18. Muhammad Bin Ali bin Abi Taalib (رحمہ اللہ)
Muhammad Bin Ali bin Abi Taalib
Urf Muhammad Bin Hanfiyah (رحمہ اللہ)
Meri ma’loomat kay mutabiq Hazrat Ali رضي الله عنه say un kay betay Muhammad Bin Hanfiyah ne sab say zyadah Ilm-o-Adab haasil kiya. (Bin Junaid) |
Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah aur Hazrat Hasan bin Ali رضي الله عنه kay t’alluqaat kasheeda ho gaye. Muhammad Bin Hanfiyah ne Hazrat Hasan ko khat likha jis mein yeh tehreer tha:
Allah ta’alaa ne kayi aitebaar say aap ko mujh par bartari at’aa ki, Woh is tarah keh:
Aap ki Waalida Majidah Hazrat Muhammad ﷺ ki Lakht-e-Jigar hain.
Aur meri Waalida qabilah banu Hanfiyah ki Chashm-o-Charaagh hain.
Aap kay nana Allah kay Rasool aur uski makhlooq kay sardaar hain.
Aur mera nana Ja’afar Bin Qais hai.
Jab mera yeh khat aap kay paas pohcha to fauran sulah kay liye meray paas chale aana. Takeh is mein bhi aap ko hi bartari haasil rahe.
Jab yeh khat Hazrat Hasan رضی اللہ عنه kay paas pohcha to woh jald un kay paas aaye aur sulah kar li.
Yeh danishwar, Husan-e-Akhlaaq ka paiker, Maahir adeeb kaun hai?
Ayyiye shuru say ham is ki Daastaan-e-Hayaat bayaan kartay hain.
Is dastaan ka aaghaz Huzoor Akram ﷺ ki Hayaat-e-Mubaraka kay aakhri ayyam say shuru hota hai.
Aik martabah Hazrat Ali رضي الله عنه Nabi Akram ﷺ ki Khidmat-e-Aqdas mein baithay huye thay arz kiya: Ya Rasool Allah ﷺ agar ab mujhe Allah Subhana wa ta’ala beta ‘ataa karay kya us ka naam aap kay naam par rakh sakta hoon?
Farmaaya haan kyun nahi!
Phir yun hi din guzarne lage, Nabi Akram ﷺ Allah ko pyare ho gaye, Aap kay wisaal kay chand maah baad aap ki Lakht-e-Jigar Hasnain ki maa Hazrat Fatima Batool ne bhi daa’ee ajal ko labbaik keh diya.
Un ki wafaat kay baad Hazrat Ali رضي الله عنه ne qabilah banu Hanfiyah ki aik khatoon Khawla Bint-e-Ja’afar Bin Qais say shaadi kar li. Us kay haan beta hua jis ka naam Muhammad rakha gaya, Aur us ki kuniyat Rasool-e-Akram ﷺ ki ijazat kay mutaabiq Abul Qasim rakhi gayi, Log unhein Muhammad Bin Hanfiyah kay naam say pukaarne lage takeh Hazrat Fatima Zahrah kay laadle beton Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain رضی اللہ عنهما say un ka imtiyaz ho sakay. Phir yeh tareekh mein isi naam say mashoor huye.
Muhammad Bin Hanfiyah, Siddique Akbar رضی اللہ عنه ki khilaafat kay aakhir ayyaam mein paida huye, Apne waalid muhtaram Hazrat Ali رضي الله عنه ki nigraani mein nashonuma paai aur unhin say ilm, Zuhad aur taqwa haasil kiya, Un ki Quwwat-e-Shuja’at kay waaris bane aur unhein say Fasaahat-o-Balaaghat kay gur sikhay. Woh bayak waqat Maidaan-e-Jang kay batal Jaleel aur Maidaan-e-Khitaabat kay azeem shehsawaar thay.
Jab raat ki taareeki chaa jaati log neend kay mazay loot rahe hotay to yeh musalle pay khade hote aur Allah subhana wa ta’ala say hamkalaam hote, Sajdah raiz hotay, Girgiratay aur Aah-o-Zaariyan kartay.
Hazrat Ali رضي الله عنه ne apne betay Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah ko un tamaam jangon mein saath rakha jin mein khud shareek huye aur apne yeh apne baap kay shaana bashaana lade, Aur usey woh jangi chaalain aur pentray sikhlaaye jo Hazrat Hasan رضي الله عنه aur Hussain رضي الله عنه ko nahi sikhlaaye thay.
Kisi jung mein naa yeh maghloob huye aur na kabhi un kay azam raasikh mein izmahlaal aaya.
Aik dafa un say sawaal kiya gaya keh kya baat hai aap kay Abba jaan ne tumhein khatarnaak jungon mein shareek kiya jabkeh Hazrat Hasan aur Hussain رضي الله عنهما ko maa’rikah aarayaon say alag thalag rakha?
Farmaaya: Is liye keh woh dono meray bhaai apne baap ki aankhain aur main un ka hath tha. Woh apne haathon say apni aankhon ki hifaazat kiya karte thay.
Jung Siffeen jo Hazrat Ali رضي الله عنه aur Hazrat Muawiyah رضي الله عنه kay maaben ladi gayi, Is jung mein Muhammad Bin Hanfiyah ne apne baap ka jhanda uthaa rakha thaa, Fariqain kay afraad us jang ki chakki mein pisnay lage, Tarfain kay log gaajar mooli ki tarah katt kar Maidaan-e-Jang mein girnay lage. Muhammad Bin Hanfiyah farmaate hain keh mujhe yun mehsoos hua keh ab fariqain mein say koi nahi bachega, Main yeh Surat-e-Haal dekh kar bohat ghabraaya, Thodi der baad main ne apne peechay say aik cheekh suni, Mud kar dekha aik banda Khuda Dard-e-Dil say pukaar pukaar kar keh raha tha:
Musalmaanon ! Allah say daro!
Musalmaanon ! Aurton aur bachhon ka khayaal karo!
Musalmaanon ! Deen aur namoos ka khayaal rakho!
Musalmaanon ! Zara in nau muslimon ki taraf dekho jo Rome aur dailam say naye naye Daaira-e-Islaam mein daakhil huye hain.
Musalmaanon ! Allah say daro.
Yeh dard bhare kalmaat sun kar main ne pukhtah irada kar liya keh aaj kay baad meri talwaar kisi musalman kay khilaaf nahi uthegi.
Hazrat Ali رضي الله عنه aik badbakht kay haathon shaheed huye to Ummat-e-Muslimah Ameer Muawiyah Bin Abi Sufiyaan ki khilafat par mujtama’ ho gayi. Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah ne bhi islaam aur musalmaanon ki khaatir islaah-e-Ahwaal kay liye aur Ummat-e-Muslimah ki shiraazi bandi karne ki gharz say Samaa-o-Ita’at ki buniyad par Hazrat Ameer Muawiyah رضي الله عنه kay haath par bai’t kar li.
Hazrat Ameer Muawiyah رضي الله عنه ne is bai’t kay Sidq-o-Safaa ka khayaal rakhte huye beshtar martabah Muhammad Bin Hanfiyah ko apne paas daar ul khilafa mein bulayaa aur un ki badi Qadar-o-Manzilat ki, Aur jab bhi aap Ameer Muawiyah رضي الله عنه say milnay kay liye daar ul hukumat Damishq tashreef laye, Aap ko shaahi Aizaaz-o-Ikraam say nawaaza gaya.
Aik martabah Rome kay badshaah ne Ameer Muawiya رضي الله عنه ko khat likha jis mein yeh tehreer tha:
Hamaare haan yeh dastoor hai keh baadshah aik doosre ko kher sagaali kay paighamaat bhejtay hain, Aur qeemti tahaaif kay tabaadlah say khushi mehsoos kartay hain aur basa auqaat apne mulk ki Ajeeb-o-Ghareeb aur muhayyir ul uqool ashiya kay bahimi tabaadlah mein aik doosray say sabqat le jaane kay liye koshaan rehtay hain, Kya aap ijazat detay hain keh yeh dastoor meray aur aap kay darmiyan bhi raaij ho?
