Search
Sections
< All Topics
Print

43. Imam Ziya Maqdasi [569 – 643]

Imam Zia Maqaddasi

( M 643H )

 Naam-o-nasab:

Muhammad naam Abu Abdullah kuniyat aur Ziaul Deen laqab tha, nasab naama yeh hai:

Muhammad bin Abdul Wahid bin Ahmad bin Abdul Rehman bin Ismail bin Mansoor ( 1 )

 Wilaadat-o-Watan:

5 Jamaadil Ukhra 569H ko Bayt Al Muqaddas mein paida huye, isi liye Muqaddasi kehlaate thay, woh Saadi aur Saalhi ki nisbaton se bhi mashoor hain magar is ki tehqeeq nahi ho saki keh yeh qabaail-o-ashkhaas ki jaanib nisbatain hain ya maqaamat ki taraf. (2)

 Asatiza: Shayukh ke naam yeh hain:

Ibn al Akhzar,

Ibn-e-Jawzi,

Ibn-e-Sakeena,

Abu Jafir Saidlaani,

Abu al Qaasim Bouseeri,

Abu al Majad Albaaniyaasi,

Abu al Muzaffar Samaani,

Abu al Muaali bin Saabir,

Ahmad bin Mauzeeni,

Abdul Baaqi bin Usmaan,

Haafiz Abdul Ghani,

Abdul Muiz bin Muhammad Bazaaz, Umar bin Ali Juweni,

Faatima bint-e-Saad al Khair,

Mubaarak bin Matoos,

Muwed Tusa,

Yahya Saqfi.

Hafiz Abdul Ghani ke khaas shaagirdon aur Hafiz Salafi, Shahoda aur Ibn Barri waghairah ne un ko riwaayat ki ijaazat di thi. (3)

 Talaamizah:

Ibn-e-Nijaar, Ibn-e-Nuqtah,Sharf bin Naablisi, Umar bin Haajib aur Fakhar Bukhari waghairah un ke Talaamizah mein thay. (4)

 Rehlat-o-Safar:

Baghdad, Dimashq, Misar, Hamdaan, Isbihaan, Mard, Hallab, Haraan, Mousal aur Makkah Muazzamah

waghairah ka safar kiya aur un jaghon ke Ulama-o-Ashaab-e-Kamaal se istifaada kiya, Isbahaan do dafaa gaye aur wahan ke Ulama se faizyaab huye, be shumaar aham kitaabein naqal ki aur goona goon usool-o-fawaid ki tehseel ki. (5)

 Ilm-o-fan se ishtighaal:

Zia Muqaddisi ko Ilm-o-fan se ghair mamooli ishtighaal tha, Ibn Njjaar ka bayaan hai keh main ne Ilm ki talab-o-tehseel ka un se ziyaada shouqeen kisi ko nahi paaya, Ibn Rajab farmaatay hain keh unhone paanch sou se ziyaada Shayukh ki kitaabein naqal ki, Ilm-o-fan se ghair mamooli inihmaak ki bina par unhone kutub khana aur aik Madarsa qayem kiya tha, is ka zikar aage aayega. (6)

 Hifz-o-zabt:

Un ke Hifz-o-zaabit aur Siqah wa saabit honay par Ulama-e-fan ka ittefaq hai, Hafiz Zahabi likhte hain keh: “Muhaddiseen ne un ke haafiza ki tareef ki hai aur Zakki Burzaali ne un ko Siqha, Ibn-e-Njjaar ne Mutqin, Saabit, Siqha, Hujjat, Sadooq aur Nabeel kaha hai, un ke shaagird Umar bin Haajab ka bayaan hai keh woh Hifz-o-Saqaahat mein yaktaaye rozgaar thay. (7)

 Hadees mein darja:

 Zia Muqaddasi ka paaya Hadees mein is qadar buland tha keh Muhaddis Al Sham aur Shaikhul Sunnat kehlaate thay, Ibn-e-Amaad likhte hain keh woh apne zamaana ke saahib-e-kamaal Muhaddisin aur Aayimah fan mein thay, mut’addid majmuay aur takhreejaat un se yaad gaar hain, Shareef Abul Abbas Hussaini farmaatay hain keh woh arsa daraaz tak Hadees ke dars-o-tadrees ki masnad par mutmakin rahay, aur be shumaar Hadeesein riwaayat ki, Umar bin Haajab kehte hain keh hamaaray Ustaaz Abu Abdullah Shaikh waqt aur Hadees se waaqfiyat mein yaktaa-e-rozgaar thay, Haafiz Zahabi ka bayaan hai keh unhon ne riwaayat Hadees mein ghair mamooli talab-o-tahri se kaam liya, Mizi ka bayaan hai keh woh Haafiz Abdul Ghani se Hadees-o-rijaal ke bade Aalim thay aur un ke zamana mein un ke misal koi nah tha.(8)

