Search
Sections
< All Topics
Print

22. Hazrat Umar Bin Abdul Azeez (رحمہ اللہ)

Hazrat Umar Bin Abdul Azeez رحمہ اللہ

Khubsurat, Khubseerat, Jayyad Aalim, Parhaiz gaar, Khuda tars, Shab zindah daar aur Allah ki taraf raju’ karne waale thay.

(Allama Zahabi رحمه الله)

Jaleelul Qadar tab’aee Khalifaht ul muslimeen Hazrat Umar Bin Abdul Azeez ki seerat badi hi mutanawwi’ qism ki hai, Un ki zindagi ka har aik waaqiya aap ko doosray se Ziyadah numaayan, Dilkash, Dilfareib aur hairat angaiz dikhaai dega.

Qabal azeen ham ne is paanchwain Khalifah-e-Raashid ki zindagi kay teen hairat angaiz waqiye bayaan kiye thay, Aayeim ab ham teen aur waqiyat se lutf andoz hotay hain, Jo pehle waqiyat se kisi taur kam asar anagaiz nahi hain.


Pehle waqiye mein raawi rijziya ash’aar kehnay waly aik mumtaaz shayar Dukain Bin Sa’eed Daarami hai, Kehta hai keh:

Jab Hazrat Umar Bin Abdul Azeez Madinah kay governor thay main ne un ki ta’reef mein shayr kahe. Aap ne mujhe pandrah umdah nasal ki untaniyan bataur In’aam inaayat kein.

Jab main ne unhein dekha to un ki khubsurati mujhe bohat bhaai aur main unhein dekhta hi reh gaya, Aur mera hausla na pada kay unhein main akela lekar sooye manzil ki taraf rawaana hon kyunkeh meri rehaaish Najad mein thi jo keh Madinah Munawwarah se kaafi faasle par waqe’ tha, Raaste mein khatra tha keh koi yeh mujh se cheen na le aur na hi aisi umdah untanion ko bechnay ka jee chahta tha. Main inhein khayalaat mein Ghaltaan-o-Pareshaan tha keh chand saathi meray paas aaye jo hamary ilaaqay Najad jaane ka iraadah kiye huye thay, Main ne un se kaha:

Mujhe bhi apne saath lejaana, Unho ne kaha chasham ma raushan dil maa shaad. Zaroor chaliye, Ham aaj raat rawaana honge aap bhi taiyaari kar lain.

Main Hazrat Umar Bin Abdul Azeez ko alwidaai salaam kehnay kay liye gaya.

Main ne dekha keh wahan un kay paas do aadmi baithay huye hain jin ko main nahi jaanta tha. Jab main salaam arz kar kay wapis jaane laga to aap ne meri taraf dekhtay huye irshaad farmaaya:

Aye Dukain meray dil mein taraqqi ki manaazil tay karne ka bohat hi shauq paaya jata hai. Agar aap ko ma’loom ho keh main is say bade ohday par fayez ho chuka hoon to mulaqaat kay liye zaroor aana, Main tujhe mazeed inamaat se nawaazunga aur teray sath Husn-o-Sulook say pesh aaunga.

Main ne kaha is baat par koi gawah bana lijiye.

Aap ne farmaaya: Is baat par Allah Subhana wa ta’alaa gawah hai.

Main ne kaha: Us ki makhlooq mein say bhi kisi ko gawah bana lijiye.

Aap ne farmaaya yeh do buzurg baithay hain.

Main un say aik ki taraf mutawajjah hua.

Mere maa baap aap par qurbaan hon.

Aap ka kya naam hai?

Unhon ne bataaya: Salim Bin Abdullah Bin Umar Bin Khattaab رضی اللّٰہ عنه.

Main ne governor ki taraf dekhtay huye kaha kitna acha gawah hai.

Phir doosray shakhs ki taraf dekha aur kaha main qurbaan aap ka ism giraami kya hai?

Unho ne farmaaya: Governor ka ghulam Abu Yahya.

Main ne kaha yeh gawah Ahl-e-Khana main say hai.

Main ne salaam arz ki aur apni untaniyan lekar sooye Najad ki taraf rawaana ho gaya.

Allah ta’alaa ne un untanion mein bebaha barkat ata ki.

Jis kay natijay mein meray paas bohat say oont aur nokar chaakar jama’ ho gaye.


