47. Imam Ibn Katheer [Jamia ul Masanid][D: 774]
Imaduddin Ibn kaseer
Hafiz Imaduddin Ibn kaseer ka ta’aruf aur un ki tafseeri khusoosiat
Masnoon ki faharsat:
- Hafiz Imaad uddin Ibn kaseer ka ta’aruf
- Wilaadat-o-Ta’leem-o-Tarbiyat
- Sheikh al Islam Imam Ibn Taymiyyah say khusoosi ta’luq
- Wafaat
- Pasmaandgaan
- Tasneefaat
- Tafseer Ibn kaseer Manhij aur khusoosiat
- Ta’reef-e-Tafseer
- Masaadir-o-maakhiz
- Tafseer Ibn kaseer kay Manhij aur khusoosiat
- Hawaala Jaat
Naam-o-Nasab: Isma’il Kuniyat. Abul fadaa laqab. Imaduddin aur Ibn kaseer urf hai.
Silsila-e-nasab yeh hai: Isma‘il bin Umar bin Kaseer bin Zau bin Zara’ al Qeesi al Basarwi Summal Damishqi
Aap aik moazzaz aur Ilmi khandan kay chashm-o-chiragh thay. Aap kay walid Sheikh Abu Hafs Shahabuddin Umar apni basti khateeb thay aap kay baday bhai Sheikh A’bdul Wahhab aik mumtaz a’alim aur faqeeh thay.
Wilaadat-o-Ta’leem-o-Tarbiyat:
Aap ki wiladat 700 ھ mein bamuqam Majdal huyi jo mulk Shaam kay mash-hoor Basrah kay aitraaf mein aik qarya hai,uss waqt aap kay walid yahan kay khateeb thay, abhi aap teesray yaa chauthay baras mein hi thay kah waalid buzurgwaar nay 703ھ mein wafat payi aur ,nihayat hi kamsini mein aapko yateemi ka daagh uthaana pada, baap ka saaya sar say uthaa toh baday nay apni aghosh tarbiyat mein lay liya. Walid ki wafat kay teen saal baad ya’ni 706 ھ mein aap aaye aur phir yahin aap ki nashoonama huyi, ibtedaa mein apnay baday bhai say Fiqh ki taleem paayi baad ko Sheikh Burhaan Uddin Ibraahim Bin Abdul Rahman Faraazi ma’roof ba Ibn farkaah Shahrukh Tanbiya al Mutawaffi 729ھ aur Sheikh Kamaal Uddin Qazi Shahba say iss fan ki takmeel ki, iss zamanay mein dastoor tha ke talib ilm jis fan ko hasil karta uss fan ki koi mukhtasar kitab zabani yaad kar leta. Chunancha aap nay bhi Sheikh Abu Ishaaq Sheiraazi al Mutawaffi 746ھ ki mukhtasar kitab ko zabani yaad kiya. Usool ki kitabein aap nay Allamah Shamsuddin Mahmood Bin Abdul Rahman Asfahaani Shaarah mukhtasar Ibn Haajib al Mutawaffi 749ھ say padhi thi.
Fan Hadees ki takmeel aap nay is ahad kay mashhoor asaatzah fan say ki thi, Allama suyuti, zel tazkerah al huffaaz mein likhtay hain. Sama’ al hijaaz wal tabqa yani Hijaaz aur iss tabqa kay Ulama say aap nay Samaa’ hadees kiya.
Hijaaz kay ham tabqa woh Ulama jin say aap nay ilm Hadees hasil kiya aur jin ka zikr khusoosiyat say aap kay tazkirah mein Ulama nay kiya hai woh hasb zel hain.
➢ 1. Eesa Bin al Ma’tum
➢ 2. Bahaao Uddin qaasim Bin A’saakir Al Mutawaffi 723ھ
➢ 3. A’feef Uddin Ashaaq Bin Yahiya Alamdi Al Mutawaffi 725ھ
➢ 4. Mohammad Bin Zaraad
➢ 5. Badruddin Mohammad Bin Ibraheem Ma’roof ba Ibn Swedi Al Mutawaffi 711ھ
➢ 6. Ibn Alrazi
➢ 7. Hafiz Mazi
➢ 8. Sheikh Al Islam Imam Ibn Taymiyyah
➢ 9. Hafiz Zehbi
➢ 10. Imaduddin Mohammad Bin Alsheiraazi Al Mutawaffi 749ھ
Lekin in tamam hazraat mein sab say zyada jis say aap ko istefadah ka mauqa mila woh muhaddis Shaam Hafiz Jamaluddin Yusuf Bin Abdul Rahman Mazi Shafia’ musannif tahzeeb al kamaal Al mutawaffi 742ھ hain. Hafiz Mazi nay khusoosi talluq ki bina par apni sahabzadi ka aap say nikah kar diya tha. Sa’adatmand shagird nay apnay mohtaram ustaaz ki sahafqat say poora poora fayeda uthaya, muddat madeed tak hazir khidmat rahay, khud unse Samaa’ kiya aur fan ki poori takmeel un hi ki khidmat mein reh kar ki.