 Jarah wa Tadeel:

Hadees mein mahaarat aur buland paayegi ka saboot yeh bhi hai keh woh Jarah-o-Tadeel ke Imaam, Fan Rijal ke maahir aur Ahadees ke Amal-o-Istaqaam aur sahih-o-ghalat riwayaat mein naqad-o-imtiyaaz ki poori salaahiyat rakhtay thay, Ibn Najjaar ka bayaan hai keh woh Hadees-o-fan Rijaal ke Aalim aur Rawah ke halaat se ba-khabar thay, Hafiz Zahabi likhte hain keh Zia Jarah-o-Tadeel ke mumtaaz Aalam, Rawah dar haal ke ahwaal ke waaqif kaar aur riwayaat-e-ahadees ke mubassir thay.” (9)

 Fiqh wa Uloom-e-Quran: 

Fiqh aur Qurani Uloom ka zouq bhi tha, Ahl-e-Sair ne un ko Faqeeh wa mujtahid likha hai, Quraanyaat mein unhon ne baaz kitaabain bhi likheen.

 Fazl-o-kamaal:

Zia Muqadasi Ilm-o-fazal mein nihaayat mumtaaz thay, tazkirah nigaaron ka bayaan hai keh “Woh Yagana-e-waqt aur hum asron mein Faaiq-o-bartar thay, Umar bin Hajab un ke baaz Ilami kamalaat bayaan kar ke likhte hain ke Main un jaisay buland paaya shakhs ke kamalaat bayaan karne se qaasir hoon.

Sharf bin Nabilsi kehte hain keh hamaaray Ustaaz Zia ke maanind koi shakhs Sahib fazl-o-kamaal na tha, Sahib Shazraat ka bayaan hai keh woh yaktaa-e-roz gaar thay, “Un ki shohrat mohtaaj-e-bayaan nahi.“(10)

 Zuhd-o-Wara

Zuhd-o-Wara, Tadeen-o-Taqwa aur Ibaadat-o-Riyaazat mein bhi mumtaaz thay, muhaddiseen aur Ulamaa-e-Rajal ne un ke Zuhad-o-itqa, Tadeen-o-inqita Ila Allah ki tareef ki hai aur likha hai keh woh un Ulamaa-e-Rabaneen mein thay jo zikar-o-Ibaadat mein aksar mashgool rehtay thay, Zaki Barzali ka bayaan hai keh woh Mutadeen thay, Ibn Hajab farmaatay hain keh woh Wara-o-Taqwa, Zahid, Abid, akl-e-halal mein mohtaat aur Mujaahid Fi Sabeel Allah thay, meri aankhon ne Iffat, Nazaahat aur paakbaazi mein un ke jaisa aadmi nahi dekha. (11)

 Seerat-o-Akhlaq:

Un ki tabiyat mein badi saadgi aur be takallufi thi aur woh nihaayat mutwaze aur Haleeq thay, Ibn Najjaar ka bayaan hai keh woh husn-e-seerat mein mumtaaz aur be nazeer thay, ( 12)

 Madarsa ka Qayaam:

Damishq mein unhon ne kooh Qaasiyoon ke daaman mein Jame Muzafri ke darwaazay par aik Madarsa ki daagh bail daali, aik riwaayat ke mutaabiq us Madrassa ki bina-o-tameer mein woh khud kaam karte aur is ke liye to raan kisi se koi cheez qubool na karte, unhon ne apne kutub khaanah ki kitaabain us par waqf kar di theen.

Yeh Madarsa Hadees ki Taleem ke liye qayem kiya gaya tha aur mohtaaj-o-zaroorat mand Talba aur door daraaz se aanay waalay is mein Taleem haasil karte thay, un ke baad bhi yeh qayem raha aur baaz logon ne is ke liye apni jaaydadain waqf kar di theen. ( 13)

 Fiqhi Maslak:

Hafiz Ibn Rajab ne Tabqaat-e-Hanabila mein un ka zikar kiya hai, is se zaahir hota hai keh woh Hanbli Al-Mazhab thay.