Yunhi din guzartay gaye, Main aik roz Najad kay ilaaqay Yamamah kay Laq-o-Daq sehra mein tha. Kisi ne Ameer ul Momineen Suleiman Bin Abdul malik kay faut ho jaane ki khabar sunaai, Main ne us say pucha us kay ba’ad kis ko Khalifah banaya gaya hai?

Usi ne bataaya Hazrat Umar Bin Abdul Azeez ko. Main yeh khabar suntay hi sar Zameen-e-Shaam ki taraf rawaana ho gaya. Jab main Damishq pohcha to saamne say bohat mashoor shaair Jareer aata hua nazar aaya main ne usay salaam kiya.

Aur pucha janaab kahan say tashreef laa rahay hain.

Usi ne bataaya: Khalifah Umar Bin Abdul Azeez kay han say aa raha hoon woh fukraa aur masaakin ko atiyaat say nawaaz rahay hain aur shoraa’ ko khaali haath wapis kar rahay hain.

Meri maano jahan se aaye ho wapis chale jaao. Yehi tumhary liye behtar hai.

Main ne kaha mera ma’amla doosra hai mery khalifah kay sath t’alluqaat aap logon se doosri no’iyat kay hain.

Aap ne kaha jaise aap ki marzi:

Main wahan say chala aur Khalifah kay ghar pohcha woh ghar kay sehen mein thay. Chaaron taraf fukraa, Yutamaa, Bewgaan aur mazloom logon ka jumgatha tha. Is bheed ki wajah say meray un tak pahunchne ki koi surat dikhaai na deti thi, Main ne buland awaaz say kaha:

Aye Khairaat-o-Akhlaaq kay be inthaa sakhaawat karne waale, Umar Bin Abdul Azeez main door daraaz ilaaqay Hazr-e-Maut mein waqe’ qatan gaaon say qabilah Banu Darim ka fard apne sakhi aur khush akhlaaq bhai se apna haq lenay kay liye yahan aaya hoon mera aap par kuch qarz hai, Woh ada kijye.

Meri baat sun kar us kay ghulam Abu Yahya ne bade ghaur say meri taraf dekha aur phir Khalifah ki taraf dekhtay huye kaha:

Ameer ul Momineen: Waqayi aap ne us say waada kiya tha. Main us waqat maujood tha.

Aap ne farmaaya: Main jaanta hoon.

Phir meri taraf mutawajjah huye aur farmaaya:

Dukain meray qareeb aao, Jab main un kay saamne aaya to aap ne badi meherbaani say irshaad farmaaya:

Kya tum jaante ho keh main ne Madinah Munawwarah mein kaha tha keh meray dil ka haal yeh hai keh jab bhi koi ne’mat mayassar aati hai to mera dil us say behter ki talaash mein hota hai.

Main ne kaha: Haan Ameer ul Momineen mujhe achi tarah yaad hai. Aap ne farmaaya: Mujhe duniya ka sab say bada ohda hukumat ki sarbraahi mil gayi. Ab mera dil aakhirat mein sab say a’alaa darjay par fayez hona chahta hai.

Aur woh Jannat hai.

Mera dil Allah ta’alaa ki razaa haasil kar kay kamyabi ki manzil par pahuchna chahta hai Agarcha badshaah hukumat kay zariye duniya ki izzat aur Jaah-o-Chasham kay mutlaashi hotay hain.

Lekin main hukumat kay zariye aakhirat ki izzat haasil karna chahta hoon. Aye Dukain Allah ki qasam jab say main khilafat kay ohday par fayez hua hoon main ne logon se aik dumri bhi nahi li.

Meray paas zaati sirif aik hazaar dirham hain.

Nisf aap le lijiye aur nisf meray liye rehnay dijye main ne paanch so dirham liye aur apne ghar wapis aa gaya, Allah ki qasam mujhe us se bohat faaida hua.

Yeh paanch so meray liye bade hi ba barkat sabit huye.


Doosray waqiya kay raawi Mousil kay Qaazi Yahya Bin Yahya Ghassani hain. Farmaate hain:

Umar Bin Abdul Azeez aik roz Hims kay bazaar mein gasht kar rahay thay takeh cheezon kay narakh ma’loom kar saken, Aik aadmi aap kay saamne aaya jis ne Qatar ki bani hui do surkh rang ki chaadrain odh rakhi thein.

Us ne kaha Aye Ameer ul Momineen: Main ne suna hai keh aap ne elaan kiya hua hai keh jis par koi zulm hua hai woh aap kay paas fariyad lekar aaye, Aap ne farmaaya haan.