Chunancha Suyuti likhtay hain wa takhreej bil mazi walaazma wabara’. Usi tarah Sheikh al-Islam Imam Ibn Taymiyyah Al Mutawaffi 728ھ say bhi Aap nay bohot kuch ilm hasil kiya tha aur arsa tak unki sohbat mein rahay thay.
Hafiz Ibn Hajar nay likha hai kay Misr say Aap ko duyusi, waani aur khatni waghairah nay Hadees ki ijazat di thi.
Manzilat Ilmi:
Imam Ibn Kaseer ko ilm Hadees kay ilawa Fiqh, tafseer tareekh aur Arabiyat mein bhi kamal haasil tha, chunancha allama Ibn Imaad Hanbali, Ibn Habeeb say naaqil hain. Antahat Alia riyasata Alim fee al taareeq-o-Al hadees wal tafsireen (un par tareekh, hadees aur tafseer mein riyaasat Ilmi khatam hogayi.
Dars-o-Iftaa, zikr Ilahi shagufta mizaji:
Hafiz Ibn kaseer ki tamaam umar daras-o-iftaa aur tasneef-o-taaleef mein basar huyi. Hafiz Zahabi ki Wafaat kay baad madarsa Umm Saaleh aur madarsa tankaria (jo uss zamaane mein ilm Hadees kay mash-hoor madarsay thay) mein Aap Sheikh Al hadees kay ohda par faayez rahay, Hafiz Ibn Hajar nay Aap kay ausaaf mein husn alfaakat kay alfaaz istemaal kiye hain, yani bada pur lutf mazaah kiya kartay thay.
Sheikh al-Islam Imam Ibn Taymiyyah say khusoosi talluq:
Aakhir mein yeh waazah kardena zaroori hai kah Hafiz Ibn Kaseer ko apnay ustaaz allama Ibn Taymiyyah say khusoosi talluq tha,jis nay aap ki Ilmi zindagi par gehra asar daala tha aur usi kaa nateeja hai kay Aap baaz unn masayel mein bhi Imam Ibn Taymiyyah say mutasir thay jinn may woh Jamhoor salaf say matfarid hain, chunancha Ibn Qazi Shahba apnay tabqaat mein likhtay hain:
”کانت لہ خصوصیۃ بابن تیمیہ مناضلتہ عنہ واتباع لہ فی کثیر من ارایئہ وکان یفتی برایہ فی مسئلتہ الطلاق وامتحن بسبب ذالک واوذی”۔
Unn ko Ibn Taymiyyah kay saath khusoosi talluq tha aur unn ki taraf say ladaa kartay thay aur bahut si Aara mein unn ki itteba kartay thay chunancha talaaq kay maslay mein bhi inhi ki raaye par Fataawa detay thay jis kay nateeja mein azmaish mein paday aur sataaye gaye.
Wafaat:
Akheer umr mein beenayee jaati rahi thi, jum’eraat kay din sha’baan ki 26 taareekh 774ھ mein wafaat paayi (Rahmatullahi) aur maqbara Sofia meinapnay mahboob Ustaaz Sheikh al-Islam Ibn Taymiyyah kay pehloo mein dafan kiye gaye, Aap kay kisi shagird nay aap ki wafaat par bada dard angez mersia likha hai, jis kay do sha’er yeh hain:
لفقدک طلاب العلوم تاسفوا وجادوابدمع لایبیدغزیر
ومزجواماء المدامع بالدما لکان قلیلا فیک یا ابن کثیر
Tarjuma:
Shaaeqeen Uloom tumharay uth jaanay par mutaasif hain, iss kasrat say aansoo bahaa rahay hain kah thamnay hi ko nahi aatay aur agar woh aansuon kay saath lahu bhi mila detay tab bhi aye Ibn kaseer tumharay liye thode thay.
Pasmaandgaan:
Pasmaandgaan mein do saahabzaade baday naamour chhoday thay,aik Zain Uddin Abdul Rahman jin ki Wafaat 792 ھ mein huyi aur doosray Badruddin Abu al-Baqaa Mohammad. Yeh baday paaya kay muhaddis guzray hain. Inhoun nay 803 ھ mein bamuqaam ramla wafaat payi, inn donon ka zikr Hafiz Bin Fahad nay apnay zel mein basilsila wafiyaat kiya hai.
