38. Imam Abu Bakr Ismaeeli [277 – 371]
Imam Abu Bakar Ismaaili
( Mutawaffi 371H )
Naam-o-nasab:
Ahmad naam, Abu Bakar kuniyat, Ismaaili nisbat, aur silsila nasab yeh hai:
Ahmad bin Ibrahim bin Ismaail bin Abbas bin Mardaas- ( 1 )
Paidaaish, khaandan aur watan:
Woh Imam Bukhari ki wafaat ke ikkees saal baad 277H mein paida huye, un ka khandan Ilmi haisiyat se mumtaaz tha, un ke baad is mein mutaddid fuzla aur arbaab kamaal guzray, (2) un ka watan Jarjan tha.
Shoq-e-Ilm aur talab-e-Hadees ke liye safar:
Ilm-o-fan se un ko fitri munaasibat thi, bachpan mein log amooman padhnay likhnay se bezaar hotay hain lekin Ismaaili ko isi zamaana mein is se dilcahpsi ho gayi thi, chhe saal ki umar mein yani 283H mein unhon ne Hadeeson ki tehreer-o-kitaabat shuru kar di thi, aur 289H mein ba qaaida is fan ki tehseel mein mashgool ho gaye thay, isi zamaana mein woh is muqaddas aur mubaarak Ilm ki tehseel ke liye apne watan se nikal jaana chaahtay thay magar un ki kamsini ki wajah se un ke aazah ne safar ki ijaazat nahi di aur jab un ka shouq aur israar had se badh jaata to woh log mukhtalif heelon aur bahaanon se unhein baaz rakhnay ki koshish karte, aik din un ko us zamaana ke mashoor Muhaddis Muhammad bin Ayyub Razi ki mout ki ittilaa mili to un ka ajeeb haal ho gaya, woh ghar se baahar aa kar rone dhone, cheekhne chillaane lage kapday chaak karne aur sar par khaak daalne lage, yeh kaifiyat dekh kar un ke tamaam aazah jama ho gaye aur is ka sabab daryaaft kiya, Ismaaili ne kaha:
Aaj duniya aisay azeemul martabaat aur saahib-e-kamaal shakhs se khaali ho gayi, aap logon ki bandishon aur rukaawaton ne mujhe us ke fayooz-o-barkaat se mutmata nahi hone diya, aazah ne tasalli dete huye kaha: Ghabranay ki koi baat nahi hai, ab bhi Khuda ke fazal se bohat saaray naamwar Ulama-o-mashaiykh aur Saateen-e-fan maujood hain, yeh haalat dekh kar ab un ko safar se mazeed rokna mushkil tha, is liye un ke mamu ko un ke hamraah kar diya no gaya, is tarah woh pehli martaba 293H mein Abu al Hassan bin Sufyaan ki khidmat mein Nisa tashreef le gaye, un ka khud bayaan hai ke yeh safar mein ne us waqt kiya tha jab na to meri masein bheegi theen aur na daadhi ke baal niklay thay, 297H mein Baghdad gaye, is safar mein bhi un ka koi aziz un ke saath tha, phir Hijaz, Iraq, Faris, Koofa, Basrah, Anbaar, Moosal, Jazeera, Nishapoor waghairah tashreef le gaye, Nisha poor kayi baar tashreef le gaye. (3)
Asaatzaa-o-Shayukh:
Jis shakhs ke shoq-o-justuju-e-Ilm ka yeh haal raha ho is ke asaatzaa-o-shayukh ki tadaad-o-shumaar nahi ki ja sakti, baaz naamwar muhaddisen aur arbab-e-kamaal ke naam yeh hain:
Ibrahim bin Zaheer Halwaani,
Ibrahim bin Abdullah Makharami,
Abu Yaal Ahmad bin Ali bin Musna Mosli,
Ahmad bin Muhammad bin Masrook,
Behlul bin Ishaaq Tanookhi Anbaari,
Jafir bin Muhammad Faryaabi,
Hassan bin Sufyaan Shibani,
Hamza bin Muhammad bin Eisa Kaatib,
Abdullah bin Najia,
Abdaan bin Ahmad Askari,
Imran bin Moosa Sakhtiyaani,
Abu Khalifa Fazal bin Habaab Jamhi,
AbuBakar Muhammad bin Ishaq bin Khuzaima,
Muhammad bin Hasan bin Samaah,
Abu Jafir Muhammad bin Abdullah bin Sulaiman Hazrami,
Muhammad bin Usmaan bin Abi Shaiba,
Shaikh Zahid Muhammad bin Usmaan Miqaabari,
Muhammad bin Yahya bin Sulaiman Marozi,
Yahya bin Muhammad Hinaai,
Qaazi Yousuf bin Yaqoob. (4)
Talaamizah:
Un ke Talaamizah mein us daur ke Ayimmah aur naamwar Fuzla shaamil thay, baaz ke naam yeh hain:
Abu al Qaasim Abdari,
AbuBakar bin Muhammad bin Ghalib Barqani,
Hussain bin Muhammad Basani,
Hamza bin Yousuf Sehmi Saahib-e-taareekh Jarjan,
Abu Umar-o-Abdul Rehman bin (5) Muhammad Farsi,
AbdullWaahid bin Munir Muadal,
Abu Jafir Muhammad bin Ahmad Hijaaji,
Abu Bakar Muhammad bin Adrees Jirjaani,
Abu Abdullh Muhammad bin Abdullah Haakim,
Abu Ali Muhammad bin Ali bin Sahal,
Abu al Hassan Muhammad bin Ali Tibri.