Us ne kaha yeh aik mazloom insaan hai badi door se fariyad lekar aaya hai, Hazrat Umar ne kaha: Kahan se aaye ho?

Arz ki Adan say.

Aap ne farmaaya waqayi bohat door se aaye ho, Yeh kehtay hi apni sawaari se neechay utray aur us kay samnay khade ho kar us say pucha.

Aap par kya zulm hua hai?

Us ne kaha meray paas zameen thi jis par aik shakhs qaabiz ho gaya hai woh apna t’alluq aap se zaahir karta hai.

Us ne yeh zameen zabardasti mujh se hathiya li hai, Main kamzor hoon mera koi chaara nahi chalta is liye faryaad lekar aap ki khidmat mein haazir hua hoon.

Hazrat Umar ne Adan kay governor Urwah Bin Muhammad ko khat likha: Jab yeh mera khat teray paas pohchay to fauri taur par is khat ko laanay waale kay dalaail sunna, Agar yeh sacha ho to fauri taur par is ka haq dilaana, Aur is mein aik lazah kay liye bhi kotaahi na ho. Phir us khat par mohar laga di aur usay pakda diya.

Jab woh shakhs wapis jaane laga to Hazrat Umar ne kaha zara thehriye, Aap bohat door se aaye hain. Bilashubah is safar par aap ka kharch utha hoga.

Naye kapde puranay ho gaye honge.

Ho sakta hai Zaad-e-Raah khatam ho jaane ki wajah se aap ki sawaari halaak ho jaye, Phir aap ne mukammal hisaab laga kar giyarah denaar us ko diye aur farmaaya:

Wahan jaa kar logon ko bata dena keh jis par bhi koi zulm ho woh fauran apni fariyaad meray tak pohchaaye.

Is mein qat’an koi kotaahi na karay takeh har mazloom ki fauri taur par daad rasi ki jaaye.


Teesray waqiye ka raawi Abid, Zahid Ziyad Bin Maysarah makhdoomi hai, Bayaan karta hai keh:

Mujhe meray Aaqa Abdullah Bin Ayyash ne apne kisi zaroori kaam kay liye Madinah Munawwarah se Damishq bheja takeh Ameer ul Momineen Hazrat Umar Bin Abdul Azeez ki khidmat mein haazir ho kar woh kaam kara sakoon.

Kyunkeh meray Ameer ul Momineen kay saath us waqat say bade hi khush gawaar t’alluqaat thay jab woh Madinah kay governor hua kartay thay, Jab main wahan gaya to kya dekha keh aik kaatib un kay paas baitha Kuch tehreer kar raha hai, Jab main kamray ki dehleez par pohcha to Assalam u alaikum kaha.

Unhon ny jawab main walaikum ul salam kaha.

Phir main aage badha, Mujhe sharmindgi hui kyunkeh main ne salaam kehtay huye Ameer ul Momineen nahi kaha tha. Jab main bilkul aap kay qareeb hua to Assalam u alaikum Ameer ul Momineen kaha.

Aap ne farmaaya Ziyad main ne pehle bhi aap kay sawaal ka jawaab diya tha ab dobara salaam kehnay ki kya zarurat pesh aayi?

Us waqat kaatib logon par dhaaye gaye zulm ki daastanein padh kar suna raha tha jo daak kay zariye Basrah se mosool hui thein.

Mujhe farmaaya: Ziyad baitho main is kaam say faarigh ho jaaon main darwaaze ki dehleez par hi baith gaya.

Kaatib padh kar suna raha tha aur Hazrat Umar Gham-o-Andoh say thandi aahen bhar rahe thay.

Jab kaatib tamaam khat suna chuka to Hazrat Umar apni jagah say uthay, Meray paas aaye, Darwaaze ki dehleez par meray saamne mery guthno par apnay haath rakhay aur farmaaya:

Ziyad aap kay aanay say badi khushi hui.

Aap ne aaj bada acha garam libaas pehna hua hai. Is sardi kay mousam mein khoob maza deta hoga.

Phir aap sulahaaye Madinah ka haal puchnay lagay, Aik aik ka naam lekar haal daryaft kiya, Phir aap ne Madinah Munawwarah ki un islaahat kay mut’alliq pucha jo unho ne apni governor kay sunehri daur mein ki thein, Main ne har woh baat batayi jis ka us ne mujh say sawaal kiya tha.

Phir aap ne aik lambi saans li aur farmaaya:

Aye Ziyad kya tujhe ma’loom hai keh is waqt Umar kis musibat ka shikaar hai?

