21. Hazrat Silah Bin Ashyam Al Adwi (رحمہ اللہ)
Hazrat Silah Bin Ashyam Al Adwi (رحمہ اللہ)
Hazrat Silah Bin Ashyam ne Jaleelul Qadar sahaaba Karamرضي اللّٰہ عنهم se mulaqaat ki un se faiz haasil kiya aur un kay Akhlaaq-e-Hameeda ko apnaaya. (Asbahaani) |
Hazrat Silah Bin Ashyam Al Adwi ibaadat guzaaron mein say aik ibaadat guzaar aur shehsawaaron mein say aik maahir shehsawaar thay. Jab andhera apne parday Koon-o-Makaan par phailaa deta.
Khalq-e-Khuda neend ki aaghosh mein Mahw-e-Istirahat hoti to yeh uthtay, Ji laga kar wazu kartay phir aik kone mein is Wajd-e-Afreen maahol ka faidah uthaatay huye apni Rab ki ibaadat mein Duniya-o-Maafiha se beniyaaz ho kar masroof ho jaate.
Dauraan-e-Ibaadat un kay dil pe tajalliyaat Ilaahi ka wird hone lagta. Jis say Koon-o-Makaan ki fizaayen raushan ho jaatin. Aur Aafaaq mein Aayaat-e-Ilaahi un ki aankhon kay saamne aashkaar ho jaatein. Ilawah azeen subah sadiq kay waqt Quran-e-Majeed ki tilaawat ke dildadah thay. Jab raat ka aakhri tihaayi hissa hota to yeh Quran-e-Majeed ki tilaawat mein munhamik ho jaate. Aur Aayaat-e-Bayyinaat ki tilaawat badi sureeli aur dilawaiz aawaz mein karte jis se pure maahol mein sannaata taari ho jaata. Quran-e-Majeed ki tilaawat se un kay dil par wajad ki kaifiyat taari ho jaati, Lazzat aur mithaas ka aik gehraa ahsaas hota. Aqal-o-Danish par Khashiyat-e-Ilaahi apne panje jamaa leti. Ilawah azeen Quran-e-Majeed ki tilaawat se jism par aik aisa larzah taari hota jis se dil paarah paarah hone lagta.
Hazrat Silah Bin Ashyam (رحمہ اللہ ) is ibaadat mein kabhi koi kotaahi nahi karte thay safar ho yaa hazar, Kaam ho yaa faraaghat, Woh apne ma’amool mein koi farq na aane detay.
Ja’afar Bin Zaid bayaan kartay hain keh ham Lashkar-e-Islaam kay saath Afghanistan kay daar ul hukumat kaabil ko fatah karnay kay liye rawaana huye.
Us lashkar mein Silah Bin Ashyam bhi shaamil thay.
Jab raat ne apni tareeki ki chaadar har su phaila di to lashkar padaao ki gharz se ruk gaya. Khana tanawul kiya aur Namaz-e-Isha ada ki phir woh apne apne Samaan-e-Safar kay nazdeek araam kay liye let gaye. Main ne dekha keh Hazrat Silah Bin Ashyam bhi apne samaan kay paas ja kar daraaz ho gaye.
Main ne apne dil mein kaha:
Logon mein jo in ki ibaadat aur Shab zinda daari ka charcha hai woh kya hua? Log to kehtay hain keh ye ibaadat kay dauraan itna lamba qayaam karte hain keh paaon mein waram paidah ho jaata hai.
Bakhudaa! Aaj main raat bhar isay dekhoonga keh is ka ma’amool kya hai?
Main dekhta hoon keh jab lashkar neend kay samandar mein gharq ho gaya to yeh chupke se uthay raat ki taariki ka faaida uthaatay huye lashkar se door aik ghane jungle ka rukh kiya main bhi dabay paaon un kay peechay ho liya. Woh darakhton kay jhund mein daakhil huye ghaas aur jhaadiyon ne apna daaman har su phaila rakha tha yun ma’loom hota tha jaise sadiyon se kisi insaan ka yahan say guzar na hua ho.
Darakhton kay is jungle kay aik muheeb aur daraaone maahol mein qiblah rukh ho kar Duniya-o-Maafiha se beniyaaz namaz mein masroof ho gaye, Main ne door se dekha:
Chehra chamak raha hai…………….
Jismaani a’zaa pursakoon hain……..
Dil mutmayin hai…………………..
Goya keh woh is wehshat naak maahol se manoos hain. Unhein is doori aur tanhaayi mein qurb ka ahsaas ho raha hai aur isi ghata toop taariki mein roshni ki jhalak dikhaai day rahi hai. Achanak main yeh dekh kar dambakhud reh gaya keh jungle ki mashriq jaanib se aik sher dabay paaon chala aa raha hai.
Main ghabraahat se paseena mein sharaabor ho gaya. Aur us se bachne ki khaatir aik unchay darakht par chadh gaya.
Sher Hazrat Silah Bin Ashyam ki taraf badh raha hai woh badastoor apni namaz mein mashghool hain sirf chand qadmon ka faasla hai.
Bakhudaa us ne sher ki taraf aankh uthaa kar bhi na dekha na us ki parwah ki jab aap sajday mein gaye to main ne kaha ab sher in par hamlah kar dega.
Jab aap sajday se uth kar baith gaye sher aap kay rubaru khada ho gaya goya woh aap ko ghaur say dekh raha hai, jab aap ne salaam phera to bade sukoon se sher ki taraf dekha aur chand kalmaat padhe jo mujhe sunayi na diye, Sher usi lamhay bade aaraam se usi taraf chala jaata hai jahan se aaya tha, Main yeh manzar dekh kar shashdar reh gaya.