Hazrat Ameer Muawiyah رضی اللہ عنه ne qeemti tahaaif aur dilpasand ashiya kay bahimi tabaadle kay liye razaa mandi ka izhaar kar diya.
Rome kay badshaah ne apne mulk kay do Ajeeb-o-Ghareeb qism kay aadmi Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه ki taraf bhejay.
Aik lambaa tadangaa tha, Qad ki lambaai hairat angaiz thi, Yun maloom hota tha jaise jungle mein aik intehaai lambaa darakht khada hai yaa koi unchaa meenaar khada hai.
Aur doosra shehzoor tha usey dekh kar yun maloom hota tha jaise koi cheed phaad karne waala darinda khada hai, Unkay paas Shah-e-Rome ka aik khat bhi tha jis mein ye likha hua thaa.
Kya aap kay mulk mein lambaai aur taaqat kay lihaaz say in jaisa koi shakhs hai?
Hazrat Ameer Muawiyah رضي الله عنه yeh khat padh kar Hazrat Amar bin Aas رضی اللہ عنه say farmaane lage: Itna taweel aadmi balkeh is say bhi do qadam aage hamaare paas hai aur woh hai Qais Bin S’aad Bin Ubaadah, Raha doosary shakhs jaisa taaqatwar to aap bataye woh kaun ho sakta hai?
Hazrat Amar Bin Aas رضی اللہ عنه ne farmaaya: Hamaare mulk mein do shakhs taaqat mein is say badh kar hain, Aik Muhammad Bin Hanfiyah aur doosray Abdullah Bin Zubair رضي الله عنه lekin yeh dono daar ul hukumat say bohat door rehtay hain.
Hazrat Ameer Muawiyah رضي الله عنه ne irshaad farmaaya: Muhammad Bin Hanfiyah ham say door nahi, Hazrat Amar bin Aas رضی اللہ عنه ne kaha: kya khayaal hai woh apne martabah aur maqaam kay aitebaar say logon kay saamne aik Romi shakhs kay saath zor aazmai kay liye tayyar ho jayenge?
Ameer Muawiyah ne irshaad farmaaya: haan! islaam ki izzat ki khaatir woh is kay liye taiyyar ho jayenge.
Phir Hazrat Muawiyah رضي الله عنه ne Qais Bin S’aad aur Muhammad Bin Hanfiyah ko bulaya, Jab muqablah kay liye majlis mun’aqid ki gayi to janaab Qais Bin S’aad ne tehband bandh kar pajama utaara aur Madd-e-Muqaabil lambay tarange roomi bagle bhagat ki taraf phenka aur usey bade tamtadaaq say kaha yeh pehno us ne pajama pehna jo us kay gale tak pahunch gaya Ahl-e-Majlis yeh manzar dekh kar hans diye, Hazrat Qais Bin S’aad ka qad us say kahin bada tha, Roomi yeh dekh kar bohat khisyana hua.
Aur Muhammad Bin Hanfiyah ne tarjumaan say kaha keh meray Madd-e-Muqaabil aane waale Roomi say kaho, Chaahe woh baith jaye aur main khada rahoon aur woh apna hath meray hath mein day main usey Bazor-e-Baazu khada karunga aur woh mujhe bithaane mein zor aazmai kare aur agar woh chaahe to woh khada ho jaye aur mein baith jaata hoon, Baaen surat woh mujhe khada karega main usey bithaane ki koshish karunga is tarah ham dono apni taaqat ka muzaahira karenge.
Roomi ne baithnay ko tarjeeh di, Muhammad Bin Hanfiyah ne uska haath pakda aur usey aan waahid mein khada kar diya lekin roomi aap ko bithaane mein nakaam raha. Roomi kay seenay mein qawi gherat siraayat kar gayi, Usne khada ho kar muqablah karne ki thaani aur Muhammad Bin Hanfiyah ne baith kar us kay haath ko aik aisa zor daar jhatka diya jis say woh zameen say aan lagaa aur aise Peech-o-Taab khaane laga jaise us ka baazu kandhay say alag ho gaya ho, Muqablah khatam ho gaya aur dono roomi rustam Khaaib-o-Khaasir aur Sharmindah-o-Pashemaan apne baadshah kay paas apna sa munh lekar wapis laut gaye.
Phir hawaadisaat-e-Zamaana ne aik aur palta khaya……
Hazrat Ameer Muawiyah, Unka farzand Yazeed aur Marwan Bin Hukam apne Rab ko pyare ho gaye. Banu Umayyah ki baag dor Abdul Maalik Bin Marwaan kay haath aayi, Woh khalifat ul muslimeen kehlaane laga, Ahl-e-Shaam ne un ki bai’t kar li, Ahl-e-Hijaaz-o-Iraq ne Hazrat Abdullah Bin Zubair رضي الله عنه kay haath par bai’t ki.
Donon mein say har aik logon ko apni bai’t par amaadah karne laga kyunkeh har aik ka khayaal tha keh main Madd-e-Muqaabil say zyadah khilaafat ka haqdaar hoon, Us say musalmaanon ka phir say shiraazah bikhar gaya, Hazrat Abdullah Bin Zubair رضي الله عنه ne Muhammad Bin Hanfiyah say mutalba kiya keh woh bhi Ahl-e-Hijaaz ki tarah un kay haath par bai’t karay.
Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah par bai’t ka mafhoom makhfi nahi tha, Woh khoob samjhte thay keh jis ki bai’t li jaye us kay bai’t karne waale par kiya haqooq aaid hotay hain? Is ka aik matlab to yeh hai keh us kay difaa’ mein talwaar soonti jaye aur us kay mukhaalifeen ko teh teegh kiya jaye.
Jabkeh mukhaalif musalmaan hain jinhon ne apne ijtehaad say kisi doosray kay haath par bai’t kar rakhi hai yeh danishmandi, Zisha’oor aur ma’amla fehem sapoot Jung-e-Siffeen ko abhi nahi bhoola tha aur na hi us dardnaak aur dil dehlaa denay waali awaaz ko faramosh kiya tha, Jo kisi dard-e-Dil rakhne waale shakhs ki zubaan say ladai kay dauraan nikli thi.
Aye musalmaanon! Allah say daro.
Aye musalmaanon! Aurton aur bachon ka khayaal karo.
Aye musalmaanon! Deen aur namoos ka khayaal rakho.
Aye musalmaanon! in nau muslimon ki taraf dekho. Jo Rome aur dailam say naye naye Daaira-e-Islaam mein daakhil huye hain.
Aye musalmaanon! Allah say daro jaisa keh us say darne ka haq hai.
Haan haan in mein say koi bhi baat woh qat’an nahi bhoola thaa.
Us ne Hazrat Abdul ah Bin Zubair رضي الله عنه say saaf saaf keh diya. Aap achi tarah jaante hain keh mujhe is bai’t say koi dilchasapi nahi, Main Ummat-e-Muslimah ka aik fard hoon, Main us kay hath par bai’t karunga jis ki khilaafat par puri ummat muttafiq ho jaye, Is waqat na main aap ki bai’t karunga na Abdul Maalik Bin Marwaan ki.
Hazrat Abdullah Bin Zubair Muhammad Bin Hanfiyah ko apni bai’t par amaadah karne kay liye kabhi naram rawaiyyah ikhtiyar karte aur kabhi tursh.
Thoday say arse mein Muhammad Bin Hanfiyah kay saath bohat say log aa mile, Dekhte hi dekhte saat hazaar afraad ne fitna say alaihdgi ikhtiyar karte huye unki qayaadat ko tasleem kar liya aur unho ne us sholaa fagan aag ka eendhan ban’ne say saaf inkaar kar diya.
Muhammad Bin Hanfiyah kay pairo kaar joon joon badhne lage tyon tyon Hazrat Abdullah Bin Zubair ka paara un kay khilaaf chadhne laga aur bai’t karne ka israar karne lage.
