Tafsir ul Surah Al Baqarah [2: 2]
Baqarah : 2 | Ayat : 2
223
الٓمّٓ
: 1
2
ۙ
ذٰلِكَ الْكِتٰبُ لَا رَیْبَ ۛۖۚ فِیْهِ ۛۚ هُدًی لِّلْمُتَّقِیْنَ
“Yeh kitaab hai jis [Key nazil hone] mein koi shak nahin,
hidayat hai muttaqeen key liye.”
2
Tafseer Aayat No: 2
Qur’an Mein Kuch Shak Nahin:
Is aayat mein ﴾الْكِتٰبُ﴿ say muraad Qur’an Majeed hai aur ﴾رَيْبَ﴿ key ma’ani shak key hain. Suddi ney Abu Malik aur Abu Saaleh key hawale say Ibn Abbas aur issi tarah Murra Hamdani key hawale say Ibn Mas’ood aur bahut say Sahaaba-e-Kiraam say rewaayat kiya hai keh ﴾ ۛۚلَا رَیْبَ ۛۖۚ فِیْهِ﴿ ke ma’ani hain لَا شَكَّ فِيْهِ ”Is mein kuch shak nahin.” Abu Dardaa, Ibn Abbas aur Mujaahid, Sa’eed bin Jubair, Abu Malik, Naafay Maula Ibn Umar, Ataa, Ab-ul-Aaliyah, Rabee bin Anas, Moqatil bin Hayyan, Suddi, Qatadah aur Ismaail bin Abu Khalid ka bhi yahi qaul hai.
1
Imaam Ibn-e-Abi Hatim Farmate hain keh:Mere ilm key motabiq is mas’ale mein koi ikhtelaaf nahin hai. to is aayat key ma’ani yeh huwe keh yeh kitaab Qur’an Majeed hai, is mein koi shak nahin keh yeh Allah Ta’aala key paas say nazil huwi hai, jaisa keh Allah Ta’aala ney Surah Sajdah mein bhi farmaya hai:
As-Sajdah 32:1,2
﴾
ۚ
تَنْزِیْلُ الْكِتٰبِ لَا رَیْبَ فِیْهِ مِنْ رَّبِّ الْعٰلَمِیْنَ
ۚ
الٓمّٓ
﴿
“ الٓمّٓ. Is mein kuch shak nahin keh is kitaab ka nazil kiya jana, tamam jahaanon key parwardigaar ki taraf say hai.”
Ba’az Ulama ney kaha hai keh agarcheh yeh “Khabar” hai lekin is key ma’ani “Nahi” key hain, Ya’ani is kitaab mein shak na karo.
1.
Tafseer-ut-Tabri : 1/144
Baqarah : 2 | Ayat : 2
224
الٓمّٓ
: 1
Ba’az Qurraa ney ﴾لَا رَيْبَ﴿ par waqaf kiya aur phir ﴾{2}فِيْهِ هُدًى لِّلْمُتَّقِيْنَ﴿ se Qiraa’at ko shuru kiya hai, lekin ziyadah behtar yeh hai ke
﴾ ۛۚلَا رَیْبَ ۛۖۚ فِیْهِ﴿ par waqaf kiya jaye kiyun keh mazkura baala aayat ka bhi yahi taqaza hai. Aur isi tarah ﴾هُدًى﴿ Qur’an ki sifat ban jati hai aur is
﴾فِیْهِ ۛۚ هُدًی﴿
ki nisbat ziyadah balaghat hai. Arabic grammar ke
mein
aitebaar say ﴾هُدًى﴿ mein is baat ka bhi ahtemaal hai keh yeh sifat ki wajah say marfoo ya haal hone ki wajah say mansoob ho.
Hidayat Ka Muttaqeen Key Saath Ikhtesaas:
Hidaayat ko Muttaqeen key sath khaas kiya gaya hai, Jaisa keh irshad bari ta’aala hai:
قُلْ هُوَ لِلَّذِیْنَ اٰمَنُوْا هُدًی وَّشِفَآءٌ ؕ وَالَّذِیْنَ لَا یُؤْمِنُوْنَ فِیْۤ اٰذَانِهِمْ وَقْرٌ وَّهُوَ عَلَیْهِمْ
ع
﴿
Haa-Meem As-Sajdah 41:44
﴾
عَمًی ؕ اُولٰٓىِٕكَ یُنَادَوْنَ مِنْ مَّكَانٍ بَعِیْدٍ
ۢ
“[Aye Nabi!] Kah dijiye keh jo emaan laate hain un key liye [Yeh] hidayat aur shifa hai aur jo emaan nahin laate un key kaanon mein gerani [Bahra pan] hai aur yeh un key haqq mein andha pan hai. Yeh log [Jo haq baat nahin sunte goya] inhein door jagah say aawaz di jati hai.” Aur farmaya:
﴾
وَنُنَزِّلُ مِنَ الْقُرْاٰنِ مَا هُوَ شِفَآءٌ وَّرَحْمَةٌ لِّلْمُؤْمِنِیْنَ ۙ وَلَا یَزِیْدُ الظّٰلِمِیْنَ اِلَّا خَسَارًا
﴿
Bani Israa’eel 17:82 “Aur ham Qur’an [Key zariye] say woh cheez nazil karte hain jo mominon key liye shifa aur rahmat hai aur zaalimon key haqq mein to is say nuqsaan hi barhta hai.”
