Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

16. Madinah Munawwarah mein Khairati tanzemein [Charitable Organizations in Al-Madinah Al-Munawwarah]

❁ Madinah Munawwarah mein Khairati tanzemein

 

Madinah Munawwarah mein bohat si Khairati tanzemein mojood hain, jin mein se chand yeh hain:

 

❁ Jamiyat ul bar:

 

Madinah Munawwarah ki Jamiyat ul bar Saudi mumlikat mein apni tarz ki pehli tanzeem hai. Is ka aghaaz  1379 H mein hua. Jab Madinah Munawwarah ke logon mein aisi tanzeem qaim karne ka shaoor peda hua aur bohat se ashab-e-kher ke dilon mein yeh soch peda hui to akhbar al Madinah mein aik fund qaaim karne ki appeal shaya hui taake is se mohtaj tangdast, yateem bewaon be sahara logon aur hawadis-o-afaat ke maray logon ki madad ki jaye.

Is appeal par logon ne badi garam joshi ka izhar kiya. Jis ke natejay mein yeh tanzeem wujood mein agai  balkay is ke asraat dusray shehron tak bhi puhanche aur mukhtalif shehron mein yake baad degray is qisam ki kai tanzeemein wujood mein agaien hatta keh poray Saudi Arab mein in ka jaal phail gaya, jin mein har qisam ke logon ne hissa liya. Umra-o-hakkam ne bhi, tajiron aur sarmaya daron ne bhi. Ghar

har shakhs ne apni bisaat ke mutabiq in mein hissa dala. Hukomat ne bhi aisi tanzemon ki hosla afzai ki aur un ke liye har qisam ki sahulatein muhayya keen hatta keh yeh tanzeemein private honay ke bawajod neem sarkari ban chuki hain.

Jamiyat al bar aur is qisam ki doosri tanzemon ka maqsad muashray se masaib aur mushkilat ke  khatmay ke liye har qisam ka t’aawun muhayya karna hai. Baday baday maqasid yeh hain:

 

1⃣   Samaan aur naqdi ki sorat mein mohtaj, faqe, maqroz aur be ghar logon ke saath taawun karna.
  2⃣   Fuqra ki khidmat aur yateem bachon aur budhon ki dekh bhaal ke liye Khairati idaray qaim karna.

Maslan: Hospital, rihaish gahein, madaris, parwarish centerz aur imdadi marakiz.

3⃣   Hawadis-o-afaat ke shikaar logon se t’aawun ke silsilay mein hukoomati aur private idaron ke saath  haath batana.

4⃣    Jamiyat ki majlis-e-amila ki taraf se manzoor shuda rafahi mansobay. Aurton ke khairati idaray:

        Rafahi idaron ka qiyam sirf mardon hi par moqoof nahi balkay aurton ne bhi aisi tanzeemein bana rakhi hain jin ke aghraz-o-maqasid bhi un se miltay jultay hain un ke ilawa aisay kaam bhi un ke aghraz-o-maqasid mein shamil hain jin ka talluq sirf aurton se hai. Madinah Munawwarah mein is jamiyat ka naam “Jamiyah tayyiba kheriyah nisaiyah” hai. Is ki tasees 10 safar 1399 h mein amal mein aai.

Is ke tehat kai shobay kaam kar rahay hain. Har shobay ki sarbarahi intizamiya ke kisi na kisi rukan ke supurd hai. Un tamam shobon ka maqsad Khairati kamon ki injaam dahi deni pegham ki nashar-o-ashaat aur hum watan aurton mein sehat, saqafat aur muashrat ki soojh boojh peda karna hai. Is jamiyat aur is qisam ki dosri tanzemon ke maqasid darj zail hain:

✦  Doodh penay ki umar se le kar school mein dakhlay tak bachon ke liye parwarish centerz ka qiyam.

✦  Khandan ki shafqat aur saharay se mehroom bachon ke liye mutabadil khandan ka intizam .

✦  Yateem bachon ki nighedaasht.

✦ Ajiz aur mazoor logon ki nighedaasht.

 

❁ Budhon ki nighedaasht.

 

✦  Mohtaj khandano ke saath samaan aur naqdi ki soorat mein t’aawun. Un ke ilawa kuch saqafati mansobay bhi hain,maslan:

➡ Jahalat aur na khuwandgi ke khatmay ke liye classon ka ijra.

➡ Mukhtalif zubanon ki taleem ke liye classon ka ijra.

➡ Aurton mein saqafat ki nashar-o-ashaat ke silsilay mein kutub khanon ka qiyam. Sehat ke silsilay mein maqasid yeh hain:

❁  Ilaj ki sahuliyat ki farahami ke liye dispensriyon ka qiyam.

