Search
Sections
< All Topics
Print

15. Ishaq Bin Rahwayh [Musnad Ishaq Bin Rahwayh][D: 238]

 IMAM ISHAAQ BIN RAHWIYA (رحمه الله)

 

Naam-o-nasab aur nisbat:

 

Aapka naam Ishaaq, Kuniyat Abu Yaqoob aur Ibn Rahwiya ye laqab tha. Shajarah-e-nasab kuch is tarah hai: Ishaaq bin Ibrahim bin Mukhlid bin Ibrahim bin Matar bin Ubaidullah bin Ghaalib bin Abdul waaris bin Ubaidullah bin Atiya bin Murrah bin Kaab Ibn Hammam bin Asad bin Murrah bin Hanzalah bin Maalik bin Zaid bin Manaat bin Tameem.

Imam Ishaaq ke waalid Ibrahim Shukm-e-maadar hi mein they ke inki waalidah ne Makkah muazzamah ka safar kiya, isi safar mein kisi muqaam par inki wiladat hui, iss liye ahle Maru inhe Rahwi ya Rahwiya yaani raaste waala kehte the. Aam airaab (اعراب) Rahwiya hai aur kuch Nahwi wa muhaddis Rahwiya bhi padhte hain aur Nahwi isko seebviya (سیبویہ) ke wazan par Rahwiya padhte hain.

 

Wilaadat:

 

Ibn Rahwiya ba-riwayat saheeh 161 Hijri mein paida huye,162 Hijri aur 163 Hijri ki riwayatein bhi milti hain.

 

Khandaan wa watan:

 

Inka watan Khurasaan ka mash-hoor shehar Maru tha lekin unhone ne Nishapoori  mein mustaqil sukooniyat ikhtiyar karli thi, issi liye Mrwazi aur Nishapoori  kehlaate the, Tamimi aur Hanzili ki nisbaton se inka Arabi nasal hona zaahir hota hai.

 

Mashayekh Karaam:

 

Inke mash-hoor mashayekh ke naam yeh hai.

Abu Osama, Abu Bakr, Bin Eyaash, Abu Mawiya, Isbaath bin Muhammad, Ismail bin oliya, Bashar bin Mafzal, Baqiya bin Waleed, Jareer bin AbdulHameed Raazi, Haatim bin Ismail, Hafs bin Ghiyaas, Sufyan bin Aina, Suleiman bin Naafe Abdi, Suwaid bin Abdul Aziz, Shoaib bin Ishaaq, Abdur Rahman bin Mahdi, Abdur Razzaq bin Hammam, Abdul Aziz Darawardi, Abdullah bin Mubarak, Abdullah bin Wahhab, Abdah bin Sulaiman, Abdul Wahhab Thaqafi, Etaab bin Basheer Jazri, Umar bin Haroon, Isa bin Yunus, Ghandar, Fuzail bin Eyaz, Muhammad bin Bakr Barsani, Muhammad bin Salma Harrani, Maaz bin Hisham, Moatamar bin Sulaiman, Nadhar bin Shumail, Wakiya bin Jarah, Waleed bin Muslim aur Yahya bin Qaazeh Waghairah.

 

Imam Ishaaq ke Tilamazah:

 

Imam Ishaaq Ibn Rahwiya ke tilamazah ke mukhtalif tabqaat hen.

  • Unke baaz asaatzah baqiya bin waleed, Muhammad bin Yahya Zahli aur Yahya bin Adam waghairah.
  • Aur Muasireen mein Ahmed bin Hanbal, Ishaaq bin Mansoor kosaj, Muhammad bin Raafe aur Yahya bin Muayyen
  • Aur rishtedaaro mein bete Muhammad ne bhi istefaadha kiya hai aur Sahah sitta musannif mein Imam Ibn Majah ke alawa sabko inse sharf tilmiz haasil hai.
  • Baaz aur mumtaaz tilamazah aur muntasbeen ke naam hasb -e-zail hai:

 Ibrahim bin Abi Talib, Ahmed bin Salama, Ishaaq bin Ibrahim Neshapoori , Jaafer Faryabi, Hassan bin Sufiyan, Zakariya Sajri, Abu Abbas Siraj, Abdullah bin Abdur Rahman Daarmi, Abdullah bin Muhammad bin Sherwiya, Muhammad bin Aflah, Muhammad bin Nasr Maroozi aur Moosa bin Haroon waghairah.

 

Talab-e-Hadees ke liye Safar:

 

Allama Ibn Asaakar aur Haafiz Ibn Hajar ne aapke kasrat-e-safar (Fataaf albilaad talab al Hadees)(Hadees ki talab wa tahseel ke liye mukhtalif shehron mein phire) kehkar zikr kiya hai.Aur  Khateeb ne likha hai ke Hijaaz, Iraq, Yemen aur Sham waghaira marakaz Hadees ka safar kiya aur Baghdad mein kayi baar tashreef laaye, Iraq ka safar 23 saal ki umar mein 174 hijri mein kiya tha.

 

Ilm-o-Fazal ka Aiteraaf:

 

Ishaaq bin Rahwiya buland paaya ahle Ilm mein the, Mu’asireen Ulama aur Asaateen fan inke fazal wa kamaal aur Ilmi azmat wa buland payegi ke intehayi mu’atraf hain.

Imam Ahmed ibn Hanbal jo inke bade madah aur qadardaan they, farmaate hain: “Khurasaan wa Iraq mein inka koi hamsar nahi, Baghdad ke us pul ko inse zyada azeem wa bartar kisi aadmi ne abwar nahi kiya, goya baaz masail mein hamara aur inka ikhtelaaf hai aur ahle Ilm ke darmiyan toh ikhtelafaat hua hi karte hain”.

Ek martaba Ishaaq ke sahabzaade Muhammad inki khidmat mein husool Ilm ke liye haazir huye to irshaad hua ke tumhaare apne waalid se wabasta rehna zyada mufeed aur behtar hai inse zyada pur azmat aadmi tumhaari aankhon ne na dekha hoga.

Muhammad Aslam kehte hain ke agar Imam Thawri zinda hote to Ishaaq ke Ilm wa fazal se beniyaaz nahi rehte.

Ahmed bin Saeed Rubaati ka qaul hai ke Ibn oyaina aur Hammad bhi inke mohtaaj hote.

Muhammad bin Yahya sifaar ne suna toh kaha ke agar Hasan Al Basri zinda hote toh aksar cheezon mein inko Ishaaq ke janib ruju karna padta.

Ibn Khuzaimah ka bayan hai ke agar who taba’een ke zamane mein hote toh woh log inke Ilm wa fazal ke mu’ataraf hote.

Naeem bin Hammad farmaate hain ke agar koi Khurasaani Ishaaq bin Rahwiyah ke Ilm wa kamaal mein kalaam ya nukta cheeni karte toh ise muttaham (متہم) fiddeen samjho.

Imam Zahabi  ne “ Siyar A’lam al-Nubala” mein inhe sheikh al mashriq aur sayyid al huffaz kaha hai.

Saeed bin Zuaib farmaate hai ke roye zameem par Ishaaq ke maanind maine koi aadmi nahi dekha.

Abu Yahya Sheraani ka bayan hai ke Ilmi mazakerah ke waqt woh yakta aur ryagaana maloom hote the.

Yahya bin Yahya ka bayaan hai ke Khurasaan mein Ilm ke do khazaane the: Ek Muhammad bin salaam Baikandi ke paas, doosra Ishaaq bin Rahwiya ke paas hai.