Hifz-o-zabt:
Hifz-o-zabt mein mumtaaz aur mashoor Huffaz mein shumaar kiye jatay thay, bohat saari kitaabein un ko zubaani yaad theen, Hafiz Zahabi ka bayaan hai keh main un ke kamaal hifz se mabhoot ho gaya aur mera yeh qatai faisla hai keh mutqaddimeen ke Ilm-o-haaifza ka mutaakhireen muqaabla nahi kar satke, zabt-o-ahtiyaat ka yeh haal tha ke fan-e-Hadees mein ghair mamooli imtiaz aur Imam-e-fan honay ke ba wajood unhon ne mustaqil kitaab likhnay ke bajaaye Mustakhrij Bukhari likhnay par iktifa kiya, Hafiz Zahabi farmaatay hain:
keh woh rafa asnaad aur uloo-e-tafarrud mein mumtaaz thay, (6) Haakim ka bayaan hai keh un ke zabt-o-saqaahat mein koi ikhtilaaf nahi kiya gaya hai.
Hadees mein darja:
Ismaaili manqulaat ke mutbahir Aalim aur kaamil al fan Muhaddis thay, woh Hadees mein Imam, marjou aur Mu’tadi ki haisiyat rakhtay thay, Haakim ne un ko Shaikh ul muhaddiseen aur Imam ahal-e-Jarjan kaha hai, un ki azmat-o-buland paayigi ka yeh aalam tha ke Imam Daraqutni jaisay sahib-e- kamaal aur jaleelul qadar Muhaddis ne kayi baar un ki bargaah fazal-o-kamaal mein haazir honay ka qasad kiya lekin maqdoor na ho saka aur zindagi bhar apni is mehroomi par hasrat-o-afsos zaahir karte rahay, Hafiz Hassan bin Ali farmaatay hain:
Keh Ismaaili is paaya ke Muhaddis thay keh Hadees-o-sunan mein mustaqil kitaabein likhte magar unhon ne Mustakhrij murattab karne par iktifa kiya, un ko aksar kitaabein azbar theen aur Allah Ta’ala ne Ilm-e-waafir aur zehan rasa se nawaaza tha. (7)
Masnadِ-e-dars
Ismaaili ke Hadees mein kamaal ka is se bhi andaaza hota hai keh Ilm ki takmeel ke baad jab woh Msnad-e-dars par ronaq afroz huye to un ko bada urooj naseeb hua aur un ke dars mein talba-o-mustafdeen ka jam ghafeer shareek hota tha, Hamza Sehmi aur Allamah Samaani ne rozaana ke shurka ki tadaad chaalees aur pachaas ke lag bhag bataai hai, yeh log Ismaaili ki zubaan se jo baat nikalti thi us ko qalamband kar letay thay. (8)
Fiqh-o-ijtehaad:
Woh fiqah-o-ijtehaad mein bhi sahib-e-kamaal aur Imam-o-muqtadi samjhay jaatay thay, Allamah Sama’ani likhte hain keh ismaaili Ahle Jarjaan ke Imam aur fiqh-o-Hadees mein marja thay, Haakim ne unhein Sheikh al muhaddiseen-o-Fuqaha kaha hai, un ke saahibzaday Abu Sa’eed aur baaz Ulama-e-Jarjan ne fiqh ki un se tehseel ki thi.
