Tafsir Surah Al Baqarah [2: 8,9]
Baqarah : 2 | Ayat : 8,9
245
الٓمّٓ
: 1
8
ۘ
وَمِنَ النَّاسِ مَنْ یَّقُوْلُ اٰمَنَّا بِاللّٰهِ وَبِالْیَوْمِ الْاٰخِرِ وَمَا هُمْ بِمُؤْمِنِیْنَ
Aur ba’az log woh hain jo kehte hain keh ham Allah par aur aakhirat
key din par emaan laye, halanakeh woh momin nahin hain
8
9
ؕ
یُخٰدِعُوْنَ اللّٰهَ وَالَّذِیْنَ اٰمَنُوْا ۚ وَمَا یَخْدَعُوْنَ اِلَّاۤ اَنْفُسَهُمْ وَمَا یَشْعُرُوْنَ
Wo Allah ko aur un logon ko dhoka dete hai jo imaan laye magar woh apne
aap ke siwa kisi ko dhoka nahi dete aur woh sha’oor nahin rakhte
9
Tafseer Aayat No: 8,9
Nefaaq Key Ma’ani:
Nefaaq key ma’ani yeh hain keh khair ko zahir kiya jaye aur shar ko chupaya jaye, us ki kayi qismein hain:
1.
Aiteqaadi : Yeh Nefaaq Munafiq ko hamesha hamesha key liye Jahannami bana deta hai.
2.
Amali : Yeh Nefaaq kabeera gunah hai, Jaisa keh is ki tafseel In Sha Allah apne moqaam par aaye gi.
1
Ibn-e-Juraij (Rahimahullah) ney kaha hai: Munafiq woh hota hai jis ka qaul fe’al key, baatin zahir key, madkhal makhraj key aur zahir ghaaib key khilaaf ho.
2
Nefaaq Ka Aaghaz:
Munafiqeen ki sifaat ka zikr Madani Suraton mein aaya hai kiyun keh Makkah mein Nefaaq nahi tha balkeh Makkah mein to Surah-e-Haal is key bar’aks thi keh wahan to kuch aisey log bhi they jo majburan kufr ka izhaar karte they magar dar haqeeqat woh momin they. Jab Rasoolullah ney Madinah hijrat farmayi to wahan Aws aur Khazraj key ansaar they. Yeh log zamaana-e-jaahiliyat mein mushrikeen-e-arab key tariqe key motaabiq buton ki ibaa’dat karte they, yahan ahl-e-kitaab mein say Yahudi bhi they jo apne aslaaf key tariqe par qaaim they. Yahudiyon key teen (3) qabile they, un mein say Banu Qainuqaa Khazraj key haleef they aur Banu Nazeer aur Banu Quraizah Aws key haleef they. Rasoolullah ney jab Madinah ko qadam-e-maimanat-e-luzoom say nawaza to Aws aur Khazraj qabaail key bahut say log musharraf ba Islam ho gaye.
1.
Dekhiye : Al-Baqarah:2/20 unwaan “Mominon, Kaafiron aur Munafiqon ki aqsaam” |
An-Nisaa: 4/142 | Al-Maa’oon: 107/4,5 key zail mein.
2.
Tafseer-ut-Tabri : 1/170
Baqarah : 2 | Ayat : 8,9
246
الٓمّٓ
: 1
karte they magar dar haqeeqat woh momin they. Jab Rasoolullah (ﷺ) ney Madinah hijrat farmayi to wahan Aws aur Khazraj key ansaar they. Yeh log zamaana-e-jaahiliyat mein mushrikeen-e-arab key tariqe key motaabiq buton ki ibaa’dat karte they, yahan ahl-e-kitaab mein say Yahudi bhi they jo apne aslaaf key tariqe par qaaim they. Yahudiyon key teen (3) qabile they, un mein say Banu Qainuqaa Khazraj key haleef they aur Banu Nazeer aur Banu Quraizah Aws key haleef they. Rasoolullah (ﷺ) ney jab Madinah ko qadam-e-maimanat-e-luzoom say nawaza to Aws aur Khazraj qabaail key bahut say log musharraf ba Islam ho gaye.