Jab subah sadiq hui woh uthay aur farz namaz ada ki, Phir usne Allah ta’ala ki ta’reef aise dilpazir andaz mein bayaan ki keh main ne is say pehlay kisi ko bhi is andaaz mein ta’reef kartay huye nahi suna tha.
Phir us ne kaha: Ilaahi mujhe Jahannum kay azaab se bacha lena. Ilaahi kya mujh jaisa khataakaar bandah bhi aap se jannat ka sawaal karne ki jurrat kar sakta hai?
Yeh baat woh baar baar dohraane laga yahan tak keh woh khud bhi ro paday aur mujhe bhi rulaa diya. Phir lashkar ki taraf wapis laut aaye. Aur kisi ko raat bhar apni ghair haazri ka pata bhi na chalne diya, qaum kay saamne is tarah taazah dam zaahir huye jaise raat us ne apne bistar par guzaari ho aur main bhi kuch der ba’ad us kay Naqsh-e-Qadam par chalta hua wapis aaya lekin Allah jaanta hai keh raat bhar bedaar rehnay aur sher kay Khauf-o-Haraas ki wajah se mera jism thakan se choor ho chuka tha.
Hazrat Silah Bin Ashyam Waa’z-o-Nasihat kay liye koi mauqa haath se na jaane detay, Aap ka usloob Hikmat-o-Danish aur sheerin Kalaami-o-Khandah rawi par mabni hota jis se sunne waalon kay sakht dil bhi naram ho jaate. Aur laa parwah tabi’aton mein gudaaz paidah ho jaata.
Basa auqaat aap takhliya aur ibaadat ki gharz se Basrah kay qareebi jungle ka rukh kar liya kartay to laa ubaali nojawaanon kay giroh se aap ka guzar hota. Aap yeh dekhtay keh nojawaan khel kood aur hansi mazaaq mein mashghool hain, Aap unhein mohabbat bharay andaaz mein salaam kehtay aur badi narmi se guftagu kartay, Phir un se kehtay beton! Mujhe yeh to bataao aik qaum agar kisi azeem maqsad kay liye safar ikhtiyar kare lekin woh raaste mein bhi din bhar khel kood mein mashghool ho jaye aur raat ko bhi araam kay liye soyi rahay, Kya yeh qaum kabhi apni manzil par pohonch sakti hai?
Is baat ko aap baar baar dohraate. Aik dafa ka zikar hai keh isi tarah raaste mein nojawaanon se mulaqaat hui woh khel mein mashghool thay.
Aap ne un se phir pucha: To un mein se aik nojawaan utha aur kaha:
Allah ki qasam jis qaum kay baare mein yeh puch rahay hain us say muraad ham hain.
Hum hi to woh hain jo din bhar kheltay hain aur raat ko sotay rehtay hain.
Woh nojawaan doston se alag hua, Aur Hazrat Silah Bin Ashyam kay peechay ho liya, Us din se lekar martay dam tak us ne aap ka daaman nahi chhoda.
Aik martabah apne saathiyon ki aik jama’at kay saath unka koi kaam niptaane kay liye jaa rahe thay, Un kay saamne se aik khoobsurat gabru jawaan guzra us ka tehband zameen par ghasitta jaa raha tha. Us ki chaal dhaal se ra’unat aur nakhwat zaahir ho rahi thi. Saathi us ka yeh andaaz dekh kar bhadak uthay, Qareeb tha keh us par hamlah kar detay.
Lekin aap aaday aaye aap ne farmaaya: Isay chod dain is kay liye main kaafi hoon.
Phir aap ne aisay shafqat bharay andaaz se nojawaan ko bulaaya jis tarah keh shafeeq baap apne laadle betay ko bulaata hai yaa koi mukhlis dost apne saathi se mohabbat bharay andaaz mein mukhaatib hota hai.
Farmaaya: Beta mujhe aap se aik zaroori kaam hai, Nojawaan thehar gaya aur kaha: Chachha jaan farmaaye kya kaam hai?
Aap ne farmaaya:
Apna tehband takhno se upar kar lain.
Is say kapda bhi saaf rahega.
Tera Mera Rab bhi raazi hoga.
Aur teray meray Nabi (ﷺ) ki sunnat par amal ho jayega. Yeh mohabbat bhara andaaz dekh kar nojawaan sharmindagi se nihaal ho gaya aur arz ki: Chachha jaan chasham ma raushan, dil maa shaad aur fauran apna tehband takhnon se upar uthaa liya.
Hazrat Silah Bin Ashyam ne apne saathiyon se kaha kisi ko samjhaany kay liye yeh andaaz kis qadar acha hai! Agar tum usey maarte yah usey gaali detay to woh bhi tumhein maarta aur gaali deta aur woh apni ra’unat ka muzaahira karte huye kabhi bhi apani chaadar ko upar na uthaata aur woh badastoor zameen par ghasitti rehti.
Aik martabah aik nojawaan aap ki khidmat mein haazir hua aur arz ki:
Abu Sahabaa (Yeh Hazrat Silah ki kuniyat hai) mujhe woh ilm sikhlaaye jo aap ko Allah ta’ala ne ata kiya hai. Yeh sun kar Hazrat Silah ka chehra khushi se khil uthaa.
Aur farmaaya: Beta aaj tum ne mujhe jawaani ki yaad dila di jab keh main teri tarah jawaan hua karta tha.