 Wafaat:

 74 saal ki umar mein do ( 2 ) Shabah 18, Jamaadil ukhra 643ھ ko inteqal kiya aur Jabal Qaasiyoon ke andar dafan kiye gaye.(14)

 Tasneefaat:

 Zia Muqadasi jaleelul qadar musannif thay, unhon ne mutaddid wa mufeed, umdah aur buland paaya kitaaben likheen, jo un ke wus’at-e-Ilm-o-nazar aur uloom-e-hadees mein tabhar ki daleel hain jin kitabon ke naam maloom ho sakay hain woh yeh hain :

 1- Kitaab Al-Ahkaam: 

Teen ( 3 ) jildon mein hai magar na tamam hai.

 2- Al-Hakaayat Al-Mustarfa:

 Kayi juzon mein hai.

 3- Al-Rawah An Al-Bukhaari:

 Aik juz mein hai.

 4- Al-Tab Wa-Ruqqiyat

Kayi juzon mein hai.

 5- Afraad Al-Sahi

 Aik juz mein hai.

 6- Al-Moobqaat

 Kayi juzon mein hai.

 7- Al-Nahi An Sab Al-Sahaba

 8- Al-Hijrah Li Al-Arz Al-Habshah:

 Aik juz mein hai.

 9- Dalaail Al-Nabwat Wal Alanyhaat

Teen juzon par mushtamil hai.

 10- Zm Al-Muaakkir

 Aik juzz.

 Sair Al-Muqadastah: 

Chand jildon mein hai.

 Sahib Shazraat ne ghaaliban isi kitaab ka naam Sabab Hijrah Al-Muqadastah Ila Damishq waKaramaat mushaaykham likha hai aur tasreeh ki hai keh taqreeban das ( 10 ) juzon mein hai, is mein wahan ke Akaabir Ulama ke halaat-o-tarajum darj hain.

 12- Shifa Al-Aleel:

 ( Aik juz )

 12- Siftu Al-Jannat:

 Teen ( 3 ) juzon mein

 13- Siftul Al-Naar:

(Do ( 2 ) juzon mein )

  14- Gharaib Al-Hadees

 ( Noun ( 9 ) juzon mein )

 15- Fazaail Al-Amaal:

( aik jild aur chaar ( 4 ) juzon mein hai, is mein Ahadees ki Sandain hazf kar ke un ke liye Aaymh ki kitaabon ka hawaala dediya hai.

 16- Fazaail Al-Shaam:

 ( Teen ( 3 ) juzon mein hai )

 17- Fazaail Al-Quran:

Ibn Amad ne ghaaliban isi ka naam Fazaail Al-Qurah likha hai.

 18- Qissa-e-Musa:

 ( Aik juz )

 19- Kalaam Al-Amwaat:

 ( Aik juz )

 20- Manaqib Asahaab Al-Hadees:

( Chaar ( 4 ) juzon mein hai )

 21- المختارة في الحديث، اصل نام الاحاديث الجياد المختارة مماليس في الصحيحين او احدهما hai

Yeh badi zakheem kitaab aur taqreeban Nawway ( 90 ) ajzaa par mushtamil hai, magar musannif is ki tameel nahi kar sakay thay, yeh Sahih Ibn Khuzaima Sahih Ibn Hibban aur Sahih Mustadriq ki tarhan ki Kitaab aur un sahih Hadeeson par mushtamil hai jo Sahihain mein darj nahi hain, Sahib Kashaf Al-Zunoon likhte hain is mein sehat ka iltazaam aur un Sahih riwayaaton ko naqal kiya gaya hai, jin ki pehlay tasaheeh nahi ki gayi thi, Shah Abdul Haqq Sahib ka bayaan hai keh Aayimmah Sahah ke ilaawa doosray Ulamaa ne bhi Sahih hadeeson ke majmooay murattab kiye, Zia Muqaddasi ki Al-Mukhtarah isi noiyat ki kitaab hai, is mein un Sahi hadeeson ki takhreej ki gayi hai, jo Sahihain mein nahi hain.