Main ne kaha: Allah khair kare kya hua?

Farmaaya bohot afsos hai.

Phir aap ronay lage aur main tasalli denay laga main ne kaha: Ameer ul Momineen apni sehat ka khayaal rakhiye main aap kay liye behtari ki ummid rakhta hoon.

Aap ne farmaaya: Aye Ziyad jo tum ummid baandhe huye ho woh bohat door ki baat hai.

Phir farmaaya: Allah ne mujhe yeh maqaam diya keh:

Main doosron ko bura bhala keh sakoon aur koi bhi mujhe meray saamne gaali bhi na day sakay, Main jis ki chahoon pitaai karoon aur koi mujhe maar na sakay, Main logon ko azeeyat pohncha sakoon aur koi mujhe takleef na day sakay.

Yeh kaha aur Zaar-o-Qataar rone lage aur main unhein dilasa denay laga.

Main un ky paas teen din tahra mairy aqa ka jo kaam tha who unhon ny kar dia.

Jab main wapas jaane laga to aap ne mujhe meray aaqa kay naam khat diya jis mein yeh mutaalbah keh woh mujhe apne paas bech dein. Phir aap ne apnay takiye kay nichay say bees denaar nikaale mujhe diye aur farmaaya: Yeh bawaqt zaroorat kharch kar lena.

Agar baitul maal mein tera koi haq hota to main woh bhi tujhe zaroor deta.

Main ne woh bees denaar lenay se inkaar kiya.

Aap ne farmaaya: Yeh lelain yeh main tujhe baitull maal se nahi day raha balkeh apni jaib kay kharchy se day raha hoon.

Main ne lenay se inkaar kiya, Lekin aap ne bohat israar kiya yahan tak keh mujhe woh deenaar lenay paday, Jab main wapsi Madinah pohcha, Ameer ul Momineen ka khat apne aaqa ko diya, Us ne khat khola aur padha aur mujhe bataaya keh Ameer ul Momineen meray paas se tujhe khareed kar aazaad karna chahtay hain bhala main hi kyun na tujhe azaad kar doon.

Phir us ne mujhe aazaad kar diya.


Hazrat Umar Bin Abdul Azeez kay mufassal Halaat-e-Zindagi ma’loom karne kay liye darjzail kitaabon ka mutaal’a kijye:

1: Seerat-e-Umar Bin Abdul Azeez                                                   Ibn-e-Abdul Hakeem
2: Seerat Umar Bin Abdul Azeez                                                        Ibn-e- Jawzi
3: Seerat Umar Bin Abdul Azeez                                                        Aajuri
4: Al Tabaqat ul Kubra (Ibn-e-Saad)                                                 5/330
5: Sifat ul Safwah Ibn-e- Jawzi                                                          2/113-126
6: Wafayat ul Aayaan Ibn-e-Khalkan                                                 jild:2-3-4-5
7: Al Aqad ul Fareed Ibn-e-Abaderabbhi                                           jild:1-2-3-4-5-6-7-8
8: Al Bayan wal Tabyeen Al Jahiz                                                     jild:1-2-3-4
9: Tarikh Madinah Damishq Ibn-e-Asakir                                         2/115-127

 

REFERENCE:
Book: “Hayat-e-Taba’een kay Darakhsha pahelo”
Taleef :  Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
Urdu Translation : By Professor Mehmood Ghaznofer

حضرت عمر بن عبد العزیز رضی اللّٰہ عنہ



حضرت عمر بن عبد العزیز خوب صورت ، خوب سیرت ، جید عالم ، پرہیزگار ، خدا ترس ، شب زندہ دار اور اللّٰہ کی طرف رجوع کرنے والے تھے ۔

(علامہ ذہبی ؒ )

 

جلیل القدر تا بعی خلیفتہ المسلمین حضرت عمر بن عبدالعزیز کی سیرت بڑی ہی متنوع قسم کی ہے, ان کی زندگی کا ہر واقعہ آپکو دوسرے سے زیادہ نمایاں, دلکش, دلفریب اور انگیز دیکھائی دے گا –
قبل ازیں ہم نے اس پانچویں خلفیہ راشد کی زندگی کے تین حیرت انگیز واقعات بیان کیے تھے آئیے اب ہم تین اور واقعات سے لطف اندوز ہوتے ہیں, جو پہلے واقعات سے کسی طور کم اثر انگیز نہیں ہیں-

                           