Main Sahaaba Karaam (رضی اللہ عنهم) ki khidmat mein haazir ho kar un say bilkul yahi arz kiya karta tha keh mujhe woh ilm sikhlaaye jo aap ko Allah ta’ala ne ataa kiya hai.
Sahaaba Karaam (رضی اللہ عنهم ) ne mujhe irshaad farmaaya:
Quran-e-Majeed ko Hirz-e-Jaan aur apne dil ki bahaar bana lo is se khud bhi nasihat haasil karo aur us kay zariye musalmaanon ko bhi nasihat karo.
Jiss qadar ho sakay Allah ta’alaa se m’aafi maangtay raha karo. Nojawaan ne arz kiya:
Mere liye du’aa kijiye Allah aap ko jazaa-e-Khair ‘ataa karay. Aap ne yeh du’aa ki keh Allah ta’ala teray dil mein baaqi rehnay waali cheezon ki raghbat paidah karay.
Aur fana hone waali cheezon ka khayaal dil se nikaal de, Tujhe woh yakeen naseeb ho jis se dilon ko sakoon haasil hota hai aur deen mein jisay markazi haisiyat haasil hoti hai.
Hazrat Silah Bin Ashyam ki biwi ka naam Ma’azah Adwiyah tha, Yeh bhi unki tarah tab’eyah thein kyunkeh us ne Umm ul Momineen Hazrat Ayesha (رضی اللّٰہ عنها) ki ziyarat ki aur un say faiz haasil kiya. Phir us ne Hasan Basri (رحمہ اللہ) (Allah un ki rooh ko taro taazah khush haal rakhay) se ilm haasil kiya.
Yeh badi paakizah seerat, Parhaiz gaar, Ibaadat guzaar aur duniya se beniyaaz khatoon thi.
Us ki yeh aadat keh jab raat aati to kehti shayad ye meri zindagi ki aakhri raat ho. Yeh raat bhar ibaadat mein masroof rehti. Yahan tak keh subah tuloo’ ho jaati aur jab din tuloo’ hota to kehti shayad ye din meri zindagi ka aakhri din ho to woh Zikar-o-Fikar mein din guzaar deti. Mousam-e-Sarma ko bareek kapde istemaal karti takeh sardi lagnay say neend naa aaye aur ibaadat ka silsilah munqata’ na ho.
Woh puri raat namaz aur tilaawat mein guzaar deti. Jab neend ka ghalbah honay lagta to ghar kay sehen mein yeh kehtay huye chakkar lagaanay lagti.
Aye meri jaan tere saamne lambi neend hai.
Kal apni qabar mein arsa daraaz kay liye tu ne sona hai yaa tujhe hasrat ki neend sona hoga, Ya khushi ki neend, Phir apnay aap say khitaab kartay huye kehti: Aye Ma’azah aaj to apne liye duniya mein woh cheez pasand kar jo tujhe kal aakhirat mein pasand hai.
Agarcha Hazrat Silah Bin Ashyam intehaa darjay kay ibaadat guzaar aur duniyawi cheezon say bilkul beniyaaz thay lekin us kay bawajood unho ne Nabi Akram ﷺ ki sunnat par amal kartay huye apne chacha ki beti Ma’azah se shaadi ki.
Suhaag raat aisa hua keh bhai ka beta shaam dhaltay hi us kay paas aaya aur usay nehlaanay kay liye garam hamaam mein le gaya phir usay aik khushboo daar aur Aarasta-o-Peraasta kamray mein chod gaya.
Jis mein dulhan singhaar kiye huye baithi thi. Donon ne aik doosray ko dekha phir aap shukranay kay nafal ada karne lag gaye. Dulhan ne bhi namaz padhna shuru kar di, Donon par namaz ki lazzat ka aisa jaadu kiya keh puri raat namaz mein guzaar di.
Zara din chadhe bhai ka beta un kay paas aaya jab usay pata chala keh aapne puri raat ibaadat mein guzaar di to kehnay laga chachha jaan nayi naveli dulhan aap kay ghar aayi aap raat bhar namaz padhaty rahay aur us ki taraf dhyan hi na diya.
Farmaane lagay: Bhatijay kal tum pehle mujhe aik aisay kamre mein le gaye jisne mujhe Jahannum ki yaad dilayi.
Phir mujhe dosray kamray mein legaye jis ne mujhe jannat ki yaad dilaai bas main saari raat isi Jannat-o-Dozakh kay chakkar mein Ghaltaan-o-Pareshaan raha yahan tak keh subah ho gayi.
Nojawaan ne pucha: Chacha jaan woh kaisay?
Farmaaya: Jab tum mujhe garam hamaam mein legaye to wahan aag jal rahi thi us ki garmi ne Jahannum ki garmi yaad dilaai, Phir tum mujhe dulhan kay kamray mein legaye, Us ki dilfarairb mehek ne Jannat ki ra’naai ka manzar pesh kiya.
Hazrat Silah Bin Ashyam (رحمہ اللہ ) khashiyat Ilaahi kay khugar, Sidaq-e-Dil say tauba karnay waale, Ibaadat guzaar, Shab zindah daar duniya say beraghbati rakhne waale hi na thay balkeh woh shehsawaar, Shah zor, Bahadur aur nidar mujaahid bhi thay.
Maidaan haaye jung ne us jaisa bahadur, Taaqat war, Mazboot azam waala aur talwaar ka dhani kam hi dekha hoga.
