10. Islaam mein aurat ke ek amoomi aurat ki hesyat se haqooq [Women as kinfolks and neighbors]
Islaam mein aurat ke ek amoomi aurat ki hesyat se haqooq
➤ Islaam ne musalmaano par waajib qaraar diyaa hai ke ek aam aurat ke saath bhi maroof tareeqe se pesh aayein aur husun sulook karen, Isliye ke Rasoolallaah ne farmaayaa: Ek momin doosre momin ke liye amaarat ki taraah hai ke uskaa ek hissa doosre hisse ko quwat pohnchaataa hai. Aur Aap(ﷺ) ne ek haath ki ungliyon ke doosre haath ki ungliyon mein daakhil kyaa(120).
Agar woh phoophi hai yaa khaalaa hai yaa koi aur qaraabat daar hai to woh un rishte daaron mein se hai jinke saath Allaah Taalaa ne sulaah rehmi ka hukum diyaa hai, Aur qata rehmi karne waale ko intehaai sakht vaeed sunaai hai.
❀ Allaah Taalaa kaa farmaan hai.
فَهَلۡ عَسَيۡتُمۡ اِنۡ تَوَلَّيۡتُمۡ اَنۡ تُفۡسِدُوۡا فِى الۡاَرۡضِ وَتُقَطِّعُوۡۤا اَرۡحَامَكُمۡ ۞
Tarjumaa: Aur tumse yeh bhi baeed nahin ke agar tumko hukumat mil jaaye to tum zameen mein fasaad barpaa kardo aur rishte naate tor daalo.
Aap(ﷺ) kaa farmaan hai: “Qatah rehmi karne waalaa jannat mein daakhil nahin hogaa(122).
Un par ehsaan karnaa un amoor mein se hai jin par musalmaano ko duhraa ajar miltaa hai.
Rasoolallaah(ﷺ) kaa farmaan hai: Miskeen par sadqaa karnaa sirf sadqaa hai aur rishtedaar par sadqaa karnaa dohraa sawaab hai, Ek (sawaab) sadqe ka aur doosraa silaa rehmi kaa(123).
Agar aurat paros ki hai to uskaa dohraa haq hai, Ek Islaam kaa haq aur doosraa parosi kaa haq.
❀ Allaah Taalaa kaa farmaan hai.
وَاعۡبُدُوا اللّٰهَ وَلَا تُشۡرِكُوۡا بِهٖ شَيۡـئًـا ؕ وَّبِالۡوَالِدَيۡنِ اِحۡسَانًا وَّبِذِى الۡقُرۡبٰى وَالۡيَتٰمٰى وَ الۡمَسٰكِيۡنِ وَالۡجَـارِ ذِى الۡقُرۡبٰى وَالۡجَـارِ الۡجُـنُبِ
Tarjumaa: Aur Allaah Taalaa ki ibaadat karo aur uske saath kisiko shareek naa karo aur maa baap ke saath suluk-o-ehsaan karo aur rishtedaaron se aur yateemon se aur miskeeno se aur qaraabatdaar hamsaayaa se aur ajnabee humsaayaa se aur pehlu ke saathi se aur raah ke musaafir se aur unse jin ke maalik tumhaare haath hain, (Ghulaam Kaneez) yaqeenan Allaah Taalaa taqabur karne waalon aur shaikhi khooron ko pasand nahin farmaataa.
Lihaazaa uske parosiyon par waajib hai ke uske saath husun sulook karen, Uskaa khayaal rakhen, Uski haajat-o-zarooryaat poori karen aur jis cheez ki usse zaroorat hai is maamle mein uski madad karen.
❀ Rasoolallaah(ﷺ) kaa farmaan hai: Jibraail(علیہ السلام) mujhe is taraah baar baar parosi ke haq mein wasiyat karte rahe ke mujhe khayaal guzraa ke shaayad parosi ki wiraasat mein shareek naa kar dein(125).
Isi taraah muslaamaano par waajib hai ke naa to usse koi taqleef dein, Naa jaar haanaa kalaam karen, Aur naa hi sakht maamlaa karen.
❀ Rasool Ullaah(ﷺ) ne bayaan kyaa “Wa’Allaah! woh emaan waalaa nahin. Wa’Allaah woh emaan waalaa nahin. Arz kyaa gayaa kon: Yaa Rasool Ullah(ﷺ) ? farmaayaa: Woh jiske shar se uska parosi mehfooz naa ho(126).
Ba hesyat aurat uske haqooq ki hifaazat aur musalmaano ko uski khidmat aur uski zarooriyaat poori karne par ek doosre se sabqat le jaane ke liye Islaam ne mohtaaj aurton haajat poori karne ke liye koshish karne ko afzal tareen amal shumaar kyaa hai.
❀ Abu-Hureraaرضي الله عنه ne bayaan kyaa ke Rasool Ullah(ﷺ) ne farmaaya ke, Bewaaon aur miskeeno ke liye koshish karne waalaa Allaah ke raaste mein jahaad karne waale ki taraah hai.
❀Imaam Maalik ne Hadees mein yeh bhi kahaan thaa us shaks ke baraabar sawaab miltaa hai jo namaaz mein kharaa rehtaa hai thaktaa hi nahin aur us shaks ke baraabar jo roze baraabar rakhe chalaa jaataa hai iftaar hi nahin kartaa hai(127).