Is ki tarteeb abwab ke bajaaye huroof mujam ke mutaabiq masaneed par ki gayi hai, go Ibn Khuzaima, Ibn Hibban aur Haakim ki kitaabon ki jaisi shohrat Al-Mukhtarah ko haasil nahi hui magar is

(1) شذرات الذہب ج 5 ص 225 بعض کتابوں کا اتحاف النبلا و اعلام اور کشف الظنون میں بھی ذکر ہے.

ka naam un kitaabon ke sath hi liya jaata hai, baaz Ulamaa ke nazdeek mustadrik se ziyaada aham aur buland paaya hai, Hafiz Ibn Kaseer likhte hain keh yeh umdah uloom aur hadeesi fawaaid par mushtamil hai aur Mustadriq Haakim se bhi badh kar hai, hamaaray baaz mashaayikh us ko is par tarjeeh dete hain kaash yeh mukammal ho gayi hoti.”

Hafiz Ibn Taimiyyah aur Allamah Zarkashi se manqool hai keh Zia Muqadasi ki tasaheeh Haakim ki tasaheeh se umdah-o-Aala hai, aur Zarkashi ne yeh bhi kaha hai keh un ki tasaheeh Tirmizi-o-Ibn Hibban ki tasaheeh ke qareeb qareeb hai.

Allamah Ibn Abd Al-Haadi se bhi isi tarhan ka bayaan manqool hai, woh farmaatay hain keh “Al-Mukhtarh mein ghaltiyaan kam hain woh Haakim ki Mutadrik ki tarhan nahi hai jis mein bohat si aisi Hadeesain hain jin ka kazb-o-mauzu hona zaahir hai, isi wajah se is ka darja doosri kitaabon se kamtar hai.”

Sehat ke iltazaam ke bawajood bhi Mukhtarh mein zaeef aur kam darja ki Hadeesain shaamil ho gayi hain lekin un ki tadaad kam hai, Sahib Al-Risaala Al-Mustarfa likhte hain :

“Is ki aksar riwaaytain Musallm hain, aur bohat kam hadeeson par ta’qub kiya gaya hai.”

Allamah Sakhawi farmaatay hain keh Al-Mukhtarh ki jo riwaaytain Sahiheen ya in mein se kisi aik Kitaab mein nahi hain isi tarhan Sahih Abu Awana mein jo Sahih Muslim par mustakhrij hai, bohat si aisi Hadeesain hain jo asal kitab mein nahi hain chunkay un zaayed Hadeeson mein Sahih Husn balkay zaeef Hadeesain bhi shaamil hain is liye un zawaaid ke baaray mein hukm lagaanay mein ahtiyaat karni chahiye.

Al-Mukhtarh ka qalmi nuskha Ibn Kaseer ke haath ka likha hua Germany ke kutub khaanah mein maujood hai. ( 1 )

(۱) کشف الظنون ج 2 ص 398، البدايه نج 13 ص 170، الرسالة المستطرفه ص 22,23 فتح المغيث ص 14

مقدمہ تحفہ الاحوذی ص 122,79.


(1).شذرات الذہب ج 5 ص 224

(2) ایضاً

( 3) ایضاً و تذکر و ج 4 ص 197 دا تحاف النبلا ص 367,368

(4) تذکرة الحفاظ ج 4 ص 197 و شذرات الذہب ج 5 ص 365۔

(5) تزکرة الحفاظ ج 4 ص 197 و شذرات الذہب ج 5 ص 324

 (6) ایضاً

(7) ایضاً

(8) تزکرہ ج 4 ص 197,198 وشذرات ج 5 ص 224.

(9) تذکره ج 4 ص 197 و 198 و شذرات ج 5 ص 224

 (10) شذرات ج ۵ ص 224

(11) ایضاً والبدایہ ج 13 ص

( 11 ) ایضاً والبدایہ ج 13 ص 170

( 12 ) ایضاً و شذرات الذہب ج 5 ص 225

(13 ) تذکرة الحفاظ ج 4

 (14) ص 198 او شذرات الذہب ج 5 ص 229

REFERENCE:
Book: “Tazkeeratul Muhadiseen”
Taleef: ‘Ziya Udddin Islaahi’

امام ضیاء مقدسی

(م ٦٤٣ ھ )

 

نام ونسب:

محمد نام ابو عبداللہ کنیت اور ضیاء الدین لقب تھا، نسب نامہ یہ ہے:

محمد بن عبدالواحد بن احمد بن عبد الرحمٰن بن اسماعیل بن منصور۔ (1)

