Search
Sections
< All Topics
Print

25. LOGON SE MULAQAAT KI SUNNATEIN [Sunnahs when Meeting People]

LOGON SE MULAQAAT KI SUNNATEIN

 
1. Salaam karna :

 

Allah ke Rasool (ﷺ) se sawaal kiya gaya: ke islaam mein konsi haalat behter hai?
Toh farmaya: khana khilana aur har shakhs ko salaam kahna, chaahe aap usko jaante hon yaa na jaantay hoon.

[Bukhari: 12,Muslim: 169]

 

Ek aadmi Nabi (ﷺ) ke paas aaya. usne kaha :
“Assalaamu Alaykum” Aap(ﷺ)ne uska jawaab diya,woh baithh gaya. Nabi (ﷺ) kaha (10) nekiyan mileen.
Phir doosra aaya usne kaha “Assalaamu Alaykum wa rahmatullahi wa barkatuh” Aap (ﷺ) ne uska jawaab diya. woh baitth gaya. Aap ne farmaya: (20) nekiyan mileen.
Phir aur ek aaya aur kahaa “Assalaamu Alaykum wa rahmatullahi wa barkatuh” Aap (ﷺ) ne uske salaam ka jawaab diya. woh baitth gaya Aapne farmaya: (30) nekiyan mileen.

[Abu Dawood: 5195, Tirmizi: 2689]

 

Sochne ka lamha: Zara hum sochen!

 

Ke woh hazraat jo salaam ke kalimaat bhi mukammal nahin kartay, kitna hi sawaab zaaye’ karchuke hain. Agar woh poore kalamaat kahen to kam az kam 30 nekiyaan toh milengi. Jab ke ek neki ka sawaab dus gunah milta hai. Is tarah majmoo’yi nekiyon ki ta’daad (300) banti hai, aur mumkin hai us se bhi ziyadah nekiyaan haasil karnay ka moqa’ mil jaaye.

Toh mere pyaare bhayi! Koshish yeh karen ke apni zubaan ko poora salaam lena ka aadi banayen taake uski barkaat aur uske ajre azeem se mahroomi na ho aur yeh salaam ke mawaqe’ umooman masjid mein jaate waqt jo log masjid mein baithhe hotay hain unko salaam kahna, aur un se alaahidgi ke waqt, ghar mein daakhil hote aur nikalte waqt salaam kahne mein kitna ajr milega aur mere bhayi yeh baat bhi yaad rakhkhen!

Masnoon hai ke jab bhi aap kisi se alaahidah hone lagen toh use mukammal kalimaat ke saath salaam kahen jaisa ke hadeese paak mein hai :
Jab koyi majlis mein aaye toh salaam kahe! Isi tarah jab woh uthne ka eradah kare toh salaam kahe pahli martabah ka doosre ki nisbat ziyadah haqq nahin rakhta.

 

[Abu Dawood: 5208, Tirmizi: 2706]

 

Yeh masjid mein aane jaane, ghar mein aane aur jaane mein salaam par muhaafizat karna taqreeban din raat mein (20) martabah sunnat par amal ka moqa’ mil jata hai. Aur kabhi kisi se raaste mein milne se aur telephone par baat kartay waqt aur uske elaawah bhi bahut se salaam kahne ke mawaqe’ muyassar aasakte hain jin ko zaaye’ karna sawaab se mahroomi hai.

 

2. Khandah peshaani se milna: Nabi (ﷺ) ne farmaya:

 

Kisi neki ko haqeer na samjho agar cheh tum apne bhayi ko hanste chehre se hi kyun na milo.

[Muslim: 6857]
 
3. Musafah karna :

 

Nabi akram (ﷺ) ne farmaya :
Koyi bhi do musalmaan aapas mein musafah kartay huye milen toh unke alaahidah hone se pahle unke gunah ma’aaf kar diye jaate hain.

[Dawood: 5212, Tirmizi: 2727,Maja: 3703]

 

Imaam Nawawi(رحمه الله)farmaate hain ke musafah karna har mulaqaat ke waqt mustahab hai.

Aye pyaare bhayi: Koshish karen: ke jab aap kisi se milen salaam kahen toh muskuraate chehre se musafah kartay huye milen. Isi tarah ek hi waqt mein teen sunnatein jama’ ho jayengi.

 

4. Achchhi baat karna :

 

Allah Rabbul izzat ka irshaad hai :

Aur mere bandon se kah dijiye ke woh bahut hi achchi baat munh se nikala karen, kyun ke shaytaan aapas mein fasaad daalata hai. Be shak shaitaan insaan ka khula dushman hai.

[Surah Isra: 53]

 

Aur Nabi akram (ﷺ) ne farmaya : Achchi baat karna sadqah hai.

[Bukhari: 2989, Muslim: 2382]

 

 
Achchi baat karna :

 

Is mein zikr bhi hai, du’a bhi, salaam bhi, ta’reef bhi, khush akhlaaqi aur insaan ki aadat wa kirdaar ki misaal aur izhaar bhi hai.

Achchhi baat karnay se insaan par jadu jaisi kaifiyat taari ho jaati hai. uska dil mutma’in hota hai aur woh khush rahta hai.

Achchhi baat karnay se ma’loom hota hai ke insaan ka dil roshan hai, rushdo hidaayat waala hai.

Aye mere dost! Kitna hi achchha ho? Ke hum apni zindagi subah se shaam tak achchi baat kartay guzaaren taake tamaam ahle khanah bade chhote, apnay aur paraaye bachche aur boodhe, dost ahbaab, rishte daar, padosi, khaadim wa ghairah gharz yeh ke jis se muaamlah karna ho us se achchhi baat kartay huye waastah pade. Sunne waala bhi achchhi baat kare. Aur hum bhi achchhi baat karna apni aadat banaa len.

 

REFERENCE:
BOOK: “Din aur Raat mein Hazar se bhi ziyadah Sunnatein”
TALEEF: Fazilatus Shaykh Khalid Al-Husaynaan.
URDU TARJUMA BY: Dr. Hafiz Mohammad Ishaaq Zahed.
Table of Contents