Jab Hazrat Abdullah Bin Zubair aur Banu Hashim mein se un kay saathi Muhammad Bin Hanfiyah say mayoos ho gaye to unho ne Muhammad Bin Hanfiyah aur un kay pairokaaron ki nigraani kay liye pehrah bitha diya, Phir un say Hazrat Abdullah Bin Zubair رضي الله عنه ne kaha:
Bakhuda yaa to tum meri bai’t karoge yaa main tumhary gharon ko aag lagaa kar bhasam kar doonga.
Phir uskay baad unhein gharon mein muqayyad kar diya aur gharon ki deewaaron kay sath endhan chunwa diya, Surat-e-Haal yeh thi keh aik hi chingaari tamaam gharon ko jalaa kar bhasam kar dene kay liye kaafi thi, Is naazuk mauqa par Muhammad Bin Hanfiyah ki jama’at kay chand afraad ne kaha: Hamein ijazat dijiye takeh ham Abdullah Bin Zubair ka kaam tamaam kar dain aur logon ko sukh ka saans lena naseeb ho.
Farmaaya: kya ham apne hi haathon se is fitnay ki aag ko bhadkayen jis say ham alag huye hain? Kya ham Sahaabi Rasool (ﷺ) aur farzand Sahaabi ko qatal karnay ka irtikaab karain gain?
Nahi. Allah ki qasam nahi. Ham koi aisa iqdaam nahi karaenge jo Allah aur us kay Rasool (ﷺ) ki naraazgi ka baa’is ho.
Jab Abdul Maalik Bin Marwaan ko Hazrat Abdullah Bin Zubair (رضي الله عنه) ki jaanib se Muhammad Bin Hanfiyah aur un kay saathion par ki jaane waali sakhtion aur tashaddud ka pata chala to is ko Mauqa-e-Ghanaat samjhte huye aik khat day kar qaasid ko un ki taraf rawaana kiya, Jis mein nihayat hi Mohabbat-o-Shafqat ka andaaz apnaaya gaya thaa kabhi is andaaz se apne beton ko bhi khat nahi likha. Us mein yeh paighaam bheja keh mujhe ma’loom hua keh Abdullah Bin Zubair ne aap ka Arsa-e-Hayaat tang kar rakha hai, Sar Zameen-e-Shaam kay raaste aap kay liye khule hain, Aap tashreef laayen ham aap kay tamaam saathiyon ko khush aamdeed kehte hain, Hamaare paas tashreef laaye ham aap ka garam joshi se istaqbaal karenge, Yahan pohonch kar aap yun mehsoos karenge jaise apne ghar mein hon, Aap hamain apne qadar daanon mein se payenge, Aap kay huqooq ka khayaal rakha jayega.
Jab yeh khat milaa to Muhammad Bin Hanfiyah apne saathiyon ko lekar sar Zameen-e-Shaam ki taraf rawaana huye, Jab sarhadi ilaaqe kay Ablah maqaam par pahunche, Wahan padao kiya. Ablah kay baashindon ne un ki bohat qadar ki dil khol kar un ki mehmaan nawaazi ki, Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah ki ibaadat aur Zuhad-o-Taqwa se mutaasir ho kar un ki ta’zeem bajaa laaye. Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah Ahliyan-e-Ablah ko naiki ka hukm dene, Burayi se rokne, Islaami sha’air qayem karne aur un kay bahimi jhagdon ko niptaane lage, Us ilaaqe mein koi aisa na raha jo kisi doosre par zulm karta ho.
Jab yeh khabar Abdul Maalik Bin Marwaan tak pahuchi to us par badi shaaq guzri. Usne apne ham nasheenon se mashwarah kiya.
Unho ne kaha: Hamaari raaye yeh hai keh aap usey apne mulk mein rehne ki ijaazat na dain warna woh aap kay liye khatrah ban jayega aur us ki khoobion aur salahiyaton ko aap achi tarah jaante hain, Agar unho ne yahan rehna hai to aap ki bai’t karen warna jahan se aaye hain wahin chale jayen.
Abdul Maalik Bin Marwaan ne un ki taraf khat likha jis mein tehreer tha:
Aap meray mulk mein tashreef laye aur us kay aik kone mein frokash huye, Jaisa keh aap ko ma’loom hai keh meray aur Abdul ah Bin Zubair kay maabain kashmakash hai, Musalmaanon mein aap ki izzat shohrat aur aik ahem maqaam hai, Mera khayaal hai keh agar aap meray mulk mein rihayish ikhtiyaar karna chahte hain to meri bai’t kar lain, Aap kay liye yeh behtar hoga agar aap bai’t kar len to main aap ko woh so bahri jahaaz jo samaan se lade huye abhi abhi pahunche hain maa’ un kay amle kay aap ki nazar kar doonga, Woh aap ki malkiyat honge aur un kay ilaawah das laakh dirham aap ki khidmat mein pesh karne kay liye tayyaar hoon, Usey kharch karne ka aap ko mukammal ikhtiyar hoga, Aap yeh raqam apni zaat, Apni aulaad, Rishtadaaron aur saathiyon par kharch kar sakengay, Agar aap meri bai’t se inkaari hain to phir wahaan tashreef le jaaye, Jahaan mera ikhtiyar na chalta ho.
Muhammad Bin Hanfiyah ne jawaaban yeh khat likha.
Muhammad Bin Ali ki jaanib se Abdul Maalik Bin Marwaan ki taraf.
Assalam u alaikum:
Main us Allah ki ta’reef karta hoon jis kay ilaawah koi Maa’bood-e-Haqeeqi nahi.
Amaa ba’ad!
Shayad aap mujh se haraasan hain, Mera khayaal thaa keh aap bai’t kay silsilay meray haq par mabni mouqaf ko jaan chuke honge.
Allah ki qasam agar mujh par puri ummat ka itefaaq ho jaye aur sirf aik basti waale mujhe apna khalifah man’ne se inkaari hon to tab bhi main yeh Khilaafat-o-Imaarat qat’an qabool na karoon aur is baat par kabhi bhi un se ladayi na karoon.
Main Makkah mu’azzmah mein rehaaish pazeer hua. Hazrat Abdullah Bin Zubair ne chaaha keh main un ki bai’t kar loon, Jab main ne inkaar kar diya to unhein mera faislah nagawaar guzra aur meray liye mushkilaat paidah kein. Phir aap ne mujhe apne mulk Shaam mein rehayish ikhtiyar karne kay liye daa’wat di, Main aap ki daa’wat ko qabool karte huye yahan chala aaya aur aap ki saltanat kay aik kone mein rehne laga phir aap ne yeh paighaam bhej diya hai main In Sha Allah apne saathiyon ko lekar yahan se chala jaaonga aap ghabraaye nahi.
Muhammad Bin Hanfiyah apne Ahl-o-Ayaal aur mureedaan-e-Ba safa ko leka sar Zameen-e-Shaam se waapis palte jis jagah bhi aap padaao karte aap ko wahan se kooch kar jaane ka hukm diya jaata, Yehi Gham-e-Jaana kaafi na huye balkeh mazeed Gham-o-Andoh mein mubtala karna mashiyat ezdee thehra.
Hua yeh keh aap kay chand pairokaar apni ghaflat, Susti aur kaahili ki binaa par kehne lage keh: Rasool Allah (ﷺ) ne Hazrat Ali (رضي الله عنه) aur un ki aulaad kay seenon mein ilm kay Asraar-o-Rumooz deen kay bunyaadi usool aur shariyat kay khazaane wadi’at kar diye thay. Aal-e-Bait ko khaas taur par rohaani uloom se maala maal kar diya tha yeh sa’adat kisi aur kay naseeb na aayi…………Lekin hamaare rehnumaa bhi Aal-e-Bait mein say hain, In masaaib aur Ranj-o-Alam mein in ki baseerat kisi kaam nahi aa rahi.
Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah ne Khudadaad salaahiyat, Danishmandi aur Qaabil-e-Rashk Aqal-o-Khurd ki binaa par is khatre ko bhaanp liya keh yeh log masayeb se ghabra kar Rah-e-Faraar ikhtiyar karna chahte hain, Aap ne sb logon ko ikattha kiya aur aap un se khitaab kay liye khade huye, Allah ta’ala ki hamd-o-sanaa aur Rasool-e-Aqdas(ﷺ) par Durood-o-Salaam kay baad irshaad farmaaya:
Baa’z logon ka khayaal hai keh Aal-e-Bait ko Rasool-e-Aqdas (ﷺ) ne kisi aise khusoosi ilm se nawaaza hai jo kisi aur ko ataa nahi kiya.
Allah ki qasam! Ham Rasool Allah (ﷺ) ki taraf se us ilm kay waaris hain jo Quran-e-Majeed mein mehfooz hai, Jo log yeh gumaan karte hain keh ham Kitaab-e-Ilaahi kay ilawah kuch aur padhte hain woh jhoot bolte hain.
Aap kay baa’z pairokaar mohabbat se yun salaam karte.
Assalam u Alaik Yaa Mehdi.
Aap farmaate: Main Khair-o-Bhalaai ki taraf rehnumaai karne waala hoon aur aap tamaam bhi Khair-o-Bhalaai ki taraf rehnumaai karne waale ho.
Jab koi mujhe salaam kahe to woh mera naam liya kare aur yun kahe Assalam u alaik Yaa Muhammad Bin Ali.
Muhammad Bin Hanfiyah aur us kay saathiyon kay liye yeh takleef deh surat zyadah der tak na rahi, Hua yun keh Hajjaj Bin Yousaf Hazrat Abdullah Bin Zubair par ghaalib aa gaya, Unhein shaheed kar diya gaya, Tamaam logon ne Abdul Maalik Bin Marwaan ki Khilaafat-o-Imaarat ko tasleem karte huye us kay haath par bai’t kar li. Yeh Surat-e-Haal dekhte huye Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah ne Abdul Maalik Bin Marwaan ki taraf khat likha jis mein yeh tehreer tha:
Muhammad Bin Ali ki taraf se Ameer ul Momineen Abdul Maalik Bin Marwaan ki taraf:
Amaa ba’ad!
Assalam u alaikum:
Jab main ne yeh manzar dekha keh sab logon ne mutafiqqa taur par aap ki khilaafat ko tasleem kar liya hai, Main bhi Ummat-e-Muslimah ka aik fard hoon, Main ne Hijaaz mein aap ki taraf se muqarrar kardah governor kay haath par bai’t kar li hai, Aur yeh bai’t bhi aap ki Khilaafat-o-Imaarat ko tasleem karte huye ki hai aur aap ko is ki ittalaa’ kar raha hoon.
Walaikum Assalam.
Abdul Maalik Bin Marwaan ne jab yeh khat apne hamnasheenon ko padh kar sunaaya, Sab ne bayak zubaan kaha:
Ameer ul Momineen is khat se Muhammad Bin Hanfiyah kay ikhlaas ka pata chalta hai, Agar woh aap ki mukhaalifat karna chahte aur itaa’at se ru girdaani ka muzaahira karte to aap kay liye mushkilaat paida kar sakte thay, Yeh un ki meherbaani hai keh unho ne kher sagaali kay jazbaat ka izhaar karte huye aap ki bai’t ka ailaan kiya hai. Ab un ki aap ko qadar karni chahiye, Un ko pehli fursat mein jawaabi khat likhein jis mein un ka shukriya adaa karain. Aur unhein har tarah kay t’aawun ka yaqin dilaaein aur saath hi unhein yeh tasalli bhi dain keh aaj kay baad unhein aur un kay kisi saathi kay liye hukumat ki jaanib se koi pareshaani paidah nahi ki jayegi aur na hi kisi ghabraahat mein mubtala kiya jayega, Aap Aman-o-Sukoon se zindagi basar karainge. Aur saath hi aik khat Hajjaj Bin Yousuf ko likha jis mein usey yeh hukam diya keh Muhammad Bin Hanfiyah ki taa’zeem bajaa laayen aur har tarah se un ka khayaal rakhain.
Lekin Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah zyadah der zindah na rahe.
Allah ta’ala ne unhein apni Jawaar-e-Rahmat mein bulaa liya.
Allah us pe raazi woh Allah pe raazi.
Allah ta’alaa Muhammad Bin Hanfiyah ki qabar ko munawwar kare aur un ki paakizah rooh ko Jannat mein taro taazah rakhe, Woh un khush naseeb logon mein se thay jo zameen mein fasaad aur apne Naam-o-Namood kay khwahaan nahi hote.
Muhammad Bin Hanfiyah kay mufassal Halaat-e-Zindagi ma’loom karne kay liye darjzail kitaabon ka mut’ala karain:
1: Hilyat ul Awliya (Abu Nuaim Asfahani) 3/174 2: Tahzeeb ul Tahzeeb 9/354 3: Sifat ul Safwah Ibn-e-Jawzi 2/77-79 4: Al Tabaqat ul Kubra Ibn-e-Saad 5/91 5: Al Wafi Bil Wafayat Mutarjim page: 1583 6: Wafayat ul Aayan Ibn-e-Khalkan 4/169 7: Al Kamil 3/391.4/250 8: Shazarat ul Zahab 1/89 9: Tahzeeb ul Asma’a Wal Lughat 1/88-89 10: Al bad’o Wal Tarikh 5/75-76 11: Al Ma’arif Ibn-e-Qutaibah 123 12: Al Aqad ul Fareed Ibn-e-Abdul Bar jild:2-3-5 dikhiy |
REFERENCE:
Book: “Hayat-e-Taba’een kay Darakhsha pahelo”
Taleef : Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
Urdu Translation : By Professor Mehmood Ghaznofer
حضرت محمد بن علی بن ابی طالب
عرف محمد بن حنفیہ رضی اللّٰہ عنہ
میری معلومات کے مطابق حضرت علی رضی اللّٰہ عنہ سے ان کے بیٹے محمد بن حنفیہ نے سب سے زیادہ علم و ادب حاصل کیا ۔
ابن جنید
حضرت محمد بن حنفیہ اور اس کے بھائی حضرت حسن بن علی رضی اللّٰہ عنہ کے تعلقات کشیدہ ہو گئے ۔ محمد بن حنفیہ نے حضرت حسن کو خط لکھا جس میں تحریر تھا۔
اللّٰہ تعالیٰ نے کئی اعتبار سے آپکو مجھ پہ برتری عطا کی، وہ اس طرح کہ: آپ کے والدہ ماجدہ حضرت محمد ﷺ کی لخت جگر ہیں۔
اور میری والدہ قبیلہ بنو حنیفہ کی چشم و چراغ ہیں۔
آپکے نانا اللّٰہ کے رسول اور اس کی مخلوق کے سردار ہیں ۔
اور میرا نانا جعفر بن قیس ہے۔
جب میرا یہ خط آپ کے پاس پہنچے تو میرے ساتھ صلح کرنے کے لیے فورا چلے آنا ۔ تاکہ اس میں بھی آپکو ہی برتری حاصل رہے ۔ جب یہ غلط حضرت حسن رضی اللّٰہ عنہ کے پاس پہنچا تو وہ جلد ان کے پاس آئے اور صلح کر لی۔
یہ دانشور ، حسن اخلاق کا پیکر ، ماہر ادیب کون ہے ؟ آئیے شروع سے ہم اس کی داستان حیات بیان کرتے ہیں ۔
اس داستان کا آغاز رسول اکرم ﷺ کی حیات مبارکہ کے آخری ایام سے ہوتا ہے ۔
ایک روز حضرت علی رضی اللّٰہ عنہ نبی کریم صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم کی خدمت اقدس میں بیٹھے ہوئے تھے عرض کیا ، یا رسول اللّٰہ ﷺ اگر اب مجھے اللّٰہ سبحانہ و تعالیٰ بیٹا عطا کرے کیا اس کا نام آپکے نام پر رکھ سکتا ہوں ۔
فرمایا ہاں کیوں نہیں!