پہلے واقعے کا راوی رجزیہ اشعار کہنے والا ایک ممتاز شاعر و کین بن سعید دارمی ہے, کہتا ہے –
کہ جب حضرت عمر بن عبدالعزیز کے گورنر تھے میں نے ان کی تعریف میں شعر کہے – آپ نے مجھے پندرہ عمدہ نسل کی اونٹنیاں بطور انعام عنایت کیں- جب میں نے انہیں دیکھا تو ان کی خوبصورتی مجھے بہت بھائی اور میں انہیں دیکھتا ہی رہ گیا, اور میرا حوصلہ نہ پڑا کہ انہیں میں اکیلا لے کر سوئے منزل روانہ ہوں کیونکہ میری رہائش نجد میں تھی جو کہ مدینہ منورہ سے کافی فاصلے پر واقع تھا, راستے میں خطرہ تھا کہ کوئی یہ مجھ سے چھین نہ لے اور نہ ہی ایسی عمدہ اونٹنیاں بیچنے کو جی چاہتا تھا – میں انہی خیالات میں غلطاں و پریشان تھا کہ چند ساتھی میرے پاس آئے جو ہمارے علاقے نجد جانے کا ارادہ کیے ہوئے تھے میں نے ان سے کہا –
مجھے بھی اپنے ساتھ لیتے جانا انہوں نے کہا چشم ماروشن دل ماشاد ضرور چلئیے, ہم آج رات روانہ ہونگے آپ بھی تیاری کر لیں –
میں حضرت عمر بن عبدالعزیز کو الوداعی سلام کہنے کے لیے گیا –
میں نے دیکھا کہ وہاں ان کے پاس دو آدمی بیٹھے ہوئے ہیں جن کو میں نہیں جانتا – جب میں سلام عرض کر کے واپس جانے لگا تو آپ نے میری طرف دیکھتے ہوئے ارشاد فرمایا –
اے دکین میرے دل میں ترقی کی منازل طے کرنے کا بہت ہی شوق پایا جاتا ہے – اگر آپ کو معلوم ہو کہ میں اس بڑے عہدے پر فائز ہو چکا ہوں تو ملاقات کے لیے ضرور آنا, میں تجھے مزید انعامات سے نوازوں گا اور تیرے ساتھ حسن سلوک سے پیش آؤں گا – میں نے کہا اس بات پر کوئی گواہ بنا لیجئے
آپ نے فرمایا : اس بات پر اللّٰہ سبحان و تعالیٰ گواہ ہے –
میں نے کہا : اس کی مخلوق میں سے بھی کسی کو گواہ بنا لیجئے
آپ نے فرمایا یہ دو بزرگ بیٹھے ہیں –
میں ان سے ایک کی طرف متوجہ ہوا –
میرے ماں باپ آپ پر قربان ہوں –
آپ کا نام کیا ہے ؟
انہوں نے بتایا : سالم بن عبداللّٰہ عمر بن خطاب رضی اللّٰہ عنہ-
میں نے گورنر کی طرف دیکھتے ہوئے کہا کتنا اچھا گواہ ہے –
پھر دوسرے شیخ کی طرف دیکھا اور کہا میں قربان آپ کا اسم گرامی کیا ہے ؟
انہوں نے فرمایا گورنر کا غلام ابو یحی-
میں نے کہا یہ گواہ اہل خانہ میں سے ہے –
میں نے سلام عرض کی اور اپنی اونٹنیاں لے کر سوئے نجد روانہ ہو گیا-
اللّٰہ تعالیٰ نے ان اونٹنیوں میں بے بہا برکت عطا کی –
جس کے نتیجے میں میرے پاس بہت سے اونٹ اور نوکر چاکر جمع ہو گئے-

                     




یونہی دن گزرتے گئے میں ایک روز نجد کے علاقے یمامہ کے لق ودق صحرا میں تھا – کہ کسی نے امیرالمئومنین سلیمان عبد الملک کے فوت ہو جانے کی خبر سنائی, میں نے اس سے پوچھا اس کے بعد کس کو خلیفہ بنایا گیا ہے –
اسی نے بتایا حضرت عمر بن عبدالعزیز کو – میں یہ خبر سنتے ہی سر زمین شام کی جانب روانہ ہو گیا – جب میں دمشق پہنچا تو سامنے سے بہت مشہور شاعر جزیر آتا ہوا نظر آیا میں نے اسے سلام کیا-
اور پوچھا جناب کہاں سے تشریف لا رہے ہیں –
اسی نے بتایا : خلیفہ عمر بن عبدالعزیز کے ہاں سے آرہا ہوں وہ فقراء و مساکین کو عطیات سے نواز رہے ہیں اور شعراء کو خالی ہاتھ واپس کر رہے ہیں –