Musalmaan general usay apne apne lashkar mein shaamil karnay kay liye koshaan rehtay, Har kisi ki yeh dili raghbat hoti keh yeh us kay lashkar mein shaamil ho jayen takeh us ki bahaduri aur tajarba kaari kay zariye kaamyabi haasil ki jaye.
Ja’afar Bin Zaid bayaan kartay hain keh:
Ham aik m’aarka kay liye rawaana huye, Hamaray saath Silah Bin Ashyam aur Hisham Bin Amir bhi saath thay jab ham dushman say nabard aazma huye. To Hazrat Silah aur us ka saathi Lashkar-e-Islaam ki safon se alag ho kar dushman ki safon ko nezon aur talwaaron say cheertay huye har awal dastay par hamlah aawar huye dushman kay aik general ne doosre se kaha:
Lashkar-e-Islaam kay sirf do aadmiyon ne hamein musibat mein mubtala kar diya hai, Agar yeh sab hi yakbaargi hamlah aawar ho jaate to hamara kya banta? Meri maano to musalmaanon ki ita’at ikhtiyar kar lo aur un kay aage hathiyaar daal do. Isi mein tumhari behtari hai.
76 hijri ko Hazrat Silah Bin Ashyam Lashkar-e-Islaam kay hamrah Maawra’ ul Nahar kay ilaaqa jaat ko fatah karnay kay liye rawaana huye, Aap kay saath aap ka beta bhi tha, Jab dono lashkar aapis mein takraaye ghamasaan ka ran pada to Hazrat Silah Bin Ashyam ne apne betay se kaha: Beta aage badho Dushminaan-e-Khuda se aakhri dam tak jihaad karo, Us kay paas rakhi hui amaanat kabhi zaya nahi hoti.
Baap ki baat sun kar nojawaan beta dushman say nabard aazma hone kay liye is tarah tezi say lapka jis tarah teer kamaan se nikalta hai, Woh musalsal ladta raha yahan tak keh Jaam-e-Shahaadat nosh kar gaya. Yeh manzar dekh kar baap aage badha dushman par taabar tod hamlah kiya bilaakhir yeh bhi apne betay kay pehlu mein shaheed ho kar gir paday.
Jab un ki shahaadat ki khabar Basrah pohchi to khawateen afsoos kay liye Hazart Ma’azah رحمہا اللہ kay paas aayeen jis ka khaawand aur beta Jaam-e-Shahaadat nosh kar chukay thay aap ne aane waali tamaam khawateen se kaha:
Agar tum mujhe mubarak baad denay kay liye aayi ho to main tumhein khush aamdeed kahti hoon. Agar is kay ilaawah tumhara koi maqsad hai aap wapis jaa sakti hain Allah tumhein jazaye khair ata kare.
Allah un mubarak chehron ko taro taazah rakhe, Islaam aur musalmaanon ki taraf se jazaye khair ata kare. Tareekh-e-Insaaniyat mein bilashubah yeh gharana taqwa aur pakeezagi kay a’alaa mayaar par fayez tha.
Hazrat Silah Bin Ashyam kay mufassal Halaat-e-Zindagi ma’loom karne kay liye darjzail kitaabon ka muta’ala karain:
1: Tabaqat Ibn-e-Saad 7/134 2: Al Tarikh ul Kabeer 6/321 3: Al Kuna’a 2/13 4: Al Jarah wal Tadeel 4/447 5: Hilyat ul Awliya 2/237 6: Usd ul Ghabah 4/34 7: Tarikh-e-Islam 3/19 8: Al Bidayah wal Nihaya 9/15 9: Al Isabah 2/200 10: Tabaqat-e-Khalifah aur Sifat ul Safwah main dekhin. |
REFERENCE:
Book: “Hayat-e-Taba’een kay Darakhsha pahelo”
Taleef : Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
Urdu Translation : By Professor Mehmood Ghaznofer
حضرت صلتہ بن اشیم العروی رضی اللّٰہ عنہ
حضرت صلتہ بن اشیم نے جلیل القدر صحابہ کرام رضی اللّٰہ عنہما سے ملاقات کی ان سے فیض حاصل کیا اور ان کے اخلاق حمیدہ کو اپنایا
(اصبہانی)
حضرت صلتہ بن اشیم عدوی عبادت گزاروں میں سے ایک عبادت گزار اور شہسواروں میں سے ایک ماہر شہسوار تھے ۔ جب اندھیرا اپنے پردے کون و مکان پر پھیلا دیتا،
خلق خدا نیند کی آغوش میں محواستراحت ہوتی تو یہ اٹھتے ، جی لگا کر وضوء کرتے پھر ایک کونے میں اس وجد آفریں ماحول کا فائدہ اٹھاتے ہوئے اپنی رب کی عبادت میں دنیا و فیہا سے بے نیاز ہو کر مصروف ہو جاتے۔
