Niyyat ke alfaaz zabaan se adaa karna
[Sawaal]
Wuzu aur Namaz ki niyyat ke alfaaz ko zabaan se adaa karne ke baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Is ka hukm yeh hai ke yeh bidd’at hai kyunke yeh Nabi Kareem (ﷺ) se aur Sahaaba Karaam رضی الله عنهم se saabit nahi hai lehaaza us se tark kar dena waajib hai. Niyyat ka maqaam dil hai lehaaza alfaaz ke saath niyyat ki qat’an koi zaroorat nahi hai. Wallahu waali Al-Toufeeq
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…