Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

Tafsir ul Fatiha [1: 4]

 

182
Surah Fatiha: 01, Aayat: 04
4
ؕ
مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ
Badlay kay din ka malik hai
4
Tafseer Aayat No: 4
Insaaf Key Din Ki Milkiyat Ka Maf’hoom:
Qiyamat key din ki milkiyat ki takhsees key yeh ma’aani nahin keh baaqi dinon ki milkiyat ki nafi hai, kiyun keh is say pehle yeh bayan kiya ja chuka hai keh woh Rabb-ul-Aalameen hai aur yeh duniya-o-aakhirat donon ko shamil hai. Qiyamat key din ki taraf izaafat is liye ki gayi hai keh us din koi kisi cheez ki milkiyat ka da’awedaar na hoga balkeh us ki ijaazat key baghair kisi ko baat karne ki bhi jur’at na hogi. Jaisa keh irshad bari ta’aala hai:

یَوْمَ یَقُوْمُ الرُّوْحُ وَالْمَلٰٓىِٕكَةُ صَفًّا ۙۗؕ لَّا یَتَكَلَّمُوْنَ اِلَّا مَنْ اَذِنَ لَهُ الرَّحْمٰنُ وَقَالَ صَوَابًا
‎﴿
An-Naba 78:38 “Jis din Rooh-[Al-ameen] aur [Deegar] farishte saff baandh kar khare hon ge to koi bol na sake ga magar jis ko Rahman ijaazat bakhshe aur us ney baat bhi durust kahi ho.”
Aur farmaya:
Taha 20: 108

وَخَشَعَتِ الْاَصْوَاتُ لِلرَّحْمٰنِ فَلَا تَسْمَعُ اِلَّا هَمْسًا
‎﴿
“Aur Rahman key saamne aawazen past ho jayen gi to tum aahat key siwa koi aawaz na suno ge.”
Aur farmaya:
Hood 11:105

یَوْمَ یَاْتِ لَا تَكَلَّمُ نَفْسٌ اِلَّا بِاِذْنِهٖ ۚ فَمِنْهُمْ شَقِیٌّ وَّسَعِیْدٌ
‎﴿
“Jab woh din aa jaye ga to koi nafs Allah key hukm key baghair bol bhi na sake ga, phir un mein say kuch bad bakht hon gey aur kuch naik bakht.”
Ibn-e-Abbaas ﴾{4}مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ﴿ Ki tafseer mein farmaate hain keh us din us ki baadshahat mein us key siwa aur koi saahib-e-ikhteyaar na hoga jis tarah duniya mein yeh majaazan baadshah they. (1)

 

 

 

183
Surah Fatiha: 01, Aayat: 04
tarah duniya mein yeh majaazan baadshah they.
1

4
ؕ
يَوْمِ الدِّينِ
‎﴿
Key Ma’aani:
Ibn-e-Abbaas (Radhi Allahu Anhuma) farmaate hain keh يوم الدين say muraad makhlooq key hisaab ka din, Ya’ani Qiyamat ka din hai, jis din woh tamam aamal ka badla de ga. acche aamal ka accha badla aur bure aamal ka bura badla, Ilaa yeh keh kisi ko woh mu’aaf farma de. Ibn-e-Abbaas (Radhi Allahu Anhuma) key ilaawah deegar Sahabah-o-Tabi’een aur Salaf say bhi yehi ma’aani manqool hain aur jaisa keh zaahir hai yehi ma’aani sahih hain.
2
مَالِك Aur  مَالِك الاملاك Allah Hi Hai:
Haqeeqat mein Malik Allah Azza-wa-jalla hi hai, Jaisa keh us ney irshad farmaya hai:
Al-Hashr 59:23