ولادت و وطن:

۵ جمادی الاخریٰ ۵٦۹ ھ کو بیت المقدس میں پیدا ہوئے ، اسی لیے مقدسی کہلاتے تھے، وہ سعدی اور صالحی کی نسبتوں سے بھی مشہور ہیں مگر اس کی تحقیق نہیں ہوسکی کہ یہ قبائل واشخاص کی جانب نسبتیں ہیں یا مقامات کی طرف ۔ (۲)

اساتذہ: شیوخ کے نام یہ ہیں:

ابن الاخضر،
ابن جوزی،
ابن سکینہ،
ابو جعفر صید لانی،
ابوالقاسم بوصیری،
ابوالمجد البانیا سی،
ابوالمظفر سمعانی،
ابوالمعالی بن صابر،
احمد بن موزینی،
عبدالباقی بن عثمان،
حافظ عبد الغنی،
عبد المعز بن محمد بزاز،
عمر بن علی جوینی،
فاطمه بنت سعد الخیر،
مبارک بن معطوس،
موید طوسی،
یحیٰی ثقفی۔

حافظ عبد الغنی کے خاص شاگردوں اور حافظ سلفی، شہدہ اور ابن بری وغیرہ نے ان کو روایت کی اجازت دی تھی۔ (۳)

تلامذه:

ابن نجار،
ابن نقطه،
شرف بن نابلسی،
عمر بن حاجب اور فخر بخاری وغیرہ ان کے
تلامذہ میں تھے۔ (٤)

رحلت وسفر:

بغداد، دمشق، مصر، ہمدان، اصبہان، مرد، حلب، حران، موصل اور مکہ معظّمہ وغیرہ کا سفر کیا اور ان جگہوں کے علما و اصحابِ کمال سے استفادہ کیا، اصبہان دو دفعہ گئے اور وہاں کے علما سے فیضیاب ہوئے ، بے شمار اہم کتابیں نقل کیں اور گو نا گوں اصول و فوائد کی تحصیل کی۔ (5)

علم وفن سے اشتغال:

ضیاء مقدسی کو علم وفن سے غیر معمولی اشتغال تھا، ابن نجار کا بیان ہے کہ میں نے علم کی طلب و تحصیل کا ان سے زیادہ شوقین کسی کو نہیں پایا، ابن رجب فرماتے ہیں:

کہ انھوں نے پانچ سو سے زیادہ شیوخ کی کتابیں نقل کیں، علم وفن سے غیر معمولی انہماک کی بنا پر انھوں نے کتب خانہ اور ایک مدرسہ قائم کیا تھا، اس کا ذکر آگے آئے گا۔ (6)

حفظ و ضبط:

ان کے حافظ وضابط اور ثقہ و ثابت ہونے پر علما فن کا اتفاق ہے، حافظ ذہبی لکھتے ہیں کہ ”محدثین نے ان کے حافظہ کی تعریف کی ہے اور زکی برذالی نے ان کو ثقہ، ابن نجار نے متقن، ثابت، ثقہ، حجت، صدوق اور نبیل کہا ہے، ان کے شاگر د عمر بن حاجب کا بیان ہے کہ وہ حفظ وثقاہت میں یکتائے روزگار تھے۔ (7)

حدیث میں درجہ:

ضیاء مقدسی کا پایہ حدیث میں اس قدر بلند تھا کہ محدث الشام اور شیخ السنتہ کہلاتے تھے، ابن عماد لکھتے ہیں کہ وہ اپنے زمانہ کے صاحب کمال محدثین اور ائمہ فن میں تھے، متعدد مجموعے اور تخریجات ان سے یاد گار ہیں ، شریف ابو العباس حسینی فرماتے ہیں:

کہ وہ عرصه دراز تک حدیث کے درس و تدریس کی مسند پر متمکن رہے، اور بے شمار حدیثیں روایت کیں، عمر بن حاجب کہتے ہیں کہ ہمارے استاذ ابو عبد اللہ شیخ وقت اور حدیث سے واقفیت میں یکتائے روزگار تھے، حافظ ذہبی کا بیان ہے کہ انھوں نے روایت حدیث میں غیر معمولی طلب و تحری سے کام لیا، مزی کا بیان ہے کہ وہ حافظ عبد الغنی سے حدیث و رجال کے بڑے عالم تھے اور ان کے زمانہ میں ان کے مثل کوئی نہ تھا۔ (8)

