(Jild-e-Awwal )
Fatwa ‘Uloom-e-Islamiya mein ek Mumtaaz aur mufeed ‘ilm aur fun ka darja rakhta hai. Qur’an-e-Majeed ke mutaall’a se ma’loom hota hai ke khud Allah Ta’ala ne masaail ke jawaab mein fatwa ke asloob ko Qur’an mein bayaan kiya hai. Huzoor Nabi Akram(ﷺ) ki tamaam Ahadees-e-sahiha ‘amalan-e-fatwa ki hesiyat rakhti hain. Aap(ﷺ) ki itteb’a mein khulafa-e-Raashideen ke ‘ilaawa ek sau tees se zaaid Sahaaba Karaam رضى الله عنهم ke fatawa bhi mehfooz hain. Fatwa-e-nawesi se Qur’an-e-Majeed ke ‘umdaah tafseeri nikaat aur Ahadees ki sharah mein ta’abeer-e-naswis ka ‘ilm haasil hota hai. Fataawa ke zariy’e har ‘ehd ke masaail-o-mushkilaat mein Deeni rehnumaai ka iltizaam milta hai. Isi baa’is hum is sha’uba-e-‘ilm ko Islam ki hayaat-e-mustaqbila ki zamaanat tasawwur karte hain. Fatwa-e-nawesi ke bohat se aadaab aur taqaaze hain. Jahan un se Deeni rehnumaai ke liye roshni muyassar aati hai, Wahan ba’az ‘Ulamaaye-e-sau ne gumraahi aur zalaalat ka samaan bhi paida kiya hai.
Pesh-e-Nazar fatawa-e-‘Asar haazir ke teen Mumtaz Sa’udi ‘Ulama aur muftiyaan karaam Samaahat-ul-Shaikh ‘Abdul ‘Azeez Ibn-e-Baaz’ Fazeelat-ul-Shaikh Muhammad-Bin-Saaleh-Bin-Al-‘Usaymeen Rehmaha Allah Ta’ala aur Fazeelat-ul-Shaikh ‘Abdullah-Bin-‘Abdul Rehman Al-Jibreen hifza Allah Ta’ala aur “Al-Lajaanat Al-Daaimat lil iftaa-o-Al-Irshaad” ki ‘ilmi masaa’i ka nateeja hain jin ka bunyaadi istadlaal Kitaab-o-Sunnat aur asaar-e-Sahaaba par mabni hai. apne Isi manhaj aur tarz-e-istadlaal ke baa’is yeh fatawa salfi fikar ki numaaindgi karta hai.’Aqaaid-o-‘ibaadaat se le kar ma’amlaat tak koi pehlu aisa nahi hai jis ke baare mein Kitaab-o-Sunnat ke mutaabiq rehnumaai faraham na ki gai ho. Yoon hum iss se ‘ehd-e-haazir mein masaail-e-Deeni aur umoor-e-Deeni ki islaah ka daairaaht-ul-ma’aaraf qaraar de sakte hain. Daar-ul-Salaam ne is ‘Azeem fatawa ka tarjuma aur us ki tabaa’at ke umoor ko apne riwaayati aur misaali asloob ke mutaabiq pesh kiya hai. Allah Ta’ala is ke mutaall’a ko hamare liye naaf’a aur aakhirat mein muwajjib falaah banaae. Ameen
Professor ‘Abdul Jabaar Shaakir
Daar-ul-Salaam
Kitaab-o-Sunnat ki ishaa’at ka ‘aalmi idaarah
Riyaaz° Jadaah° Shaarja° Lahore° °London°Hewiston° New York
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…