دوران عبادت ان کے دل پہ تجلیات الٰہی کا ورود ہونے لگتا ۔ جس سے کون و مکاں کی فضائیں روشن ہو جاتیں ۔ علاوہ ازیں صبح صادق کے وقت قرآن مجید کی تلاوت کے دلدادہ تھے ۔ جب رات کا آخری تہائی حصہ ہوتا تو یہ قرآن مجید کی تلاوت میں منہمک ہو جاتے۔ اور آیات بینات کی تلاوت بڑی سریلی اور دلآویز آواز میں کرتے ، جس سے پورے ماحول میں سناٹا طاری ہو جاتا۔ قرآن مجید کی تلاوت سے ان کے دل پر وجد کی کیفیت طاری ہو جاتی لزت اور مٹھاس کا ایک گہرا احساس ہوتا ۔ عقل و دانش پر خشیت الٰہی اپنے پنجے جما لیتی ۔ علاوہ ازیں قرآن مجید کی تلاوت سے جسم پر ایک ایسا لرزہ طاری ہوتا جس سے دل پارہ پارہ ہونے لگتا ۔
حضرت صلتہ بن اشیم رضی اللّٰہ عنہ اس عبادت میں کبھی کوئی کوتاہی نہیں کرتے تھے سفر ہو یا حضر ، کام ہو یا فراغت ، وہ اپنے معمول میں کوئی فرق نہ آنے دیتے۔
جعفر بن زید بیان کرتے ہیں کہ ہم لشکر اسلام کے ساتھ افغانستان کے دارالحکومت کابل کو فتح کرنے کے لیے روانہ ہوئے ۔
اس لشکر میں صلتہ بن اشیم بھی تھے ۔
جب رات نے اپنی تاریکی کی چادر ہر سو پھیلا دی تو لشکر پڑاؤ کی غرض سے رک گیا۔ کھانا تناول کیا اور نماز عشاء ادا کی پھر وہ اپنے اپنے سامان سفر کے نزدیک آرام کے لئے لیٹ گئے۔ میں نے دیکھا کہ حضرت صلتہ بن اشیم بھی اپنے سامان کے پاس جا کر دراز ہو گئے ۔
میں نے اپنے دل میں کہا ۔
لوگوں میں جو ان کی عبادت اور شب زندہ داری کا چرچا ہے وہ کیا ہوا؟ لوگ تو کہتے تھے کہ یہ عبادت کے دوران اتنا لمبا قیام کرتے ہیں کہ پاؤں میں ورم پیدا ہو جاتا ہے ۔
بخدا ! آج میں رات بھر اسے دیکھوں گا کہ اس کا معمول کیا ہے ؟
میں کیا دیکھتا ہوں کہ جب لشکر نیند کے سمندر میں غرق ہو گیا تو یہ چپکے سے اٹھے رات کی تاریخی کا فائدہ اٹھاتے ہوئے لشکر سے دور ایک گھنے جنگل کا رخ کیا میں بھی دبے پاؤں ان کے پیچھے ہو لیا۔ وہ درختوں کے جھنڈ میں داخل ہوئے گھاس اور جھاڑیوں نے اپنا سبز دامن ہر سو پھیلا رکھا تھا یوں معلوم ہوتا جیسے صدیوں سے کسی انسان کا یہاں سے گزر نہ ہوا ہو۔
درختوں کے اس گھنے جنگل کے ایک مہیب اور ڈراؤنے ماحول میں
قبلہ رخ ہو کر دینا و ما فیہا سے بے نیاز نماز میں مصروف ہو گئے میں نے دور سے دیکھا ۔
چہرہ چمک رہا ہے ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
جسمانی اعضاء پر سکون ہیں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
دل مطمئن ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔
گویا کہ وہ اس وحشت ناک ماحول سے مانوس ہیں۔ انہیں اس دوری اور تنہائی میں قرب کا احساس ہو رہا ہے اور اسی گھٹا ٹوپ تاریکی میں روشنی کہ جھلک دیکھائی دے رہی ہے۔ اچانک میں یہ دیکھ کر دم بخود رہ گیا کہ جنگل کی مشرقی جانب سے ایک شیر دبے پاؤں چلا آرہا ہے ۔
میں گھبراہٹ سے پسینہ میں شرابور ہو گیا ۔ اور اس سے بچنے کی خاطر ایک اونچے درخت پر چڑھ گیا ۔
شیر حضرت صلتہ بن اشیم کی طرف بڑھ رہا ہے اور وہ بدستور اپنی نماز میں مشغول ہیں صرف چند قدموں کا فاصلہ ہے ۔
بخدا اس نے شیر کی طرف سے آنکھ اٹھا کر بھی نہیں دیکھا نہ اس کی پرواہ کی جب آپ سجدے میں گئے تو میں نے کہا اب شیر ان پر حملہ کر دے گا۔
جب آپ سجدے سے اٹھ کر بیٹھ گئے شیر آپ کے روبرو کھڑا ہو گیا گویا کہ وہ آپ کو غور سے دیکھ رہا ہے ، جب آپ نے سلام پھیرا تو بڑے سکون سے شیر کی طرف دیکھا اور چند کلمات پڑھے جو مجھے سنائی نہ دئیے شیر
اسی لمحے بڑے آرام سے پلٹ کر اسی طرف چلا جاتا ہے جہاں سے آیا تھا، میں یہ منظر دیکھ کر ششدر رہ گیا ۔
جب صبح صادق ہوئی وہ اٹھے اور فرض نماز ادا کی ، پھر اس نے اللّٰہ تعالیٰ کی تعریف ایسے دلپز یر انداز میں بیان کی ۔ کہ میں نے اس سے پہلے کسی کو بھی اس انداز میں تعریف کرتے ہوئے نہیں سنا تھا۔
پھر اس نے کہا: الٰہی مجھے جہنم کے عذاب سے بچالینا الٰہی کیا مجھ جیسا خطا کار بندہ بھی آپ سے جنت کا سوال کرنے کی جرات کر سکتا ہے ؟!