جرح و تعدیل:

حدیث میں مہارت اور بلند پائیگی کا ثبوت یہ بھی ہے کہ وہ جرح و تعدیل کے امام، فن رجال کے ماہر اور احادیث کے علل و اسقام اور صحیح و غلط روایات میں نقد و امتیاز کی پوری صلاحیت رکھتے تھے، ابن نجار کا بیان ہے کہ وہ حدیث و فن رجال کے عالم اور رواۃ کے حالات سے باخبر تھے، حافظ ذہبی لکھتے ہیں کہ ضیاء جرح و تعدیل کے ممتاز عالم، رواۃ و رجال کے احوال کے واقف کار اور روایات و احادیث کے مبصر تھے۔“ (9)

فقه و علوم قرآن:

فقہ اور قرآنی علوم کا ذوق بھی تھا ، اہل سیر نے ان کو فقیہ و مجتہد لکھا ہے، قرآنیات میں انھوں نے بعض کتابیں بھی لکھیں۔

فضل و کمال:

ضیاء مقدسی علم وفضل میں نہایت ممتاز تھے، تذکرہ نگاروں کا بیان ہے کہ:
”وہ یگانہ وقت اور ہم عصروں میں فائق و برتر تھے، عمر بن حاجب ان کے بعض علمی کمالات بیان کر کے لکھتے ہیں کہ میں ان جیسے بلند پایہ شخص کے کمالات بیان کرنے سے قاصر ہوں۔“
شرف بن نابلسی کہتے ہیں کہ ہمارے استاذ ضیاء کے مانند کوئی شخص صاحب فضل و کمال نہ تھا، صاحب شذرات کا بیان ہے” کہ وہ یکتائے روزگار تھے ، ان کی شہرت محتاج بیان نہیں۔“ (10)

زہد و ورع:

زہد و ورع، تدین و تقویٰ اور عبادت و ریاضت میں بھی ممتاز تھے، محدثین اور علمائے رجال نے ان کے زہد وانقاء تدین و انقطاع الٰی اللہ کی تعریف کی ہے اور لکھ ہے کہ وو ان علمائے ربانیین میں تھے جو ذکر و عبادت میں اکثر مشغول رہتے تھے ،زکی برذالی کا بیان ہے کہ وہ متدین تھے، ابن حاجب فرماتے ہیں کہ وہ ورع و تقویٰ ، زاہد، عابد، اکلٍ حلال میں محتاط اور مجاہد فی سبیل اللہ تھے، میری آنکھوں نے عفت ،زاہت اور پاکبازی میں
ان کے جیسا آدمی نہیں دیکھا۔ (11)

سیرت و اخلاق:

ان کی طبیعت میں بڑی سادگی اور بے تکلفی تھی اور وہ نہایت متواضع اور حل یق تھے ، ابن نجار کا بیان ہے کہ وہ حسن سیرت میں ممتاز اور بے نظیر تھے، (13)

 

مدرسہ کا قیام:

دمشق میں انھوں نے کوہ قاسیون کے دامن میں جامع مظفری کے دروازے پر ایک مدرسہ کی داغ بیل ڈالی ، ایک روایت کے مطابق اس مدرسہ کی بناء و تعمیر میں وہ خود کام کرتے اور اس کے لیے تورّعاً کسی سے کوئی چیز قبول نہ کرتے، انھوں نے اپنے کتب خانہ کی کتابیں اس پر وقف کر دی تھیں۔ یہ مدرسہ حدیث کی تعلیم کے لیے قائم کیا گیا تھا اور محتاج وضرورت مند طلبہ اور دور دراز سے آنے والے اس میں تعلیم حاصل کرتے تھے، ان کے بعد بھی یہ قائم رہا اور بعض لوگوں نے اس کے لیے اپنی جائدادیں وقف کردی تھیں۔ (14)

فقہی مسلک:

حافظ ابن رجب نے طبقات حنابلہ میں ان کا ذکر کیا ہے، اس سے ظاہر ہوتا ہے کہ وہ حنبلی المذہب تھے۔

وفات:

٧٤ سال کی عمر میں دو شنبہ ۱۸؍ جمادی الاخریٰ ٦٤٣ ھ کو انتقال کیا اور جبل قاسیون کے اندر دفن کئے گئے۔ (15)