Tasneefaat:
Aap nay tafseer, Hadees, seerat aur tareekh mein badi buland paaya tasaaneef yaadgaar chhodi hain, yeh Aap kay ikhlas kay samra aur husn niyyat ki barakat thi kay bargaah aizdi say un ko qubool a’am aur shohrat dawaam ki masanad a’ta huyi, muarrikheen nay aap kay tasaaneef ki afaadeet aur un ki qubooliyat ka zikr khaas taur say kiya hai, Zahabi likhtay hain, wala tasaneef mufeed Ibn Hajar kehtay hain:
”سادت تصانیفہ فی البلادفی حیاتہ وانتفع الناس بھا بعد وفاتہ”
Unki zindagi mein un ki tasaneef sheher jaa pohchein aur unki wafat kay baad log un say nafa’ andoz hotay rahay.
Aap ki jin tasaneef par hamein ittelaa mili hai woh hasb zel hain.
➢ 1. Tafseer Al Quraan Al A’zeem: Jiss kay mutalliq Hafiz Suyuti tasreeh kartay hain kay iss tarz par doosri tafseer nahi likhi gayi, yeh tafseer birriwaia mein sab say zyada mufeed hai.
➢ 2. Albadaia Walnahaaia: Yeh fan tareekh mein unki besh baha tasaaneef hain aur Misr say taba’ hokar shaaya ho chuki hai us mein ibtedayi kayenat say lay kar ahwaal akhirat tak darj hain.
➢ 3. Altakmeel fee maa’rfata al saqaat wal za’faa wal majaaheel.
➢4. Al Hadi wal sanan fee Ahadees almasaneed walsanan:Yahi kitaab hai jo Jaama’ia Al masaneed kay naam say mash-hoor hai.
➢ 5. Tabqaat Al Shaafia’: Uss mein fiqha Shafia’ ka tazkirah hai.
➢ 6. Manaaqab Al Shaafia’: Yeh risaala Imam Shafi’i kay haalat mein hai.
➢ 7. Takhreej Ahaadees Adalta Altanbih.
➢ 8. Takhreej Ahaadees mukhtasar Ibn Haajib, Altanbih aur mukhtasar yah donon kitabein wahi hain jin ko musannif nay ahad taalib Ilmi mein hifz kiya tha, un donon kitabon mein kutub hadees say takhreej bhi likhi hai.
➢ 9. Sharah Sahih Bukhaari ki: Uss ki tasneef bhi shuroo ki thi magar natamaam reh gayi, kashf altanoon mein hai kay sirf ibtedayi tukday ki Sharah hai. Musannif nay us ka zikr ikhtesaar uloom Alhadees mein kiya hai.
➢ 10. Al Hikaam ulkbeer: Yeh kitaab bohot baday paimaana par Ahaadees Ahkaam mein likhni shurooh ki thi magar kitab Al-Hajj tak likh sakay tamam na kar sakay, musannif nay ikhtesaar Uloom Al hadees mein iss kitab ka bhi zikr kiya hai.
➢ 11. Ikhtesaar Uloom Alhadees: Nawab Siddiq Husn Khan nay manhaj alwasool fee istelaah Ahaadees al rasool mein uss ka naam Albaa’s Al haisiyat A’la Ma’roofta Uloom Alhadees likha hai” yeh Allama Ibn Salah Al Mutawaffi 643ھ ki mashhoor kitaab” Uloom Alhadees” ma’roof ba muqadma Ibn Saleh ka jo usool hadees mein hai ‘ikhtesaar hai’ musannif nay uss may jabaja mufeed izafay kiye hain.
➢ 12. Masand Alshikheen: Uss mein shikheen ya’ni Hazrat Abu bakar-o-Umar ؓ say jo hadeesein marwi hain unko jama kiya gaya hai. Musannif nay ikhtesaar uloom Alhadees mein apni aik tasneef musnad Umar Razi Allahu A’nhu ka zikr kiya hai. Yeh maloom na ho saka kay aaya woh mustaqil a’laihda kitaab hai ya ussi ka hissa saani hai.
➢ 13. Alseerat Al Nabawi ﷺ: Yeh seerat par badi taweel kitaab hai.
➢ 14. Alfasool fee ikhtesaar seerat alrasool: Yeh seerat par aik mukhtasar kitaab hai. Musannif nay uss kaa zikr apni tafseer mein surah Ahzaab kay andar ghazwa khandaq kay bayan mein kiya hai. Iss kitab ka qalmi nuskha Madina Munawwarah mein kutub khaana Sheikh al-Islam mein maujood hai.
➢ 15. Kitaab Almuqadmaat: Is ka zikr musannif nay ikhtesaar uloom Al hadees mein kiya hai.
➢ 16. Mukhtasar Kitaab al Madaqal lilbihaqee: Uss ka zikr bhi ikhtesaar Al hadees kay muqadma mein kiya hai.