یہ بات وہ بار بار دہرانے لگے یہاں تک کہ خود بھی روپڑے اور مجھے بھی رلا دیا ۔ پھر لشکر کی طرف واپس لوٹ آئے ۔ اور کسی کو رات بھر اپنی غیر حاضری کا پتہ بھی نہ چلنے دیا، قوم کے سامنے اس طرح تازہ دم ظاہر ہوئے جیسے رات اس نے اپنے بستر پر گزاری ہو اور میں بھی کچھ دیر بعد اس کے نقش قدم پر چلتا ہوا واپس آیا لیکن اللّٰہ جانتا ہے کہ رات بھر بیدار رہنے اور شیر کے خوف و ہراس کی وجہ سے میرا جسم تھکن سے چور ہو چکا تھا ۔
حضرت صلتہ بن اشیم و عظ و نصیحت کے لیے کوئی موقع ہاتھ سے نہ جانے دیتے آپ کا اسلوب حکومت و دانش اور شیریں کلامی و خندہ روئی پر مبنی ہوتا جس سے سننے والوں کے سخت دل بھی نرم ہو جاتے اور لاپرواہ طبیعتوں میں گراز پیدا ہو جاتا۔
بسا اوقات آپ تخلیتہ اور عبادت کی غرض سے بصرہ کے قریبی جنگل کا رخ کرتے تو لا ابالی نوجوانوں کے گروہ کے پاس سے آپ کا گزر ہوتا ۔
آپ یہ دیکھتے کہ نوجوان کھیل کود اور ہنسی مذاق میں مشغول ہیں، آپ انہیں محبت بھرے انداز میں سلام کہتے اور بڑی نرمی سے گفتگو کرتے ، پھر ان سے کہتے بیٹو! مجھے یہ تو بتاؤ ایک قوم اگر کسی عظیم مقصد کے لیے سفر اختیار کرے لیکن وہ راستے میں بھی دن بھر کھیل کود میں مشغول ہو جائے اور رات کو بھی آرام کے لئے سوئی رہے کیا یہ قوم کبھی اپنی منزل پر پہنچ سکتی ہے؟
اس بات کو آپ بار بار دھراتے۔ ایک مرتبہ کا ذکر ہے کہ اسی طرح راستے میں نوجوانون سے ملاقات ہوئی وہ کھیل میں مشغول تھے ۔
آپ نے ان سے پھر پوچھا : تو ان میں سے ایک نوجوان اٹھا اور اس نے کہا۔
اللّٰہ کی قسم جس قوم کے بارے میں یہ پوچھ رہے ہیں اس سے مراد ہم ہیں ۔
ہم ہی تو وہ ہیں جو دن بھر کھیلتے ہیں اور رات کو سوتے رہتے ہیں ۔
وہ نوجوان دوستوں سے الگ ہوا، اور حضرت صلتہ بن اشیم کے پیچھے ہو لیا ، اس دن سے لے کر مرتے دم تک اس نے آپ کا دامن نہیں چھوڑا ۔
ایک مرتبہ اپنے ساتھیوں کی ایک جماعت کے ساتھ ان کا کوئی کام نپٹانے کے لیے کہیں جارہے تھے ، ان کے سامنے سے ایک خوبصورت گھبرو جوان گزرا اس کا تہبند زمین پر گھسٹتا جا رہا تھا۔ اس کی چال ڈھال سے رعونت اور نخوت ظاہر ہو رہی تھی ۔ ساتھی اس کا یہ اندازہ دیکھ کر بھڑک اٹھے قریب تھا کہ اس پر حملہ کر دیتے ۔
لیکن آپ آڑے آئے آپ نے فرمایا ۔ اسے چھوڑ دیں اس کے لیے میں کافی ہوں۔
پھر آپ نے ایسے شفقت بھرے انداز سے نوجوان کو بلایا جس طرح کہ شفیق باپ اپنے لاڈلے بیٹے کو بلاتا ہے یا کوئی مخلص دوست اپنے ساتھی سے محبت بھرے انداز میں مخاطب ہوتا ہے۔
فرمایا: بیٹا مجھے آپ سے ایک ضروری کام ہے نوجوان ٹھہر گیا اور کہا:
چچا جان فرمائیے کیا کام ہے ؟
آپ نے فرمایا:
اپنا تہبند ٹخنوں سے اوپر کر لیں۔
اس سے کپڑا بھی صاف رہے گا۔
تیرا میرا رب بھی راضی ہو گا۔
اور تیرے میرے نبی ﷺ کی سنت پر عمل ہو جائے گا ۔ یہ محبت
بھرا انداز دیکھ کر نوجوان شرمندگی سے نہال ہو گیا ، اور عرض کی : چچا جان چشم ما روشن دل ما شاد اور فورا اپنا تہبند ٹخنوں سے اوپر اٹھا لیا۔
حضرت صلتہ بن اشیم نے اپنے ساتھیوں سے کہا کسی کو سمجھانے کے لیے یہ اندازا کس قدر اچھا ہے اگر تم اسے مارتے یا گالی دیتے، تو وہ بھی تمھیں مارتا اور گالی دیتا اور وہ اپنی رعونت کا مظاہرہ کرتے ہوئے کبھی بھی اپنی چادر کو اوپر نہ اٹھاتا اور وہ بدستور زمین پر گھسٹتی رہتی۔
ایک مرتبہ بصرے کا ایک نوجوان آپ کی خدمت میں حاضر ہوا اور عرض کی۔
ابو صہباء ( یہ حضرت صلتہ کی کنیت ہے ) مجھے وہ علم سکھائیں جو اللّٰہ تعالیٰ نے آپ کو عطا کیا ہے۔ یہ سن کر حضرت صلتہ کا چہرہ خوشی سے کھل اٹھا ۔