Qiraat:
Fan-e-Qiraat mein Ismaaili ko mahaarat aur achhi dastgaah thi, Abul Hassan Muhammad bin Muzaffar ne qiraat mein un ki Joudat ka aiteraaf kiya hai, Hamza Sehmi farmaatay hain: Keh woh har majlis mein paish paish rehtay thay, un ke saamnay kisi ko qiraat karne ki jurrat na hoti thi, Abul Qaasim Baghwi ka bayaan hai keh main ne un se behtar qaari nahi dekha. (9)
Tadeen-o-Ikhlaaq:
Ismaaili Mutideen aur mastooda sifaat thay, Haakim ne un ki murawwat-o-sakhaavat ka khaas taur par zikar kiya hai aur Hamza Sehmi ka bayaan hai keh woh apne waalidain ke nihaayat matee’ aur farmaanbardar thay, un ke tarz-e-amal se un ke waalidain is qadar khush thay keh hamesha un ke liye khair-o-barkat ki dua karte rehtay thay. (10)
Doulat-o-sarwat:
Allah Ta’ala ne un ko Ilmi-o-deeni kamaalaat ki tarah maal-o-doulat ki faraawaani aur dunyavi jaah-o-manzilat se bhi nawaaza tha, morrikheen ka bayaan hai keh woh deeni-o-duniyaawi wajaahat aur Har qisam ki khoobiyon ke jaame thay. (1 1)
Shohrat-o-maqbuliyat:
Un ko badi shohrat aur ghair mamooli maqbuliat haasil thi, woh Imam aur marja Khalaaiq thay, dars mein hazireen ki badi tadaad hoti thi, jo nihaayat aqeedat ke saath un ka aik aik lafz naqal karte thay, Ibn-e-Faraat ka bayaan hai keh:
لقد رزق من العلم والجاہ والصیت الحسن۔
Un ko Ilm-o-Jaah aur achi shohrat naseeb huyi.
Baghdad mein jab un ki mout ki khabar hui to akabir muhaddiseen aur Fiqh ne kayi dinon tak jama ho kar un ko kharaaj-e-aqeedat paish kiya. (12)
Fiqhi maslak:
Ismaaili Shaafi al Mazhab thay aur shawaafe ke Aayimmah mein khayaal kiye jaatay thay, Hafiz Zahabi ka bayaan hai keh woh apne khitta ke akabir shaafia mein thay. (13)
Kalami Aqaaid:
Woh ahal-e-sunnat wal jamaat aur muhaddiseen ke humnawa thay, is liye un ke aiteqaadaat bhi wohi thay, un ke baaz qalami aqaaid yeh hain:
Ahal-e-Hadees ka maslak yeh hai keh Allah Us ke Malayika, Us ki kitaabon aur Us ke Rasoolon ka iqraar kiya jaaye, kitaab Allah aur Sahih Hadeeson ke mantooq ko qubool kiya jaaye aur un se inhiraaf na kiya jaaye, muhaddiseen ka aqeedah hai keh Allah ko Us ke achay naamon se pukaarna aur un sifaton se muttasif maanna chaahiye jin se Us ne aur Us ke Rasool ne Us ko muttasif kiya hai, maslan Allah ne Aadam ko apne haath se paida kiya, Us ke donon haath kushaadah hain, woh arsh par mutmakin hai waghairah, in saari baaton ko mahaz tasleem karna zaroori hai, un ki haqeeqat aur kaifiyat maloom karne ke darpay nahi hona chaahiye. (14)
Wafaat:
Aam Moarrikheen ke bayaan ke mutaabiq 94 saal ki umar mein sanichar ke din Gyarah Rajab 371H mein intiqaal hua aur itwaar ko tadfeen hui, un ke sahibzaday Abu Nasar ne janaaza ki Namaaz padhaai, Ibn Subki aur Shah Abdul Aziz sahib ne likha hai keh Safar 371H mein wafaat paai. (15)
Aulaad:
Inteqal ke waqt paanch aulaadein theen, teen ladkiyan aur do ladke, aik ladke ka naam Abu Nasar Muhammad aur doosray ka Abu S’aad Ismaaili tha, donon Ilm-o-fazal mein apne waalid ke jaanasheen thay, Abu Nasar apne baap ki maujoodgi hi mein msnad-e-dars par farokash ho chuke thay aur doosray sahib zade Abu Saad apne zamaane ke mumtaaz Faqeeh aur saahib ilm khayaal kiye jaatay thay.(16)
Tasneefaat:
Imam Ismaaili ki jin kitaabon ke naam maloom ho sake hain woh yeh hain:
- Musnad-e-Umar:
Yeh do jildon mein thi aur Haafiz Zahabi ki nazar se guzri thi, unhon ne is ki taleeq bhi likhi thi. (17 )
- Musnad-e-Kabeer:
Yeh nihayat Zakheem kitaab aur taqreeban sau jildon par mushtamil thi, magar is ko ziyaada shohrat nahi mili.