Husain bin Mansoor bayaan karte hain ki aik roz mein Yahya aur Ishaaq ke hamrah ek shakhs ki iyaadat karne gaya, jab hum log iske ghar gaye, paas pahunche toh Ishaaq peeche hogaye aur Yahya se kaha: pehle aap daakhil ho kyun ke aap hum se umar mein bade hain, unhone kaha: Beshak main umar mein bada hoon lekin Ilm wa fazal mein aap faayeq hain, isliye pehle aap hi chalein.

Haafiz ibn Abdul Birr Raqam taraaz hain” Woh jaleel al qadr Ulama aur naamwar muhaddiseen wa huffaz Ulama mein they.

 

Sharf Imamat:

 

Ishaaq bin Rahwiya ka shumaar in ayimma mein hota hai jo Sahib-e-mazhab, Faqih wa Mujtahid the. Magar ab inka Fiqhi aur ijtehaadi mazhab mit chuka hai lekin ek zamane mein ye bhi musalmaano ka mamool ba maslak raha hai.

Imam Ahmed aur Imam Nasai inke mutaliq farmaate hai:”Yaani musalmaano ke ayimma mein se ek Imam yeh bhi hai.

Ek martaba Imam Ahmed se inke bare mein dariyaft kiya gaya toh farmaya ke who musalmaano ke Imam hain, hamare nazdeek Shafa’i, Hameedi aur Ishaaq teeno Imam hain.

Muhammad bin Yahya Zehli ka bayan hai ke ek din Baghdad ke maqaam Rasaafa mein ayimma Muhaddiseen Imam Ahmed aur Yahya bin Maeen waghaira jama the lekin majlis sadaarat par Ishaaq bin Rahwiya rounak afroz the aur wo hi is majlis ke khateeb bhi they.

Muhammad bin Nasr farmaate hai: woh hamaare aur hamare mashayekh ke sheikh they.

Fazal sheerani kehte hain : Woh bila shak shubah Khurasaan ke Imam they.

Haafiz Ibn katheer farmaate hai:” أحد الأعلام و علما الاسلام”

Allama ibn Sabki Tehreer farmaate hai:” أحد أئمة الدين و اعلام المسلمين و هداة المومنين”

Doosre murakheen ne bhi inko “ أحد أئمة الإسلام أحد أئمة المسلمين و علما من اعلام الدين”

Imam mashriq aur aalim Nishapoori waghaira likha hai.

 

Ilm Hadees mein Kamaal wa Imtiyaz:

 

Ilm-e-Hadees se inko khaas talluq tha aur woh akaabir Muhaddiseen aur  namur huffaz mein shumar kiye jaate hain, Khaleeli ka bayan hai ke woh “Shehenshah hadees they” hadeeson ke nashr-o-ishaa’t, dars wa muzakarah , hifz wa zabt aur hazam wa ehtiyaat ke liye inki zaat badi ahmiyat aur shohrat rakhti hai, zail mein inki chand khusoosiyat ka zikr kiya jaata hai.

 

Hifz wa zabt:

 

Ishaaq bin Rahwiya ka haafiza ghair maamooli aur yaadaasht hairat angez thi, Ibn Hibban, Khateeb Baghdaadi aur Ibn Asaakar waghaira ne inki jaamiyat ka aiteraaf kiya hai.

Imam Ibn Khuzaimah farmaate hain ke agar Ishaaq taaba’een ke hadd mein hote toh woh log bhi inke haafize ke mu’ataraf hote.

Qutaiba bin Saeed ka bayaan hai ke Khurasaan ke namur huffaz mein Ishaaq bin Rahwiya aur inke baad Imam Daarmi aur Imam Bukhari the.

Abu Yahya Sheerani kehte hai ke maine inke haath mein kabhi kitaab nahi dekhi who hamesha yaaddasht se hadeesein bayan karte they. Inka khud bayaan hai ke maine kabhi koi cheez qalamband nahi ki jab bhi mujhe koi hadees bayan ki gayee maine ise yaad karliya. Maine kisi Muhaddis se koi hadees kabhi dubaara bayan karne ke liye nahi kaha.Yeh kehne ke baad unhone poocha : kya tum logon ko is par tajjub hai? Logon ne kaha ji haan? Yeh hairat ki baat hi hai. Unhone kaha : Jis cheez ko main ek marataba sun leta hoon woh mujhe yaad hojati hai. Sattar hazaar hadeesein har waqt mere nigah ke saamne rehti hai aur main inke mutalliq bata sakta hoon ke woh kitab mein kis jagah hai. Abu Dawood Khafaf ki riwayat ke mutabiq unhone ek laakh hadeeson ke mutalliq kaha ke woh meri nazar ke saamne hai. Main inka tazkirah kar sakta hoon. Ek dafa unhone gyarah hazaar hadeese I’mla karayee aur phir jab dubara kitaab se inki qaraat ki toh ek lafz ki bhi kami ya beshi nahi nikli.

Ahmed bin Salamah kehte hai ke inhone poori musnad ka zabaani I’mla karaya.        

Abu Haatim Raazi ne Abu Zar’aa se Ishaaq bin Rahwiya ke hifz asaneed wa mutoon ka zikr kiya toh unhone kahan ke inse bada Hafiz-e-hadees nahi dekha gaya.

Ahmed bin Salma ne Abu Haatim ko bataya ke unhone ne yaaddasht se apni tafseer ka I’mla karaya toh Abu Haatim ne kaha key yeh aur zyada hairat angez baat hai ke ki unke musnad hadeeson ka zabt tafseer ke asnaad wa alfaz ke zabt ke muqaable mein asaan hai.                                                                                                                

Ameer Khurasan Abdullah bin Taher ne ek martaba inse koi masala dariyaft kiya, unhone farmaya ke iske mutalliq sunnat yeh hai aur yahi ahle sunnat ka qaul hai lekin Imam Abu Haneefa  aur inke tilamazah ki raaye mukhtalif hai.Ibraheem bin Abi Saaleh wahan maujood they.

Bole: Ameer ul mumineen Ishaaq ghalat kehte hain. Abu Haneefa ka maslak isse mukhtalif nahi hai.

Unhone jawaab diya ki mujhe yeh masala yaad hai. Falan kitab ka falan juzz laiyye. Kitaab layi gayi aur Ibn Taher ne isko ulatna shuru kiya toh Imam Ishaaq ne kaha: Ameer ul mumineen!

Gyaarveh warq ki nauvi satar mein mulaheza farmaiyye.Chunanche iske andar who masala Imam ishaaq ke bayaan ke ayn mutabiq nikla. Ameer ne kaha: Humko maloom tha ke aapko masail azbar hai, lekin haafize ka yeh mushaahida hamare liye yaqeenan hairat angez hai.

 

Saqaahat:

 

Iss ghair mamooli hifz ke saath issi darje ki saqaahat bhi thi. Abu Haatim farmaate hain ke kaseer al hifz hone ke bawajood Imam Ishaaq ka zabt wa itqaan aur ghaltiyon se mehfooz wa mas-oon rehna hairat angez hai.

Khateeb Baghdadi waghairah likhte hain ke woh hifz wa saqahat dono ke jaame the.

Allama Zahabi ne inko siqah wa hujjat bataya hai.

Ibn Hibban ne unka siqaat mein zikr kiya hai.

Imam Nasai farmaate hai ke woh siqah wa mamoon they.

