07. Umm Kulsum Binte Ali (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) [Grand Daughter]
Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه
Hazoor ﷺ ki Nawasiyan
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Nabi Akram ﷺ ki nawaasi theen aap ke waalid aur waalida ka naam kya tha?
Jawab: Aap ke waalid Sher-e-Khuda Hazrat Ali Al-Murtaza رضى الله عنه thay aur waalida Khatoon-e-Jannat Sayyidah Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها theen. Yeh Sayyidah Zahrah رضى الله عنها ki badi Sahabzaadi theen.
( Tabqaat. Usd-ul-Ghabah Seerat Ibn-e-Ishaq )
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ka waalid ki taraf se nasab kya tha?
Jawab: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ka waalid ki taraf se nasab yeh hai: Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه bin janaab Abu Taalib bin Abd-ul-Muttalib bin Hashim bin Qusai.
(Ansab-ul-Ashraf. Nasab-e-Quraish. Usd-ul-Ghabah. Tabqaat )
Sawal: Waalidah ki taraf se Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ka nasab kya tha?
Jawab: Aap Sayyid-ul-Nisaa hazrat Fatima رضى الله عنها ki Sahabzaadi theen. Nasab is tarhan hai: Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Sayyidah Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ bin Abdullah bin Abd-ul-Muttalib bin Hashim bin Qusai.
(Ansab-ul-Ashraf. Nasab-e-Quraish. Usd-ul-Ghabah. Tabqaat )
Sawal: Hazrat Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه kab aur kahan peda hui theen?
Jawab: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ki wilaadat 9 hjri mein Madinah Tayiba mein hui.
(Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqarib. Dalaail-ul-Nubuwwat )
Sawal: Hazrat Ali رضي الله عنه ki beti Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ka pehla nikah kis se hua tha?
Jawab: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ka pehla nikah Khalifa-e-Doum hazrat Umar Farooq رضى الله عنه se hua tha.
(Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqarib. Seer Al-Sahabiyat. An Hazrat ﷺ ki sahbzadyiaan )
Sawal: Bataaiye hazrat Umar Farooq رضى الله عنه ne Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ka rishta manga to hazrat Ali رضي الله عنه ne kya jawab diya?
Jawab: Hazrat Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ki umar abhi kuch kam thi keh hazrat Umar Farooq رضى الله عنه ne hazrat Ali رضي الله عنه ke haan rishta ke liye pegham bheja. Jis par hazrat Ali رضي الله عنه ne jawab diya: “Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها abhi kam umar hain. Woh shadi ke qabil nahi.” Yeh hazrat Umar Farooq رضى الله عنه ka Dor-e-Khilafat tha aur hazrat Umar رضى الله عنه ki umar pachpan (55 ) chappan ( 56 ) baras thi.
(Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqarib. Tabqaat. Isaabah)
Sawal: Sayyiduna Umar Farooq رضى الله عنه ne dobarah nikah ke liye pegham bheja to kya farmaya?
Jawab: Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه ne doosri baar pegham bheja to is mein kaha: “Mujhe Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها se nikah ki taraf bashri zaroorat nahi balkay Nabi pak ﷺ ke is farmaan ne maayl kia keh qayaamat ke din mere ilawa sab ke hasb nasb qata’ kar diye jaayen ge. Lihaza main to nikah ke zariye sirf aap se aik nisbat qaaim karna chahta hoon. Is par Hazrat Ali رضي الله عنه nikah ke liye amaadah ho gaye.
( Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqarib. Tabqaat. Isaabah. Usd-ul-Ghabah )
Sawal: Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه se Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ke haan kitni aulaad hui?
Jawab: Riwaayat hai keh Sayyiduna Umar Farooq رضى الله عنه se Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ke haan aik beta Zaid aur aik beti Ruqqia peda hui. Aksar morkheen yeh bhi kehte hain keh hazrat Umar Farooq رضى الله عنه se Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها anho ke haan koi aulaad nahi hui.
( Al-Mawahib. Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqarib. An Hazrat ﷺ ki sahabzadyiaan )
Sawal: Bataaiye Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه ki wafaat ke baad Syeda Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ka nikah hua?
Jawab: Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه ki wafaat ke baad Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ka nikah hazrat `Aun bin Ja’ffir رضى الله عنه se hua. Un se bhi koi aulaad nahi hui. Yeh bhi kaha jaata hai keh `Aun bin Ja’ffar ki wafaat ke baad un ke bhai Muhammad bin Ja’ffar se nikah hua. Un se aik sahabzaadi hui jo bachpan mein faut ho gayi. Muhammad bin Ja’ffar ke intqaal ke baad un ke bhai abdullah bin Ja’ffar se nikah hua. Un se bhi koi aulaad nahi hui. Unhi ke nikah mein Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ne wafaat payi.
( Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqarib. An Hazrat ﷺ ki sahabzadyiaan )
REFERENCE:
Book: “Azwaaj Mutahiraat wa Sahaabiyaat Encyclopedia”
Mouleef Dr. Zulfikhaar Kaazim.