➢ 17. Al ijtehaad fee talab ul jahaad: Jab firangioun nay qila’ayaas ka muhaasra kiya uss waqt aap nay yeh risaala Ameer Manjak kay liye likha, yeh risaala misr say chhap kar shaya’ ho chuka hai.
➢ 18. Rasaalay fee fazaael AlQuraan:. Yeh rasaala bhi tafseer Ibn kaseer kay sath mattaba’ Alminaar misr mein taba’ ho chuka hai.
➢ 19. Masand Imam Ahmed Bin Hanbal ko bhi huroof par murattab kiya tha aur uskay saath tabraani ki ma’jam aur Abu ya’li ki masand say zawayed bhi darj kiye thay. Imam Ibn Kaseer ki tamam tasaneef mein yeh khoobi a’yaan hai kah jo kuch likhtay hain nihaayat tahqeeq kay saath likhtay hain aur mufassil likhtay hain ‘ibaarat sahal aur peeraya bayan dilkash hota hai.
Naqd-o-jrah:
Hafiz Ibn Kaseer Rahimahullah aik buland paaya mohaddis thay isliye unhonay mohaddisana tareeqay par yeh kitaab murattab ki hai aur nihayat ehtiyaat say Sahih hadeeson kay intekhaab ki koshish ki hai. Woh dauraan-e-behes Jarah-o-ta’deel kay usulon ko latay huye Sahih riwaayat ko nikhaar kar paish kartay hain. Baaz riwaayat ko za’eef qaraar detay hai jab kay glat aur faasid riwaayaton ki tardeed kartay hain.
Maslan Aayat:
﴿يَومَ نَطوِى السَّماءَ كَطَىِّ السِّجِلِّ لِلكُتُبِ…١٠٤ ﴾
Surah Anbiyaa kay bare mein Ibn Umar (rz) say riwaayat hai kay “SAJAL” Aanhuzoor kay aik kitaab kay naam tha. Iss par tanqeed kartay huye Ibn Kaseer tehreer kartay hain.
‘Yeh munkar riwaayat hai aur qat’an sahih nahi.’
- Ibn Abbas Rahimahullah say bhi jo ,riwaayat bayan ki jaati hai woh Abu Dawood mein honay kay bawajood ghalat hai.
- Huffaz ki aik jama’t nay uski wasiyat par aik mustaqil risaalah tehreer kiya hai aur Ibn Jareer nay bhi uska nihaayat purzor radd kiya hai.
- Iss riwaayat kay za’eef honay ka sabsay bada saboot yeh hai kay Rasool Allahﷺ kay tamam katibeen wohi nihayat mash-hoor log hain aur un kay naam ma’roof hain. Sahaba mein bhi kisi ka naam SAJAL na tha.
- Ibn Kaseer Rahimahullah riwaayat muta’did tarq-o-insaaf ka zikr karkay rawat par bhi jirah kartay hain.
- Ibn Kaseer Rahimahullah nay Ahaadees kay saath saath Aasaar-e-Sahaba aur Aqwaal-e-Taba’een bhi kasrat say naqal kiye hain, lekin unki sehat janchnay kay liye mayaar barqarar rakha hai aur unki Ta’eed ya tardeed mein apni mo’tabar raaye ka izhaar kiya hai.
- Jirah-o-Qadah kay zaman mein Ibn Kaseer Taareekhi ghaltiyan aur rahwaalon ko bhi tardeed kartay hain.
- Shaan-e-nuzool ka bayan: Agar kisi surat ya aayat ka shaan-e-Nuzool hai toh Imam Ibn Kaseer Rahimahullah apni tafseer mein Islam tazkirah kartay hain maslan Aayat: [Surah Baqarah:2109] kay tehet likhtay hain:
- “Ibn A’bbas Rahimahullah say riwaayat hai kah Arab yahudiyoun mein aur Abu yasir Bin Alhtab donon musalmanon kay shadeed tareen haasid thay aur woh logon ko Islam say roktay thay. Jahaan tak unn ka bas chalta woh musalmanon ko Islam say bargashta karnay ki koshish kartay. Unn kay bare mein yeh bhi aayat naazil huyi, Zahiri kehtay hain kah Ka’ab Bin Ashraf Shayar tha aur woh apni shayari mein Nabi Kareem ﷺ ki haju kiya karta tha. Uss kay bare mein yeh ayat naazil huyi.”
Fiqhi Ahkaam:
- Ibn Kaseer Rahimahullah Ahkaam par mushtamil aayat ki tafseer kartay huye Fiqhi Masayel par behes kartay hain aur iss silsilay mein fiqh kay ikhtilafi Aqwaal-o-dalayel bhi bayan karte hain.
- Imam Ibn Kaseer Fiqhi masayel mein amooman Shafi’i maslak ki ta’eed kartay hain.