میری مانو جہاں سے آئے وہیں واپس چلے جاؤ – یہی تیرے لیے بہتر ہے –
میں نے کہا میرا معاملہ دوسرا ہے میرے خلیفہ کے ساتھ تعلقات آپ لوگوں سے مختلف نوعیت کے ہیں –
اس نے کہا جیسے آپ کی مرضی:
میں وہاں سے چلا اور خلیفہ کے گھر پہنچا وہ گھر کے صحن میں تھے-
چاروں طرف فقراء یتامی, بیوگان اور مظلوم لوگوں کا جمگھٹا تھا- اس بھیڑ کی وجہ سے میرے ان تک پہنچنے کی کوئی صورت دیکھائی نہ دیتی تھی میں نے بلند آواز سے کہا :
اے خیرات و اخلاق کی بے انتہا سخاوت کرنے والے عمر بن عبدالعزیز میں دور دراز علاقے حضر موت میں واقع قطن گاؤں سے قبیلہ بنو درام کا فرد اپنے سخی اور خوش اخلاق بھائی سے اپنا حق لینے کے لیے یہاں آیا ہوں میرا آپ پر کچھ قرض ہے, وہ ادا کیجئے –
میری بات سن کر اس کے غلام ابو یحی نے بڑے غور سے میری طرف دیکھا اور پھر خلیفہ کی طرف دیکھتے ہوئے کہا :
امیرالمئومنین واقعی آپ نے اس سے وعدہ کیا تھا – میں اس وقت موجود تھا-
آپ نے فرمایا میں جانتا ہوں –

پھر میری طرف متوجہ ہوئے اور فرمایا –
دکین میرے قریب آؤ جب میں ان کے سامنے آیا تو آپ نے بڑی مہربانی سے ارشاد فرمایا –
کیا تم جانتے ہو کہ میں نے مدینہ منورہ میں کہا تھا کہ میرے دل کا حال یہ ہے کہ جب بھی کوئی نعمت میسر آتی ہے تو میرا دل اس سے بہتر کی تلاش میں ہوتا ہے –
میں نے کہا : ہاں امیرالمئومنین مجھے اچھی طرح یاد ہے – آپ نے فرمایا :
مجھے دنیا کا سب سے بڑا عہدہ حکومت کی سربراہی مل گئی – اب میرا دل آخرت میں بھی سب سے اعلیٰ مرتبہ پر فائز ہونا چاہتا ہے –
اور وہ جنت ہے –
میرا دل اللّٰہ تعالیٰ کی رضا حاصل کرکے کامیابی کی منزل پر پہنچنا چاہتا ہے اگرچہ بادشاہ حکومت کے ذریعے دنیا کی عزت اور جاہ و حشم کے متلاشی ہوتے ہیں –
لیکن میں حکومت کے ذریعے آخرت کی عزت حاصل کرنا چاہتا ہوں – اے دکین اللّٰہ کی قسم جب سے میں خلافت کے عہدے پر فائز ہوا ہوں میں نے لوگوں سے ایک دمڑی بھی نہیں لی-
میرے پاس ذاتی مصرف ایک ہزار درہم ہیں –
نصف آپ لیجئے اور نصف میرے لیے رہنے دیجئے میں نے پانچ سو درہم لیے اور واپس اپنے گھر آ گیا, اللّٰہ کی قسم اس سے مجھے بہت فائدہ ہوا-

یہ پانچ سو میرے لیے بڑے ہی با برکت ثابت ہوئے –

                         




دوسرے واقعہ کے راوی موصل کے قاضی یحی بن یحی غسانی ہیں –
فرماتے ہیں –
عمر بن عبدالعزیز ایک دوز حمص کے بازار میں گشت کر رہے تھے تاکہ چیزوں کے نرخ معلوم کر سکیں ایک آدمی آپکے سامنے آیا جس نے قطر کی بنی ہوئی دو سرخ رنگ کی چادریں اوڑھ رکھی تھیں –
اس نے کہا اے امیرالمئومنین میں نے سنا ہے کہ آپ نے یہ اعلان کیا ہوا ہے کہ جس پر کوئی ظلم ہوا ہے وہ آپ کے پاس فریاد لے کر آئے آپ نے فرمایا ہاں-
اس نے کہا یہ ایک مظلوم انسان ہے بڑی دور سے فریاد لے کر آیا ہے, حضرت عمر نے کہا :
کہاں سے آئے ہو –
عرض کی عدن سے :
آپ نے فرمایا واقعی بہت دور سے آئے ہو یہ کہتے ہی اپنی سواری سے نیچے اترے اور اس کے سامنے کھڑے ہو کر اس سے پوچھا –
آپ پر کیا ظلم ہوا ہے –
اس نے کہا میرے پاس زمین تھی جس پر ایک شخص قابض ہو گیا ہے وہ اپنا تعلق آپ سے ظاہر کرتا ہے –