❀ Sahabaa Karaamرضي الله عنه apne parosiyon kaa khayaal rakhte, Unki khabar geri karte, Bilkhasoos jo un mein se mohtaaj hote, Khaas tor par aurtein.
❀ Talhaaرضي الله عنه ne riwaait hai ke ek raat Ameer-Ul-Momneen-Umar-Bin-Khitaabرضي الله عنه nikle aur kisi ghar mein daakhil huwe, (Wahaan se nikal kar) ek aur ghar mein daakhil huwe, Jab subaah huwi to mein us ghar ke paas aayaa aur jaise hi daakhil huwaa, Maine dekhaa ke ek mazoor naabeenaa burhyaa hai, Maine usse poochaa ke guzarishtaa raat waale aadmi kaa kyaa maamlaa(Woh kon hai aur kyun aataa hai)? Usne kahaan woh aadmi itne arse se mera khayaal rkh rahaa hai meri zarooriaat poori kartaa hai, Mere ghar ko jhaaru lagaataa hai, Aur mujhse gandagi ko saaf kartaa hai, To Talhaaرضي الله عنهne khud se kahaan: Kyaa tum umar ki talaash kar rahe ho?(128).
Mundarjaa baalaa sutoor mein humne kuch ehem haqooq-o-waajibaat ki taraf ishaaraa kyaa hai jin ke zel mein deegar haqooq-o-waajibaat bhi hain jinhe humne tawaalat ke dar se zikir nahin kyaa, Un baaton se hamaare mo’aziz qaare, en ke saamne waazaah hogayaa hogaa ke Islaam ne aurat ko kis qadar izzat, Maqaam aur murtabaa bakshaa hai, Jo qadeem yaa jadeed kisi dor mein aurat ne nahin dekhaa, Aur usse yeh Islaam ke saaye mein aur uske ehkaamaat par amal pedaa hone ke ilaawaa kahin nazar nahin aane lagaa.
REFERENCE:
Book: “Islam mein Aurat ka Maqaam”
by Dr. Abdur Rahman bin Abdul Kareem Al- Sheha
Women as kinfolks and neighbors
The same general rights are legislated in Islamic jurisprudence for women as are required for men. A concern for general public welfare and mutual support of one another is a trademark of the Islamic social system. The Prophet said:
“The believers in their mutual kindness, compassion and sympathy are just like one body. When one of the limbs suffers, the whole body responds to it with wakefulness and fever.” [Muslim #2586]
And he said:
“The believers, one to another, are like a firm structure, supporting one another.” He then intertwined his fingers.” [Bukhari #467 & Muslim#2585]
A woman as an aunt, niece, cousin, or any type of relative, regardless of the distance, is included in the kinfolk to whom Allah commanded to be good, kind and supportive. Allah, the Exalted, states in the Qur’an:
“Would you then, if you were given the authority, do mischief in the land, and sever your ties of kinship?” (47:22)
The Prophet said:
“A person who severs his kinship ties, will never enter Paradise.” [Muslim #2556]
And he said:
“Charity to a poor person is charity, and to a (poor) relative is both charity and maintaining the ties (of kinship).” [Tirmidhi #658 & Ibn Maajah#1844 and verified]
If a woman is a neighbor and she is a Muslim, she is entitled to two rights: the right of Islam, and the right of a neighbor. Allah, the Exalted, states in the Qur’an:
“Worship Allah and join none with Him in worship, and do good to parents, kinfolk, orphans, the poor who beg, the neighbor who is related to you, the neighbor who is a stranger, the companion by your side, the wayfarer you meet, and those slaves whom your right hand possesses. Verily, Allah does not like anyone who is proud and boastful” [4:36]
Islam obligates a Muslim to be good to all his or her neighbors. The Messenger of Allah said:
“Jibreel (Archangel Gabriel) continued to urge me to take care of the neighbor so much so that I thought the neighbor was going to be made a legal heir.” [Bukhari #5668]
He also said:
“By Allah he is not a believer, by Allah he is not a believer, by Allah he is not a believer! They asked: “Who, O Messenger of Allah?” He said: “The one from whose harm the neighbor is not safe.” [Bukhari 5670]
It is also reported by Asfahani in Hilyatul-Awliya that Talhah said:
“Umar Ibn al-Khattab () went out of his home one night. I decided to follow him to see what he was doing during the night. I saw him entering a certain house and after a while I saw him come out and enter another house. In the morning I went to the first house and entered it to find out who lives there. To my surprise I found an old, blind and disabled woman. I asked her: ‘What did the man, who came in your home last night, want from you?’ She said: “This man has been taking care of me for a time now, serving my needs and helping me and supporting me.’ Talha said to himself: ‘Why should I investigate Umar’s actions?’
The Messenger of Allah said:
“The person caring for the widows and the poor is like the one who fights in the way of Allah.” The narrator said: I think that he added also: Like one who stands in the night prayer without any laziness and like the one who fasts every day (from sunrise until sunset).” [Bukhari #5038 & Muslim #2982]
These are some distinguishing aspects of honoring, respecting, caring for, and supporting women according to Islamic teachings that summarize the rights of women. We believe that women never witnessed this extent of respect and honor throughout the history of mankind on earth. Some traditions show that the Islamic law never tolerated crimes or abuses against a woman during any stage of her life.
REFERENCE:
Book: “Women in Islam & Refutation of some common Misconceptions”
by Dr. Abdur Rahman bin Abdul Kareem Al- ShehaTranslated by: Abu Salman Deya ud-Deen Eberle.