Imam Darimi ka bayaan hai ke Ishaaq apne sidq ki wajah se ahle maghrib wa mashriq ke sardar bangaye they.

Imam Ahmed ko inke sidq wa saqahat par itna aitemaad tha ke ek dafa unhone inse koi hadees poochi, jab Imam Ishaaq ne ise bayan kiya toh ek shakhs ne aiterazan kaha ke wakeey ne yahi riwaayat is se mukhtalif tareeqa par bayan ki hai. Imam Ahmed ne barafarukhta hokar kaha: Khamosh raho, jab Abu Yaqub Ameer al mumineen fil hadees koi riwayat bayaan kare toh ise bila tammul qubool karlena chahiye.

 

Hazm wa Ehtiyaat:

 

Iss hifz ke saath itne mohtaat they ke bachpan mein unhone Abdullah bin Mubaarak se hadeese suni thi magar inko riwayat nahi karte they ke ehtiyaat ke khilaaf hai.

 

Hifaazat wa asha’at hadees:

 

Unki zaat se Hadees-e-Nabawi ki badi asha’at aur Sunnat-e-Nabawi ka bada ihyaa hua. Haafiz Ibn Hajar likhte hain ke “ Ishaaq bin Rahwiya ne sunnaton ka difa aur mukhalifeen hadees ka qila’a qama (قلع قمع) kiya”.

Wahab bin Jareer ka bayan hai ke Allah Ta’ala Ishaaq, Sadqa aur Yamur ko inki Islami khidmaat ka sila ataa farmaaye. Inlogon ne mashriq ki sar zameen mein hadeeson ki isha’at aur Sunnat-e-Nabawi ka ihya kiya.

 

Fiqh wa Ijtehad:

 

Hadees ki tarah Fiqh wa Ijtehaad ke bhi maahir they. Abu Ishaaq Shiraazi ,Haakim sahib Mustadarak aur khateeb ne inko fiqh wa ijtehaad mein jaame’e aur akaabir Fuqaha mein shumaar kiya hai. Haafiz ibn katheer ne” احد المجتھدین من الانام” aur Ibn Hibban ne namwar wa mumtaz Fuqaha mein inko shumaar kiya hai. Ek martaba Imam Ahmed bin Hanbal se inke bare mein sawaal kiya gaya toh farmaaya ke Ishaaq ke maanind kaun ho sakta hai. Aise hi logon se masaail dariyaft karna chahiye. Hum log bhi inse fatwe poochte hain.

Gharz Fiqhi haisiyat se bhi inka paya bahut buland tha aur woh musallama Imam aur sahib mazhab Fuqaha mein hai aur mutaddid Ulama ne inka Muhaddis ke bajaye Faqih wa mujtahid  hi ki haisiyat se zikr kiya hai. Kutub khilaaf mein inke aqwaal wa fatawa aur Fiqhi wa ijtehaadi takhreejat maujood hai. Imam Tirmizi ne apni “Sunan” mein aur  Ibn Rashad Maalki ne kitaab” بدایۃ المجتہد” mein aksar Imam Ahmed ke saath Ishaaq ke aqwaal bhi naqal kiye hain. Ek zamane tak musalmaano mein Ishaaq ka mazhab rayej raha.

Haafiz Ibn Al Qayyim likhte hain ke “Muhammad bin Ishaaq Imam Al ayimma ke laqab se mausum kiye jaate the. Inke mutba’een inke mazhab ki pairvi karte the. Woh muqallid ke bajaye khud Imam mustaqil aur sahib-e-mazhab theyn. Bayhaqi ne Yahya bin Muhammad Anbari ke hawale se likha hai ke Ashaab hadees ke paanch tabqe hai:

  • …Maalikiyya (2) Shaafiyya…  (3) Hanbaliya…  (4) Rahwiya…  (5) Khuzayma… (ailaam al Muqieen,s:362)

 

Fiqhi usool aur Bunyadein:

 

Fiqh wa hadees mein Imam Ahmed bin Hanbal aur Ishaaq ka naam saath liya jaata hai. Dono buzurgon ki Fiqh wa ijtehaad ka daaromadaar hadees par hai. Hazrat Shah wali Allah muhaddis  Dehlvi ne risaala “Al Insaaf” mein likha hai ke inke masaail ki bunyaad Ahadees aur aqwaal sahaba par zyada hai.

Abu Haatim se poocha gaya ke aap ka mailaan in dono ke jaanib zyada hai. Farmaya : Mujhe inse zyada pur azmat shakhs nazar nahi aata. In dono ne Ahadees qalamband kiye. Inka muzakarah kiya aur inpar tasneefaat kiye.

Haafiz Ibn Hajar likhte hain “”Yani inki Fiqhi tarifiaat Sunan wa ahadees par mbni hoti hain lekn  Imam Ahmed k bar khilaf in ka mialan imam malik ki trf ziyada hai , jin ka asal makhaz ahle madina k aqwal hote hen , or imam ahmed zyadatar asaar wa riwayat par aitemaad karte hain.

Fiqh wa ijtehad mein inke kamaal ka iss se bhi andaaza hota hai ke inhone Imam Shafa’i jaise azeem al martabat Imam wa mujtahid se do martaba munazarah kiya.

Aur Saaleh bin Ahmed riwayat karte hain ke ek martaba munazarah ke mauqe par mere waalid bhi maujood they. Inka bayaan hai ke Ishaaq Imam Shafa’i ke muqable mein ghaalib nazar aarahe they.

 

Aqeedah wa kalaam:

 

Ishaaq bin Rahwiya itteba sunnat aur tareeqe salaf ki pairvi mein nihayat mutashaddid they, is liye kalam wa aqayed ke ghair zaroori masail mein behes wa tadqeeq aur Ghaur-o-khauz na pasand karte they. Inke zamane mein khalq e Quran ka mu’arikat ul aara masala paish aaya.Woh bhi Quran ko Allah Ta’ala ka kalaam aur ghair makhlooq samjhte they. Ahmed bin Saeed Rubaati ka sher hai:

“لم یجعل القرآن خلقا کما        قد قالہ زندیق ناق”

“Ishaaq bin Rahwiya ne faasiq aur zandeeq shakhs ki tarah Qur’an ko Allah Ta’ala ki makhlooq qaraar nahi diya”

 

Zuhud-o-Wara’a:

 

Imam Ibn Rahwiya ke zuhad wa wara’a ke ke mutalliq muarrikheen ne likha hai ke woh hadees wa Fiqh aur hifz wa sidq ki tarah wara’a wa taqwa ke bhi jame’e the.Muhammad bin Aslam Tausi ne inki wafaat ke waqt farmaya “Maine inse zyada Allah se darne waala nahi dekha. Allah Ta’ala ka irshad hai”( اننما ىخشى الله من عباده العلماء) ”(الفاطر :٢٨) yaani “Allah se iske wahi bande darte hai jo Ilm waale hai”.

 

Wafaat:

 

Mash-hoor riwayat ke mutabiq inho ne 77 saal ki umar mein baroz  yakshamba 14 ya 15 shaban 238 hijri ko inteqaal kiya. 237 hijri bhi riwayat ki gayi hai. Ek shayar ka marsiya ka sher hai:

“Jis saanha azeem se humlog itwaar ki raat mein 15 shaban ko dochaar huye, usko kabhi faramosh nahi kiya jaa sakta”

 

Aulad:

 

Aapki aulaad mein teen sahabzaadon ka naam zamnan milta hai.