اس نے یہ زمیں زبردستی مجھ سے ہتھیالی ہے, میں کمزور ہوں میرا کوئی چارہ نہیں چلتا اس لیے فریاد لے کر آپ کی خدمت میں حاضر ہوا ہوں –
حضرت عمر نے عدن کے گورنر عروہ بن محمد کو لکھا – جب یہ میرا خط تیرے پاس پہنچے تو فوری طور پر اس خط کو لانے والے کے دلائل سننا اگر یہ سچا ہو تو فوری طور پر اس کا حق دلانا, اور اس میں ایک لحظ کے لیے بھی کوتاہی نہ ہو – پھر اس خط پر مہر لگادی اور اسے پکڑا دیا-
جب وہ شخص واپس جانے لگا تو حضرت عمر نے کہا ذرا ٹھہرئیے, آپ بہت دور سے آئے ہیں – بلاشبہ اس سفر پر آپ کا خرچ اٹھا ہو گا –
نئے کپڑے پرانے ہو گئے ہو نگے-
ہو سکتا ہے زادراہ ختم ہو جانے کی وجہ سے آپکی سواری ہلاک ہو جائے پھر آپ نے مکمل حساب لگا کر گیارہ دینار اس کو دئیے اور فرمایا –
وہاں جا کر لوگوں کو بتا دینا کہ جس پر بھی کوئی ظلم ہوا ہو وہ فوراً اپنی فریاد میرے تک پہنچائے-
اس میں قطعا کوئی کو تاہی نہ کرے تا کہ ہر مظلوم کی فوری طور پر داد رسی کی جائے –

                   




تیسرے واقعے کا راوی عابد , زاہد ذیاد بن میسرہ مخذومی ہے, بیان کرتا ہے –

کہ مجھے میرے آقا عبداللّٰہ بن عیاش نے اپنے کسی ضروری کام کے لیے مدینہ منورہ سے دمشق بھیجا تاکہ امیرالمومنین حضرت عمر بن عبدالعزیز کی خدمت میں حاضر ہو کر وہ کام کرا سکوں-
کیونکہ میرے امیرالمومنین کے ساتھ اس وقت سے بڑے ہی خوشگوار تعلقات تھے جب وہ مدینہ منورہ کے گورنر ہوا کرتے تھے جب میں وہاں گیا تو کیا دیکھا کہ ایک کاتب انکے پاس بیٹھا کچھ تحریر کر رہا ہے جب میں کمرے کی دہلیز پر پہنچا تو اسلام علیکم کہا-
انہوں نے جواب میں وعلیکم السلام کہا-
پھر میں آگے بڑھا, مجھے شرمندگی ہوئی کیونکہ میں نے سلام کہتے ہوئے امیرالمومنین نہیں کہا تھا – جب میں بلکل آپ کے قریب ہوا تو دوبارہ السلام علیکم یا امیرالمومنین کہا-
آپ نے فرمایا زیاد میں نے پہلے بھی آپ کے سوال کا جواب دیا تھا اب دوبارہ سلام کہنے کی کیا ضرورت پیش آئی –
اس وقت کاتب لوگوں پر ڈھائے گئے مظالم کی داستانیں پڑھ کر سنا رہا تھا جو ڈاک کے ذریعے بصرے سے موصول ہوئی تھیں –
مجھے فرمایا زیاد بیٹھو میں اس کام سے فارغ ہو جاؤں میں دروازے کی دہلیز پر ہی بیٹھ گیا –
کاتب پڑھ کر سنا رہا تھا اور حضرت عمر غم و اندوہ سے ٹھنڈی آہیں بھر رہے تھے –

