SHAIKH UTHAYMEEN
Fazeelatul Sheikh Mohammad Bin Saaleh Uthaymeen ( رحمہ اللہ):
Naam o kuniyat
Abu Abdullah Mohammad Bin Saalah Bin Mohammad Usaimeen Almaqbooul Wahee Altameemi
Wiladat o maskan
Sheikh Rahmatullahi 28 Ramazaan Ulmubaarak 1347 hijri ko Saudi Arabia kay ilaaqa ” Alqaseem ” kay aik sheher “Una’eeza” mein paida huye.
Ta’leem o Tarbiyat
Alsheikh Alusaimeen kay ghar kaa maahol bohoat Ilmi aur deeni iqdaar kaa haamil thaa . Aap kay naanaa Jaan Alsheikh A’bdul Rahman Bin Salmaan Aldaamigh khud ilm o a’mal kay peikar thay. Sheikh (R.A) doosray uloom ki taraf raaghib huye,khat,riyaazi aur adab kay doosray uloom o fanoon seekhey. Sheikh (R.A) mausof zahaanat o fataanat say nawaazay gaye thay.” Qaseem” kaa ilaaqa Ilmi a’itebaar say mashhoor o ma’roof rahaa hai. Yahaan baray baray Ilmi marakaz qaaem hain . Iss wajah say Sheikh (R.A) ko behtareen Ilmi maahol muyassar rahaa or Aap nay uss say khoob istefadaa kiyaa.
Aap kay Ustaazah o shuyukh
Sheikh (R.A) nay mutaa’ddid ulamaa e karaam o mushaaekh a’zam say sharf e talmiz kiyaa hai sab say zyaada istefadaa Aap nay ” Qaseem” kay mashoor o ma’roof ilm e deen waley fazeelatul Sheikh Al allaamma A’bdul Rahman Bin Naasir Alsa’adi (R.A) saahab “tafseer alkareem arrahman fee tafseer kalaam almanaan” k writer say kiyaa hai. Unn say Aap nay tauheed ,tafseer,hadees o usool e hadees,fiqa o usool e fiqa,sarf e nahu , faraaez aur Deegar uloom hasil kiye.
Alsheikh Alsa’adi kay a’laawa Aap nay Alsheikh A’bdul A’zeez Bin Baaz (R.A) Mufti Aa’zam Saudi a’rabia say “Sahih Bukhaari” lee. Sheikh Al-Islam ibn Taimeea Rahmatullah kay ba’az rasaael aur ba’az fiqahi kutub parheen aur Alsheikh A’bdul Rahman Bin A’li A’udaan Rahmatullahi say ilm al faraaez aur fiqa kaa ilm haasil kiyaa. Aur Alsheikh A’li Bin Ahmed Alsaalah Rahmatullah aur Alsheikh Mohammad Bin A’bdul A’zeez Al mattooh Rahmatullah say “Mukhatasar Ala’qeedah Alwaastiyah ” , minhaaj alsaalkeen fil fiqha,ajroomiyat aur alfeehi kaa sabaq liyaa aur isi tarah allama Alsheikh Alameen Rahmatullah Bin Mohammed Mukhtaar Alshanqaitee say kasb e faiz kiyaa.
Aap kay Talaamiza
Aap kay talamiza kaa halqa wasee tar hai mumalikat e Saudi A’rabia mein aksar log Sheikh Rahmatullah kay Talaamza hain. Jin mein Doctor, Engineers,Aaeyma Karaam aur a’daalatoun kay judge hazraat Aap kay shaagirdoun mein shaamil hain. Mumalikat e Saudi A’rabia kay a’laawa Deegar Islaami mumaalik say bhi kaseer ta’daad mein logoun nay Aap say sharf e talmiz kiyaa hai.
Ilmi o da’wati khidmaat
Sheikh mausof nay 1371ھ mein baqaeda tadrees kaa silsila shuroo kiyaa. Lekin Jab mumlikat e Saudi A’rabia kay ilaaqa “Alriyadh” mein Ilmi daras gaah khuli toh Sheikh Rahmatullahi doobaara 1372 ھ mein daakhil hogaye aur 1374 ھko wahaan say faraaghat kay ba’ad “Una’eeza” ki Ilmi darasgaah mein mudaris muqarrar hogaye.