  • Abul hsan Ali
  • Muhammad
  • Yaqoob

 

Tasaneef:

 

Ulama-e-tabqaat wa taraajim ne inko sahib Tasaneef kaseerah likha hai. Magar maloom hota hai ke woh sab zaaye  ho gaye hain. Jin tasneefaat ke naam maloom ho sake hain woh yeh hai:

  • Kitab al Sunan fil Fiqh….iske naam se mauzoo zahir hai.
  • Kitab al Tafseer…Allama Suyuti ne ahad taba’een ke baad jin tafseeron ko ahem aur aqwaal sahaba wa taba’een ki jame’e qarar diya in mein Sufiyan bin Aiyna aur Wakiy bin Jarah waghairah ki tafseeron ke saath iska bhi zikr kiya hai.
  • Musnad….yeh unki sabse aham aur mash-hoor tasneef aur 6 jildon par mushtamil hai. Hakim Nishapuri ne doosre daur ki masanid mein Imam Ahmed ki masnad ke saath iska naam bhi shumar kiya. Iski tarteeb wa takmeel se bhi who apni zindagi mein farigh ho chuke the aur apne shagirdon ko zubaani aur padhkar iska Imla bhi karaya tha. Allama Suyuti farmate hain”و اسحاق ىيخرج أمثل ماورد عن ذالك الصحابى فيما ذكرل رازى”

“Abu Zar’a Raazi ka bayaan hai ke Ishaaq inhi riwayaton ki takhreej karte the jo us Sahabi ki sabse behtar aur achi riwayat hoti thi.

Iss musnad ka ek qalmi nuskha Allama Suyuti ke Qalam ka likha hua Germany ke kitab khaane mein maujood hai. Allama Zaahabi ne iske rijaal ki naqd mein ek mustaqil kitaab likhi thi. Usko bhi Suyuti ne nuskha ke haashiye mein darj kiya hai.

Saheeh Bukhari se qabl likhi gayi Kutub Ahadees mein Muwatta Imam Maalik, Musnad Abi Dawood  At-Tayalisi aur Musnad Hameedi ke baad Musnad Ishaaq bin Rahwiya ka martaba hai aur iske baad phir Musnad Ahmed hai. Ismein mauzoo aur waahi sanad se koi riwayat nahi hai.Sirf  saheeh , hasan aur zayeef riwayat hai. Yeh musnad siwaaye jild sasham ke muroor-e-zamana ke saath zaaye ho gayi. Ibn Hajar ne iski chhe jildon ka tazkirah kiya hai.

Mahfooz makhtoot ka aghaaz Abu Hurairah( Raziallahu anhu) se hota hai aur Aakhir mein Abdullah bin Abbas (Raziallahu anhu) ki riwayat hai.

Yeh chhati jild hai.Iss matbo’o juzz mein riwayat ki tadaad (980) hai.Sirf Musnad Abi Huraira(Raziallahu anhu) ki tadaad ahadees 543 hai.

(Musnad Ishaaq bin Rahwiya) aldaktoor Abdul Ghafoor bin Abdul Haqq Al Balochi ki tahqeeq ke saath paanch ajza’a(3 jildon) mein se maktabta Al Imaan, Al Madani tal Munawwarah se 1991 bamutabiq 1412 hijri mein chhapi.

(Musnad Ishaaq bin rahwiya, Musnad ibn Abbas Muhammad Mukhtar Dharaar Al mufti ki tehqeeq ke saath ek jild mein daar al kitaab al Arabi, Beirut ,Lebanon se 2002 bamutabiq 1423 hihjri mein chhapi.

 

REFERENCE:
Book: “ISHAAQ BIN RAHWIYA” (Urdu)
Tarjuma: ‘Abu Anas Mohammad sarwar gohar’
Taqdeem: SHAIKH UL HADEES ABDULLAH NASIR RAHMAANI (حفظه الله تعالى)

 

 

ISHAQ BIN RAHWAYH

Abū Yaqūb Isḥāq ibn Ibrāhīm ibn Mukhallad al-Ḥandhalī was the Muhaddith , Faqih and Imam of his time. He was teacher of Imam BukhariImam MuslimImam Ibn Khuzaymah and many well known scholors. Rahwayh, a surname of his father Abul-Hasan Ibrahim, and he was called that because he was born on the road to Makkah and ‘road’ in Persian is ‘Rah’ and ‘Wayh’ means ‘to find’, thus it means ‘found in the road’,  Wafiyat al-A’yan 1/200.

Biography

Imam Ishaq bin Rahwayh was born in 163 A.H.  He was an Imam of famous mention from the people of Marw, a place in Nisabur. He was one whose statements and preferences were followed and sought after, and he was from the closest people to Ahmad bin Hanbal   He reached Baghdad more than once and was considered as among the Huffadh of its people, their praiseworthy, and he returned to Khurasan and settled in Nisabur until he passed away there. His knowledge became predominant among the people of Khurasan.  Tarikh Madinat as-Salam (7/363)

His Teachers

Among his teachers are:

  • Fudhayl bin Iyadh
  • Jarir bin Abd al-Hamid ar-Razi
  • Sufyan bin Uyaynah
  • Abd ar-Rahman bin Mahdi
  • Abd Allah bin Wahb
  • Al-Walid bin Muslim
  • Waki’ bin al-Jarrah
  • Yahya bin Sa’eed al-Qattan
  • Sulayman bin Harb
  • From the ones who also narrated from him are his eldest teachers such as Yahya bin Adam and Baqiyah bin al-Walid, and among his contemporaries Ahmad bin Hanbal and Yahya bin Ma’een.And a great many others. Tarikh Madinat as-Salam (7/362) and Tahthib al-Kamal (2/373-376) and Siyar A’lam an-Nubala by ath-Thahabi (11/359)

His Students

His Famous students are

His Works

His famous books are

  • Al-Musnad
  • Kitab Al Tafsir
  • Kitab al Ilm, Al-Mu’jam al-Mufahras (pgs. 58 & 109)

Status among Scholars

  • Imam Ahmad bin Hanbal was asked about Ishaq bin Rahwayh, so he said: “ Ishaq bin Rahwayh is being asked about? To us, Ishaq is among the Imams of the Muslims .” Al-Jarh wat-Ta’dil by Ibn Abi Hatim (2/210)
  • Abu Hatim ar-Razi said: “Ishaq bin Rahwayh is an Imam among the Imams of the Muslims” Al-Jarh wat-Ta’dil (2/210)
  • An-Nasa’i said about him while naming his teachers: “One of the Imams.” Tasmiyat Mashaykh an-Nasa’i (p. 62)
  • Ibn Khuzaimah said: “By Allah, even if Ishaq bin Ibrahim al-Handhali had been present among the Tabi’een, truly they would acknowledge his memory, knowledge and jurisprudence.” Tarikh Madinat as-Salam
  • Ibn Hibban said: “Ishaq was from among the masters of his time in jurisprudence, science, memorization, and insight whereof books were compiled, and the Prophetic traditions were subdivided; he defended it and dispelled whoever differed with it.” Kitab al Thiqat of Ibn Hibban (8/116)
  • Al-Khatib al-Baghdadisaid: “He was one of the Imams of the Muslims, knowledgeable from the notables of the religion, there was gathered in him (the knowledge of) Hadith and jurisprudence, good memory and truthfulness, piety and abstention.” Tarikh Madinat as-Salam (7/362)
  • Ibn Hajar al-Asqalani said about him: “Trustworthy, a memorizer of narrations, an independent jurist (mujtahid), close companion of Ahmad bin Hanbal.” Taqrib at-Tahthib by Ibn Hajar (1/126)