Yahood mein say islam qubool karne wale Abdullah bin Salaam (Radhi Allahu Anhu) jaise sirf chand log hi they aur abhi tak Nefaaq ka marz bhi paida nahin huwa tha, kiyun keh musalmaan ko abhi tak aisi azmat-o-shaukat hasil nahin huwi thi jis say dushman khauf mahsoos karen, Balkeh Nabi Kareem (ﷺ) ney to Yahood aur Madinah Munawwarah key gird-o-paish key bahut say qabaail-e-arab say mo’ahidah bhi kar rakha tha.
Jab Ghazwah-e-Badar paish aaya aur Allah Ta’aala ney apne kalime ko sar bulandi aur islam aur musalmanon ko izzat say nawaza, us waqat Abdullah bin Ubayi bin Salool Madinah ka sardaar tha aur Khazraj say us ka ta’alluq tha, woh Aws-o-khazraj donon qabilon ka zamaana-e-jaahiliyat mein sar barah tha.
Zamaana-e-jaahiliyat mein Madina Munawwarah key logon ney usey apna baadshah banane ka iraada kar liya tha lekin jab un key paas Madinah mein islam aa gaya to un ki qismat ka sitaara jagmaga utha. Yeh log musharraf ba islam ho kar Abdullah bin Ubayi say bey neyaaz ho gaye jis ki wajah say yeh islam aur musalmanon key baare mein apne dil mein keena rakhta tha. Jang-e-badar key nataaij ko dekh kar pukaar utha keh Allah Ta’aala ka deen ghalib aa gaya hai. Is say bhi ba-zaahir islam qubool karne ka ai’laan kar diya. Aur us key sath key jo log ussi key tariqah-o-mazhab par they aur deegar ahl-e-kitaab ney bhi apne musalman hone ka ai’laan kar diya. Bas yahin say ahl-e-madina aur gird-o-paish key aa’raab mein Nefaaq ka marz paida huwa.
Mohajireen mein koi aik bhi Munafiq na tha, kiyun keh un mein aik bhi aisa shakhs na tha jis ney baa-dil-e-nakhwaasta hijrat ki ho balkeh un mein say har aik ney Allah Ta’aala ki Raza key husool aur aakhirat ki kaamiyaabi-o-kaamraani key liye bi-teeb-e-khatir [Khush dili say] apne maal-o-daulat, ahl-o-a’yaal aur watan-e-maaloof ko tarak kar key hijrat ki thi.
Baqarah : 2 | Ayat : 8,9
247
الٓمّٓ
: 1
shakhs na tha jis ney baa-dil-e-nakhwaasta hijrat ki ho balkeh un mein say har aik ney Allah Ta’aala ki Raza key husool aur aakhirat ki kaamiyaabi-o-kaamraani key liye bi-teeb-e-khatir [Khush dili say] apne maal-o-daulat, ahl-o-a’yaal aur watan-e-maaloof ko tarak kar key hijrat ki thi.
