03. ” Aur dusray wasaf ( Paak karnay wala ) say aisi paak ashiyaa bhi kharij kar deti hain jo isay sadah ( mutlaq ) pani na rahnay den “
” Aur dusray wasaf ( Paak karnay wala ) say aisi paak ashiyaa bhi kharij kar deti hain jo isay sadah (mutlaq ) pani na rahnay den “{1}. | [ وَ عَنِ الثَّانِيۡ مَا اَخۡرَجَهٗ عَنِ اسۡمِ الۡمَاءِ الۡمُطۡلَقِ مِنَ الۡمُغَيِّرَاتِ الطَّاهِرَةِ ] |
{1} Kiyonkeh jis pani ko ba’taur-e-taharah iste’imaal karnay ka shari’at nay hamain hukam diya hai woh mahaz woh hi hai jis par mutalq taur par lafz-e-“Maa” ( pani ) bola ja sakta ho,
Jaisa keh Quran-e-majeed mein hai ” ماء طهورا “
( الفرقان آيت. 48 ).
Aur hadith mein hai, ” إن الماء طهور ” .
[ Sahih Abu daud hadith no: 60.; Sunan-e-abi Daud hadith no: 67.]
➤ ( Jamhoor, Imam Malik( رحمه الله ), Imam Shaafi’e( رحمه الله ) Issi kay qaail hain .
[ Al-majmoou 1 / 95.; Bidaayat-ul-mujtahid 1 / 54.]
➤ (Ibn-e-qudamah hanbali ( رحمه الله ) ) Jamhoor kay mo’aqqaf ko tarjeeh hasil hai .
[ Al-mughni li-ibn-e-qudamah 1 / 25.]
➤ ( Ibn-e-hazam ( رحمه الله ) ) Jab tak pani par lafz-e-Maa ( pani ) bola ja sakta hai us waqat tak woh taahir-o-mutahhir hai .
[ Al-mohallaa bil’aasaar 1 / 93.]
➤ ( Imam Shaukani ( رحمه الله ))
Kisi paak cheez kay milnay ki wajah say jis par Maa-e-mutlaq ka naam na bola ja sakay, Balakeh us par koi khaas naam bola jata ho masalan gulab ka pani waghairah to woh sirf fi nafsihi taahir hoga dusron kay liye mutahhir nahi hoga .
[ Al-sail-ul-jarraar 1 / 56.]
➤ ( Ahnaaf )
Paak cheez milnay ki wajah say mutaghayyar pani mutahhir bhi hoga, Jab tak keh yeh taghayyur pakanay ki wajah say na huwa ho .
[Bidaayat-ul-mujtahid 1 / 54.]
✿ ( Raajih )
Jamhoor ka mo’aqqaf raajih hai.
[ Al-mughni 1 / 25,; Al-sail-ul-jarraar 1 / 56.]
Is mas’alay ko samajhnay kay liye qadr-e-tafseel ki zarurat hai, Aur woh yeh hai keh ” Aisa pani jis mein zaafaraan, saabun ya aatay waghairah ki misil aisi koi cheez mil jaye jo aghlaban juda ho sakti ho aur us pani par Maa-e-mutlaq ka naam bhi bola ja sakay to woh pani paak honay kay sath sath paak karnay wala bhi hai.
Lekin agar woh cheez paani ko Maa-e-mutlaq (saadah pani) kay naam say kharij kar day to pani fi nafsihi to paak hoga, Lekin dusri ashiyaa kay liye paak karnay wala nahi hoga, Jaisa keh mandarjah zail dalaail is par shahid hain,
(1)فَلَمۡ تَجِدُوۡا مَاءً
[Surah An-Nisāʾ: 43]
✿ Quran nay taharah kay liye Maa-e-mutlaq ka hi zikar kiya hai.
(2) Sayyidah Umm-e-atiyah ( رضي الله عنها ) say marwi hai keh Nabi-e-kareem ﷺ hamaray pas us waqat tashreef lay aaye jab hum ap ki beti ko ghusal day rahi thin,
Ap ﷺ nay farmaya: isay 4 ya 5 martabah ya is say bhi ziyadah martabah ghusal do agar tum zarurat mahsoos karo,
” بماء و سدر واجعلن في الأخير كافورا “
” Pani aur Barry kay Patton say ghusal do aur aakhir mein kafoor daalo ” (2).
(2)[ Sahih-ul-muslim, hadith no: 939, Kitab-ul-janaaiz, Baab fi ghasl-e-mayyit. Sahih-ul-bukhari ma’a-al-fat’h, 3 / 135.; Mo’atta Imam Malik 1 / 222.; Musnad-e-shaafi’e 1 / 203.; Musnad-e-ahmad 6 / 407.; Sunan-e-abi daud hadith no: 3142.; Sunan-e-tirmazi hadith no: 990.; Sunan-e-nasaayi 4 / 28.; Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 1458.] |
(3) Sayyidah Umm-e-haani bint-e-abi talib ( رضي الله عنها ) riwaayat karti hain keh,
Main fat’h-e-makkah kay rauz ap ﷺ ki khidmat mein hazir huwi to ap ﷺ aik gunbad mein tashreef farma thay,
Main nay dekha keh ap ﷺ nay aik tabb mein ghusal kiya jis mein aatay kay asaar numayan thay,
Aik riwaayat mein hai keh,
” إغتسل ﷺ و ميمونة من إناء واحد في قصعة فيها أثر العجين “
” Ap ﷺ aur maimonah ( رضي الله عنها ) nay aik aisay tabb mein ghusal kiya jis mein aatay kay nishanat maujood thay (3).
(3)[ Sahih: Sahih ibn-e-majah hadith no: 303, Kitab-ut-taharah wa sunanuha, Baab: Al-rajulo wa-al-mar’ato yaghtasilaani min inaa’in wahidin. Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 378.; Sunan-e-nasaayi 1 / 131.; Musnad-e-ahmad 6 / 342. Irwaa-ul-ghaleel 1 / 64.; Al-mishkaat hadith no: 485.] |
In ahadith mein pani aur kafoor kay darmiyan, aur pani aur aatay kay darmiyan aamezash-o-milawat hona aur ap ﷺ ka ghusal karwana aur khud karna is baat ka suboot hai keh aisi paak ashiyaa ki milawat kay baad bhi agar Maa-e-mutlaq ka naam baqi rahay to us pani say taharah hasil karna dorust hai .
[ Fiqh-us-sunnah 1 / 14.; Al-sail-ul-jarraar 1 / 56.]
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.