❁  Senay ki bimariyon yani, T.B waghera ke marezon ki nighedasht aur un se taawun.

❁ Mazoor aur ajiz hazrat ki nighedasht aur un se taawun.

 

✦ Khawateen ke liye pesha warana umoor ki training ke silsilay mein aghraz-o-maqasid yeh hain:

Silai, kadhai, khanon ki tayari aur dusray fani umoor ki taleem.

Type writer ki taleem aur training.

 

REFERENCE:
Book: “Tareekh-e-Madina Munawwarah”
Muratib Karda : Shoba Tasneef-o-Taleef Darussalam.
Nazar-e-Saani: Moulana Safir ur Rahman Mubarak puri.

 

 

 Charitable Organizations in Al-Madinah Al-Munawwarah

 

There are many charitable organizations in Al-Madinah Al- Munawwarah, of whom we may mention:

 

✿Jam’iyatul-Birr

 

Jam’iyatul-Birr, in Al-Madinah Al-Munawwarah was the first charitable organization of its kind founded in the Kingdom and it was established in the year 1379 AH, after it was felt by the people of Al-Madinah Al-Munawwarah that it was needed and this idea came to the minds of a large number of individuals there. There were even calls for the necessity of having a Benevolent Fund, as it was then called in the pages of the newspaper Al-Madinah to support and provide aid for those in need, those in distress, the orphans and widows and those who are deprived of their providers or are afflicted by disasters and calamities. This call was warmly welcomed by the people of the community and as a result of this, the Society was born and its influence spread to other cities and it was followed by the establishment of numerous organizations in many cities and towns, each of them following the other, until every corner of the Kingdom was covered by these social organizations in which individuals from all levels participate, such as Princes, Rulers, businessmen, the wealthy and all those who are able to take part in it. And the Government has supported this idea and assisted in its implementation, providing facilitations and advice to the extent that they are semi-official.The aims of Jam’iyatul-Birr in Al-Madinah and similar organizations are to take part in every humanitarian work and share in all that relieves the society of calamities and problems; and the most important of these goals are:

  1. Providing financial and material assistance to the needy, the poor, those in debt and the wayfarers.
  2. Establishing charitable organizations to serve the poor, to care for the orphans and the disabled, such as hospitals, shelters, schools, nurseries and medical centers.
  3. Cooperating with Governmental and social organizations to help the victims of natural disasters.
  4. Meeting the needs of the community as established by the Society’s Administrative Board.[171]

 

[171: Dawr Al-Mamlakah Al-‘Arabiyah As-Sa’udiyah fi Khidmatil-Islam.]

 

REFERENCE:
Book: “History of Madina Munawwarah”
Prepared by a group of Scholars  under the supervision of  Shaikh Safir ur Rahman Mubarak puri. (Darussalam)



*مدینہ منورہ میں خیراتی تنظیمیں*

 

مدینہ منورہ میں بہت سی خیراتی تنظیمیں موجود ہیں، جن میں سے چند یہ ہیں:

 

جمعيتہ البر:

 

مدینہ منورہ کی جمعیۃ البر سعودی مملکت میں اپنی طرز کی پہلی تنظیم ہے۔ اس کا آغاز 1379ھ میں ہوا۔ جب مدینہ منورہ کے لوگوں میں ایسی تنظیم قائم کرنے کا شعور پیدا ہوا اور بہت سے اصحاب خیر کے دلوں میں یہ سوچ پیدا ہوئی تو اخبار ”المدینہ“ میں ایک فنڈ قائم کرنے کی اپیل شائع ہوئی تاکہ اس سے محتاج، تنگدست، یتیم، بیواؤں، بے سہارا لوگوں اور حوادث و آفات کے مارے لوگوں کی مدد کی جائے۔

اس اپیل پر لوگوں نے بڑی گرمجوشی کا اظہار کیا۔ جس کے نتیجے میں یہ تنظیم وجود میں آگئی، بلکہ اس کے اثرات دوسرے شہروں تک بھی پہنچے اور مختلف شہروں میں یکے بعد دیگرے اس قسم کی کئی تنظیمیں وجود میں آگئیں حتّٰی کہ پورے سعودی عرب میں ان کا جال پھیل گیا، جن میں ہر قسم کے لوگوں نے حصہ لیا۔ امراء و حکام نے بھی، تاجروں اور سرمایہ داروں نے بھی۔ غرض ہر شخص نے اپنی بساط کے مطابق ان میں حصہ ڈالا۔ حکومت نے بھی ایسی تنظیموں کی حوصلہ افزائی کی اور ان کے لیے ہر قسم کی سہولتیں مہیا کیں حتٰی کہ یہ تنظیمیں پرائیویٹ ہونے کے باوجود نیم سرکاری بن چکی ہیں۔