Aayat Ki Tafseer:
Mohammad bin Is’haaq ney Ibn-e-Abbaas (Radhi Allahu Anhuma)say aayat-e-kareemah:
﴾{8}وَمِنَ النَّاسِ مَنْ یَّقُوْلُ اٰمَنَّا بِاللّٰهِ وَبِالْیَوْمِ الْاٰخِرِ وَمَا هُمْ بِمُؤْمِنِیْنَ﴿ Key baare mein rewaayat kiya hai keh yeh Aws-o-khazraj aur un key naqsh-e-qadam par chalne wale munafiqon key baare mein nazil huwi hai. Ab-ul-Aaliyah, Hasan, Qatadah aur Suddi say bhi yahi rewaayat hai keh yeh aayat Aws-o-khazraj key munafiqeen key baare mein nazil huwi hai. Yahi wajah hai keh Allah Ta’aala ney munafiqeen ki aadaat-o-khasaail ka tafseel say zikr farmaya hai, taakeh momin un key zaahiri halaat say dhoke mein mubtalah na hon, warna un say ijtenaab na karne ki wajah say bahut bara fitnah-o-fasaad rounuma ho jaye ga kiyun keh samjha yeh jaye ga keh woh momin hain, halanakeh haqeeqat mein woh kaafir hain aur yeh bahut bari kharabi ki baat hai keh faasiq-o-faajir logon key baare mein khair-o-bhalaayi ka gumaan rakha jaye ga. Isi wajah say to Allah Ta’aala ney farmaya hai:
1
2
﴾{8}وَمِنَ النَّاسِ مَنْ یَّقُوْلُ اٰمَنَّا بِاللّٰهِ وَبِالْیَوْمِ الْاٰخِرِ وَمَا هُمْ بِمُؤْمِنِیْنَ﴿ “Aur ba’az log aise hain jo kehte hain keh ham Allah par aur akhirat par emaan rakhte hain, halanakeh wo emaan nahin rakhte” kiyun keh yeh unka mehez zabani da’awa hai jis ka haqeeqat say koi ta’alluq nahin, Jaisa keh irshad bari ta’aala hai:
﴾
اِذَا جَآءَكَ الْمُنٰفِقُوْنَ قَالُوْا نَشْهَدُ اِنَّكَ لَرَسُوْلُ اللّٰهِ ۘوَاللّٰهُ یَعْلَمُ اِنَّكَ لَرَسُوْلُهٗ ؕ
﴿
Munafiqoon 63:1 “[Aye Nabi!] Jab munafiq log aap key paas aate hain to woh [Iz raah-e-Nefaaq] kehte hain keh ham iqraar karte hain keh beshak aap Allah key paighambar hain aur Allah jaanta hai keh dar haqeeqat aap us key paighamber hain.”
Yeh log sirf us waqat yeh baat kehte hain jab aap key paas aate hain, haqeeqat mein yeh log is baat ko tasleem nahin karte, isi liye to yeh apni baat mein zorr paida karne key liye Lafz-e-“إن” “Yaqeenan” aur laam-e-taakeed “albatta” ko iste’imaal karte hain. isi tarah is aayat mein bhi unhon ney kaha hai:
1.
Tafseer-ut-Tabri :1/169
2.
Tafseer Ibn Abi Hatim 1:42
Baqarah : 2 | Ayat : 8,9
248
الٓمّٓ
: 1
haqeeqat mein yeh log is baat ko tasleem nahin karte, isi liye to yeh apni baat mein zorr paida karne key liye Lafz-e-“إِنَّ” “Yaqeenan” aur laam-e-taakeed “albatta” ko iste’imaal karte hain. isi tarah is aayat mein bhi unhon ney kaha hai: ﴾ اٰمَنَّا بِاللّٰهِ وَبِالْیَوْمِ الْاٰخِرِ ﴿ “Yaqeenan ham Allah aur roz-e-aakhrat par emaan rakhte hain.” Halanakeh un ka [Un donon par] emaan nahin hai. Yahi wajah hai keh un key aiteqaad ki wajah say Allah Ta’aala ney un ki shahadat aur khabar ki takzeeb karte huwe farmaya tha:
Al-Munafiqoon 63:1
﴾
ۚ
وَاللّٰهُ یَشْهَدُ اِنَّ الْمُنٰفِقِیْنَ لَكٰذِبُوْنَ
﴿
“Aur Allah shahadat deta hai keh beshak munafiq [Dil say aiteqaad na rakhne key lehaaz say] jhoote hain.”
Aur yahan farmaya: ﴾{8}وَمَا هُمْ بِمُؤْمِنِیْنَ﴿ “Halanakeh woh emaan nahin rakhte.”