- Mustakhrij:
Is ka naam Sahih Ismaaili bhi hai, yeh Sahih Bukhari par Mustakhrij hai
4. Hafiz Ibn-e-kaseer ke is bayaan se is ki ahmiyat ka pata chalta hai, woh farmaatay hain:
Keh unhon ne Sahih Bukhari par Mustakhrij likha, yeh beshumar fayedon aur maloomat par mushtamil hai.
Hafiz Ibn-e-Hajar ne is ka intikhaab kiya tha, jo Musqa Ibn-e-Hijr ke naam se mashoor hai, Ismaaili ne Bukhari ki taaleeqaat ko yakja kar diya tha lekin Hafiz ne un ka juda juda zikar kiya hai (19)
5. Muajam:
Ismaaili ki yeh aham tasneef hai, is ke mutalliq Hafiz Ibn-e-Hajar ne
Musannif ke hawaala se Majmaa al Moassis mein yeh Tasreeh naqal ki hai. Main ne jin Shuyookh se Hadeesein suni aur likhi hain ya jin ke saamnay qiraat ki hai un ke naamon ke hassar aur huroof majma par takhreej ke mutalliq Allah Ta’ala se istikhaara kiya taakay talba ko is se sahoolat ho aur naamon mein iltibaas-o-ashkaal ke waqt woh is ki jaanib ruju kar sakein, har Shaikh ki sirf aik hi Hadees naqal karne par iktifa kiya gaya hai, is ka maqsad fi al waaqia mufeed Hadeeson ko jama karna hai, jin raawiyon ki taraf mere khayaal mein kazab-o-ithaam ya aam Muhaddiseen se tafarrud ki bina par na pasandeeda hain, un ki haqeeqat is mein achi tarah waazeh kar di gayi hai lekin jin logon ka qadah-o-tan bilkul waazeh aur zaahir hai, un ki Hadees ki takhreej ka sawaal hi nahi paida hota, main ne taimanan wa tabarkan is ko Ahmad ke naam se shuru kiya hai aur Jamadil Oola 361H mein is ki jama-o-taaleef ki ibtida ki hai. (20)
(1) کتاب الانساب ورق ٣٦، تزکرة الحفاظ ج 3 ص 159 طبقات الشافعیہ ج 2 ص 79
(2) ایضاً وبستان المحدثین ص 37.
(3) کتاب الانساب ورق ٣٦، تزکرة الحفاظ ج 3 ص 159 طبقات الشافعیہ ج 2 ص 80
(4) ایضاً۔
(5) Yeh Ismaaili ke nawaase thay, tazkarah j 3 s 159
(6) Tazkarah j 3 s 160, 161
(7) Tareekh Jarjaan s 70-o-kitaab ul Insaab waraq 36-o-Tazkarat ul Huffaz j 3 s 159, 160.
(8) Tareekh Jarjaan s 70-o-kitaab al Insaab waraq 36-o-tazkarat ul Huffaz J 3 S 159 wa160
(9) Aayzan
(10) Aayzan.
(11 ) Tareekh Jarjaan s 70-o-kitaab al Insaab waraq 36-o-tazkarat ul Huffaz J 3 S 159 wa160
(12) Tareekh Jarjaan s 70-o-71-o-kitaab al Insaab waraq 36-o-tazkarat ul Huffaz J 3 S 160
(13) Takarat ul Huffaz J 3 S 159
(14)Takarat ul Huffaz J 3 S 160, 161.
( 15 ) Tazkarat ul Huffaz j 3 160, 161-o- Taareekh Jarjaan s 69 kitaab al Insaab waraq 36 al Muntazim s 108 Tabqaat al Shaafia j 3 s 80
(16) Taareekh Jarjaan s 74
(17) Bistaan al Muhaddiseen S 38
(18) Mustakhrij ki tareef ke liye mulaahiza ho Tazkarat al muhaddiseen j 1 s 408
(19) Bistaan al Muhaddiseen s 37.
(20) Bistaan al Muhaddiseen S 37-o-Itihaaf Ibtilaa al Mutaqeen S 157.