Apnay ustaaza garaami fazeelatul Sheikh A’bdur Rahman Bin Naasir Alsa’adi Rahmatullahi ki wafaat kay ba’ad Aap Una’eeza ki Jaama’ia Masjid kay imaam o khateeb muqarrar huye. Jiss masjid mein Aap kay ustaaz nay khitaabat kay faraaez sar anjaam diye. Usi mein apnay ustaaz kay jaan nasheen khateeb banay aur taqreeban 45 saal tak usi Jaama’ia Masjid mein imaam o khateeb kay faraaez sar anjaam detay rahay.
“Una’eeza ” ki Ilmi darasgaah kay ba’ad Aap kaafi a’rsa tak “Qaseem” ki mashhoor University
“Jaama’ia Alimaam Mohammad Bin sa’ood Alislaamiyat ” mein alshareea aur usool Aldeen mein tadreesi khidmaat sar anjaam detay rahay. Us kay a’laawa Sheikh Rahmatullahi mumlikat e Saudi A’rabia mein majlis e kubaar ulumaa kay ahem rukan bhi rahay.
Aur yeh baat bhi qaabil e zikr hai kah samaahat Sheikh Mohammad Bin Ibraheem Rahmatullah chief justice of supreme court nay aap ko qazaa kaa a’ohda paish kiyaa lekin Aap nay un say ma’zurat karli. Uss kay a’laawa Sheikh Rahmatullah kay a’lmi ,tahqeeqi lectures ,khutbaat aur taalfiyaat say bhi bayshumaar log mustafeed horahay hain.
Aap ki shakhsiyaat
Sheikh Usaimeen Rahmat Ullah Apnay daur ki bari baakamaal or ahem shakhsiyat thay.khauf o lillhiat, zuhd o wara’ kay saath saath Allah A’zwajal ney unhein zahaanat , fataanat,barjusta goi ,haazir jawaabi ,haq goyi ,raast baazi ,hafiza aur wasè nazar say nawaza thaa. Aap buland paaya murabbi ,ma’ollim , mudarris aur muballigh thay. Tauheed ki da’wat, islaam kaa ahyaa, sunnat say tamassuk,a’qeeda e salaf saaliheen ki ishaa’t ,fikr e muhadiseen kaa furoogh, fiqa aur hadees mein tatbeeq,afkaar e imaam Ahmed Hanbal Rahmatullah aur ibn Taimeea ki ishaa’t.
Aap ki tasaaneef (R.A)
Sheikh taqreeban pachaas say zaaed kutub kay musannif hain.Aap nay mukhtalif maidaan main ilmi Aasaar choray hain. a’qeeda,fiqa Hadees,ikhlaaq,zuhd o sulook,beyou aur ma’aamlat kay mauzoa par aap ka Ilmi o tahqeeqi sarmaya maujood hai. Jis say a’aam o khaas mustafeed ho rahay hain.
Aap ki taqaareer aur Ilmi muhaazraat ki madad say ba’az kutub marattab ki gayi hain. Unn kay ilaawa Aap fataawa jaat ki ab tak 18 jaldain Aa chuki hain,
Sheikh Rahmatullahi ki ba’az mashhoor kutub ham yahaan zikr kar rahay hain.
( 1 ) Fatah Rabbul Bariat Baltalkhees Alhamooyat.
(2) Alasool Minal Ilmil Asool.
(3) Masatlah Alhadees
(4) Alrisaalah Fee Kufr Taarik Ulsalaat.
(5) Majaalis Ramadaan.
(6) Alazheet Wal zakaat.
(7) Tasaheel Alfaraaez.
(8) Sharah lima’t Alia’tqaad.
(9) Sharah A’qeedah Alwaasteet.
(10) Alqawaaed Almasli Fee Sifaat Aamanahul Husna.
(11) Takhreej Ahaadess Alrauz Almarba’.
(12) Risaalatul Hijaab.
(13) Tafseer Aayatul Kursi.
(14) Neel Alaarab Min Qawaaed Bin Rajab.
(15) Azziyaal Lilaama’ Minal Khutubul Jawaama’.
(16) Min Mushkilaat Alshibaab.
(17) Usoolul Tafseer.
(18) Alibdaaa’ Fee Kamaal Alshara’ o Khatran Alibtedaaa’.