Allah Ko Kon Dhoka Dey Sakta Hai?
Irshad bari ta’aala hai: ﴾يُخَادِعُونَ اللَّهَ وَالَّذِينَ آمَنُوا﴿ “Woh Allah ko aur Mominon ko chakma dete hain.” Ya’ani yeh jo apne emaan ko zahir karte aur kufr ko chupate aur iz raah-e-jehaalat yeh aiteqaad rakhte hain keh woh Allah ko dhoka dey rahe hain aur emaan ka is tarah izhaar un key indallaah nafa bakhsh hoga aur woh yeh samjhte hain keh un ka yeh makar Allah Ta’aala key haan bhi isi tarah chal jaye ga jis tarah keh ba’az mominon key haan chal jata hai, Jaisa keh irshad bari ta’aala hai:
یَوْمَ یَبْعَثُهُمُ اللّٰهُ جَمِیْعًا فَیَحْلِفُوْنَ لَهٗ كَمَا یَحْلِفُوْنَ لَكُمْ وَیَحْسَبُوْنَ اَنَّهُمْ عَلٰی شَیْءٍ ؕ
﴿
Al-Mujaadilah 58:18
﴾
اَلَاۤ اِنَّهُمْ هُمُ الْكٰذِبُوْنَ
“Jis din Allah un sab ko dobara uthaye ga to jis tarah woh tumhare saamne qasmein khate hain [Isi tarah] Allah key saamne khayein ge aur khayal karein ge keh beshak woh aik shay [Acchi raah] par hain, khabar daar! beshak wahi jhoote hain.”
Yahi wajah hai keh un ki is baat ka un key aiteqaad say moqaabila karte huwe farmaya:
Baqarah : 2 | Ayat : 8,9
249
الٓمّٓ
: 1
﴾{9}وَمَا یَخْدَعُوْنَ اِلَّاۤ اَنْفُسَهُمْ وَمَا یَشْعُرُوْنَ﴿ “Magar [Haqeeqat mein] woh apne siwa kisi ko dhoka nahin dete aur woh [Us say] bey khabar hain.” Allah Ta’aala farma raha hai keh apni is rawish say woh sirf apne aap hi ko dhoka aur chakma dey rahe hain aur apni taraf say unhein is cheez ka sha’oor bhi nahin hai, Jaisa keh Allah Ta’aala ney farmaya hai:
An-Nisaa 4:142
﴾
اِنَّ الْمُنٰفِقِیْنَ یُخٰدِعُوْنَ اللّٰهَ وَهُوَ خَادِعُهُمْ ۚ
﴿
“Beshak munaafiqeen Allah ko dhoka dete hain, magar haqeeqat yeh hai keh Allah ney unhein dhokey mein daal rakha hai.”
Imaam Ibn-e-Abi Hatim (Rahimahullah) ney Ibn-e-Juraij se ﴾یُخٰدِعُوْنَ اللّٰهَ﴿ key baare mein rewaayat kiya hai keh us key ma’ani yeh hain keh woh ba-zaahir لَا إِلَٰهَ إِلَّا ٱللَّٰهُ parhte hain lekin un key dilon mein kuch aur hota hai taakeh apne khoonon, maalon aur jaanon ko bacha lein.
1
Sa’eed [Ibn-e-Abi Arubah] Qatadah say is aayat key baare mein rewaayat karte hain keh munafiq ki nishani yeh hai keh woh bure akhlaaq ka maalik hota hai, zabaan say tasdeeq magar dil say inkaar karta hai, Qaul-o-Amal mein tazaad ka shikaar hota hai, subha us ki aik haalat hoti hai aur shaam ko dusri, shaam ko kuch hota hai aur subha kuch, bahre haal woh kashti ki tarah dagmagata rehta hai keh hawa key jhonke key saath kabhi idhar aur kabhi udhar.
2
1.
Tafseer Ibn Abi Hatim 1:42
2.
Tafseer Ibn Abi Hatim 1:43