His death

He died in Naisabur in the year 238H. on the 14th of Sha’ban and he was 75 years old. Tarikh al-Awsat by al-Bukhari- called at-Tarikh as-Saghir (4/1036)

REFERENCE:

https://www.askislampedia.com/en/wiki/-/wiki/English_wiki/Ishaq+Bin+Rahwayh

امام اسحاق بن راہویہ(رحمه الله)

*امام اسحاق بن راہویہ کے مختصر حالات زندگی*

 

 *نام و نسب اور نسبت* :

 

آپ کا نام اسحق، کنیت ابو یعقوب اور ابن راہو یہ لقب تھا شجرہ نسب کچھ اس طرح ہے: اسحق بن ابراہیم بن مخلد بن ابراہیم بن مطر بن عبید اللہ بن غالب بن عبد الوارث بن عبید اللہ بن عطیہ بن مرہ بن کعب ابن ہمام بن اسد بن مرہ بن حنظلہ بن مالک بن زید بن منات بن تمیم۔ امام اسحق کے والد ابراہیم شکم مادر ہی میں تھے کہ ان کی والدہ نے مکہ معظمہ کا سفر کیا ، اسی سفر میں کسی مقام پر ان کی ولادت ہوئی ، اس لیے اہل مرو انہیں راہوی یا راہو یعنی راستہ والا کہتے تھے ۔ عام اعراب راہویہ ہے اور کچھ نحوی و محدث راھویہ بھی پڑھتے ہیں اور نحوی اس کو سیبویہ کے وزن پر راھویہ پڑھتے ہیں ۔

 *ولادت* :

ابن راہویہ بروایت صحیح١٦١ھ میں پیدا ہوۓ ، ١٦٦ھ اور ١٦٣ھ کی روایتیں بھی ملتی ہیں.

 *خاندان و وطن* :

ان کا وطن خراسان کا مشہور شہر مرو تھا لیکن انھوں نے نیشا پور میں مستقل سکونت اختیار کر لی تھی، اس لیے مروزی اور نیشا پوری کہلاتےتھے ،تمیمی اور حنظلی کی نسبتوں سے ان کا عربی النسل ہونا ظاہر ہوتا ہے۔

 *مشائخ کرام* :

ان کے مشہور مشائخ کے نام یہ ہیں: ابواسامہ، ابوبکر ، بن عیاش ، ابومعاویہ، اسباط بن محمد ، اسماعیل بن علیہ، بشر بن مفضل ، بقیه بن ولید ، جریر بن عبد الحمید رازی ، حاتم بن اسمعیل ، حفص بن غیاث ، سفیان بن عیینہ، سلیمان بن نافع عبدی ، سوید بن عبدالعزیز، شعیب بن اسحق ، عبد الرحمن بن مہدی ،عبدالرزاق بن ہمام ،عبدالعزیز دراوردی ، عبد اللہ بن مبارک ،عبد اللہ بن وہب ، عبدہ بن سلیمان عبد الوہاب ثقفی ، عتاب بن بشیر جزری ،عمر بن ہارون ،عیسی بن یونس ، غندر، فضیل بن عیاض، محمد بن بکر برسانی، محمد بن سلمہ حرانی ، معاذ بن ہشام ،معتمر بن سليمان نضر بن شميل ، وکیع بن جراح ، ولید بن مسلم اور یحیی بن قاضح وغیرہ ۔

 *امام اسحاق کے تلامذہ* :

امام اسحاق ابن راہویہ کے تلامذہ کے مختلف طبقات ہیں ۔ (۱)….. ان کے بعض اسا تذہ بقیہ بن ولید ،محمد بن یحییٰ ذہلی اور یحییٰ بن آدم وغیرہ۔ (۲) …… اور معاصرین میں احمد بن حنبل ، اسحاق بن منصور کوسج ، محمد بن رافع اور یحییٰ بن معین )….. اور رشتہ داروں میں بیٹے محمد نے بھی استفادہ کیا ہے اور صحاح ستہ کے مصنفین میں امام ابن ماجہ کے علاوہ سب کو ان سے شرف تلمذ حاصل ہے ۔ بعض اور ممتاز تلامذہ اور منتسبین کے نام حسب ذیل ہیں: ابراہیم بن ابی طالب ، احمد بن سلمہ، اسحاق بن ابراہیم نیشاپوری ،جعفر فریابی ،حسن بن سفیان ، زکر یا سجری، ابوالعباس سراج ،عبد اللہ بن عبد الرحمن دارمی ،عبداللہ بن محمد بن شیرویه، محمد بن افلح، محمد بن نصر مروزی اور موسی بن ہارون وغیرہ۔

 *طلب حدیث کے لیے سفر* :

علامہ ابن عساکر اور حافظ ابن حجر نے آپ کے کثرت سفر ( فـطـاف البلاد لطلب الحديث)( حدیث کی طلب و تحصیل کے لیے مختلف شہروں میں پھرے ) کہہ کر ذکر کیا ہے ۔ اور خطیب نے لکھا ہے کہ حجاز ، عراق ، یمن اور شام وغیرہ مراکز حدیث کا سفر کیا اور بغداد میں کئی بارتشریف لاۓ ،عراق کا سفر ۲۳ سال کی عمر میں ۱۸۴ھ میں کیا تھا۔

 *علم وفضل کا اعتراف* :

اسحاق بن راہویہ بلند پایہ اہل علم میں تھے، معاصرین علما اور اساطین فن ان کے فضل و کمال اور علمی عظمت و بلند پائیگی کے انتہائی معترف ہیں ۔

امام احمد بن حنبل جو ان کے بڑے مداح اور قدر داں تھے، فرماتے ہیں : خراسان وعراق میں ان کا کوئی ہمسر نہیں، بغداد کے اس پل کو ان سے زیادہ عظیم و برتر کسی آدمی نے عبور نہیں کیا ، گوبعض مسائل میں ہمارا اور ان کا اختلاف ہے اور اہل علم کے درمیان تو اختلافات ہوا ہی کرتے ہیں‘ ایک مرتبہ اسحاق کے صاحبزادے محمد ان کی خدمت میں حصول علم کے لیے حاضر ہوۓ تو ارشاد ہوا کہ تمہارا اپنے والد سے وابستہ رہنا زیادہ مفید اور بہتر ہے ان سے زیادہ پر عظمت آدمی تمہاری آنکھوں نے نہ دیکھا ہوگا۔

محمد اسلم کہتے ہیں کہ اگر امام ثوری زندہ ہوتے تو اسحاق کے علم وفضل سے بے نیاز نہیں رہتے ۔ احمد بن سعید رباطی کا قول ہے کہ ابن عیینہ اور حماد بھی ان کے محتاج ہوتے۔ محمد بن یحیی صفار نے سنا تو کہا کہ اگر حسن بصری زندہ ہوتے تو اکثر چیزوں میں ان کو اسحاق کی جانب رجوع کرنا پڑتا۔

ابن خزیمہ کا بیان ہے کہ اگر وہ تابعین کے زمانہ میں ہوتے تو وہ لوگ بھی ان کے علم وفضل کے معترف ہوتے ۔ نعیم بن حماد فرماتے ہیں کہ اگر کوئی خراسانی اسحاق بن راہویہ کے علم و کمال میں کلام یا نکتہ چینی کرے تو اسے معتم فی الدین سمجھو۔