- Ibn Kaseer Mukhtalif-o-mutzaad riwaayatein jama’-o-tatbeeq ki koshish kartay hain aur un kay maa-bain mahaakma kartay hain:
- Aap mukhtalif tafseer aqwaalein bhi tatbeeq detay hain.
- Ibn Kaseer Rahimahullah Quran-e-Majeed kay rabt-o-nazm ka tazkirah kartay hain.
- Woh apni tafseer mein aayat kay bahimi talluq aur munaasibat ko iss tarah bayan kartay hain kay Quran-e-Paak aik marboot-o-munazzam kitab nazar aati hai.
Khulaasa kalaam:
- Khulasa kalaam yeh kah Imam Ibn Kaseer unn tamam uloom-o-sharayet par haawi nazar aatay hain jin ka janna aik muffasir kay liye zaroori hai. Unhonay nihayat tehqeeq aur diqt-e-nazri say Tafseer-e-Quraan ko murattab kiya hai jo qeemti maloomat ka ganjeena aur nihayat bahaa Tafseeri warsa hai.
- Taham Ahle Nazar ko aiteraaf hai kay mohaddisana nuqta nazar say yeh sab say zyada qaabil a’itemaad tafseer hai.
- Kutub-e-Tafseer bilmaasoor mein iss ko imtiyaazi maqam haasil hai aur mutaakhireen nay aik buniyaadi masaadar ki haisiyat say uss say khoob istefadah kiya hai.
- Jo shakhs Quraan-e-Hakeem kay mutaalib-o-ma’aani aur israar-o-rmooz say agaah hona chahta hai woh tafseer Ibn Kaseer say beniyaaz nahi ho sakta.
REFERENCE:
https://www.askislampedia.com/ur/wiki/-/wiki/Urdu_wiki/%D8%AD%D8%A7%D9%81%D8%B8+%D8%B9%D9%85%D8%A7%D8%AF+%D8%A7%D9%84%D8%AF%DB%8C%D9%86+%D8%A7%D8%A8%D9%86+%DA%A9%D8%AB%DB%8C%D8%B1+%DA%A9%D8%A7+%D8%AA%D8%B9%D8%A7%D8%B1%D9%81+%D8%A7%D9%88%D8%B1%D8%A7%D9%86+%DA%A9%DB%8C++%D8%AA%D9%81%D8%B3%DB%8C%D8%B1+%DB%8C+%D8%AE%D8%B5%D9%88%D8%B5%DB%8C%D8%A7%D8%AA/pop_up;jsessionid=F2B2041F77EF7C128B91D1C3B0C1912C
حافظ عماد الدین ابن کثیر کا تعارف
حافظ عماد الدین ابن کثیر کا تعارف اوران کی تفسیر ی خصوصیات
1۔حافظ عماد الدین ابن کثیر کا تعارف
نام نسب: اسماعیل کنیت : ابوالفداء لقب:عماد الدین اور ابن کثیر عرف ہے
سلسلہ نسب یہ ہے: اسماعیل بن عمر بن کثیر بن ضوء بن ذرع القیسی البصروی ثم الدمشقی
آپ ایک معزز اور علمی خاندان کے چشم و چراغ تھے ۔آپ کے والد شیخ ابوحفص شہاب الدین عمر اپنی بستی خطیب تھے آپ کے بڑے بھائی شیخ عبدالوہاب ایک ممتاز عالم اور فقیہ تھے۔
2۔ولادت و تعلیم و تربیت
آپ کی ولادت ٧٠٠ ھ میں بمقام مجدل ہوئی جو ملک شام کے مشہور بصریٰ کے اطراف میں ایک قریہ ہے ، اس وقت آپ کے والد یہاں کے خطیب تھے ، ابھی آ پ تیسرے یا چوتھے برس میں ہی تھے کہ والد بزرگوار نے ٧٠٣ھ میں وفات پائی اور نہایت ہی کم سنی میں آپ یتیمی کا داغ اٹھانا پڑا، باپ کاسایہ سرسے اٹھا تو بڑے نے اپنی آغوش تربیت میں لے لیا ۔