اور فرمایا: بیٹا آج تو نے مجھے جوانی کی یاد دلادی جب کہ میں تیری طرح کا جوان ہوا کرتا تھا ۔
میں صحابہ کرام رضی اللّٰہ عنہ کی خدمت اقدس میں حاضر ہو کر ان سے بالکل یہی عرض کیا کرتا تھا ، کہ مجھے وہ علم سکھلائیں جو تمھیں اللّٰہ تعالیٰ نے عطا کیا ہے۔
صحابہ کرام رضی اللّٰہ عنہ نے مجھے ارشاد فرمایا:
قرآن مجید کو حرز جان اور اپنے دل کی بہار بنا لو اس سے خود بھی نصحیت حاصل کرو اور اس کے ذریعے مسلمانوں کو بھی نصحیت کرو۔ جس قدر
ہو سکے اللّٰہ تعالیٰ سے معافی مانگتے رہا کرو۔ نوجوان نے عرض کیا:
میرے لیے دعا کیجیے اللّٰہ آپ کو جزائے خیر عطا کرے۔ آپ نے یہ دعا کی کہ اللّٰہ تعالیٰ تیرے دل میں باقی رہنے والی چیزوں کی رغبت پیدا کرے ۔
اور فنا ہونے والی چیزوں کا خیال دل سے نکال دے تجھے وہ یقین نصیب ہو جس سے دلوں کو سکون حاصل ہوتا ہے اور دین میں جسے مرکزی حیثیت حاصل ہے ۔
حضرت صلتہ بن اشیم کی بیوی کا نام معاذة عدویہ تھا یہ بھی ان کی طرح تابعیہ تھی کیونکہ اس نے ام المئو منین حضرت عائشہ رضی اللّٰہ عنھا کی زیارت کی اور ان سے فیض حاصل کیا ۔ پھر اس نے حسن بصری رضی اللّٰہ عنہ ( اللّٰہ ان کی روح کو تروتازہ و خوشحال رکھے) سے علم حاصل کیا ۔
یہ بڑی پاکیزہ سیرت ، پرہیزگار ، عبادت گزار اور دنیا سے بے نیاز خاتون تھی۔
اس کی یہ عادت تھی کہ جب رات آتی تو کہتی شاید یہ میری زندگی کی آخری رات ہو ۔ یہ رات بھر عبادت میں مصروف رہتی ۔ یہاں تک کہ صبح ہو جاتی اور جب دن طلوع ہوتا تو کہتی شاید یہ دن میری زندگی کا آخری دن ہو تو وہ ذکرو فکر میں دن گزار دیتی۔ موسم سرما کو باریک کپڑے استمعال کرتی تاکہ سردی لگنے سے نیند نہ آئے اور عبادت کا سلسلہ منقطع نہ ہو۔
وہ پوری رات نماز اور تلاوت میں گزار دیتی ۔ جب نیند کا غلبہ ہونے لگتا۔
تو گھر کے صحن میں یہ کہتے ہوئے چکر لگانے لگتی۔
اے میری جان تیرے سامنے لمبی نیند ہے ۔
کل اپنی قبر میں عرصہ دراز کے لیے تو نے سونا ہے یا تجھے حسرت کی نیند سونا ہو گا ، یا خوشی کی نیند ، پھر اپنے آپ سے خطاب کرتے ہوئے کہتی اے معاذة آج تو دنیا میں اپنے لیے وہ چیز پسند کر جو تجھے کل آخرت میں پسند ہے۔
اگر چہ حضرت صلتہ بن اشیم انتہا درجے کے عبادت گزار اور دنیاوی چیزوں سے بالکل بے نیاز تھے لیکن اس کے باوجود انہوں نے نبی کریم صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم کی سنت پر عمل کرتے ہوئے اپنے چچا کی بیٹی معاذة سے شادی کی۔
سہاگ رات ایسا ہوا کہ بھائی کا بیٹا شام ڈھلتے ہی اس کے پاس آیا اور اسے نہلانے کے لیے گرم حمام میں لے گیا ، پھر اسے ایک خوشبو دار اور آراستہ و پیراستہ کمرے میں چھوڑ گیا ۔
جس میں دلہن سنگھار کیے ہوئے بیٹھی تھی ۔ دونوں نے ایک دوسرے کو دیکھا پھر آپ نے شکرانے کے دو نفل ادا کرنے لگے ۔ دلہن نے بھی نماز پڑھنا شروع کر دی، دونوں پر نماز کی لزت نے ایسا جادو کیا کہ پوری رات نماز میں گزار دی۔
زرادن چڑھے بھائی کا بیٹا ان کے پاس آیا جب اسے پتہ چلا کہ آپ نے پوری رات عبادت میں گزار دی تو کہنے لگا چچا جان نئی نویلی دلہن آپ کے گھر آئی آپ رات بھر نماز پڑھتے رہے اور اس کی طرف دھیان ہی نہ دیا ۔ فرمانے لگے: بھتیجے کل تم مجھے پہلے ایک ایسے کمرے میں لے گئے جس نے مجھے جہنم کہ یاد دلائی ۔
پھر ایک دوسرے کمرے میں لے گئے جس نے مجھے جنت کی یاد دلائی بس میں ساری رات اسی جنت و دوزخ کے چکر میں غلطاں و پریشاں رہا یہاں تک کہ صبح ہو گئی ۔
