09. Imam Sayyad Bin Mansoor [D: 227]
Imam Sayyad Bin Mansoor (رحمه اللہ)
Naam-o-Nasab
Saeed naam aur Abu Usman Kuniyat thi, silsila-e-nasab ye hai: Saeed bin Mansoor Ibn Sh’oba.
Watan
Saeed ka san wilaadat nahi malum ho saka aur watan ke mutalliq bhi Ikhtilaaf hai, ek riwaayat ke mutabiq vo Juzjaan mein paida huye aur Balkh mein nashonuma paayi, zyada mash-hoor riwaayat ye hai ki unka watan Maroo tha aur Balkh mein bood-o-baash ikhtiyaar kar li thi, Taalqaan ko bhi unka molad bataya jata hai.
Is Ikhtilaaf ki wajah ye hai ki Maroo, Taalqaan aur Juzjaan sab Balkh hi ke qareeb-o-nawaahnmein thode se faasle par waqe’ the. Balkh jo baad mein unki mustaqil qayaam gaah ban gaya tha Khurasaan ka mash-hoor wa mardum khez sheher aur ek arsa tak uska paaya takht raha hai, in maqamaat ki nisbat se vo Maroozi, Taalqaani, Balkhi aur Khurasaani mash hoor hain.
Asaatzah
Saeed bin Mansoor ne nihaayat muqaddas Ulamaye Islam aur bargazeedah muhaddiseen se kasab-e-faiz kiya tha, mash hoor muhaddis Ismail bin ulyya ke marwyaat ke sabse bade naaqil hone ki wajah se unke raahwiya kehlate thay, Imam maalik se unhone muatta ke ilawah bohot si hadeeson ka Sama’a kiya tha, Lais bin Saad aur Sufyan bin Uyenah se bhi unko riwaayat karne ka sharf haasil hai, dusrey mash-hoor shuyookh ke naam ye hain.
Abu qudamah Haris bin Ubaidah, Hammad bin Zaid, Dawood bin Abdurrahman bin Abi aznaad, Abul Ahws Salaam bin Saleem, Shareek bin Abdullah, Abu shahaab Abdurbah bin Qaane’, Abdul azeez bin Abi haazim, Musalma bin Dinar, Ubaidullah bin Ayaad, Faleeh bin Sulaiman, Mahdi bin maimoon, Abu Ma’ashar Najeeh bin Abdul Rahman, Hasheem bin basheer aur Abu Awanah Wazaah bin Abdullah Bazzar waghairah.
Talamizah
Asaatzah ki tarah unke talamizah mein bhi namwr Ulama-o-muhaddiseen shaamil hain, Imam Ahmad, Imam Muslim aur Abu Dawood unke halaqah faiz mein dakhil the, Sihah ki dusri kitaabon mein bhi Sayyad ke marooyaat bilwaasta shamil kiye gaye hain, chand mash-hoor talamizah ke naam ye hain:
Abu soor Ibrahim bin Khalid kalbi, Abu Bakar asram, Abu shuaib hurrani Ahmad bin Khaleed halbi, Bashar bin Moosa, Harb bin Ismail karmaani, Hasan bin Muhammad Zaafraani, Abbas bin Abdullah sanadi, Abdullah bin Abdurrahman Darimi, Abu Zar’a Abdurrahman bin Umroo Damishqi, Abu Zur’a Ubaidullah bin Kareem raazi, Umar bin Mansoor Nisai, Abu Hatim Muhammad bin Idrees, Muhammad bin Ali bin maimoon raqi, Abu Abdullah Muhammad bin Yahya Zahli aur Yahya bin Moosa waghairah.
Rehlat-o-safar
Hadees ki talab wa justajoo mein unke kasrat safar ko Mazi ne و كان حافظا جوالا aur Allamah Ibn Hajar ne طاف البلاد ke alfaaz se bayan kiya hai.
Azmat
Saeed bin Mansoor ki Ilmi azmat ka andazah unke asaatzah aur talamizah ke naamon se zaahir hai, Imam Ahmad (رحمه الله) unke bade qadar daan aur madaah the aur hamesha izzat-o-ehteraam ke sath unka zikr karte the, Muhammad bin Abdurraheem jab unki riwaayat bayan karte to tareef karte aur kehte حدثنا سعيد وكان ثبتا
Hifz-o-saqaahat
Ulamaye fan unke hifz-o-saqaahat ke bhi mu’atraf the, Yahya bin Hssaan dusre muhaddiseen ke muqaable mein unki fazeelat aur hifz-o-zabt ke bade qayel the, Harb karmaani ka bayan hai ki ” Saeed ne hmko das hazaar hadeesein zabaani I’mla karaayin”, Imam Ahmad unko sachha aur Sahib-e-Fazal-o-kamaal batate hain, Abu Hatim, Ibn Hibban, Ibn Numair, Ibn kharaash, Ibn Qane’ aur Musalma bin Qasim waghairah ne unki tauseeq-o-tadeel ki hai, Khaleeli kehte hain ki unki saqaahat par ittefaaq hai, Hafiz Zahabi ne unko الحافظ الثقه aur الحافظ الإمام الحجة likha hai, Ibn Imaad ka bayan hai ki vo Siqah aur mash-hoor muhaddiseen mein the.
Wafaat
Aakhir umar mein unhone Makkah muazzamah mein mustaqil qayaam kar liya tha aur yahin taqreeban 89 saal ki umar mein mash-hoor aur sahih riwaayat ke mutabiq 227 mein wafaat payi.
Tasneefaat
Saeed bin Mansoor sahab tasaneef the magar unki kitabein madoom hain, sirf ek kitab Sunan ka zikr milta hai lekin ye bhi tab’ nahi huyi hai, Sunan ko unhone akhiri umar mein Makkah muazzamah ke zamana qayaam mein murattab kiya tha. Isse zaahir hota hai ki ye badi chhaan been mehnat-o-ehtiyaat aur hazar-o-tarmeem ke baad murattab ki gayi thi, isliye nihaayat mustanad aur mo’tabar hogi, Ahmad bin Makhzah aur Muhammad bin Ali bin Saayegh ne iski riwaayat ki hai, iski sabse aham khusoosiyat ye hai ki aksar riwayatein sulaasi hain aur ahmiyat ka haal ye hai ki Sunan Abi Sayyad mein jo kuch ikattha kiya gaya dusre majmua-e-hadees unse khaali hain, Allamah Ibn kaseer farmatey hain:
صاحب السنن المشهودة التي لا يشاركه فيها إلا القيل
wo us mash-hoor Sunan ke musannif hain jo be nazeer aur adeemul misaal hai.
Naqd-o-jirah
Saeed bin Mansoor ke mutalliq Allamah Zahabi ne Yaqub faswi se riwaayat ki hai ki “Vo apni ghalti Jaan lene ke baad bhi usse rujoo’nahi karte the lekin unki aam madah wa tauseef ke mutalliq itne kasrat se aqwaal manqool hain ki unke muqaabla mein agar faswi ka qaul sahih bhi Maan liya jaaye to uski koi haisiyat nahi aur isse Saeed ke martab-o-azmat mein koi farq nahi aata, Hafiz Ibn Hajar farmate hain ki “Aisa vo isliye karte the ki unko apni kitab ki sadaaqat-o-sehat par poora aitemaad aur wasooq tha.”
REFERENCE:
Book: “Tazkeeratul Muhadiseen”
Taleef: ‘Ziya Uddin Islaahi’