تصنيفات:

ضیاء مقدسی جلیل القدر مصنف تھے، انھوں نے متعدد مفید، عمدہ اور بلند پایہ کتابیں لکھیں، جو ان کے وسعت علم ونظر اور علوم حدیث میں تبحر کی دلیل ہیں جن کتابوں کے نام معلوم ہو سکے ہیں وہ یہ ہیں:

١- کتاب الاحکام:

تین جلدوں میں ہے مگر نا تمام ہے ۲۔ الحکایات المتطرفہ کئی جزوں میں ہے، ۳ – الرواة عن البخاری ایک جز میں ہے، ٤۔ الطب والرقیات کئی جزوں میں ہے، ۵۔ افراد انصحیح ایک جز میں ہے، ٦ – الموبقات کئی جزوں میں ہے، ٧۔ انہی عن سب الصحابہ، ٨- البجرة الٰٰى الارض الحبشۃ ایک جز میں ہے، ۹- دلائل النبوۃ والانہیات

تین جزوں پر مشتمل ہے ۱۰- ذم المسکر ایک جزء ١١- سیر المقادستہ چند جلدوں میں ہے، صاحب شذرات نے غالباً اسی کتاب کا نام سبب ہجرة القادمة الٰی دمشق و كرامات مشاٸخہم لکھا ہے اور تصریح کی ہے کہ تقریباً دس جزوں میں ہے، اس میں وہاں کے اکابر علما کے حالات و تراجم درج ہیں۔

تین جزوں پر مشتمل ہے ۱۰- ذم المسکر ایک جزء ١١- سیر المقادستہ چند جلدوں میں ہے، صاحب شذرات نے غالباً اسی کتاب کا نام سبب ہجرة القادمة الٰی دمشق و كرامات مشاٸخہم لکھا ہے اور تصریح کی ہے کہ تقریباً دس جزوں میں ہے، اس میں وہاں کے اکابر علما کے حالات و تراجم درج ہیں۔

۱۲ – شفاء العلیل ( ایک جز ) ١٢- صفة الجزیہ ( تین جزوں میں ،۱۳- صفۃ النار (۲ جزوں میں ) ١٤- غرائب الحدیث (9 جزوں میں )، ۱۵- فضائل الاعمال (ایک جلد اور چار جزوں میں ہے، اس میں احادیث کی سندیں حذف کر کے ان کے لیے ائمہ کی کتابوں کا حوالہ دیدیا ہے ) ١٦- فضائل الشام (تین جزوں میں ہے ) ۱۷- فضائل القرآن، ابن عماد نے غالباً اسی کا نام فضائل القرآۃ لکھا ہے، ۱۸- قصہ موسیٰ (ایک جز ) ۱۹ کلام الاموات (ایک جز) ۲۰ – مناقب اصحاب الحدیث (۱) ٤ جزوں میں ہے ) ۲۱ – المختارة فی الحديث، اصل نام الاحاديث الجياد المختارة مماليس في الصحيحين او احدهما ہے، یہ بڑی ضخیم کتاب اور تقریبا نوے ٩٠ اجزاء پر مشتمل ہے، مگر مصنف اس کی تعمیل نہیں کر سکے تھے، یہ صحیح ابن خزیمہ، صحیح ابن حبان اور صحیح مستدرک کی طرح کی کتاب اور ان صحیح حدیثوں پر مشتمل ہے جو صحیحین میں درج نہیں ہیں، صاحب کشف الظنون لکھتے ہیں اس میں صحت کا التزام اور ان صحیح روایتوں کو نقل کیا گیا ہے، جن کی پہلے تصیح نہیں کی گئی تھی، شاہ عبد الحق صاحب کا بیان ہے کہ اٸمہ صحاح کے علاوہ دوسرے علماء نے بھی صحیح حدیثوں کے مجموعے مرتب کئے ، ضیاء مقدسی کی المختارہ اسی نوعیت کی کتاب ہے ، اس میں ان صحیح حدیثوں کی تخریج کی گئی ہے، جو صحیحین میں نہیں ہیں۔

اس کی ترتیب ابواب کے بجائے حروف معجم کے مطابق مسانید پر کی گئی ہے، گو ابن خزیمہ، ابن حبان اور حاکم کی کتابوں کی جیسی شہرت المختارہ کو حاصل نہیں ہوئی مگر اس