جب کاتب تمام خط سنا چکا تو حضرت عمر اپنی جگہ سے اٹھے, میرے پاس آئے, دروازے کی دہلیز پر میرے سامنے بیٹھے میرے گھٹنوں پر اپنے ہاتھ رکھے اور فرمایا –
زیاد آپ کے آنے سے بڑی خوشی ہوئی –
آپ نے آج بڑا اچھا گرم لباس پہنا ہوا ہے – اس سردی کے موسم میں خوب مزا دیتا ہو گا –
پھر آپ صلحائے مدینہ کا حال پوچھنے لگے, ایک ایک کا نام لے کر حال دریافت کیا, پھر آپ نے مدینہ کی ان اصلاحات کے متعلق پوچھا جو انہوں نے اپنی گورنری کے سنہری دور میں کی تھیں, میں نے ہر وہ بات بتائی جس کا اس نے مجھ سے سوال کیا تھا-
پھر آپ نے ایک لمبی سانس لی اور فرمایا –
اے زیاد کیا تجھے معلوم ہے کہ اس وقت عمر کس مصیبت کا شکار ہے ؟
میں نے کہا اللّٰہ خیر کرے کیا ہوا ؟
فرمایا بہت افسوس ہے –
پھر آپ رونے لگے اور میں تسلی دینے لگا میں نے کہا: امیرالمومنین اپنی صحت کا خیال رکھئیے میں آپ کے لیے بہتری کی امید رکھتا ہوں –
آپ نے فرمایا :
اے زیاد جو تم امید باندھے ہوئے ہو وہ بہت دور کی بات ہے –
پھر فرمایا اللّٰہ نے مجھے یہ مقام دیا:
کہ میں دوسروں کو برابھلا کہہ سکوں اور کوئی بھی مجھے میرے سامنے گالی نہ دے سکے, میں جس کی چاہوں پٹائی کر سکوں اور کوئی مجھے مارنہ سکے میں لوگوں کو اذیت پہنچا سکوں اور کوئی مجھے تکلیف نہ دے سکے-
یہ کہا اور زاروقطار رونے لگے اور میں انہیں دلاسہ دینے لگا –
جب میں واپس جانے لگا تو آپ نے مجھے میرے آقا کے نام ایک خط دیا جس میں یہ مطالبہ کہ وہ مجھے اپنے پاس بیچ دے- پھر آپ نے اپنے تکیے کے نیچے سے بیس دینار نکالے مجھے دئیے اور فرمایا:
یہ بوقت ضرورت خرچ کر لینا –
اگر بیت المال میں تیرا کوئی حق ہوتا تو میں وہ بھی ضرور تجھے دیتا-
میں نےوہ بیس دینار لینے سے انکار کیا –
آپ نے فرمایا یہ لے لیں یہ میں تجھے بیت المال سے نہیں دے رہا بلکہ اپنی جیب کے خرچے سے تجھے دے رہا ہوں –
میں نے لینے سے انکار کیا- لیکن آپ نے بہت اصرار کیا یہاں تک کہ مجھے وہ دینار لینے پڑے, جب میں واپس مدینہ پہنچا, امیرالمومنین کا خط اپنے آقا کو دیا, اس نے خط کھولا اور پڑھا اور مجھے بتایا کہ امیرالمومنین میرت پاس سے خرید کر تجھے آزاد کرنا چاہتے ہیں بھلا میں ہی کیوں نہ تجھے آزاد کردوں-

اور پھر اس نے مجھے آزاد کر دیا۔

                           




حضرت عمر بن عبد العزیز کے مفصل حالات زندگی معلوم کرنے کے لیے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کیجئے ۔


١- سیرت عمر بن عبد العزیز
ابن عبدا الحکیم۔

٢- سیرت عمر بن عبد العزیز
ابن جوزی

٣- سیرت عمر بن عبد العزیز
آجری

٤- الطبقات الکبری (ابن سعد). ٥/ ٣٣٠

٥- صفتہ الصفوہ ابن جوزی ٢/ ١١٣ – ١٢٦

٦- وفیات الاعیان ابن خلکان
جلد ٢- ٣- ٤- ٥

٧- العقر الفرید ابن عبدربہ
جز ١- ٢-٣-٤-٥-٦

٨- البیان والتبین الجاحظ. ١-٢-٣-٤

 ٩- تاریخ مدینہ و مشق ابن عساکر. ٢/ ١١٥- ١٢٧

 

 

حوالہ:
“کتاب: حَياتِ تابِعِين کے دَرخشاں پہلوُ”
تالیف: الاستاذ ڈاکتور عبد الرحمان رافت الباشا
ترجمه: محمود غضنفر

 

Table of Contents