REFERENCE:
Book: “Tazkeeratul Muhadiseen”
Taleef: ‘Ziya Udddin Islaahi’
امام ابوبکر اسماعیلی
( متوفی ٣٧١ ھ)
نام ونسب:
احمد نام، ابوبکر کنیت، اسماعیلی نسبت، اور سلسلہ نسب یہ ہے:
احمد بن ابراہیم بن اسماعیل بن عباس بن مرداس- (1)
پیدائش، خاندان اور وطن:
وہ امام بخاری کی وفات کے اکیس سال بعد ٢٧٧ ھ میں پیدا ہوئے ، ان کا خاندان علمی حیثیت سے ممتاز تھا، ان کے بعد اس میں متعدد فضلا اور ارباب کمال گذرے ، (۲) ان کا وطن جرجان تھا۔
شوق علم اور طلب حدیث کے لیے سفر:
علم و فن سے ان کو فطری مناسبت تھی، بچپن میں لوگ عموماً پڑھنے لکھنے سے بیزار ہوتے ہیں لیکن اسماعیلی کو اسی زمانہ میں اس سے دلچپسی ہو گئی تھی، چھ سال کی عمر میں یعنی ۲۸۳ ھ میں انھوں نے حدیثوں کی تحریر و کتابت شروع کردی تھی ، اور ۲۸۹ ھ میں با قاعدہ اس فن کی تحصیل میں مشغول ہو گئے تھے، اسی زمانہ میں وہ اس مقدس اور مبارک علم کی تحصیل کے لیے اپنے وطن سے نکل جانا چاہتے تھے مگر ان کی کمسنی کی وجہ سے ان کے اعزہ نے سفر کی اجازت نہیں دی اور جب ان کا شوق اور اصرار حد سے بڑھ جاتا تو وہ لوگ مختلف حیلوں اور بہانوں سے انھیں باز رکھنے کی کوشش کرتے، ایک دن ان کو اس زمانہ کے مشہور محدث محمد بن ایوب رازی کی موت کی اطلاع ملی تو ان کا عجیب حال ہو گیا، وہ گھر سے باہر آ کر رونے دھونے، چیخنے چلانے لگے کپڑے چاک کرنے اور سر پر خاک ڈالنے لگے، یہ کیفیت دیکھ کر ان کے تمام اعزہ جمع ہو گئے اور اس کا سبب دریافت کیا، اسماعیلی نے کہا:
آج دنیا ایسے عظیم المرتبت اور صاحب کمال شخص سے خالی ہوگئی، آپ لوگوں کی بندشوں اور رکاوٹوں نے مجھے اس کے فیوض و برکات سے متمتع نہیں ہونے دیا، اعزہ نے تسلی دیتے ہوئے کہا:
گھبرانے کی کوئی بات نہیں ہے، اب بھی خدا کے فضل سے بہت سارے نامور علما و مشائخ اور اساطین فن موجود ہیں، یہ حالت دیکھ کر اب ان کو سفر سے مزید روکنا مشکل تھا، اس لیے ان کے ماموں کو ان کے ہمراہ کر دیا گیا، اس طرح وہ پہلی مرتبہ ٢٩٤ھ میں ابوالحسن بن سفیان کی خدمت میں نسا تشریف لے گئے ، ان کا خود بیان ہے کہ یہ سفر میں نے اس وقت کیا تھا جب نہ تو میری مسیں بھیگی تھیں اور نہ داڑھی کے بال نکلے تھے، ٢٩٦ھ میں بغداد گئے ، اس سفر میں بھی ان کا کوئی عزیز ان کے ساتھ تھا، پھر حجاز ، عراق، فارس، کوفہ، بصرہ، انبار، موصل، جزیره نیشاپور وغیرہ تشریف لے گئے، نیشا پور کئی بار تشریف لے گئے۔ (3)
اساتذہ و شیوخ:
جس شخص کے شوق و جستجوئے علم کا یہ حال رہا ہو اس کے اساتذہ و شیوخ کی تعداد و شمار نہیں کی جاسکتی، بعض نامور محدثین اور ارباب کمال کے نام یہ ہیں:
ابراہیم بن زہیر حلوانی،
ابراہیم بن عبداللہ مخرمی،
ابو یعلٰی احمد بن علی بن مثنٰی موصلی،
احمد بن محمد بن مسروق،
بہلول بن اسحاق تنوخی انباری،
جعفر بن محمد فریابی،
حسن بن سفیان شیبانی،
حمزہ بن محمد بن عیسٰی کاتب،
عبد اللہ بن ناجیہ،
عبدان بن احمد عسکری،
عمران بن موسٰی سختیانی،
ابوخلیفہ فضل بن حباب جمحی،