(19) Alqaul Almufeed Sharah Kitaabul Tauheed.
(20) Alsharah Almumta’ Ilmi Zaadul Mustaqna’.
(21) Aasraalma’aasi Ilmi Alfifood Almajtama’.
(22) Sharah Riyaazal Saaliheen.
(23) Mukhtaaraat Min Zaadal Ma’aad.
(24) Izaalatul Naar A’n Aljawaab Almukhtaar Lihidaayat Almukhtaar.
(25) Sharah Nuzhatul Nazar.
(26) Zaadul Daaa’eeat Ila’allahu A’zwajal.
(27) Usool o Qawaaed o Nazm A’la Behralrajaz.
(28) Huqooq Da’at Ilaihaad Alfatrat o Qadrtahaa Alshareea’t.
(29) Alkhilaaf Bainal A’almaa Asbaabahu o Mauqafnaamnahu.
(30) Alrisaalat Fee Altalaaq Alsalaat Waahidat wa Laubikalimaat.
(31) Addamaa Altiba’eeat Lilnissaa.
In mazkoorah kutub say Aap harraat Sheikh Rahmatullahi kay a’lmi qadro manzilat kaa andaaza bakhoobi lagaa saktay hain kah Allah Ta’aalaa nay Sheikh Rahmatullahi ko kiss qadr ilm say nawaazaa huwa tha.
Aap ki Wafaat
Jab Aap beemaar huye toh Aap sarkaari taur par America ilaaj kay liye bhaijey gae, aur Aap kay Aaraam kaa khaas khayaal rakhaa gayaa lekin Aap nay America jaa kay Aaraam kay bijae doctor kay mana’ karnay kay baujood khutba Irshaad Farmaaya . Sehatyaab ho kar waapas Aaye aur Aakar wa’az-o-naseehat kaa silsila shuru kar diyaa. December 2000ء mein dubara Aap ki tabiyat kharaab hui.Aap ko king Faisal Hospital Riyaadh mein daakhil karwaya gaya. Dauraan e ilaaj
Ramadaan ka mahena aayaa toh Makkah jaanay kaa israar kiyaa. Beemaari aur naqaahat kay bawajud Baab Umar ki doosri manzil par khusoosi kamra kaa bandobast huwaa aur wahaan say pooray harm mein Aap ki Aawaaz say fataawa aur daras o tadrees kaa silsila shuru huwaa.
29 Ramadaan ko Aap ki tabiyat zyada kharaab hui toh Aap ko king Faisal Hospital Jeddah laya gaya. Uss kay ba’ad Aap ki tabiyat na sambhli. Wafaat kay Chand roz qabl Aap nay wasiyat tahreer ki jiss mein a’alam e islaam ko tafseer parhnay aur qayaam al lail aur surah albaqarah aur surah Aal imraan ki Aakhri Aayaat ki tilaawat aur zikr o azkaar aur sharia’t par paabandi ki talqeen ki gayi.15 Shawwaal 1421 ھ bamutaabiq 10 January 2001 baroz budh shaam 6 baje shadeed a’laalat ki binaa par a’aalem e islaam kay Jaleel Alqadr Muhaddes,faqeeh, muhaqqiq a’aalam e deen ,makhloos,aalim ba a’mal,mushafiq o murabbi madarris,zuhd o wara’ kay peikar ham say judaa hogaye. Juma’eraat ko ba’ad namaaz a’sr masjid ul haraam mein namaaz e janaaza adaa ki gayi aur Makkah kay qabrustaan Jannat ul ma’li mein mutaaddad ssahaba e Rasool Allahﷺ kay saath Alsheikh A’bdul A’zeez Baaz Rahmat Ullah kay pehloo mein dafan kiyaa gayaa.(1)
Aap nay wurasa mein bewaa kay a’laawa chaar betey aur do betiyaan choree. Aap ki Wafaat par tamaam a’aalam e islaam mein ghaaebaana Namaaz e Janaaza adaa ki gayi. Allah say Dua’aa hai kah Sheikh Rahmatullahi ko Jannat ul Firdaus mein a’laa muqaam a’taa karay aur unn kay darajaat buland karay.(Aameen)
Aey waaey Gul ujal kya khoob thi Teri pasand;
woh phool toraa kah weeraan kar gayaa saaraa chaman.