امام ذہبی نے سیر اعلام النبلا میں انھیں شیخ المشرق اور سید الحفاظ کہا ہے ۔ سعید بن ذویب فرماتے ہیں کہ روۓ زمین پر اسحاق کے مانند میں نے کوئی آدمی نہیں دیکھا۔

 ابویحییٰ شعرانی کا بیان ہے کہ علمی مذاکرہ کے وقت وہ یکتا اور یگانہ معلوم ہوتے تھے۔
 یحییٰ بن یحییٰ کا بیان ہے کہ خراسان میں علم کے دوخزانے تھے: ایک محمد بن سلام بیکندی کے پاس، دوسرا اسحاق بن راہویہ کے پاس ہے۔

حسین بن منصور بیان کرتے ہیں کہ ایک روز میں یحییٰ اور اسحاق کے ہمراہ ایک شخص کی عیادت کرنے گیا ، جب ہم لوگ اس کے گھر گئے ، پاس پہنچے تو اسحاق پیچھے ہو گئے اور یحییٰ سے کہا: پہلے آپ داخل ہوں کیونکہ آپ ہم سے عمر میں بڑے ہیں ، انہوں نے کہا: بے شک میں عمر میں بڑا ہوں لیکن علم وفضل میں آپ فائق ہیں ، اس لیے پہلے آپ ہی چلیں ۔ حافظ ابن عبد البر رقم طراز ہیں وہ جلیل القدر علماۓ اسلام اور نامور محدثین وحفاظ علماء میں تھے۔

 *شرف امامت* :

اسحاق بن راہویہ کا شمار ان ائمہ میں ہوتا ہے جو صاحب مذہب، فقیہ و مجہتد تھے مگر اب ان کا فقہی اور اجتہادی مذہب مٹ چکا ہے لیکن ایک زمانہ میں یہ بھی مسلمانوں کا معمول بہ مسلک رہا ہے۔ امام احمد اور امام نسائی ان کے متعلق فرماتے ہیں: “إمـام مـن أئمة المسلمین“ یعنی ”مسلمانوں کے ائمہ میں سے ایک امام یہ بھی ہیں ۔“

ایک مرتبہ امام احمد سے ان کے بارے میں دریافت کیا گیا تو فرمایا کہ وہ مسلمانوں کے امام ہیں ، ہمارے نزدیک شافعی ،حمیدی اور اسحاق تینوں امام ہیں۔

محمد بن یحییٰ ذہلی کا بیان ہے کہ ایک دن بغداد کے مقام رصافہ میں ائمہ محدثین امام احمد اور یحییٰ بن معین وغیرہ جمع تھے لیکن مجلس صدارت پر اسحاق بن راہویہ رونق افروز تھے اور وہی اس مجلس کے خطیب بھی تھے ۔

 محمد بن نصر فرماتے ہیں: وہ ہمارے اور ہمارے مشائخ کے شیخ تھے۔
فضل شعرانی کہتے ہیں: وہ بلاشک وشبہ خراسان کے امام تھے۔ حافظ ابن کثیر فرماتے ہیں :”أحد الاعلام وعلماء الإسلام . “

علامہ ابن سبکی تحریر فرماتے ہیں: “أحد أئمة الدين وأعلام المسلمين وهداة المومنين . “ دوسرے مورخین نے بھی ان کو “أحد أئمة الإسلام أحد أئمة المسلمين وعلما من أعلام الدين . ” امام مشرق اور عالم نیشا پور وغیرہ لکھا ہے۔

*علم حدیث میں کمال و امتیاز* :

علم حدیث سے ان کو خاص تعلق تھا اور وہ اکا بر محدثین اور نامور حفاظ میں شمار کیے جاتے ہیں خلیلی کا بیان ہے کہ وہ ”شہنشاہ حدیث تھے” حدیثوں کے نشر واشاعت، درس و مذاکره ، حفظ وضبط اور حزم واحتیاط کے لیے ان کی ذات بڑی اہمیت اور شہرت رکھتی ہے ، ذیل میں ان کی چند خصوصیات کا ذکر کیا جا تا ہے۔

 *حفظ و ضبط:*

اسحاق بن راہویہ کا حافظہ غیر معمولی اور یادداشت حیرت انگیز تھی ، ابن حبان ، خطیب بغدادی اور ابن عساکر وغیرہ نے حافظہ میں ان کی جامعیت کا اعتراف کیا ہے، امام ابن خزیمہ فرماتے ہیں کہ اگر اسحاق تابعین کے عہد میں ہوتے تو وہلوگ بھی ان کے حافظہ کے معترف ہوتے ۔

قتیبہ بن سعید کا بیان ہے کہ خراسان کے نامور حفاظ میں اسحاق بن راہویہ اور ان کے بعد امام دارمی اور امام بخاری تھے ۔

 ابو یحی شعرانی کہتے ہیں کہ میں نے ان کے ہاتھ میں کبھی کتاب نہیں دیکھی وہ ہمیشہ یاداشت سے حدیثیں بیان کرتے تھے، ان کا خود بیان ہے کہ میں نے کبھی کوئی چیز قلمبند نہیں کی جب بھی مجھے کوئی حدیث بیان کی گئی میں نے اسے یادکرلیا، میں نے کسی محدث سے کوئی حدیث کبھی دوبارہ بیان کرنے کے لیے نہیں کہا، یہ کہنے کے بعد انھوں نے پوچھا: کیا تم لوگوں کو اس پر تعجب ہے؟ لوگوں نے کہا: جی ہاں؟ یہ حیرت کی بات ہی ہے ، انھوں نے کہا: جس چیز کو میں ایک مرتبہ سن لیتا ہوں وہ مجھے یاد ہو جاتی ہے ، ستر ہزار سے زیادہ حدیثیں ہر وقت میری نگاہ کے سامنے رہتی ہیں اور میں ان کے متعلق بتا سکتا ہوں کہ وہ کتاب میں کس جگہ ہیں؟ ابوداؤد خفاف کی روایت کے مطابق انھوں نے ایک لاکھ حدیثوں کے متعلق کہا کہ وہ میری نظر کے سامنے ہیں ، میں ان کا تذکرہ کر سکتا ہوں ۔ ایک دفعہ انھوں نے گیارہ ہزار حدیثیں زبانی املا کرائیں اور پھر جب دوبارہ کتاب سے ان کی قرأت کی تو ایک لفظ کی بھی کمی یا بیشی نہیں نکلی ۔