ابوبکر محمد بن اسحاق بن خزیمہ،
محمد بن حسن بن سماعه،
ابو جعفر محمد بن عبداللہ بن سلیمان حضرمی،
محمد بن عثمان بن ابی شیبہ،
شیخ زاہد محمد بن عثمان مقابری،
محمد بن یحیٰی بن سلیمان مروزی،
یحیٰی بن محمد حنائی،
قاضی یوسف بن یعقوب۔ (4)
تلامذہ:
ان کے تلامذہ میں اس دور کے ائمہ اور نامور فضلا شامل تھے، بعض کے نام یہ ہیں:
ابوالقاسم عبدری،
ابوبکر بن محمد بن غالب برقانی،
حسین بن محمد باسانی،
حمزہ بن یوسف سہمی صاحب تاریخ جرجان،
ابو عمر و عبد الرحمٰن بن (5) محمد فارسی، عبدالواحد بن منیر معدل،
ابو جعفر محمد بن احمد حجاجی،
ابو بکر محمد بن ادریس جرجانی،
ابوعبد الله محمد بن عبداللہ حاکم،
ابوعلی محمد بن علی بن سہل،
ابوالحسن محمد بن علی طبری۔
حفظ وضبط:
حفظ وضبط میں ممتاز اور مشہور حفاظ میں شمار کئے جاتے تھے، بہت ساری کتابیں ان کو زبانی یاد تھیں، حافظ ذہبی کا بیان ہے کہ میں ان کے کمال حفظ سے مبہوت ہو گیا اور میرا یہ قطعی فیصلہ ہے کہ متقدمین کے علم و حافظہ کا متاخرین مقابلہ نہیں کر سکتے، ضبط و احتیاط کا یہ حال تھا کہ فن حدیث میں غیر معمولی امتیاز اور امام فن ہونے کے باوجود انھوں نے مستقل کتاب لکھنے کے بجائے مستخرج بخاری لکھنے پر اکتفا کیا، حافظ ذہبی فرماتے ہیں:
کہ وہ رفع اسناد اور علوے تفرد میں ممتاز تھے، (6) حاکم کا بیان ہے کہ ان کے ضبط وثقاہت میں کوئی اختلاف نہیں کیا گیا ہے۔
حدیث میں درجہ:
اسماعیلی منقولات کے متبحر عالم اور کامل الفن محدث تھے، وہ حدیث میں امام، مرجوع اور معتدیٰ کی حیثیت رکھتے تھے، حاکم نے ان کو شیخ المحدثین اور امام اہل جرجان کہا ہے، ان کی عظمت و بلند پائیگی کا یہ عالم تھا کہ امام دارقطنی جیسے صاحب کمال اور جلیل القدر محدث نے کئی بار ان کی بارگاہ فضل و کمال میں حاضر ہونے کا قصد کیا لیکن مقدور نہ ہو سکا اور زندگی بھر اپنی اس محرومی پر حسرت وافسوس ظاہر کرتے رہے، حافظ حسن بن علی فرماتے ہیں:
کہ اسماعیلی اس پایہ کے محدث تھے کہ حدیث و سنن میں مستقل کتابیں لکھتے مگر انھوں نے مستخرج مرتب کرنے پر اکتفا کیا، ان کو اکثر کتابیں ازبر تھیں اور اللہ تعالیٰ نے علم وافر اور ذہن رسا سے نوازا تھا۔ (7)
مسندِ درس:
اسماعیلی کے حدیث میں کمال کا اس سے بھی اندازہ ہوتا ہے کہ علم کی تکمیل کے بعد جب وہ مسند درس پر رونق افروز ہوئے تو ان کو بڑا عروج نصیب ہوا اور ان کے درس میں طلبہ و مستفیدین کا جم غفیر شریک ہوتا تھا، حمزہ سہمی اور علامہ سمعانی نے روزانہ کے شرکا کی تعداد چالیس اور پچاس کے لگ بھگ بتائی ہے، یہ لوگ اسماعیلی کی زبان سے جو بات نکلتی تھی اس کو قلمبند کر لیتے تھے۔ (8)
فقہ و اجتہاد:
وہ فقہ واجتہاد میں بھی صاحب کمال اور امام و مقتدیٰ سمجھے جاتے تھے، علامہ سمعانی لکھتے ہیں کہ اسماعیلی اہل جرجان کے امام اور فقہ وحدیث میں مرجع تھے، حاکم نے انھیں شیخ المحدثین والفقہا کہا ہے، ان کے صاحبزادے ابوسعید اور بعض علمائے جرجان نے فقہ کی ان سے تحصیل کی تھی۔
قرأت:
فن قرات میں اسماعیلی کو مہارت اور اچھی دستگاہ تھی، ابوالحسن محمد بن مظفر نے قرأت میں ان کی جودت کا اعتراف کیا ہے، حمزہ سہمی فرماتے ہیں:
کہ وہ ہر مجلس میں پیش پیش رہتے تھے ، ان کے سامنے کسی کو قرآت کرنے کی جرات نہ ہوتی تھی ، ابوالقاسم بغوی کا بیان ہے کہ میں نے ان سے بہتر قاری نہیں دیکھا۔ (9)
تدین و اخلاق:
اسماعیلی متدین اور مستودہ صفات تھے، حاکم نے ان کی مروت و سخاوت کا خاص طور پر ذکر کیا ہے اور حمزہ سہمی کا بیان ہے کہ وہ اپنے والدین کے نہایت مطیع اور فرمانبردار تھے، ان کے طرز عمل سے ان کے والدین اس قدر خوش تھے کہ ہمیشہ ان کے لیے خیر و برکت کی دعا کرتے رہتے تھے۔ (10)
دولت و ثروت:
اللہ تعالیٰ نے ان کو علمی و دینی کمالات کی طرح مال و دولت کی فراوانی اور د نیوی جاه و منزلت سے بھی نوازا تھا، مورخین کا بیان ہے کہ وہ دینی و دنیاوی وجاہت اور ہر قسم کی خوبیوں کے جامع تھے ۔ (11)
شہرت و مقبولیت:
ان کو بڑی شہرت اور غیر معمولی مقبولیت حاصل تھی ، وہ امام اور مرجع خلائق تھے، درس میں حاضرین کی بڑی تعداد ہوتی تھی، جونہایت عقیدت کے ساتھ ان کا ایک ایک لفظ نقل کرتے تھے، ابن فرات کا بیان ہے کہ:
لقد رزق من العلم والجاه والصیت الحسن۔
ان کو علم و جاہ اور اچھی شہرت نصیب ہوٸی۔
بغداد میں جب ان کی موت کی خبر ہوئی تو اکابر محدثین اور فقہا نے کئی دنوں تک جمع ہو کر ان کو خراج عقیدت پیش کیا۔ (12)
فقہی مسلک:
اسماعیلی شافعی المذہب تھے اور شوافع کے ائمہ میں خیال کئے جاتے تھے، حافظ ذہبی کا بیان ہے کہ وہ اپنے خطہ کے اکا بر شافعیہ میں تھے ۔(13)
کلامی عقائد:
وہ اہل سنت والجماعت اور محدثین کے ہمنوا تھے، اس لیے ان کے اعتقادات بھی وہی تھے ، ان کے بعض کلامی عقائد یہ ہیں:
اہل حدیث کا مسلک یہ ہے کہ اللہ اس کے ملائکہ، اس کی کتابوں اور اس کے رسولوں کا اقرار کیا جائے، کتاب اللہ اور صحیح حدیثوں کے منطوق کو قبول کیا جائے اور ان سے انحراف نہ کیا جائے، محدثین کا عقیدہ ہے کہ اللہ کو اس کے اچھے ناموں سے پکارنا اور ان صفتوں سے متصف ماننا چاہیے جن سے اس نے اور اس کے رسول نے اس کو متصف کیا ہے، مثلاً اللہ نے آدم کو اپنے ہاتھ سے پیدا کیا ، اس کے دونوں ہاتھ کشادہ ہیں، وہ عرش پر متمکن ہے وغیرہ، ان ساری باتوں کو محض تسلیم کرنا ضروری ہے، ان کی حقیقت اور کیفیت معلوم کرنے کے درپے نہیں ہونا چاہیے۔(14)
وفات:
عام مورخین کے بیان کے مطابق ٩٤ سال کی عمر میں سنیچر کے دن غرہ رجب ۳۷۱ھ میں انتقال ہوا اور اتوار کو تدفین ہوئی، ان کے صاحبزادے ابو نصر نے جنازہ کی نماز پڑھائی، ابن سبکی اور شاہ عبد العزیز صاحب نے لکھا ہے کہ صفرا۳۷ ھ میں وفات پائی۔ (15)
اولاد:
انتقال کے وقت پانچ اولادیں تھیں، تین لڑکیاں اور دولڑکے، ایک لڑکے کا نام ابونصر محمد اور دوسرے کا ابو سعد اسماعیلی تھا، دونوں علم و فضل میں اپنے والد کے جانشین تھے، ابونصر اپنے باپ کی موجودگی ہی میں مسند درس پر فروکش ہو چکے تھے اور دوسرے صاحب زادے ابو سعد اپنے زمانے کے ممتاز فقیہ اور صاحب علم خیال کئے جاتے تھے۔
