Nifaas ki kam se kam koi had muqarrar nahi
[Sawaal]
Kia nifaas waali ‘Aurat jab chaalees dinon se pehle paak ho jaae to woh Namaz aur Roza adaa kar sakti hai?
[Jawab]
Jab nifaas waali ‘Aurat chaalees dinon se pehle paak ho jaae to us ke liye ghusl, Namaz aur Ramzan ke roze rakhna waajib hai aur Ahl-e-ilm ka ijm’a hai ke us ke shohar ke liye muqaaribat bhi Halaal hai. Yaad rahe nifaas ki kam se kam koi had muqarrar nahi hai. (Wallahu waali Al-Toufeeq)
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…