والد کی وفات کے تین سال بعد یعنی ٧٠٦ھ میں آپ اپنے برادر بزرگوار کے ساتھ دمشق چلے آئے اور پھر یہیں آپ کی نشوونما ہوئی ، ابتدا میں اپنے بڑے بھائی سے فقہ کی تعلیم پائی بعد کو شیخ برھان الدین ابراہیم بن عبدالرحمن فرازی معروف بہ ابن فرکاح شارخ تنبیہ المتوفی ٧٢٩ھ اور شیخ کمال الدین قاضی شہبہ سے اس فن کی تکمیل کی ، اس زمانہ میں دستور تھا کہ طالب علم جس فن کو حاصل کرتا اس فن کی کوئی مختصر کتاب زبانی یاد کرلیتا۔ چنانچہ آپ نے بھی فقہ کی التنبیہ فی فروع الشافعیہ ، مصنفہ شیخ ابواسحاق شیرازی المتوفی ٤٧٦ھ کو حفظ کرکے ٧١٨ھ میں سنادیا اور اصول فقہ میں علامہ ابن حاجب مالکی المتوفی ٧٤٦ھ کی مختصر کو زبانی یاد کیا۔اصول کی کتابیں آپ نے علامہ شمس الدین محمود بن عبدالرحمن اصفہانی شارح مختصر ابن حاجب المتوفی ٧٤٩ھ سے پڑھی تھیں۔
فن حدیث کی تکمیل آپ نے اس عہد کے مشہور اساتذہ فن سے کی تھی ، علامہ سیوطی ، ذیل تذکرہ الحفاظ میں لکھتے ہیں ۔ سمع الحجازوالطبقۃ یعنی حجاز اور اس طبقہ کے علماء سے آپ نے سماع حدیث کیا۔
حجاز کے ہم طبقہ وہ علماء جن سے آپ نے علم حدیث حاصل کیا اور جن کا ذکر خصوصیت سے آپ کے تذکرہ میں علماء نے کیا ہے وہ حسب ذیل ہیں (١)عیسی بن المعطعم ّ(٢)بہاؤالدین قاسم بن عساکر المتوفی ٧٢٣ھ (٣)عفیف الدین اسحاق بن یحیی الامدی المتوفی ٧٢٥ھ (٤)محمد بن زراد(٥)بدرالدین محمد بن ابراہیم معروف بہ ابن سویدی المتوفی ٧١١ھ(٦)ابن الرضی (٧)حافظ مزی (٨)شیخ الاسلام امام ابن تیمیہ (٩)حافظ ذہبی (١٠)عمادالدین محمد بن الشیرازی المتوفی٧٤٩ھ۔
لیکن ان تمام حضرات میں سب سے زیادہ جس سے آپ کو استفاد ہ کا موقع ملا وہ محدث شام حافظ جمال الدین یوسف بن عبدالرحمن مزی شافعی مصنف تہذیب الکمال المتوفی ٧٤٢ھ ہیں ۔حافظ مزی نے خصوصی تعلق کی بناء پر اپنی صاحبزادی کا آپ سے نکاح کردیا تھا ۔اس رشتہ نے اس تعلق کو اور زیادہ استوار کردیا۔ سعادت مند شاگرد نے اپنے محترم استاذکی شفقت سے پورا پورا فائدہ اٹھایا ، مدت مدید تک حاضر خدمت رہے اور ان کی اکثر تصانیف کاجس میں تہذیب الکمال بھی داخل ہے بھی داخل ہے ، خود ان سے سماع کیا اور اس فن کی پوری تکمیل ان ہی کی خدمت میں رہ کرکی۔
چنانچہ سیوطی لکھتے ہیں وتخرج بالمزی ولازمہ وبرع۔اسی طرح شیخ الاسلام امام ابن تیمیہ المتوفی ٧٢٨ھ سے بھی آپ نے بہت کچھ علم حاصل کیا تھا اور عرصہ تک ان کی صحبت میں رہے تھے۔
حافظ ابن حجر نے لکھا ہے کہ مصر سے آپ کو دیوسی ، وانی اور ختنی وغیرہ نے حدیث کی اجازت دی تھی۔
منزلت علمی: امام ابن کثیر کو علم حدیث کے علاوہ فقہ ، تفسیر ، تاریخ اور عربیت میں بھی کمال حاصل تھا ، چنانچہ علامہ ابن العماد حنبلی ، ابن حبیب سے ناقل ہیں ۔انتھت الیہ ریاستہ العلم فی التاریخ و الحدیث والتفسیر(ان پر تاریخ ، حدیث اور تفسیر میں ریاست علمی ختم ہوگئی۔
درس وافتاء ، ذکر الٰہی شگفتہ مزاجی :۔ حافظ ابن کثیر کی تمام عمر درس وافتاء اور تصنیف و تالیف میں بسر ہوئی ۔حافظ ذہبی کی وفات کے بعد مدرسہ ام صالح اور مدرسہ تنکریہ (جو اس زمانہ میں علم حدیث کے مشہور مدرسے تھے )میں آپ شیخ الحدیث کے عہدہ پر فائز رہے ، بڑے ذاکر شاغل تھے ، چنانچہ ابن حبیب نے آپ کے متعلق لکھا کہ امام ذی التسبیح والتھلیل طبیعت بڑی شگفتہ پائی تھی ۔لطیفہ گو اور بذلہ سنج تھے ، حافظ ابن حجر نے آپ کے اوصاف میں حسن الفاکہۃ کے الفاظ استعمال کئے ہیں ، یعنی بڑا پر لطف مزاح کیا کرتے تھے۔
