہ ابن عبدالحکیم نے اپنی کتاب سیرت عمر بن عبدالعزیز میں تحریر کیا ہے –
لکھتے ہیں کہ جب امیرالمومنین کی وفات کا وقت قریب آیا تو مسلمہ بن عبدالملک ان کے پاس آئے –

اور کہا اے امیرالمومنین آپ نے اپنی اولاد کے مونہہ سے نوالے چھین لیے اور مال و دولت سے انہیں محروم کر دیا, کتنا ہی اچھا ہو اگر آپ مجھے یا اپنے خاندان میں سے کسی اور کو اولاد کے متعلق وصیت کر جائیں – جب اس نے اپنی بات ختم کر لی تو حضرت عمر بن عبدالعزیز نے ارشاد فرمایا مجھے ذرا سہارا دے کر بٹھاو, جب آپ بیٹھ گئے تو ارشاد فرمایا اے مسلمتہ میں نے تمہاری پوری بات سنی ہے, آپ کا یہ کہنا کہ میں نے اپنی اولاد کو مال و دولت سے محروم کر دیا ہے, اور ان کے منہ سے کھانے کے نوالے چھین لیے ہیں, قطعا درست نہیں ہے, اللّٰہ کی قسم میں نے ان کا کوئی حق نہیں مارا اور نہ ہی میں نے انہیں کوئی ایسی چیز دی ہے جن پر ان کا کوئی حق نہیں بنتا, رہا آپ کا یہ مشورہ کہ میں تجھے یا اپنے خاندان میں سے تجھ سے بہتر کسی شخص کو ان کے متعلق وصیت کر جاؤں تو خوب اچھی طرح سن لو, میرا وارث اور کار ساز وہ اللّٰہ ہے جس نے برحق کتاب نازل کی, اور وہی نیک لوگوں کا مدد گار ہے-
اے مسلمہ خوب اچھی طرح جان لو میرے بیٹوں کی دو صورتیں ہیں, یا وہ متقی صالح اور پرہیز گار ہوں گے بایں صورت اللّٰہ تعالیٰ اپنے فضل و کرم سے انہیں غنی کر دے گا, اور بہتر راستے پر چلنے کی توفیق دے گا, یا وہ بد قماش, بد معاش اور گناہوں کے رسیا ہونگے تو اس صورت میں مال و دولت انکے حوالے کر کے گناہ آلود زندگی میں ان کا معاون نہیں بن سکتا-
پھر فرمایا میرے پاس میرے بیٹوں کو بلاو, بیٹے بلائے گئے-

تعداد تقریباً انیس تھی جب انہیں اپنے پاس کھڑے دیکھا تو خلیفہ کی آنکھوں سے آنسو جاری ہو گئے اور فرمایا ہائے میں نے اپنے بیٹوں کو کنگال و مفلس کر دیا۔ پھر انکی طرف دیکھ کر اشارہ فرمایا: پیارے بچو میں نے تمھارے لیے بہت کچھ چھوڑا ہے پیارے بیٹو!

تم پورے ملک میں جہاں بھی جاؤ گے تمھیں عزت کی نگاہ سے دیکھا جائے گا ہر کوئی تمھاری خدمت کرنے کو اپنے لیے سعادت سمجھے گا ۔ میرے نزدیک نیک نامی بہت بڑی دولت ہے ۔

میرے پیارے بیٹو اب دو چیزوں میں تمھیں پورا اختیار ہے یا تو نگری حاصل کر لو ۔ اور تمھارا باپ اس کی وجہ سے جہنم رسید کر دیا جائے ۔
یا فقرو فاقہ اختیار کر لو اور اس وجہ سے تمھارا باپ جنت میں داخل کر دیا جائے ۔ میرا خیال ہے کہ تم اپنے بابے کو جہنم سے آزاد کرانے کو اپنی مالداری و نگری پر ترجیح دو گے پھر ان کی طرف محبت بھری نظروں سے دیکھا اور ارشاد فرمایا ۔
اٹھو اللّٰہ تمھارا نگہبان ہو، اٹھو اللّٰہ تمھیں وافر رزق عطا کرے۔ مسلمہ نے امیر المؤمنین کی طرف دیکھا اور کہا:
امیر المؤمنین میرے پاس انہیں دینے کے لیے بہتر چیز موجود ہے ۔ فرمایا وہ کیا اس نے کہا میرے پاس تین لاکھ دینار ہیں، میں یہ آپکو ہبہ کرتا ہوں آپ نے یہ رقم بطور صدقہ تقسیم کر دیں۔ حضرت عمر بن عبد العزیز علیہ الرحمہ نے ارشاد فرمایا: اے مسلمہ میرے پاس اس سے بہتر تجویز ہے، اس نے کہا وہ کیا:

فرمایا یہ دینار جس سے چھینے ہیں اسے واپس کر دو تیرا ان پر کوئی حق نہیں یہ سن کر مسلمہ کی آنکھوں میں آنسو جاری ہو گئے ۔ اور کہا امیر المؤمنین آپ پر اللّٰہ تعالیٰ کی بے پایاں رحمتیں نازل ہوں ، دنیا میں بھی اور آخرت میں بھی آپ نے ہمارے سخت دلوں کو نرم کر دیا بھولا ہوا سبق ہمیں یاد دلا دیا، اور آپ کی تربیت سے ہمیں صالحین کے زمرے میں شامل ہونے کی سعادت حاصل ہوئی ۔
لوگوں نے خلیفتہ المسلمین کی وفات کے بعد اس کے تمام بیٹوں کے معاشی حالات دیکھے ان میں سے کسی کو نہ محتاج دیکھا اور نہ ہی فقیر و مفلس ، اللّٰہ تعالیٰ نے سچ فرمایا ۔

وَ لۡیَخۡشَ الَّذِیۡنَ لَوۡ تَرَکُوۡا مِنۡ خَلۡفِہِمۡ ذُرِّیَّۃً ضِعٰفًا خَافُوۡا عَلَیۡہِمۡ ۪ فَلۡیَتَّقُوا اللّٰہَ وَ لۡیَقُوۡلُوۡا قَوۡلًا سَدِیۡدًا (النساء)

 ترجمہ:۔ لوگوں کو اس بات کا خیال کرکے ڈرنا چاہیے کہ اگر وہ خود اپنے پیچھے بے بس اولاد چھوڑتے اور مرتے وقت انہیں اپنے بچوں کے حق میں کیسے کچھ اندیشے لاحق ہوتے وہ کا خوف کریں اور راستی کی بات کریں۔ (نساء)

 

حضرت عمر بن عبد العزیز کے مفصل حالات زندگی معلوم کرنے کے لیے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کریں ۔

 

١- سیرت عمر بن عبدالعزیز (ابن عبدالحکیم)
٢- تاریخ الفسوی ٥٦٨/۱- ٦٢۵
٣- سیرت عمر بن عبدالعزیز( ابن جوزی)
٤- الطبری ٥٦٥/٦ -٥٧٣
٥- سیرت عمر بن عبدالعزیز (آجری)
٦- الجرح والتعدیل۔ ١٢٢/٦
٧- طبقات ابن سعد۔ ٣٣٠/٥
٨- طبقات شیرازی ٦٤
٩- تاریخ خلیفہ ٣٣١- ٣٣٢
١٠- التاریخ الکبیر ١٧٤/٦

 

 

حوالہ:
“کتاب: حَياتِ تابِعِين کے دَرخشاں پہلوُ”
تالیف: الاستاذ ڈاکتور عبد الرحمان رافت الباشا
ترجمه: محمود غضنفر

 

Table of Contents