 احمد بن سلمہ کہتے ہیں کہ انھوں نے پوری مسند کا زبانی املا کرایا۔

ابوحاتم رازی نے ابوزرعہ سے اسحاق بن راہویہ کے حفظ اسانید و متون کا ذکر کیا تو انھوں نے کہا کہ ان سے بڑا کوئی حافظ حدیث نہیں دیکھا گیا۔
 احمد بن سلمہ نے ابوحاتم کو بتایا کہ انھوں نے یادداشت سے اپنی تفسیر کا املا کرایا ہے تو ابو حاتم نے کہا کہ یہ اور زیادہ حیرت انگیز بات ہے کیوں کہ مسند حدیثوں کا ضبط تفسیر کے اسناد والفاظ کے ضبط کے مقابلہ میں آسان ہے۔
 امیر خراسان عبد اللہ بن طاہر نے ایک مرتبہ ان سے کوئی مسئلہ دریافت کیا ، انھوں نے فرمایا کہ اس کے متعلق سنت یہ ہے اور یہی اہل سنت کا قول ہے لیکن امام ابوحنیفہ اور ان کے تلامذہ کی راۓ اس سے مختلف ہے، ابراہیم بن ابی صالح وہاں موجود تھے۔ بولے: امیر المومنین اسحاق غلط کہتے ہیں ، امام ابوحنیفہ کا مسلک اس سے مختلف نہیں ہے، انھوں نے جواب دیا کہ مجھ کو یہ مسئلہ یاد ہے ، فلاں کتاب کا فلاں جز لایئے ، کتاب لائی گئی اور ابن طاہر نے اس کو الٹنا شروع کیا تو امام اسحاق نے کہا: امیر المومنین! گیارہویں ورق کی نویں سطر میں ملاحظہ فرمایئے ، چنانچہ اس کے اندر وہ مسئلہ امام اسحاق کے بیان کے عین مطابق نکلا ، امیر نے کہا: ہم کو معلوم تھا کہ آپ کو مسائل از بر ہیں ، لیکن حافظہ کا یہ مشاہدہ ہمارے لیے یقینا حیرت انگیز ہے۔

*ثقاہت* :

اس غیر معمولی حفظ کے ساتھ اسی درجہ کی ثقاہت بھی تھی ، ابو حاتم فرماتے ہیں کہ کثیر الحفظ ہونے کے باوجود امام اسحاق کا ضبط و اتقان اور غلطیوں سے محفوظ ومصئون رہنا حیرت انگیز ہے۔ خطیب بغدادی وغیرہ لکھتے ہیں کہ وہ حفظ و ثقاہت دونوں کے جامع تھے۔

علامہ ذہبی نے ان کو ثقہ و حجت بتایا ہے۔
ابن حبان نے ان کا ثقات میں ذکر کیا ہے۔
امام نسائی فرماتے ہیں کہ وہ ثقہ و مامون تھے ۔
امام دارمی کا بیان ہے کہ اسحاق اپنے صدق کی وجہ سے اہل مغرب و مشرق کے سردار بن گئے تھے۔
امام احمد کو ان کے صدق و ثقاہت پر اتنا اعتماد تھا کہ ایک دفعہ انھوں نے ان سے کوئی حدیث پوچھی، جب امام اسحاق نے اسے بیان کیا تو ایک شخص نے اعتراضا کہا کہ وکیع نے یہی روایت اس سے مختلف طریقہ پر بیان کی ہے، امام احمد نے برافروختہ ہوکر کہا: خاموش رہو، جب ابویعقوب امیر المومنین فی الحدیث کوئی روایت بیان کریں تو اسے بلا تامل قبول کر لینا چاہیے۔

*حزم واحتیاط*:

 اس حفظ کے ساتھ اتنے محتاط تھے کہ بچپن میں انھوں نے عبد اللہ بن مبارک سے حدیثیں سنی تھیں مگر ان کو روایت نہیں کرتے تھے کہ احتیاط کے خلاف ہے۔

*حفاظت و اشاعت حدیث* :

ان کی ذات سے حدیث نبوی کی بڑی اشاعت اور سنت نبوی کا بڑا احیا ہوا، حافظ ابن حجر لکھتے ہیں کہ “اسحاق بن راہویہ نے سنتوں کا دفاع اور مخالفین حدیث کا قلع قمع کیا”۔
وہب بن جریر کا بیان ہے کہ اللہ تعالی اسحاق ،صدقہ اور یعمر کو ان کی اسلامی خدمات کا صلہ عطا فرماۓ ، ان لوگوں نے مشرق کی سرزمین میں حدیثوں کی اشاعت اور سنت نبوی کا احیا گیا۔

 *فقه واجتہاد* :

حدیث کی طرح فقہ و اجتہاد کے بھی ماہر تھے ، ابواسحاق شیرازی ، حاکم صاحب مستدرک اور خطیب نے ان کو فقہ و اجتہاد میں جامع اور اکابر فقہا میں شمار کیا ہے ، حافظ ابن کثیر نے “احـد الـمجتهدين من الانام“ اور ابن حبان نے نامور وممتاز فقہا میں ان کا شمار کیا ہے ، ایک مرتبہ امام احمد بن حنبل سے ان کے بارے میں سوال کیا گیا تو فرمایا کہ اسحاق کے مانند کون ہوسکتا ہے، ایسے ہی لوگوں سے مسائل دریافت کرنا چاہیے ، ہم لوگ بھی ان سے فتوے پوچھتے ہیں ۔

غرض فقہی حیثیت سے بھی ان کا پایہ بہت بلند تھا اور وہ مسلمہ امام اور صاحب مذہب فقہا میں ہیں اور متعدد علما نے ان کا محدث کے بجاۓ فقیہ و مجتہد ہی کی حیثیت سے ذکر کیا ہے، کتب خلاف میں ان کے اقوال و فتاوی اور فقہی و اجتہادی تخریجات موجود ہیں ، امام ترمذی نے اپنی “سنن” میں اور ابن رشد مالکی نے اپنی کتاب ”بـدايـة الـمـجتهد میں اکثر امام احمد کے ساتھ اسحاق کے اقوال بھی نقل کیے ہیں ، ایک زمانہ تک مسلمانوں میں اسحاق کا مذہب رائج رہا۔
حافظ ابن قیم رحمۃ اللہ لکھتے ہیں کہ محمد بن اسحاق امام الائمہ کے لقب سے موسوم کیے جاتے تھے، ان کے متبعین ان کے مذہب کی پیروی کرتے تھے، وہ مقلد کے بجاۓ خود امام مستقل اور صاحب مذہب تھے، بیہقی نے یحییٰ بن محمد عنبری کے حوالہ سے لکھا ہے کہ اصحاب حدیث کے پانچ طبقے ہیں:(1)….. مالکیہ ۔ (۲)….. شافعیہ۔ ۳)….. حنبلیہ۔ (۴)….. راہویہ اور (۵)…. خزیمیہ ۔ (اعلام الموقعین ،ص:362)

*فقہی اصول اور بنیادیں* :

فقہ و حدیث میں امام احمد بن حنبل اور اسحاق کا نام ساتھ لیا جا تا ہے، دونوں بزرگوں کی فقہ و اجتہاد کا دارومدار حدیث پر ہے۔ حضرت شاہ ولی اللہ محدث دہلوی نے رسالہ “الانصاف” میں لکھا ہے کہ ان کے مسائل کی بنیاد احادیث اور اقوال صحابہ پر زیادہ ہے۔
ابوحاتم سے پوچھا گیا کہ آپ کا میلان ان دونوں کی جانب زیادہ ہے، فرمایا: مجھے ان سے زیادہ پر عظمت شخص نظر نہیں آتا، ان دونوں نے احادیث قلمبند کیں ، ان کا مذاکرہ کیا اور ان پر تصنیفات کیں۔
حافظ ابن حجر لکھتے ہیں ”و فرع على السنن“ یعنی ان کی فقہی تفریعات سفن و احادیث پر مبنی ہوتی ہیں لیکن امام احمد کے برخلاف ان کا میلان امام مالک کی طرف زیادہ ہے جن کا اصل ماخذ اہل مدینہ کے اقوال ہوتے ہیں اور امام احمد
زیادہ تر آثار و روایات پر اعتماد کرتے ہیں۔
فقہ واجتہاد میں ان کے کمال کا اس سے بھی اندازہ ہوتا ہے کہ انھوں نے امام شافعی جیسے عظیم المرتبت امام و مجتہد
سے دو مرتبہ مناظرہ کیا۔
اور صالح بن احمد سے روایت کرتے ہیں کہ ایک مرتبہ مناظرہ کے موقع پر میرے والد بھی موجود تھے، ان کا بیان ہے کہ اسحاق امام شافعی کے مقابلہ میں غالب نظر آ رہے تھے۔

