Tafsir ul Surah Al Baqarah [2: 5]
Baqarah : 2 | Ayat : 5
238
الٓمّٓ
: 1
5
اُولٰٓىِٕكَ عَلٰی هُدًی مِّنْ رَّبِّهِمْ ۗ وَاُولٰٓىِٕكَ هُمُ الْمُفْلِحُوْنَ
Yeh log hidaayat par hain apnay Rab ki taraf se aur
yehi falah paanay walay hain
5
Tafseer Aayat No: 5
Hidaayat-o-Falaah Mominon Hi Ka Naseeb Hai:
Allah Ta’aala irshad farmata hai: ﴾اُولٰٓىِٕكَ﴿ Ya’ani yahi log jin key yeh ausaaf bayan kiye gaye hain keh woh ghaib par emaan rakhte, namaz qaaim karte aur us maal mein say kharch karte hain jo Allah Ta’aala ney unhein ata farmaya hai, aur us par bhi emaan rakhte hain jo Allah Ta’aala ki taraf say Hazrat Mohammad par nazil kiya gaya aur jo aap say pehle saabiqah Ambiya-e-kiraam par nazil kiya gaya hai, neez woh daar-e-aakhirat par yaqeen rakhte hain.
Aur yeh emaan is baat ko mustalzam hain keh a’amal-e-saaliha sar anjaam diye jayein aur moharramaat ko tarak kar diya jaye, chunaancheh jo log in ausaaf say muttasif hain, woh ﴾عَلٰی هُدًی﴿ ”Hidaayat par hain.”
Ya’ani Allah Ta’aala ki taraf say Noor, Bayan aur Baserat par hain .
﴾
وَاُولٰٓىِٕكَ هُمُ الْمُفْلِحُوْنَ
﴿
Al Baqarah 2:5
“Aur yahi log kaamyab hain.”
Ya’ani duniya mein bhi aur aakhirat mein bhi, kiyun keh unhein jis cheez ki talab thi usey unhon ney paa liya jis key shar say yeh bhaagte they us say unhon ney nija’at paa li. Yeh kaamyaab ho gaye keh inhon ney sawab aur jannat mein abdi-o-sarmadi zindagi ko paa liya. Aur us azaab say nija’at paa li jisey Allah Ta’aala ney apne dushmanon key liye tayyar kiya hai.