Search
Sections
< All Topics
Print

01. SATAR KA BAYAN

SATAR KA BAYAN:

 

Is se murad woh libaas hai jo namaz ke waqt ikhtiyar kiya jata hai, jise fuqaha “Namaz mein satar ka bayan” ke naam se mousum karte hain- Fuqaha ki aik jama’at ka khayal hai keh namaz mein jo a’zaa chhupane hain yehi wo a’zaa hai jinhe aam taur par dusron ki nazron se chhupaya jata hai, yani jise aam shar’i istelah mein “satar” kaha jata hai.

(SATAR: Satar se murad insaani jism ka wo hissa jis ka chhupana farz hai- mard ka satar naaf se lekar ghutne tak hai aur aurat ka “satar” chehre aur haath ke elawah saara jism hai)

    Chunancheh unhon ne namaz mein satar ki hudood darje zaiyl ayat se li hain:

Allah Ta’aala ka farmaan:

وَ لَا یُبۡدِیۡنَ  زِیۡنَتَہُنَّ  اِلَّا مَا ظَہَرَ  مِنۡہَا وَ لۡیَضۡرِبۡنَ بِخُمُرِہِنَّ عَلٰی جُیُوۡبِہِنَّ ۪

“Yani auraten apni zeenat zahir na karen magar jo khud ba khud zahir hojae aur woh apne dupatte apne girebanon par dalen.”

Nez farmaaya:

۪ وَ لَا یُبۡدِیۡنَ زِیۡنَتَہُنَّ  اِلَّا  لِبُعُوۡلَتِہِنَّ

“Aur apni zeenaton ko apne shouharon ke elawah kisi aur ke saamne zahir na kare.”

[Surah Noor: 24:31]

 

ZAHIRI ZEENAT KI TAFSEER MEIN SALAF KE DO QAWL HAI:

 

  1. Hazrat Abdullah bin masood (رضي الله عنه) aur unke mawafiqeen ka khayal hai keh is se murad sirf zahiri kapre wagherah hain.
  2. Hazrat Abdullah bin Abbas (رضي الله عنه) aur unke mawafiqeen ka khayal hai keh is se murad chehra aur haath mein moujud zahiri zeenaten hain jaise surma, anguthi wagherah.

In do mukhtalif tafaseer ki bina par ghair mehram ka aurat ke chehre aur haath ko dekhne ke hawale se fuqaha ki rae bhi mukhtalif hai: Baaz fuqaha ki rae hai keh baghair shahwat ke dekhna jayez hai- Imaan Abu haneefa رحمہ اللّٰہ علیہ, Imaam shaf’i رحمہ اللّٰہ علیہ aur aik qawl ke mutabiq Imaam Ahmad رحمہ اللّٰہ علیہ ka bhi yehi mauqif hai- jab keh baaz dusre fuqaha mutlaq taur par namahram aurat ki tarf dekhna najayez qarar dete hain- Imaam Ahmad bin Hanbal رحمہ اللّٰہ علیہ ka mashhoor mazhab yehi hai. Woh farmaate hain keh aurat poori ki poori satar hai hatta keh uske nakhun bhi chhupane ki cheez hain aur Imaam Malik (رحمه الله) bhi isi rae ke qayel hain.

 

REFERENCE:
BOOK: MASAIYL-E-SATAR-O-HIJAAB
TALEEF: SHAYKH UL ISLAM IBN TAYMIYYAH(رحمه الله)
URDU TARJUMA BY: SHAYKH MAQSOOD AL HASAN FAIZI HAFIZULLAH

 

 

Aurat Parda Kis Tarah Aur Kis Se Kary ? By Qari Sohaib Ahmed Meer Muhammadi || IIRCTV

 

ستر کا بیان

 

اس سے مراد وہ لباس ہے جو نماز کے وقت اختیار کیا جا تا ہے، جسے فقہاء نماز میں “ستر کا بیان“ کے نام سے موسوم کرتے ہیں۔فقہاء کی ایک جماعت کا خیال ہے کہ نماز میں جو اعضاء چھپانے میں یہ وہی اعضاء ہیں جنہیں عام طور پر دوسروں کی نظروں سے چھپایا جاتا ہے،یعنی جسے عام شرعی اصطلاح میں “ستر” کہا جاتا ہے۔چنانچہ انہوں نے نماز میں ستر کی حدود درج ذیل آیت سے لی ہیں۔

ستر سے مراد انسانی جسم کا وہ حصہ جس کا چھپانا فرض ہے۔مرد کا ستر ناف سے لے کر گھٹنے تک ہے اور عورت کا “ستر” چہرے اور ہاتھ کے علاوہ سارا جسم ہے۔

ارشاد باری تعالی ہے:

وَ لَا یُبۡدِیۡنَ  زِیۡنَتَہُنَّ  اِلَّا مَا ظَہَرَ  مِنۡہَا وَ لۡیَضۡرِبۡنَ بِخُمُرِہِنَّ عَلٰی جُیُوۡبِہِنَّ ۪

یعنی عورتیں اپنی زینت ظاہر نہ کریں مگر جو خود بخود ظاہر ہو جائے اور وہ اپنے دوپٹے اپنے گریبانوں پر ڈال لیں۔

[٢٤/النور: ۳۱]

نیز فرمایا:

۪ وَ لَا یُبۡدِیۡنَ زِیۡنَتَہُنَّ  اِلَّا  لِبُعُوۡلَتِہِنَّ

اور اپنی زینت کو اپنے شوہروں کے علاوہ کسی اور کے سامنے ظاہر نہ کریں۔

[ ٢٤/النور: ۳۱]

ظاہری زینت کی تفسیر میں سلف کے دوقول ہیں:

(1) حضرت عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ اور ان کے موافقین کا خیال ہے کہ اس سے مراد صرف ظاہری کپڑے وغیرہ ہیں۔

(2)حضرت عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہ نے اور ان کے موافقین کا خیال ہے کہ اس سے مراد چہرہ اور ہاتھ میں موجود ظاہری زینتیں ہیں جیسے سرمہ انگوٹھی وغیرہ۔

 ان دو مختلف تفاسیر کی بنا پر غیر محرم عورت کے چہرے اور ہاتھ کو دیکھنے کے حوالے سے فقہا کی راۓ بھی مختلف ہے: بعض فقہا کی راۓ ہے کہ بغیر شہوت کے دیکھنا جائز ہے۔ امام ابوحنیفہ، امام شافعی اور ایک قول کے مطابق امام احمد (رحمہ اللہ علیہم) کا بھی یہی موقف ہے۔ جبکہ بعض دوسرے فقہاء مطلق طور پر نامحرم عورت کی طرف دیکھنا ناجائز قرار دیتے ہیں۔امام احمد بن حنبل (رحمہ اللہ علیہ) کا مشہور مذہب یہی ہے، وہ فرماتے ہیں کہ عورت پوری کی پوری ستر ہے حتی کہ اس کے ناخن بھی چھپانے کی چیز ہیں اور امام مالک بھی اس رائے کے قائل ہیں۔

Table of Contents