*عقیدہ و کلام* :

اسحاق بن راہو یہ اتباع سنت اور طریقہ سلف کی پیروی میں نہایت متشدد تھے، اس لیے کلام و عقائد کے غیر ضروری مسائل میں بحث و تدقیق اور غور و خوض ناپسند کرتے تھے، ان کے زمانہ میں خلق قرآن کا معرکۃ الآراء مسئلہ پیش آیا، وہ بھی قرآن کو اللہ تعالی کا کلام اور غیر مخلوق سمجھتے تھے ، احمد بن سعید رباطی کا شعر ہے:

لـم يـجـعـل الـقـرآن خـلقا كما
 قد قـالـه زنـديـق نـاق
“اسحاق بن راہویہ نے فاسق اور زندیق شخص کی طرح قرآن کو اللہ تعالی کی مخلوق قرارنہیں دیا۔”

 *زہد و ورع* :

 امام ابن راہویہ کے زہد و ورع کے متعلق مورخین نے لکھا ہے کہ وہ حدیث و فقہ اور حفظ و صدق کی طرح ورع و تقوی کے بھی جامع تھے ،محمد بن اسلم طوسی نے ان کی وفات کے وقت فرمایا ” میں نے ان سے زیادہ اللہ سے ڈرنے والا نہیں دیکھا، اللہ تعالی کا ارشاد ہے: «إنّما يخشى الله من عباده العلماء» (الفاطر : ۲۸) یعنی “اللہ سے اس کے وہی بندے ڈرتے ہیں جو علم والے ہیں” ۔

 *وفات* :

مشہور روایت کے مطابق انھوں نے ٧٧ سال کی عمر میں بروز یکشنبه ۱۴ یا ۱۵ شعبان ۲۳۸ھ کو انتقال کیا، ۲۳۷ھ بھی روایت کی گئی ہے، ایک شاعر کا مرثیہ کا شعر ہے:

يـاهـدة مـاهـدنـا ليلة الاحد
في نصف شعبان لا تنسى مدى الابد

“جس سانحہ عظیم سے ہم لوگ اتوار کی رات میں ۱۵ شعبان کو دو چار ہوۓ ، اس کو کبھی فراموش نہیں کیا جاسکتا ۔”

*اولاد*:

 آپ کی اولاد میں تین صاحبزادوں کا نام ضمنا ملتا ہے۔ (1) ……. ابو الحسن علی، (۲)… محمد ، (۳)…. یعقوب۔

 *تصانیف*:

علماۓ طبقات و تراجم نے ان کو صاحب تصانیف کثیرہ لکھا ہے ، مگر معلوم ہوتا ہے کہ وہ سب ضائع ہوگئیں جن تصنیفات کے نام معلوم ہو سکے ہیں وہ یہ ہیں:
(۱) کتاب السنن فی الفقه ….. اس کے نام سے موضوع ظاہر ہے۔

(۲) کتاب التفسیر … علامہ سیوطی نے عہد تابعین کے بعد کی جن تفسیروں کو اہم اور اقوال صحابہ و تابعین کی جامع قرار دیا ہے ان میں سفیان بن عیینہ اور وکیع بن جراح وغیرہ کی تفسیروں کے ساتھ اس کا بھی ذکر کیا ہے ۔ اس کو وہ خود باقاعده مرتب و مکمل بھی کر چکے تھے اور اس کا املا بھی کرایا تھا۔

(۳) مسند ….. یہ ان کی سب سے اہم اور مشہور تصنیف اور ٦ جلدوں پر مشتمل ہے، حاکم نیشاپوری نے دوسرے دور کی مسانید میں امام احمد کی مسند کے ساتھ اس کا نام بھی شمار کیا گیا ہے ۔ اس کی ترتیب و تکمیل سے بھی وہ اپنی زندگی میں فارغ ہو چکے تھے اور اپنے شاگردوں کو زبانی اور پڑھ کر اس کا املا بھی کرایا تھا ، علامہ سیوطی فرماتے ہیں : “واسحاق يخرج امثل ماورد عن ذالك الصحابي فيما ذكره الرازي”.
“ابوزرعہ رازی کا بیان ہے کہ اسحاق ان ہی روایتوں کی تخریج کرتے تھے جو اس صحابی کی سب سے بہتر اور اچھی روایت ہوتی تھی ۔“
اس مسند کا ایک قلمی نسخہ علامہ سیوطی کے قلم کا لکھا ہوا جرمنی کے کتب خانہ میں موجود ہے، علامہ ذہبی نے اس کے رجال کے نقد میں ایک مستقل کتاب لکھی تھی ، اس کو بھی سیوطی نے اس نسخہ کے حاشیے میں درج کیا ہے ۔
 صحیح بخاری سے قبل لکھی گئی کتب احادیث میں مؤطا امام مالک ، مسند ابی داؤد الطیالسی اور مسند حمیدی کے بعد مسند اسحاق بن راھویہ کا مرتبہ ہے اور اس کے بعد پھر مسند احمد ہے۔ اس میں موضوع اور واھی سند سے کوئی روایت نہیں ہے صرف صحیح ،حسن اور ضعیف روایات ہیں ۔ یہ مسند سواۓ جلد ششم کے مرور زمانہ کے ساتھ ضائع ہوگئی ۔ ابن حجر نے اس کی چھ جلدوں کا تذکرہ کیا ہے ۔

محفوظ و مخطوط کا آغاز ابو ھریرہ رضی اللہ عنہ کی روایات سے ہوتا ہے اور آخر میں عبد اللہ بن عباس رضی اللہ عنھما کی روایات ہیں۔
یہ چھٹی جلد ہے، اس مطبوعہ جزء میں روایات کی تعداد (۹۸۰) ہے۔ صرف مسند ابی ہریرہ رضی اللہ عنہ کی تعداد احادیث
۵۴۳ ہے۔

(مسند اسحاق بن راھویہ ) الدكتور عبد الغفور بن عبد الحق البلوشی کی تحقیق کے ساتھ پانچ اجزاء ( 3 جلدوں ) میں سے مکتبۃ الایمان ، المدینہ المنورہ سے ۱۹۹۱ء بمطابق ۱۴۱۲ھ میں چھپی ۔
(مسند اسحاق بن راھویہ، مسند ابن عباس ) محمد مختار ضرار المفتی کی تحقیق کے ساتھ ایک جلد میں دارالکتاب العربی ، بیروت، لبنان، سے ۲۰۰۲ء بمطابق ۱۴۲۳ھ میں چھپی ۔

راقم الحروف
حافظ حامد محمود الخضری

“مُسند اسحاق بن راہویہ “

حوالہ :
نام كتاب : “مُسند اسحاق بن راہویہ ”  اردو
ترجمه : ‘ابو انس محمد سرور گوہر’
تقدیم: ‘شيخ الحديث عبد اللہ ناصر رحمانی حفظہ اللہ’ 

 

 

Table of Contents