(16)
تصنیفات:
امام اسماعیلی کی جن کتابوں کے نام معلوم ہوسکے ہیں وہ یہ ہیں:
١۔ مسند عمر:
یہ دوجلدوں میں تھی اور حافظ ذہبی کی نظر سے گذری تھی، انھوں نے اس کی تعلیق بھی لکھی تھی۔ (17)
۲- مسند کبیر:
یہ نہایت ضخیم کتاب اور تقریبا سو جلدوں پر مشتمل تھی، مگر اس کو زیادہ شہرت نہیں ملی۔
٣۔ مستخرج:
اس کا نام صحیح اسماعیلی بھی ہے، یہ صیح بخاری پر مستخرج ہے (18)
حافظ ابن کثیر کے اس بیان سے اس کی اہمیت کا پتہ چلتا ہے، وہ فرماتے ہیں:
کہ انھوں نے صحیح بخاری پر مستخرج لکھا، یہ بیشمار فائدوں اور معلومات پر مشتمل ہے۔
حافظ ابن حجر نے اس کا انتخاب کیا تھا، جو مثقی ابن حجر کے نام سے مشہور ہے، اسماعیلی نے بخاری کی تعلیقات کو یکجا کر دیا تھا لیکن حافظ نے ان کا جدا جدا ذکر کیا ہے (19)
٤۔ معجم:
اسماعیلی کی یہ اہم تصنیف ہے، اس کے متعلق حافظ ابن حجر نے مصنف کے حوالہ سے مجمع الموسس میں یہ تصریح نقل کی ہے۔
میں نے جن شیوخ سے حدیثیں سنی اور لکھی ہیں یا جن کے سامنے قرأت کی ہے ان کے ناموں کے حصر اور حروف معجمہ پر تخریج کے متعلق اللہ تعالٰی سے استخارہ کیا تاکہ طلبہ کو اس سے سہولت ہو اور ناموں میں التباس و اشکال کے وقت وہ اس کی جانب رجوع کر سکیں، ہر شیخ کی صرف ایک ہی حدیث نقل کرنے پر اکتفا کیا گیا ہے، اس کا مقصد فی الواقع مفید حدیثوں کو جمع کرنا ہے، جن راویوں کی طرف میرے خیال میں کذب و اتہام یا عام محدثین سے تفرد کی بنا پر ناپسندیدہ ہیں، ان کی حقیقت اس میں اچھی طرح واضح کر دی گئی ہے لیکن جن لوگوں کا قدح وطعن بالکل واضح اور ظاہر ہے، ان کی حدیث کی تخریج کا سوال ہی نہیں پیدا ہوتا، میں نے تیمناً وتبرکاً اس کو احمد کے نام سے شروع کیا ہے اور جمادی الاولٰی ٣٦١ھ میں اس کی جمع و تالیف کی ابتدا کی ہے۔ (20)
(1) کتاب الانساب ورق ٣٦، تذکرة الحفاظ ج ۳ ص ۱۵۹ طبقات الشافعیہ ج ۲ ص ۷۹
(2) ایضاً و بستان المحدثین ص ۳۷۔
(3) کتاب الانساب ورق ٣٦ و تذكرة الحفاظ ج ۳ ص ۱۵۹ و طبقات الشافعیہ ج ۲ ص ۸۰
(4) ایضاً۔
(5) یہ اسماعیلی کے نواسے تھے، تذکرہ ج ۳ ص ۱۵۹
(6) تذکرة ج ۳ ص ١٢٠و ١٢١
(7) تاریخ جرجان ص ۷۰ د کتاب الانساب ورق ٣٢ و تذكرة الحفاظ ج ۳ ص ۱۵۹ و ۱۲۰ –
(8) تاریخ جرجان ص ٧٠ و کتاب الانساب ورق ٣٦ و تذكرة الحفاظ ج ۳ ص ۱۵۹ و ١٦٠
(9) ایضاً
(10) ايضاً۔
(11) تاریخ جرجان ص ٠۷ و كتاب الانساب ورق ٣٦ و تذكرة الحفاظ ج ۳ ص ۱۵۹ و١٦٠
(12) تاریخ جرجان ص ٧٠ و ٧١ وتذكرة الحفاظ ج ۳ ص ۱۲۰
(13) تذكرة الحفاظ ج ۳ ص ۱۵۹
(14) تذکرة الحفاظ ج ۳ ص ١٦٠،١٦١
(15) تذكرة الحفاظ ج ۳ ص ١٦٠،١٦١ و تاریخ جرجان ص ٦٩ کتاب الانساب ورق ١٣٦ المنتظم ص ۱۰۸ طبقات الشافعیہ ج ۳ ص ۸۰
(16) تاریخ جرجان ص ٧٤
(17) بستان المحدثین ص ۳۸
(18) مستخرج کی تعریف کے لیے ملاحظہ ہو تذکرۃ المحدثین ج ا ص ٤٠٨
(19) بستان المحدثین ص ۳۷۔
(20) ابستان المحدثین ص ۳۷ و اتحاف ابتلاء المتقین ص ۱۵۷۔