3۔شیخ الاسلام امام ابن تیمیہ سے خصوصی تعلق
اخیر میں یہ واضح کردینا ضروری ہے کہ حافظ ابن کثیر کو اپنے استاذ علامہ ابن تیمیہ سے خصوصی تعلق تھا ، جس نے آ پ کی علمی زندگی پر گہرا اثر ڈالا تھا اور اسی کا نتیجہ ہے کہ آپ بعض ان مسائل میں بھی امام ابن تیمیہ سے متاثر تھے جن میں وہ جمہور سلف سے متفرد ہیں ، چنانچہ ابن قاضی شہبہ اپنے طبقات میں لکھتے ہیں:
”کانت لہ خصوصیۃ بابن تیمیہ مناضلتہ عنہ واتباع لہ فی کثیر من ارایئہ وکان یفتی برایہ فی مسئلتہ الطلاق وامتحن بسبب ذالک واوذی”۔
ان کو ابن تیمیہ کے ساتھ خصوصی تعلق تھا اور ان کی طرف سے لڑا کرتے تھے اور بہت سی آراء میں ان کی اتباع کرتے تھے چنانچہ طلاق کے مسئلہ میں بھی انہی کی رائے پر فتوی دیتے تھے جس کے نتیجے میں آزمائش میں پڑے اورستائے گئے۔
4۔وفات
اخیر عمر میں بینائی جاتی رہی تھی ، جمعرات کے دن شعبان کی چھبیس تاریخ ٧٧٤ھ میں وفات پائی (رحمتہ اللہ ) اور مقبرہ صوفیہ میں اپنے محبوب استاذ شیخ الاسلام ابن تیمیہ کے پہلو میں دفن کئے گئے ، آپ کے کسی شاگرد نے آپ کی وفات پر بڑا درد انگیز مرثیہ لکھا ہے، جس کے دو شعر یہ ہیں
لفقدک طلاب العلوم تاسفوا وجادوابدمع لایبیدغزیر
ومزجواماء المدامع بالدما لکان قلیلا فیک یا ابن کثیر
ترجمہ(شائقین علوم تمہارے اٹھ جانے پر متاسف ہیں ، اس کثرت سے آنسو بہا رہے ہیں کہ تھمنے ہی کو نہیں آتے اور اگر وہ آنسوؤں کے ساتھ لہو بھی ملا دیتے تب بھی اے ابن کثیر تمہارے لئے تھوڑے تھے)
5۔پسماندگان
پسماندگان میں دو صاحبزادے بڑے نامور چھوڑے تھے ، ایک زین الدین عبدالرحمن جن کی وفات ٧٩٢ھ میں ہوئی اور دوسرے بدرالدین ابوالبقاء محمد۔یہ بڑے پایہ کے محدث گزرے ہیں ۔انہوں نے ٨٠٣ھ میں بمقام رملہ وفات پائی ، ان دونوں کا ذکر حافظ بن فہد نے اپنے ذیل میں بسلسلہ وفیات کیا ہے۔
6۔تصنیفات
آپ نے تفسیر ، حدیث ، سیر ت اور تاریخ میں بڑی بلند پایہ تصانیف یادگار چھوڑی ہیں، یہ آپ کے اخلاص کا ثمرہ اور حسن نیت کی برکت تھی کہ بارگاہ ایزدی سے ان کو قبول عام اور شہرت دوام کی مسند عطا ہوئی، مورخین نے آپ کے تصانیف کی افادیت اوران کی قبولیت کا ذکر خاص طور سے کیا ہے ، ذہبی لکھتے ہیں ، ولہ تصانیف مفیدۃ ابن حجر کہتے ہیں :
”سادت تصانیفہ فی البلادفی حیاتہ وانتفع الناس بھا بعد وفاتہ”
ان کی زندگی میں ان کی تصانیف شہر شہر جا پہنچیں اور ان کی وفات کے بعد لوگ ان سے نفع اندوز ہوتے رہے۔
آپ کی جن تصانیف پر ہمیں اطلاع ملی ہے وہ حسب ذیل ہیں۔
(١) تفسیر القرآن العظیم : جس کے متعلق حافظ سیوطی تصریح کرتے ہیں کہ اس طرز پر دوسری تفسیرنہیں لکھی گئی ، یہ تفسیر بالروایہ میں سب سے زیادہ مفید ہے۔
(٢) البدایہ والنہایہ : یہ فن تاریخ میں ان کی بیش بہا تصانیف ہیں اور مصر سے طبع ہو کر شائع ہوچکی ہے اس میں ابتدائے کائنات سے لے کر احوال آخرت تک درج ہیں۔