نوجوان نے پوچھا: چچا جان وہ کیسے؟
فرمایا: جب تم مجھے گرم حمام میں لے گئے تو وہاں آگ جل رہی تھی اس کی گرمی نے جہنم کی گرمی یاد دلائی، پھر تم مجھے دلہن کے کمرے میں لے گئے اس کی دلفریب مہک نے جنت کی رعنائی کا منظر پیش کیا۔
حضرت صلتہ بن اشیم رضی اللّٰہ عنہ خشیت الٰہی کے خوگر ، صدق دل سے توبہ کرنے والے ، عبادت گزار ، شب زندہ دار دنیا سے بے رغبتی رکھنے والے ہی نہ تھے بلکہ وہ شہسوار ، شہزور ، بہادر اور نڈر مجاہد بھی تھے ۔
میدانہائے جنگ نے اس جیسا بہادر ، طاقتور ، مضبوط عزم والا اور تلوار کا دھنی کم ہی دیکھا ہوگا۔
مسلمان جرنیل اسے اپنے اپنے لشکر میں شامل کرنے کے لیے کوشاں رہتے ، ہر کسی کی یہ دلی رغبت ہوتی کہ یہ اس کے لشکر میں شامل ہو جائیں تاکہ اس کی بہادری و تجربہ کاری کے ذریعہ کامیابی حاصل کی جائے۔
جعفر بن زید بیان کرتے ہیں ۔
کہ ہم ایک معرکے کے لیے روانہ ہوئے ہمارے ساتھ صلہ بن اشیم اور ہشام بن عامر بھی تھے جب ہم دشمن سے نبرد آزما ہوئے ۔ تو حضرت صلتہ اور اس کا ساتھی لشکر اسلام کی صفوں سے الگ ہو کر دشمن کی صفوں کو نیزوں اور تلواروں سے چیرتے ہوئے ہر اول دستے پر حملہ آور ہوئے دشمن کے ایک جرنیل نے دوسروں سے کہا ۔
لشکر اسلام کے صرف دو آدمیوں نے ہمیں مصیبت میں مبتلا کر دیا ہے، اگر یہ سب ہی یکبارگی ہم پر حملہ آور ہو جاتے تو ہمارا کیا بنتا ، میری مانو تو مسلمانوں کی اطاعت اختیار کر لو اور ان کے آگے ہتھیار ڈال دو۔ اسی میں تمھاری بہتری ہے۔
٢٧ ہجری کو حضرت صلتہ بن اشیم لشکر اسلام کے ہمراہ ماوراء النہر کے علاقہ جات کو فتح کرنے کے لیے روانہ ہوئے آپ کے ساتھ آپ کا بیٹا بھی تھا ، جب دونوں لشکر آپس میں ٹکرائے ، گھمسان کا رن پڑا تو حضرت صلتہ نے اپنے بیٹے سے کہا ۔ بیٹا اگے بڑھو دشمنان خدا سے آخری دم تک جہاد کرو، اس کے پاس رکھی ہوئی امانت کبھی ضائع نہیں ہوتی ۔
باپ کی بات سن کر نوجوان بیٹا دشمن سے نبرد آزما ہونے کے لئے اس طرح تیزی سے لپکا جس طرح تیر کمان سے نکلتا ہے ، وہ مسلسل لڑتا رہا یہاں تک کہ جام شہادت نوش کر گیا۔ یہ منظر دیکھ کر باپ آگے بڑھا دشمن پر تابڑ توڑ حملہ کیا بالاخر یہ بھی اپنے بیٹے کے پہلو میں شہید ہو کر گر پڑے ۔
جب انکی شہادت کی خبر بصرہ پہنچی تو خواتین افسوس کرنے کے لیے حضرت معاذ رضی اللّٰہ عنھا کے پاس آئیں جس کا خاوند اور بیٹا جام شہادت نوش کر چکے تھے آپ نے آنے والی تمام خواتین سے کہا۔
اگر تم مجھے مبارکباد دینے کے لیے آئی ہو تو میں تمھیں خوش آمدید کہتی ہوں ۔ اگر اس کے علاوہ تمھارا کوئی مقصد ہے تو آپ واپس جا سکتی ہیں اللّٰہ تمھیں جزائے خیر عطا کرے ۔
اللّٰہ ان مبارک چہروں کو تروتازہ رکھے ، اسلام اور مسلمانوں کی طرف سے جزائے خیر عطا کرے ۔ تاریخ انسانیت میں بلاشبہ یہ گھرانہ تقوی اور پاکیزگی کے اعلی معیار پر فائز تھا۔
حضرت صلتہ بن اشیم عددی کی مفصل حالات زندگی معلوم کرنے کے لیے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کیجئے ۔
کے لیے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کیجئے
١- طبقات ابن سعد
٧/ ١٣٤
٢- التاریخ الکبیر
٤/ ٣٢١
٣- الکنی
٢/ ١٣
٤- الجرح والتعد یل
٤/ ٤٤٧
٥- حلیتہ الاولیاء
٢/ ٢٣٧
٦- اسد الغابہ
٤/ ٣٤
٧- تاریخ الاسلام
٣/ ١٩
٨- البدایتہ والنہایتہ
٩/ ١٥
٩- الاصابتہ
٢/ ٢٠٠
١٠- طبقات خلیفہ اور صفتہ الصفوہ میں دیکھئے ۔
حوالہ:
“کتاب: حَياتِ تابِعِين کے دَرخشاں پہلوُ”
تالیف: الاستاذ ڈاکتور عبد الرحمان رافت الباشا
ترجمه: محمود غضنفر