جمعيتہ البر اور اس قسم کی دوسری تنظیموں کا مقصد معاشرے سے مصائب اور مشکلات کے خاتمے کے لیے ہر قسم کا تعاون مہیا کرنا ہے۔ بڑے بڑے مقاصد یہ ہیں:

(1) سامان اور نقدی کی صورت میں محتاج، فقیر، مقروض اور بے گھر لوگوں کے ساتھ تعاون کرنا۔

(2) فقراء کی خدمت اور یتیم بچوں اور بوڑھوں کی دیکھ بھال کے لیے خیراتی ادارے قائم کرنا۔

 

مثلاً: 

ہسپتال، رہائش گاہیں، مدارس، پرورش سنٹرز اور امدادی مراکز ۔

 

(3) حوادث و آفات کے شکار لوگوں سے تعاون کے سلسلے میں حکومتی اور پرائیویٹ اداروں کے ساتھ ہاتھ بٹانا۔

(4) جمعیتہ کی مجلس عاملہ کی طرف سے منظور شدہ رفاہی منصوبے۔

 

عورتوں کے خیراتی ادارے:

 

 رفاہی اداروں کا قیام صرف مردوں ہی پر موقوف نہیں بلکہ عورتوں نے بھی ایسی تنظیمیں بنا رکھی ہیں جن کے اغراض و مقاصد بھی ان سے ملتے جلتے ہیں، ان کے علاوہ ایسے کام بھی ان کے اغراض و مقاصد میں شامل ہیں جن کا تعلق صرف عورتوں سے ہے۔ مدینہ منورہ میں اس جمعیت کا نام  ”جمعیتہ طیبہ خیر یہ نسائیہ“ ہے۔ اس کی تاسیس 10 صفر 1399ھ میں عمل میں آئی۔

اس کے تحت کئی شعبے کام کر رہے ہیں۔ ہر شعبے کی سربراہی انتظامیہ کے کسی نہ کسی رکن کے سپرد ہے۔ ان تمام شعبوں کا مقصد خیراتی کاموں کی انجام دہی، دینی پیغام کی نشر و اشاعت اور ہم وطن عورتوں میں صحت، ثقافت اور معاشرت کی سوجھ بوجھ پیدا کرنا ہے۔ اس جمعیت اور اس قسم کی دوسری تنظیموں کے مقاصد درج ذیل ہیں:

دودھ پینے کی عمر سے لے کر سکول میں داخلے تک بچوں کیلئے پرورش سنٹرز کا قیام۔

خاندان کی شفقت اور سہارے سے محروم بچوں کے لیے متبادل خاندان کا انتظام۔

 

یتیم بچوں کی نگہداشت۔

 

عاجز اور معذور لوگوں کی نگہداشت۔

بوڑھوں کی نگہداشت۔

محتاج خاندانوں کے ساتھ سامان اور نقدی کی صورت میں تعاون۔

ان کے علاوہ کچھ ثقافتی منصوبے بھی ہیں، مثلاً:

جہالت اور نا خواندگی کے خاتمے کے لیے کلاسوں کا اجراء۔

مختلف زبانوں کی تعلیم کے لیے کلاسوں کا اجراء۔

عورتوں میں ثقافت کی نشر و اشاعت کے سلسلے میں کتب خانوں کا قیام۔

 

صحت کے سلسلے میں مقاصد یہ ہیں:

 

علاج کی سہولیات کی فراہمی کے لیے ڈسپنسریوں کا قیام۔

 سینے کی بیماریوں، یعنی ٹی بی وغیرہ کے مریضوں کی نگہداشت اور ان سے تعاون۔

معذور اور عاجز حضرات کی نگہداشت اور ان سے تعاون۔

خواتین کیلئے پیشہ ورانہ امور کی ٹریننگ کے سلسلے میں اغراض و مقاصد یہ ہیں:

سلائی، کڑھائی، کھانوں کی تیاری اور دوسرے فنی امور کی تعلیم۔

ٹائپ رائٹر کی تعلیم اور ٹرینگ۔

 

حوالا :
“تاریخِ مدینہ منورہ”
شعبہ تصنیف و تا لیف دارُ اسلام
نظرثانی :  مولانا صفی الرحمن مبارکپوری”

 

 

Table of Contents