هُوَ اللّٰهُ الَّذِیْ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ ۚ اَلْمَلِكُ الْقُدُّوْسُ السَّلٰمُ
‎﴿
“Wohi Allah hai jis key siwa koi ibaa’dat key laaiq nahin, woh [Haqeeqi] baadshah hai, nihayat paak zaat [Har aib say], salaamati dene wala.”
Sahihen mein Hazrat Abu Hurairah (Radhi Allahu Anhu) se marfoo’an marwi hai:
[ أَخْنَعُ اِسْمٍ عِنْدَ اللّٰهِ رَجُلٌ تُسَمَّى بِمَلِكِ الْاَمْلَاكِ، لَا مَالِكَ إِلَّا اللّٰهُ ]
“Allah Ta’aala key haan bad tareen naam yeh hai keh koi shakhs apne aap ko shehenshaah kahlaye [Kiyun keh] Allah Ta’aala key siwa koi baadshah-e-[Haqeeqi] nahin hai.”
3
Hazrat Abu Hurairah (Radhi Allahu Anhu) hi say sahihen mein yeh hadees bhi hai keh Rasoolullah ney farmaya:
يَقْبِضُ اللّٰهُ الْاَرْضَ وَيَطْوِىْ السَّمَاءَ بِيَمِيْنِهِ ثُمَّ يَقُوْلُ: أَنَا الْمَلِكُ، أَيْنَ مُلُوْكُ الْاَرْضِ؟
أَيْنَ الْجَبَّارُوْنَ ؟ أَيْنَ الْمُتَكَبِّرُوْنَ ؟
1.
Tafseer-ut-Tabari : 1/98
2.
Tafseer-ut-Tabri :1/102
|
Tafseer Ibn-e-Abi Hatim : 1/29
3.
Sahih-ul-Bukhari , Kitab-ul-adab, Baab: Abghaz-ul-asmaai ilallaahi, Hadees: 6206
Sahih Muslim, Kitab-ul-adab, Baab Tahreem-ut-tasmiyyi Bi-Malik-il- Amlaak…., Hadees: (20,21)-2143, aur [ لَا مَالِكَ إِلَّا اللّٰهُ ]Sahih Bukhari mein nahin hai.

 

 

184
Surah Fatiha: 01, Aayat: 04
“Allah Ta’aala zameen ko pakar ley ga aur aasman ko lapet kar apne daayen haath mein ley ley ga aur farmaye ga: Main hun baadshah, kahan hain zameen ke baadshah? kahan hain sarkash? kahan hain motakabbir?”
1
Aur Qur’an Azeem mein bhi hai:
Al-Momin 40:16

لِمَنِ الْمُلْكُ الْیَوْمَ ؕ لِلّٰهِ الْوَاحِدِ الْقَهَّارِ
‎﴿
“Aaj kis ki baadshahat hai? Allah ki jo akela [Aur] ghaalib hai.”
Haan, Allah Ta’aala key siwa kisi dusre ko duniya mein jo baadshah kaha jata hai to yeh majaazi taur par hai. Jaisa keh farmaya:
Al-Baqarah 2:247

اِنَّ اللّٰهَ قَدْ بَعَثَ لَكُمْ طَالُوْتَ مَلِكًا ؕ
‎﴿
“Beshak Allah ney tum par Taaloot ko baadshah moqarrar farmaya hai.”
Issi tarah farmaya:
Al-Kahaf 18:79

وَكَانَ وَرَآءَهُمْ مَّلِكٌ
‎﴿
“Aur un key aage aik baadshah tha.” Aur farmaya:
Al-Maayidah 5:20