(1) شذرات الذہب ج ۵ ص ۳۲۵ بعض کتابوں کا اتحاف النبلاء، اعلام اور کشف الظنون میں بھی ذکر ہے۔

 

کا نام ان کتابوں کے ساتھ ہی لیا جاتا ہے، بعض علماء کے نزدیک مستدرک سے زیادہ اہم اور بلند پایہ ہے، حافظ ابن کثیر لکھتے ہیں کہ” یہ عمدہ علوم اور حدیثی فوائد پر مشتمل ہے اور متدرک حاکم سے بھی بڑھ کر ہے، ہمارے بعض مشائخ اس کو اس پر ترجیح دیتے ہیں کاش یہ مکمل ہوگئی ہوتی ۔“

حافظ ابن تیمیہ اور علامہ زرکشی سے منقول ہے کہ ضیاء مقدسی کی تصحیح حاکم کی تصحیح سے عمدہ و اعلیٰ ہے، اور زرکشی نے یہ بھی کہا ہے کہ ان کی تصحیح ترمذی و ابن حبان کی تصحیح کے قریب قریب ہے۔

علامہ ابن عبدالہادی سے بھی اسی طرح کا بیان منقول ہے، وہ فرماتے ہیں کہ:

”المختارہ میں غلطیاں کم ہیں وہ حاکم کی مستدرک کی طرح نہیں ہے جس میں بہت سی ایسی حدیثیں ہیں جن کا کذب و موضوع ہونا ظاہر ہے، اسی وجہ سے اس کا درجہ دوسری کتابوں سے کمتر ہے۔“ صحت کے التزام کے باوجود بھی مختارہ میں ضعیف اور کم درجہ کی حدیثیں شامل ہوگئی ہیں لیکن ان کی تعداد کم ہے، صاحب الرسالۃ المتطرفہ لکھتے ہیں:

”اس کی اکثر روایتیں مسلم ہیں، اور بہت کم حدیثوں پر تعقب کیا گیا ہے۔“

علامہ سخاوی فرماتے ہیں کہ:

” المختارہ کی جو روایتیں صحیحین یا ان میں سے کسی ایک کتاب میں نہیں میں اسی طرح صحیح ابوعوانہ میں جو صیح مسلم پر مستخرج ہے، بہت سی ایسی حدیثیں ہیں جو اصل کتاب میں نہیں ہیں چونکہ ان زائد حدیثوں میں صحیح حسن بلکہ ضعیف حدیثیں بھی شامل ہیں اس لیے ان زوائد کے بارے میں حکم لگانے میں احتیاط کرنی چاہئے۔ المختارہ کا قلمی نسخہ ابن کثیر کے ہاتھ کا لکھا ہوا جرمنی کے کتب خانہ میں موجود ہے۔ (16)


(1) شذرات الذہب ج ۵ ص ٢٣٤
(2) ایضاً
( 3) ایضاً و تذکر و ج ٤ ص ۱۹۷ دا تحاف النبلاص ٣٦٧،٣٦٨
(4) تذکرة الحفاظ ج ٤ ص ۱۹۷ و شذرات الذہب ج ۵ ص ۳٦۵۔
(5) تذكرة الحفاظ ج ٤ ص ۱۹۷ و شذرات الذہب ج ۵ ص ٣٢٤

(6) ایضاً
(7) ایضاً
(8) تذکره ج ٤ ص ۱۹۷، ۱۹۸ و شذرات ج ۵ ص ٢٢٤۔
(10) تذکره ج ٤ ص ۱۹۷ و ۱۹۸ و شذرات ج ۵ ص ٢٢٤
(11) شذرات ج ۵ ص ٢٢٤
(12) ایضاً والبدایہ
ج ۱۳ ص ۱۷۰
(13) ایضاً والبدایہ ج ۱۳ ص۱۷۰
(14) ایضاً وشذرات الذہب ج ۵ ص ۲۲۵
(15) تذکرة الحفاظ ج ٤ ص ۱۹۸ و شذرات الذہب ج ۵ ص ٢٢٦۔
(16) کشف الظنون ج ۲ ص ۳۹۸، البدایہ ج ۱۳ ص ۱۷۰، الرسالة المتطرفه ص ۲۲ ,۲۳ فتح المغيث ص ١٤ مقدمہ تحفہ الاحوذی ص ۷۹ و۱۲۲۔

 

 

 

 

Table of Contents