Ilawah azeen aur bhi bahut si aayaat hain jin say ma’aloom hota hai keh Qur’an say nafa sirf momineen hi uthate hain. Agarcheh Qur’an Majeed fee nafsihi hidayat hai, magar us say hidayat sirf abraar hi hasil karte hain, Jaisa keh irshad bari ta’aala hai:
یٰۤاَیُّهَا النَّاسُ قَدْ جَآءَتْكُمْ مَّوْعِظَةٌ مِّنْ رَّبِّكُمْ وَشِفَآءٌ لِّمَا فِی الصُّدُوْرِ ۙ۬ وَهُدًی وَّرَحْمَةٌ
﴿
Younus 10:57
﴾
لِّلْمُؤْمِنِیْنَ
“Logo! Tumhare paas tumhare parwardigaar ki taraf say naseehat aur dil ki bimariyon ki shifa aur momino key liye hidayat aur rahmat aa pahunchi hai.”
Baqarah : 2 | Ayat : 2
225
الٓمّٓ
: 1
bimariyon ki shifa aur momino key liye hidayat aur rahmat aa pahunchi hai.”
Ibn-e-Abbas (Radhi Allahu Anhum) Ibn-e-Mas’ood aur Rasoolullah (ﷺ) key deegar bahut se Sahaaba-e-Kiraam (Radhi Allahu Anhum) say marwi hai keh ﴾{2}فِیْهِ ۛۚ هُدًی لِّلْمُتَّقِیْنَ﴿ ke ma’ani yeh hain keh yeh kitaabullah say darne walon key liye Noor hai.
1
“Muttaqeen” Key Ma’ani:
Ibn-e-Abbas(Radhi Allahu Anhuma) farmate hai ke ﴾{2}فِیْهِ ۛۚ هُدًی لِّلْمُتَّقِیْنَ﴿ Mein muttaqeen say murad woh momin bandey hain jo Allah Ta’aala key sath shirk say bachte aur us ki itaa’at guzari karte hain. Aap se aik qaul yeh bhi marwi hai keh muttaqeen say murad woh log hain jo is hidayat ko jisey woh pahchante hain, tarak karne mein Allah Ta’aala key azaab say darte hain. aur Allah Ta’aala key Nabi jis deen ko ley kar aaye us ki tasdeeq karne mein Allah Ta’aala ki rahmat ki ummid rakhte hain. Qataadah farmate hain keh Muttaqeen say Muraad woh log hain jin ki sifaat bayan karte huwe Allah Ta’aala ney farmaya hai
2
3
﴾
ۙ
الَّذِیْنَ یُؤْمِنُوْنَ بِالْغَیْبِ وَیُقِیْمُوْنَ الصَّلٰوةَ وَمِمَّا رَزَقْنٰهُمْ یُنْفِقُوْنَ
﴿
Al-Baqarah 2:3 “Jo ghaib par emaan laate aur namaz qaaim karte hain.”
4
Ibn-e-Jareer (Rahimahullah) ney is baat ko pasand kiya hai keh yeh aayat un tamaam baaton par mushtamil hai aur un ki yeh baat bilkul durust hai. Imaam Tirmizi aur Ibn-e-Maajah (Rahimahumallah) ney Atiyah Sa’adi (Radhi Allahu Anhu) say rewaayat kiya hai. Aur Imaam Tirmizi (Rahimahullah) ney isey Hasan Ghareeb qaraar diya hai keh: Rasoolullah ney farmaya:
[لَا يَبْلُغُ الْعَبْدُ اَنْ يَّكُوْنَ مِنَ الْمُتَّقِيْنَ حَتَّى يَدَعَ مَا لَا بَاْسَ بِهِ حَذَرًا لِّمَا بِهِ بَأْسٌ]
“Koi banda us waqat tak Muttaqeen mein say nahi ho sakta jab tak us cheez ko bhi tarak na kare jis mein koi harj na hota keh us say bach sake jis mein koi harj ho.[2]
1.
Tafseer-ut-Tabri :1/145
2.
Tafseer-ut-Tabri : 1/148
3.
Tafseer-ut-Tabri : 1/147
4.
Tafseer-ut-Tabri : 1/147
Baqarah : 2 | Ayat : 2
226
الٓمّٓ
: 1
koi harj ho.”