اِذْ جَعَلَ فِیْكُمْ اَنْۢبِیَآءَ وَجَعَلَكُمْ مُّلُوْكًا ۖۗ
‎﴿
“[Us waqat ko yad karo] jab us ney tum mein paighamber paida kiye aur tumhein baadshah banaya.”
Sahih Bukhari-o-Muslim ki aik hadees mein yeh jumla bhi hai:
[مِثْلَ الْمُلُوْكِ عَلَى الْأَسِرَّةِ]
“[Pehli islami behri Fauj is tarah hogi] jis tarah baadshah takhton par jalwa afroz hote hain.”
2
1.
Sahih-ul-Bukhari , Kitab-ur-Reqaaq, Baab Yaqbizullaah-ul-Arza Yaum-al-Qiyamah, Hadees: 6519 | Sahih Muslim, Kitab: Sifat-ul-Munafiqeen, Baab Sifat-ul-Qiyamah wal-Jannah wan-Naar, Hadees: 2787, Albatta [أين الجبارون….] ke alfaaz Sahih Muslim: 2788 mein Abdullah bin Umar (Radhi Allahu Anhuma) ki rewaayat key hain.
2.
Iqtebaas az Sahih-ul-Bukhari, Kitab-ul-Jihaad was-Siyar, Baab-ud-Duaai bil-jihaadi wash-shahadah Lir-Rijaali wan-Nisaai, Hadees: 2788 
Sahih Muslim, Kitab-ul-Emaarah, Baab Fazl-ul-Ghazwi fil-beher, Hadees:1912, Mutawwalan An Anas(Radhi Allahu Anhu). Aur yeh waaqiyah Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan (Radhi Allahu Anhuma) ka hai.

 

 

185
Surah Fatiha: 01, Aayat: 04

4
ؕ
الدِّينِ
‎﴿
Ki Tafseer:
دِيۡن ke ma’aani jaza aur hisaab key hain, Jaisa keh irshad bari ta’aala hai:
﴾یَوْمَىِٕذٍ یُّوَفِّیْهِمُ اللّٰهُ دِیْنَهُمُ الْحَقَّ﴿ An-Noor 24:25
“Us din Allah un ko [Un key aamaal ki] puri puri aur theek jaza de ga.”
Aur farmaya:
As-Saaffaat 37:53

ءَاِنَّا لَمَدِیْنُوْنَ
‎﴿
“To kiya waqayee hamen [Dobara utha kar] badla mile ga?” Ya’ani kya hamen jaza di jaye gi? Hamara hisaab liya jaye ga ?
Hadees mein hai: [اَلْكَيِّسُ مَنْ دَانَ نَفْسَهُ وَعَمِلَ لِمَا بَعْدَ الْمَوْتِ]
“Aqal mand woh hai jo apna mohaasibah khud kare aur maut key ba’ad ki zindagi key liye amal kare.”
1
Hazrat Umar farmaya karte they keh apna mohaasibah karte raha karo qabal is key keh tum say hisaab liya jaye, aur apna wazan karte raha karo qabal is key keh tumhara wazan kiya jaye, aur us zaat-e-gerami key saamne us bari paishi ki tayyari karte raha karo, jis ney duniya mein apna mohaasibah kar liya roz-e-qayamat us par hisaab aasan ho jaye ga.
Al-Haaqqah 69:18

یَوْمَىِٕذٍ تُعْرَضُوْنَ لَا تَخْفٰی مِنْكُمْ خَافِیَةٌ
‎﴿
“Us roz tumhari paishi hogi aur tumhari koi poshidah baat chupi na 
rahe gi.”
2
1.
Jaami-ut-Tirmizi, Sifat-ul-Qiyamah,
Baab Hadees: [Al-Kaiso man daana nafsahu…], Hadees: 2459
Sunan Ibn-e-Maajah, Kitab-uz-Zuhud, Baab zikr-ul-maut wal-iste’idaadi lahu, 
Hadees: 4260 An Shaddaad Bin Aus, Lekin yeh Hadees za’eef hai, Dekhiye As-Silsilat-uz-Za’eefah : 5319.
2.
Al-Musannaf Li-Ibn-e-Abi Shaibah, Kitab-uz-Zuhud Umar bin Khattab: 7/115,  Hadees: 34448
Aur dekhiye Jaami-ut-Tirmizi, Sifat-ul-Qiyamah , Baab, Hadees: [Al-Kaiso man daana nafsahu…..], Hadees: 2459

Table of Contents