پھر یو نہی دن گزرنے لگے ، نبی کریم صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم اللّٰه کو پیارے ہو گئے آپکے وصال کے چند ماہ بعد آب کی لخت جگر حسین کی ماں حضرت فاطمہ بتول نے بھی داعی اجل کو لبیک کہہ دیا۔
ان کی وفات کے بعد حضرت علی رضی اللّٰہ عنہ نے قبیلہ بنو حنیفہ کی ایک خاتون خولہ بنت جعفر بن قیس سے شادی کر لی ۔ اس کے ہاں بیٹا پیدا ہوا جس کا نام محمد رکھا گیا ، اور اس کی کنیت رسول اکرم ﷺ کی اجازت کے مطابق ابو القاسم رکھی گئی ، لوگ انہیں محمد بن حنفیہ کے نام سے پکارنے لگے تاکہ حضرت فاطمتہ الزہراہ کے لاڈلے بیٹوں حضرت حسن رضی اللّٰہ عنہ اور حضرت حسین رضی اللّٰہ عنہ سے ان کا امتیاز ہو سکے ۔ پھر یہ تاریخ میں اسی نام سے مشہور ہوئے ۔
محمد بن حنفیہ حضرت صدیق اکبر رضی اللّٰہ عنہ کی خلافت کے آخری ایام میں پیدا ہوئے ، اپنے والد محترم حضرت علی رضی اللّٰہ عنہ کی نگرانی میں نشوونما پائی اور انہیں سے علم ، زھد اور تقویٰ حاصل کیا، ان کی قوت و شجاعت کے وارث بنے اور انہیں سے فصاحت و بلاغت کے گر سیکھے ۔ وہ بیک وقت میدان جنگ کے بطل جلیل اور میدان خطابت کے عظیم شہسوار تھے ۔
جب رات کی تاریخی چھا جاتی لوگ نیند کے مزے لوٹ رہے ہوتے تو یہ مصلے پر کھڑے اللّٰہ سبحانہ و تعالیٰ کے ساتھ ہم کلام ہوتے ، سجدہ ریز ہوتے ، گڑگڑاتے اور آہ وذاریاں کرتے۔
حضرت علی رضی اللّٰہ عنہ نے اپنے بیٹے محمد بن حنفیہ کو ان تمام جنگوں میں ساتھ رکھا جن میں خود شریک ہوئے اور یہ اپنے باپ کے شانہ بشانہ لڑے، اور اسے وہ جنگی چالیں اور پینترے سکھلائے جو حضرت حسن رضی اللّٰہ عنہ اور حسین رضی اللّٰہ عنہ کو نہیں سکھلائے تھے۔
کسی جنگ میں نہ یہ مغلوب ہوئے اور نہ کبھی ان کے عزم راسخ میں کوئی اضمحلال آیا ۔ ایک دفعہ ان سے سوال کیا گیا: کہ کیا بات ہے آپ کے اباجان نے تمھیں خطرناک جنگوں میں شریک کیا جبکہ حضرت حسن اور حضرت حسین رضی اللّٰہ عنہ کو معرکہ آرائیوں سے الگ تھلگ رکھا۔
فرمایا: اس لئے کو وہ دونوں میرے بھائی اپنے باپ کی آنکھیں اور میں ان کا ہاتھ تھا۔ وہ اپنے ہاتھوں سے اپنی آنکھوں کی حفاظت کیا کرتے تھے۔
جنگ صفین جو حضرت علی رضی اللّٰہ عنہ اور حضرت امیر معاویہ رضی اللّٰہ عنہ کے مابین لڑی گئی اس جنگ میں محمد بن حنفیہ نے اپنے باپ کا جھنڈا اٹھا رکھا تھا ، فریقین کے افراد اس جنگ کی چکی میں پسنے لگے طرفین سے لوگ گاجر مولی کی طرح کٹ کر میدان میں گرنے لگے ۔ محمد بن حنفیہ فرماتے ہیں کہ مجھے یوں محسوس ہوا کہ اب فریقین میں سے کوئی نہیں بچے گا میں یہ صورت حال دیکھ کر گھبرایا
تھوڑی دیر بعد میں نے اپنے پیچھے سے ایک چیخ سنی مڑ کر دیکھا کہ ایک بندہ خدا درد دل سے پکار پکار کر کہہ رہا تھا ۔
مسلمانو! اللّٰہ سے ڈرو!
مسلمانو! عورتوں اور بچوں کا خیال کرو!
مسلمانو! دین اور ناموس کا خیال رکھو!
مسلمانو! ذار ان نو مسلموں کی طرف دیکھو جو روم اور دیلم سے نئے نئے دائرہ اسلام میں داخل ہوئے ہیں۔
مسلمانو! اللّٰہ سے ڈرو۔
یہ درد بھرے کلمات سن کر میں نے پختہ ارادہ کر لیا کہ آج کے بعد میری تلوار کسی مسلمان کے خلاف نہیں اٹھے گی۔
پھر حضرت علی رضی اللّٰہ عنہ ایک بدبخت کے ہاتھوں شہید ہوئے تو امت مسلمہ امیر معاویہ بن ابی سفیان کی خلافت پر مجتمع ہو گئی حضرت محمد بن حنفیہ نے بھی اسلام اور مسلمانوں کی عزت کی خاطر اصلاح احوال کے لیے اور امت مسلمہ کی شیرازی بندی کی غرض سے سمع وطاعت کی بنیاد پر حضرت امر معاویہ رضی اللّٰہ عنہ کے ہاتھ پر بیعت کر لی ۔
حضرت امیر معاویہ رضی اللّٰہ عنہ نے اس بیعت کے صدق و صفا کا لحاظ رکھتے ہوئے بیشتر مرتبہ محمد بن حنفیہ کو اپنے پاس دار الخلافہ میں بلایا اور ان کی بڑی قدر و منزلت کی ، اور جب بھی آپ حضرت امیر معاویہ رضی اللّٰہ عنہ سے ملنے کے لیے دارالحکومت دمشق تشریف لائے آپ کو شاہی اعزاز و اکرام سے نواز گیا
ایک مرتبہ روم بادشاہ نے حضرت امیر معاویہ رضی اللّٰہ عنہ کو خط لکھا جس میں یہ تحریر تھا۔
ہمارے ہاں یہ دستور ہے کہ بادشاہ ایک دوسرے کو خیر سگالی کے پیغامات بھیجتے ہیں ، اور قیمتی تحائف کے تبادلے سے خوشی محسوس کرتے ہیں اور بسا اوقات اپنے مالک کی عجیت و غریب اور محیر العقول اشیاء کے باہمی تبادلے میں ایک دوسرے سے سبقت لے جانے کے لیے کوشاں رہتے ہیں ، کیا آپ اجازت دیتے ہیں کہ یہ دستور میرے اور آپ کے درمیان بھی رائج ہو؟
حضرت امیر معاویہ رضی اللّٰہ عنہ نے قیمتی تحائف اور دل پسند اشیاء کے باہمی تبادلے کے لیے رضامندی کا اظہار کر دیا ۔
روم کے بادشاہ نے اپنے ملک کے دو عجیب و غریب قسم کے آدمی حضرت امیر معاویہ رضی اللّٰہ عنہ کی طرف بھیجے ۔
ایک بہت لمبا تڑنگا تھا قد کی لمبائی حیرت انگیز تھی، یوں معلوم ہوتا جیسے جنگل میں ایک انتہائی لمبا درخت کھڑا ہے یا کوئی اونچا مینار ہے۔
