Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

Tafsir ul Surah Al Baqarah [2: 13]

 

Baqarah : 2 | Ayat : 13
257
الٓمّٓ
: 1
وَاِذَا قِیْلَ لَهُمْ اٰمِنُوْا كَمَاۤ اٰمَنَ النَّاسُ قَالُوْۤا اَنُؤْمِنُ كَمَاۤ اٰمَنَ السُّفَهَآءُ ؕ اَلَاۤ اِنَّهُمْ
13
هُمُ السُّفَهَآءُ وَلٰكِنْ لَّا یَعْلَمُوْنَ
Aur jab un se kaha jata hai ke emaan laao jaise aur log emaan laye hain to woh kehte hain: kiya ham emaan layein jaise be waqoof emaan laye hain? sun lo! be shak wohi be waqoof hain lekin woh nahin jaante.
13
Tafseer Aayat No: 13
Allah irshad farmata hai keh jab munafiqon say kaha jata hai:
﴾اٰمِنُوْا كَمَاۤ اٰمَنَ النَّاسُ﴿ “Jis tarah aur log emaan laye hain, tum bhi emaan lao.” Ya’ani jis tarah log Allah Ta’aala, us key farishton, us ki kitaabon, Rasoolon, ba’as ba’ad-al-maut aur Jannat-o-Jahannam par emaan laye hain aur is key ilaawa deegar cheezon par bhi emaan laye hain jis ki us ney apne baare mein mominon ko khabar di hai, lehaaza tum bhi un par emaan lao aur ahkam ki baja aawri aur moharramaat key tarak karne mein Allah aur us key Rasool ki itaa’at baja lao, to kehte hain:
﴾ ؕ اَنُؤْمِنُ كَمَاۤ اٰمَنَ السُّفَهَآءُ﴿ “Bhala jis tarah be waqoof emaan ley aaye hain usi tarah ham bhi emaan ley aayein?” Allah Ta’aala munafiqeen par la’anat farmaye unhon ney سُفَهَاءُ “be waqoofon” se murad Sahaaba-e-Kiraam (Radhi Allahu Anhum) ko liya.
Ab-ul-Aaliyah ney aur Suddi ney apni tafseer mein apni sanad key sath Ibn-e-Abbaas, Ibn-e-Mas’ood aur kayi aik Sahaaba-e-Kiraam (Radhi Allahu Anhum) say yahi rewaayat kiya hai. Rabee bin Anas aur AbdurRahman bin Zaid bin Aslam waghairah ka bhi yahi qaul hai keh munafiqeen kehte hain: kia hum aur woh unhi key aik hi tareeqe par ho jayein, halanakeh woh to be waqoof hain?
1
2
1.
Tafseer-ut-Tabri : 1/186
2.
Tafseer-ut-Tabri : 1/186

 

 

Baqarah : 2 | Ayat : 13
258
الٓمّٓ
: 1
سُفَهَاءُ, سَفِيْهٌ Ki jama hai jis tarah hukamaa, hakeem ki aur hulamaa, haleem ki jama hai. سَفِيْه us jahil ko kehte hain jis ki raaye nafa-o-nuqsaan key aitebaar say za’eef ho aur woh qaleel-ul-ma’arifat ho, yahi wajah hai keh Allah Ta’aala ney aayat-e-kareemah:
An-Nisaa 4:5

وَلَا تُؤْتُوا السُّفَهَآءَ اَمْوَالَكُمُ الَّتِیْ جَعَلَ اللّٰهُ لَكُمْ قِیٰمًا
‎﴿
“Aur tum apne woh maal nadaan logon key supurd na karo jo Allah ney tumhare liye guzar basar ka zariya banaye hain.”
Main auraton aur bacchon ko سُفَهَاءُ “be aqal” qaraar diya hai. Jaisa keh aksar ulama-e-tafseer ney سُفَهَاء ki tafseer mein yahi bayan kiya hai keh is say murad auratein aur bacche hain.
1
Allah Ta’aala ney unhein jawab dete huwe farmaya:

اَلَاۤ اِنَّهُمْ هُمُ السُّفَهَآءُ
‎﴿
“Sun lo! Be shak yahi be waqoof hain.”
Aur safahat-o-be aqali ko unhin mein mahsoor qaraar dete huwe farmaya:

13
وَلٰكِنْ لَّا یَعْلَمُوْنَ
‎﴿
“Lekin yeh nahin jaante.”
Ya’ani un ki jehaalat ki inteha yeh hai keh woh jaante bhi nahin keh kis qadar zalaalat aur jehaalat mein mubtala hain. yeh baat un key liye tabah kun hai, is say barh kar andhe pan aur hidayat say doori ki baat aur kiya ho sakti hai ?
1.
Tafseer-ut-Tabri : 4/327

 

 

Table of Contents