(٣) التکمیل فی معرفتہ الثقات والضعفاء والمجاہیل:
(٤) الہدی والسنن فی احادیث المسانید والسنن : یہی کتاب ہے جو جامع المسانید کے نام سے مشہور ہے۔
(٥) طبقات الشافعیہ : اس میں فقہاء شافعیہ کا تذکرہ ہے ۔
(٦) مناقب الشافعی : یہ رسالہ امام شافعی کے حالات میں ہے ۔
(٧) تخریج احادیث ادلتہ التنبیہ۔
(٨) تخریج احادیث مختصر ابن حاجب ، التنبیہ اور مختصر یہ دونوں کتابیں وہی ہیں جن کو مصنف نے عہد طالب علمی میں حفظ کیا تھا، ان دونوں کتابوں میں کتب حدیث سے تخریج بھی لکھی ہے۔
(٩)شرح صحیح بخاری ک:اسکی تصنیف بھی شروع کی تھی مگر ناتمام رہ گئی ‘کشف الطنون میں ہے کہ صرف ابتدائی ٹکڑے کی شرح ہے۔ مصنف نے اس کا ذکر اختصار علوم الحدیث میں کیا ہے۔
(١٠)الاحکام الکبیر:یہ کتاب بہت بڑے پیمانہ پر احادیث احکام میں لکھنی شروع کی تھی ‘مگر کتاب الحج تک لکھ سکے تمام نہ کرسکے ‘مصنف نے اختصار علوم الحدیث میں اس کتاب کا بھی ذکر کیا ہے۔
(١١)اختصار علوم الحدیث :نواب صدیق حسن خاں نے منہج الوصول فی اصطلاح احادیث الرسول میں اس کا نام الباعث الحثیث علی معرفتہ علوم الحدیث لکھا ہے ‘یہ علامہ ابن صلاح المتوفی ٦٤٣ھ کی مشہور کتاب ”علوم الحدیث ”معروف بہ مقدمہ ابن صلاح کا جو اصول حدیث میں ہے ‘اختصار ہے ‘مصنف نے اس میں جابجا مفید اضافے کئے ہیں ۔حافظ ابن حجر عسقلانی اس کتاب کے متعلق لکھتے ہیں ولہ فیہ فوائد(اس کتاب میں حافظ ابن کثیر کے بہت سے افادات ہیں ۔)
(١٢)مسند الشیخین :اس میں شیخین یعنی حضرت ابوبکر و عمر رضی اللہ عنہما سے جو حدیثیں مروی ہیں انکو جمع کیا گیا ہے۔ مصنف نے اختصار علوم الحدیث میں اپنی ایک تصنیف مسند عمر رضی اللہ عنہ کا ذکر کیا ہے ۔یہ معلوم نہ ہوسکاکہ آیا وہ مستقل علیحدہ کتاب ہے یا اسی کا حصہ ثانی ہے۔
(١٣)السیرۃ النبویہ صلی اللہ علیہ وسلم :یہ سیرت پر بڑی طویل کتاب ہے۔
(١٤)الفصول فی اختصار سیرۃ الرسول:یہ سیرت پر ایک مختصر کتاب ہے ۔ مصنف نے اس کا ذکر اپنی تفسیر میں سورہ احزاب کے اندر غزوہ خندق کے بیان میں کیا ہے ۔اس کتاب کا قلمی نسخہ مدینہ منورہ میں کتب خانہ شیخ الاسلام میں موجود ہے۔
(١٥)کتاب المقدمات :اس کا ذکر مصنف نے اختصار علوم الحدیث میں کیا ہے۔
(١٦)مختصر کتاب المدخل للبیہقی :اس کا ذکر بھی اختصار الحدیث کے مقدمہ میں کیا ہے۔
(١٧)الاجتہاد فی طلب الجہاد :جب فرنگیوں نے قلعہ ایاس کا محاصرہ کیااس وقت آپ نے یہ رسالہ امیر منجک کے لئے لکھا’یہ رسالہ مصر سے چھپ کر شائع ہوچکا ہے۔
(١٨)رسالتہ فی فضائل القرآن :یہ رسالہ بھی تفسیر ابن کثیر کیساتھ مطبع المنار مصر میں طبع ہوچکا ہے۔
(١٩)مسند امام احمد بن حنبل کو بھی حروف پر مرتب کیا تھا اور ا سکے ساتھ طبرانی کی معجم اور ابو یعلی کی مسندسے زوائد بھی درج کئے تھے ۔امام ابن کثیر کی تمام تصانیف میں یہ خوبی عیاں ہے کہ جو کچھ لکھتے ہیں نہایت تحقیق کیساتھ لکھتے ہیں اور مفصل لکھتے ہیں ‘عبارت سہل اور پیرایہ بیان دلکش ہوتا ہے۔