اور دوسرا شہزور تھا اسے دیکھ کر یوں معلوم ہوتا جیسے کوئی چیر پھاڑ کرنے والا درندہ کھڑا ہے ان کے پاس شاہ روم کا ایک خط بھی تھا جس میں یہ لکھا ہوا تھا۔
کیا آپ کے ملک میں لمبائی اور طاقت کے لحاظ سے ان جیسا کوئی شخص ہے ؟
حضرت امیر معاویہ رضی اللّٰہ عنہ یہ خط پڑھ کر حضرت عمر و بن عاص رضی اللّٰہ عنہ سے فرمانے لگے ، اتنا طویل آدمی بلکہ اس سے بھی دو قدم آگے ہمارے پاس ہے اور وہ ہے قیس بن سعد بن عبادہ ، رہا اس دوسرے شخص جیسا طاقتور تو آپ بتائیے وہ کون ہو سکتا ہے؟
حضرت عمرو بن العاص رضی اللّٰہ عنہ نے فرمایا ، ہمارے ملک میں دو شخص طاقت میں اس سے بڑھ کر ہیں ، ایک محمد بن حنفیہ اور دوسرے حضرت عبد اللّٰہ بن زبیر رضی اللّٰہ عنہ لیکن یہ دونوں دارالحکومت سے بہت دور رہتے ہیں ۔
حضرت امیر معاویہ رضی اللّٰہ عنہ نے ارشاد فرمایا محمد بن حنفیہ ہم سے دور نہیں، حضرت عمرو بن عاص رضی اللّٰہ عنہ نے کہا ، کیا خیال ہے وہ اپنے مرتبہ و مقام کے اعتبار سے لوگوں کے سامنے ایک رومی شخص کے ساتھ زور آزمائی کے لیے تیار ہو جائیں گے ۔
امیر معاویہ نے ارشاد فرمایا ، ہاں اسلام کی عزت کی خاطر وہ اس کے لیے تیار ہو جائیں گے ۔
پھر حضرت معاویہ رضی اللّٰہ عنہ نے قیس بن سعد اور محمد بن حنفیہ کو بلایا،
جب مقابلے کے لیے مجلس منعقد کی گئی تو جناب قیس بن سعد نے تہمبند باندھ کر پائجامہ اتارا اور مد مقابل لمبے تڑنگے رومی بگلے بھگت کی طرف پھینکا اور اسے بڑے طمطراق سے کہا یہ پہنو اس نے پاجامہ پہنا جو اس کے گلے تک پہنچ گیا اہل مجلس یہ منظر دیکھ کر ہنس دئیے ، حضرت قیس بن سعد کا قد اس کسے کہیں لمبا تھا، رومی یہ دیکھ کر بہت کھسیانہ ہوا۔
اور محمد بن حنفیہ نے ترجمان سے کہا کہ میرے مد مقابل آنے والے رومی سے کہو، چاہے وہ بیٹھ جائے اور میں کھڑا رہوں اور وہ اپنا ہاتھ میرے ہاتھ میں دے میں اسے بزور بازو کھڑا کروں گا اور وہ مجھے بٹھانے میں زور آزمائی کرے اور اگر وہ چائے تو خود کھڑا ہو جائے میں بیٹھ جاتا ہوں ، بایں صورت وہ مجھے کھڑا کریگا میں اسے بٹھانے کی کوشش کروں گا اس طرح ہم دونوں اپنی طاقت کا مظاہرہ کریں گے ۔
رومی نے بیٹھنے کو ترجیح دی ، محمد بن حنفیہ نے اس کا ہاتھ پکڑا اور اسے آن واحد میں کھڑا کردیا لیکن رومی آپکو بٹھانے میں ناکام رہا۔ رومی کے سینے میں قومی غیرت سرایت کر گئی اس نے کھڑا ہو کر مقابلہ کرنے کی ٹھانی اور محمد بن حنفیہ نے بیٹھ کر اس کے ہاتھ کو ایک ایسا زور دار جھٹکا دیا جس سے وہ زمین سے آن لگا اور ایسے پیچ و تاب کھانے لگا جیسے اس کا بازو کندھے سے الگ ہو گیا ہو، مقابلہ ختم ہو گیا دونوں رومی رستم خائب و خاسر اور شرمندہ و پشیمان اپنے بادشاہ کے پاس اپنا سامونہہ لے کر واپس لوٹ گئے ۔
پھر حوادثات زمانہ نے ایک اور پلٹا کھایا ۔۔۔۔
حضرت امیر معاویہ ان کا فرزند یزید اور مروان بن حکم اپنے رب کو پیارے ہو گئے بنو امیہ کی باگ دوڑ عبد الملک بن مروان کے ہاتھ آئی ، وہ خلیفتہ المسلمین کہلانے لگا ، اہل شام نے ان کی بیعت کر لی ، اہل حجاز و عراق نے حضرت عبد اللّٰہ بن زبیر رضی اللّٰہ عنہ کے ہاتھ پر بیعت کی ۔
دونوں میں سے ہر ایک لوگوں کو اپنی بیعت پر آمادہ کرنے لگا کیونکہ ہر ایک کا خیال تھا کہ میں اپنے مد مقابل سے زیادہ خلافت کا حقدار ہوں ، اس سے مسلمانوں کا پھر سے شیرازہ بکھر گیا ، حضرت عبد اللّٰہ بن زبیر رضی اللّٰہ عنہ نے محمد بن حنفیہ سے مطالبہ کیا کہ وہ بھی اہل حجاز کی طرح ان کے ہاتھ پر بیعت کرے۔ حضرت محمد بن حنفیہ پر بیعت کا مفہوم مخفی نہیں تھا، وہ خوب سمجھتے تھے کہ جس کی بیعت کی جائے اس کے بیعت کرنے والے پر کیا حقوق عائد ہوتے ہیں ، اس کا ایک مطلب تو یہ ہے اس کے دفاع میں تلوار سو نتی جائے اور اس کے مخالفین کو تہہ تیغ کیا جائے ۔
جبکہ مخالف مسلمان ہیں جنھوں نے اپنے اجہتاد سے کسی دوسرے کے ہاتھ پر بیعت کر رکھی ہے یہ دانشمند ، ذی شعور اور معاملہ فہم سپوت جنگ صفین کو ابھی نہیں بھولا تھا اور نہ ہی اس درد ناک اور دل کو ہلا دینے والی کو فراموش کیا تھا، جو کسی درد دل رکھنے والے شخص کی زبان سے لڑائی کے دوران نکلی تھی، کہ اے مسلمانو! اللّٰہ سے ڈرو۔
اے مسلمانو! عورتوں اور بچوں کا خیال کرو ۔
اے مسلمانو! دین اور ناموس کا خیال رکھو۔
اے مسلمانو ان نو مسلموں کی طرف دیکھو جو روم اور دیلم سے نئے نئے دائرہ اسلام میں داخل ہوئے ہیں ۔
اے مسلمانو! اللّٰہ سے ڈرو جیسا کہ اس سے ڈرنے کا حق ہے۔
ہاں ہاں ان میں سے کوئی بات بھی وہ قطعاً نہیں بھولا تھا ۔
اس نے حضرت عبد اللّٰہ بن زبیر رضی اللّٰہ عنہ سے صاف صاف کہہ دیا ۔
آپ اچھی طرح جانتے ہیں کہ مجھے اس بیعت سے کوئی دلچسپی نہیں ، میں امت مسلمہ کا ایک فرد ہوں، میں اس کے ہاتھ پر بیعت کروں گا جس کی خلافت پر پوری امت متفق ہو جائے، اس وقت نہ میں آپ کی بیعت کروں گا اور نہ عبد الملک بن مروان کی۔