1
Hidayat Ki Do Qismein:
Kabhi to hidayat say muraad dil mein pewast hone wala emaan hota hai. aur is emaan ko apne bandon key dilon mein sirf Allah Ta’aala hi paida farmata hai. Irshad e bari Ta’la :
Al-Qasas 28:56
﴾
اِنَّكَ لَا تَهْدِیْ مَنْ اَحْبَبْتَ
﴿
“[Aye Nabi!] beshak aap jis ko chaahein, usey hidayat nahin dey sakte.”
Al-Baqarah 2:272
﴾
لَیْسَ عَلَیْكَ هُدٰىهُمْ
﴿
“[Aye Nabi!] aap un logon ki hidayat key zimmedaar nahin hain.”
Al-Aa’raaf 7:186
﴾
مَنْ یُّضْلِلِ اللّٰهُ فَلَا هَادِیَ لَهٗ ؕ
﴿
“Jis shakhs ko Allah gumrah kare, us ko koi hidayat dene wala nahin.”
Al-Kahaf 18:17
﴾
ع
مَنْ یَّهْدِ اللّٰهُ فَهُوَ الْمُهْتَدِ ۚ وَمَنْ یُّضْلِلْ فَلَنْ تَجِدَ لَهٗ وَلِیًّا مُّرْشِدًا
﴿
“Jis ko Allah hidayat dey woh hidayat yaafta hai aur jis ko woh gumrah kare to aap uske liye koi raah batane wala dost na payein ge.”
Isi tarah aur bhi bahut si aayaat mein hidayat ki isi qism ki taraf ishara hai.
Hidayat ki dusri qism say muraad haqq ka bayan karna, us ki wazahat karna aur us ki nishan dahi karna hota hai. Jaisa keh irshad bari ta’aala hai:
Ash-shoora 42:52
﴾
ۙ
وَاِنَّكَ لَتَهْدِیْۤ اِلٰی صِرَاطٍ مُّسْتَقِیْمٍ
﴿
“Aur beshak [Aye Nabi!] aap sidha raasta dikhate hai.”
1.
Jaami-ut-Tirmizi : Sifat-ul-Qiyamah, Baab alamat-ut-taqwa….., Hadees: 2451
Sunan Ibn-e-Maajah, Kitab-uz-Zuhud, Baab-ul-wara’a wat-taqwa, Hadees: 4215, Yeh rewaayat za’eef hai
Baqarah : 2 | Ayat : 2
227
الٓمّٓ
: 1
Ar-Ra’ad 13:7
﴾
ع
اِنَّمَاۤ اَنْتَ مُنْذِرٌ وَّلِكُلِّ قَوْمٍ هَادٍ
﴿
“So [Aye Nabi!] aap to sirf daraane wale [Hidayat karne wale] hain aur har aik key liye aik rahnuma huwa karta hai.”
Haa-Meem As-Sajdah 41:17
﴾
وَاَمَّا ثَمُوْدُ فَهَدَیْنٰهُمْ فَاسْتَحَبُّوا الْعَمٰی عَلَی الْهُدٰی
﴿
“Aur jo samood they to un ko ham ney sidha raasta dikha diya tha magar unhon ney hidayat key moqable mein andha rehna pasand kiya.”
Al-Balad 90:10
﴾
ۚ
وَهَدَیْنٰهُ النَّجْدَیْنِ
﴿
“Aur ham ney us ko [Khair-o-Shar key] donon raste bhi dikha diye.”
Yeh aakhri aayat is qaul ki bunyad par misal bane gi jab ﴾النَّجْدَیْنِ﴿
se muraad khair-o-shar ho aur yahi ziyadah raajih qaul hai. Wallahu Aalam.
Taqwa Key Ma’ani:
Taqwe key asal ma’ani buri baaton say bachne key hain, Dar-asal yeh lafz (وقوى) “waqwa” hai jo (وقاية) “wiqaayatun” say mushtaq hai. Bayan kiya jata hai keh Hazrat Umar bin Khattaab ney Hazrat Ubayi bin Ka’ab say taqwa key baare mein pucha to unhon ney jawab diya:
(وَقْوٰى)
“waqwa” hai jo
(وِقَايَةٌ)
“wiqaayatun” say mushtaq hai. Bayan kiya
jata hai keh Hazrat Umar bin Khattaab (Radhi Allahu Anhu) ney Hazrat Ubayi bin Ka’ab (Radhi Allahu Anhu) say taqwa key baare mein pucha to unhon ney jawab diya:
Kiya aap ko kabhi kaanton wale raaste par chalne ka Ittefaaq huwa hai ?
Unhon ney farmaya: Haan!
To pucha: Aap aise raaste par chalte huwe kiya karte hain?
Farmaya: Daaman ko samet leta hun aur koshish kar key ahtiyaat say guzar jata hun.
Farmaya:Bas aisey hi gunahon say bachne ka naam taqwa hai.
1.
Tafseer-ul-Qurtabi : 1/161
Aur Dekhiye : Ad-Durar-ul-Mansoor : 1/57