حضرت عبداللّٰہ بن زبیر محمد بن حنفیہ کو اپنی بیعت پر آمادہ کرنے کے لیے کبھی نرم رویہ اختیار کرتے اور کبھی ترش۔
تھوڑے ہی عرصے میں محمد بن حنفیہ کے ساتھ بہت سے لوگ آملے دیکھتے ہی دیکھتے سات ہزار افراد نے فتنے سے علیحدگی اختیار کرتے ہوئے انکی قیادت کو تسلیم کر لیا اور انہوں نے اس شعلہ فگن آگ کا ایندھن بننے سے صاف انکار کر دیا ۔ محمد بن حنفیہ کے پیروکار جوں جوں بڑھنے لگے توں توں حضرت عبد اللّٰہ بن زبیر کا پارہ ان کے خلاف چڑھنے لگا اور بیعت کرنے کا اصرار کرنے لگے ۔
جب حضرت عبد اللّٰہ بن زبیر او بنو ہاشم میں سے ان کے ساتھی حضرت محمد بن حنفیہ سے مایوس ہو گئے ، تو انہوں نے محمد بن حنفیہ اور ان کے پیروکاروں کی نگرانی کے لیے پہرہ بٹھا دیا ، پھر ان سے حضرت عبد اللّٰہ بن زبیر رضی اللّٰہ عنہ نے کہا:
بخدایا تو تم میری بیعت کرو گے یا پھر میں تمھارے گھروں آگ لگا کر بھسم کر دوں گا۔ پھر اس کے بعد انہیں گھروں میں مقید کر دیا اور گھروں کی دیواروں کے ساتھ ایندھن چنوادیا، صورت حال یہ تھی کہ ایک ہی چنگاری تمام گھروں کو جلا کر راکھ کر دینے کے لیے کافی تھی، اس نازک موقع پر محمد بن حنفیہ کی جماعت کے چند افراد نے کہا ، ہمیں اجازت دیجئے تاکہ عبد اللّٰہ بن زبیر کا کام تمام کر دیں اور لوگوں کو سکھ کا سانس لینا نصیب ہو ۔
فرمایا کیا ہم اپنے ہی ہاتھوں سے اس ہولناک فتنے کی آگ کو بھڑکائیں گے جس سے ہم الگ ہوئے ہیں کیا ہم صحابی رسول علیہ السلام اور فرزند صحابی کو قتل کرنے کا ارتکاب کریں گے۔
نہیں اللّٰہ کی قسم نہیں ہم کوئی ایسا اقدام نہیں کریں گے جو اللّٰہ اور اسکے رسول علیہ السلام کی ناراضگی کا باعث ہو۔
جب عبد الملک بن مروان کو حضرت عبداللّٰہ بن زبیر رضی اللّٰہ عنہ کی جانب سے محمد بن حنفیہ اور ان کے ساتھیوں پر کی جانے والی سختیوں اور تشدد کا پتا چلا ۔
تو اس موقع کو غنیمت سمجھتے ہوئے ایک خط دے کر قاصد کو ان کی طرف روانہ کیا، جس میں نہایت ہی محبت اور شفقت کا انداز اپنایا گیا تھا کبھی اس انداز سے اپنے بیٹوں کو بھی خط نہیں لکھا ، اس میں یہ پیغام بھیجا کہ مجھے معلوم ہوا کہ عبد اللّٰہ بن زبیر نے آپ کا عرصہ حیات تنگ کر رکھا ہے ، سر زمین شام کے راستے آپ کے لیے کھلے ہیں ، آپ تشریف لائیں ہم آپ کے تمام ساتھیوں کو خوش آمدید کہتے ہیں ، ہمارے پاس تشریف لائیے ہم آپکا گرمجوشی سے استقبال کریں گے یہاں پہنچ کر آپ یوں محسوس کریں گے جیسے اپنے گھر میں ہوں آپ ہمیں اپنے قدردانوں میں سے پائیں گے اور آپ کے حقوق کا خیال رکھا جائے گا ۔
جب یہ خط ملا تو حضرت محمد بن حنفیہ اپنے ساتھیوں کو لے کر سر زمین شام کی طرف روانہ ہوئے ، جب سرحدی علاقے کے ابلہ مقام پر پہنچےو وہاں پڑاؤ لیا ابلہ کے باشندوں نے انکی بہت قدر کی دل کھول کر ان کی مہمان نوازی کی، حضرت محمد بن حنفیہ کی عبادت اور زھدو تقوی سے متاثر ہو کر ان کی تعظیم بجا لائے ، حضرت محمد بن حنفیہ اہالیان ابلہ کو نیکی کا حکم دینے برائی سے روکنے اسلامی شعائر قائم کرنے اور ان کے باہمی جھگڑوں کو نپٹانے لگے، اس علاقے میں کوئی ایسا نہ رہا جو کسی دوسرے پر ظلم کرتا ہو۔
جب یہ خبر عبد الملک بن مروان تک پہنچی تو اس پر بڑی شاق گزری اس نے اپنے خاص ہم نشینوں سے مشورہ کیا۔
انہوں نے کہا ہماری رائے یہ ہے کہ آپ اسے اپنے ملک میں رہنے کی اجازت نہ دیں ورنہ وہ آپکے لیے خطرہ بن جائیگا اس کی خوبیوں اور صلاحیتوں کو آپ خود اچھی طرح جانتے ہیں ، اگر انہوں نے یہاں رہنا ہے تو آپ کی بیعت کریں ورنہ جہاں سے آئے ہیں وہیں چلے جائیں ۔
عبد الملک بن مروان نے ان کی طرف خط لکھا جس میں تحریر تھا آپ میرے ملک میں تشریف لائے اور اس کے ایک کونے میں فروکش ہوئے، جیسا کہ آپ کو معلوم ہے کہ میرے اور عبد اللّٰہ بن زبیر کے مابین کشمکش ہے ، مسلمانوں میں آپ کی عزت ، شہرت اور ایک اہم مقام ہے، میرا خیال ہے کہ اگر آپ میرے ملک میں رہائش اختیار کرنا چاہتے ہیں تو میری بیعت کر لیں ، آپ کے لیے یہ بہتر ہوگا اگر آپ بیعت کر لیں تو میں آپ کو وہ سو بحری جہاز جو سامان سے لدے ہوئے ابھی ابھی پہنچے ہیں مع انکے عملے کے آپ کی نذر کردونگا ، وہ آپ کی ملکیت ہونگے اور ان کے علاوہ دس لاکھ درہم آپ کی خدمت میں پیش کرنے کے لیے تیار ہوں اسے خرچ کرنے کا آپ کو مکمل اختیار ہوگا آپ یہ رقم اپنی ذات ، اپنی اولاد ، رشتہ دار اور ساتھیوں پر خرچ کر سکیں گے، اگر آپ میری بیعت سے انکاری ہیں تو پھر وہاں تشریف لے بائیے، جہاں میرا اختیار نہ چلتا ہو ۔
محمد بن حنفیہ نے جوابا یہ خط لکھا۔
محمد بن علی کی جانب سے عبد الملک بن مروان کی طرف ۔
السلام علیکم:
میں اس اللّٰہ کی تعریف کرتا ہوں جس کے علاوہ کوئی معبود حقیقی نہیں ۔
امابعد!
شاید آپ مجھ سے ہراساں ہیں، میرا خیال تھا کہ آپ بیعت کے سلسلے میں میرے حق پر مبنی موقف کو جان چکے ہو نگے۔
اللّٰہ کی قسم اگر مجھ پر پوری امت کا اتفاق ہو جائے اور صرف ایک بستی والے مجھے اپنا خلیفہ ماننے سے انکاری ہوں تو تب بھی میں یہ خلافت وامارت قطعا قبول نہ کروں اور اس بات پر کبھی بھی ان سے لڑائی نہ کروں ۔
میں مکہ معظمہ میں رہائش پذیر ہوا حضرت عبد اللّٰہ بن زبیر نے چاہا کہ میں ان کی بیعت کر لوں ، جب میں نے انکار کر دیا تو انہیں میرا فیصلہ ناگوار گزرا اور میرے لیے مشکلات پیدا کیں پھر آپ نے مجھے اپنے ملک شام میں رہائش اختیار کرنے کے لئے دعوت دی میں آپ کی دعوت کو قبول کرتے ہوئے یہاں چلا آیا اور آپ کی سلطنت کے ایک کونے میں رہنے لگا پھر آپ نے یہ پیغام بھیج دیا ہے ، میں ان شاء اللّٰہ اپنے ساتھیوں کو لے کر یہاں سے چلا جاؤں گا آپ گھبرائیے نہیں۔
محمد بن حنفیہ اپنے اہل و عیال اور مریدان باصفا کو لے کر سر زمین شام سے واپس پلٹے جس جگہ بھی آپ پڑاو کرتے آپکو وہاں سے کوچ کر جانے کا حکم دیا جاتا یہی غم جاناں کافی نہ ہوئے بلکہ مزید غم واندوہ میں مبتلا کرنا مشیت ایزدی ٹھہرا۔
ہوا یہ کہ آپ کے چند پیرو کار غفلت ، سستی اور کاہلی کی بنا پر کہنے لگے کہ رسول اللّٰہ ﷺ نے حضرت علی رضی اللّٰہ عنہ اور انکی اولاد کے سینوں میں علم کے اسرار ور موز دین کے بنیادی اصول اور شریعت کے خزانے ودیعت کر دئیے تھے آل بیت کو خاص طور پر روحانی علوم سے مالا مال کر دیا تھا یہ سعادت کسی اور کے نصیب نہ آئی ۔۔۔۔۔۔لیکن ہمارے راہنما بھی آل بیت میں سے ہیں ، ان مصائب اور رنج و الم میں ان کی بصیرت کسی کام نہیں آرہی ۔
حضرت محمد بن حنفیہ نے خداداد صلاحیت ، دانشمندی اور قابل رشک عقل و خرد کی بنا ء پر اس خطرے کو بھانپ لیا کہ یہ لوگ مصائب سے گھبرا کر اب راہ فرار اختیار کرنا چاہتے ہیں ، آپ نے سب لوگوں کو اکٹھا کیا اور آپ ان سے خطاب کرنے کے لیے کھڑے ہوئے اللّٰہ تعالیٰ کی حمد و ثناء اور رسول اقدس پر درودو سلام کے بعد ارشاد فرمایا ۔
بعض لوگوں کا خیال ہے کہ آل بیت کو رسول اقدس ﷺ نے کسی ایسے خصوصی علم سے نوازا ہے جو کسی اور کو عطا نہیں کیا ۔
اللّٰہ کی قسم ہم رسول اللّٰہ ﷺ کی طرف سے اس علم کے وارث ہیں جو قرآن مجید میں محفوظ ہے ، جو لوگ یہ گمان کرتے ہیں کہ ہم کتاب الٰہی کے علاوہ کچھ اور پڑ ھتے ہیں وہ جھوٹ بولتے ہیں ۔
آپ کے بعض پیروکار محبت سے یوں سلام کرتے ۔
السلام علیک یا مہدی ۔
آپ فرماتے میں خیرو بھلائی کی طرف راہنمائی کرنے والا ہوں اور آپ تمام بھی خیرو بھلائی کی طرف راہنمائی کرنے والے ہیں۔
جب کوئی مجھے سلام کہے تو وہ میرا نام لیا کرے اور یوں کہے السلام علیک یا محمد بن علی ۔
محمد بن حنفیہ اور اسکے ساتھیوں کے لیے یہ تکلیف وہ صورت زیادہ دیر تک نہ رہی ، ہوا یوں کہ حجاج بن یوسف حضرت عبداللّٰہ بن زبیر پر غالب آگیا، انہیں شہید کر دیا گیا تمام لوگوں نے عبد الملک بن مروان کی خلافت و امارت کو تسلیم کرتے ہوئے اس کے ہاتھ پر بیعت کر لی۔ یہ صورتحال دیکھتے ہوئے حضرت محمد بن حنفیہ نے عبد الملک بن مروان کی طرف خط لکھا جس میں یہ تحریر تھا۔
محمد بن علی کی طرف سے امیر المومنین عبد الملک بن مروان کی طرف امابعد!
اسلام علیکم
جب میں نے یہ منظر دیکھا کہ سب لوگوں نے متفقہ طور پر آپ کی خلافت کو تسلیم کر لیا ہے میں بھی امت مسلمہ کا ایک فرد ہوں ، میں نے حجاز میں آپ کی طرف سے مقرر کردہ گورنر کے ہاتھ پر بیعت کر لی ہے ، اور یہ بیعت بھی آپ کی خلافت و امارت کو تسلیم کرتے ہوئے کی ہے اور آپ کو اس کی اطلاع کر رہا ہوں ۔
والسلام علیک
عبد الملک بن مروان نے جب یہ خط اپنے ہم نشینوں کو پڑھ کر سنایا ، سب نے بیک زبان کہا ۔
امیر المو منین اس خط سے محمد بن حنفیہ کے اخلاص کا پتہ چلتا ہے اگر وہ آپ کی مخلافت کرنا چاہتے ، اور اطاعت سے روگردانی کا مظاہرہ کرتے تو آپ کے لیے مشکلات پیدا کر سکتے تھے۔ یہ انکی مہربانی ہے یہ انہوں نے خیر سگالی کے جزبات کا اظہار کرتے ہوئے آپ کی بیعت کا اعلان کیا ہے ۔ اب انکی آپ کو قدر کرنی چاہیے ان کو ، پہلی فرصت میں جوابی خط لکھیں جس میں ان کا شکریہ ادا کریں۔ اور انہیں ہر طرح کے تعاون کا یقین دلائیں اور ساتھ ہی انہیں یہ تسلی بھی دیں کہ آج کے بعد انہیں اور انکے کسی بھی ساتھی کے لیے حکومت کی جانب سے کوئی پریشانی پیدا نہیں کی جائے گی اور نہ ہی کسی گھبراہٹ میں مبتلا کیا جائے گا ، آپ امن و سکون سے زندگی بسر کریں گے اور ساتھ ہی ایک خط حجاج بن یوسف کو لکھا جس میں اسے یہ حکم دیا کہ محمد بن حنفیہ کی تعظیم بجا لائیں اور ہر طرح سے ان کا خیال رکھیں ۔
لیکن حضرت محمد بن حنفیہ زیادہ دیر زندہ نہ رہے ۔
اللّٰہ تعالیٰ نے انہیں اپنی جوار رحمت میں بلالیا ۔
اللّٰہ اس پر راضی وہ اللّٰہ پر راضی ۔
اللّٰہ تعالیٰ محمد بن حنفیہ کی قبر کو منور کرے اور ان کی پاکیزہ روح کو جنت میں ترو تازہ، رکھے ، وہ ان خوش نصیب لوگوں میں سے تھے جو زمیں میں فساد اور اپنے نام و نمود کے خواہاں نہیں ہوتے۔
محمد بن حنفیہ الرحمتہ کے مفصل حالات زندگی معلوم کرنے کے لیے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کریں ۔
١- حلیتہ الاولیاء ( ابو نعیم اصفہانی)
٣/ ١٧٤
٢- تہزیب التہذیب
٩/ ٣٥٤
٣- صفتہ الصفوہ ابن جوزی
٢/ ٧٧- ٧٩
٤- الطبقات الکبری ابن سعد
٥/ ٩١
٥- الوافی بالوفیات مترجم صفحہ
١٥٨٣
٦- دفیات الاعیان ابن خلکان
٤/ ١٦٩
٧- الکامل
٣/ ٣٩١- ٤/ ٢٥٠
٨- شزرات الزاہب
١/ ٨٩
٩- تہزیب الاسماء واللغات
١/ ٨٨- ٨٩
١٠- البدء والتاریخ
٥/ ٧٥- ٧٦
١١-المعارف لابن قتیبہ
١٢٣
١٢-العقد الفرید ابن عبدر جلد ٢- ٣-٥ دیکھئیے ۔
حوالہ:
“کتاب: حَياتِ تابِعِين کے دَرخشاں پہلوُ”
تالیف: الاستاذ ڈاکتور عبد الرحمان رافت الباشا
ترجمه: محمود غضنفر