Search
Sections
< All Topics
Print

13. Dadi aur Nani ki wiraasat

 Dadi aur Nani ki wiraasat

 

Daadi say muraad Baap ki Maan aur Baap ki Maan ki Maan yani Daadi or padh-Daadi waghera hain. Aur Nani say muraad Maan ki Maan aur Maan ki Maan ki Maan yani Nani aur padh-Nani waghera hain.

 

Daada ki Maan ki wiraasat kay baarey mein fuqaha kay darmiyaan ikhtilaaf paaya jata hai. Imaam Abu-Hanifah رحمہ اللہ, Imaam Shafi رحمہ اللہ aur Imaam Ahmad رحمہ اللہ kay nazdeek Daada ki Maan waaris hai. Lekin Imaam Maalik رحمہ اللہ kay nazdeek woh waaris nahi hai kiunkeh is ki wiraasat kay baarey mein koi sharai daleel nahi hai.

 

Dadi aur Nani ki wiraasat mein do halatein hain

 

Pehli haalat: Dadi aur Nani ko jaedaad ka chata hissa (1/6) milta hai chahay Dadi ya Nani akeeli ho chahay donon ikatthi masla mein mujood hon, Agar woh donon aik hi darja mein hon to (1/6) un kay darmiyaan baraabar baraabar taqseem kiya jaaye ga. Jab Mayyat ki Maan mujood nah ho.

Misaal 1: Aik aadmi faut ho gaya aur apni Biwi, Dadi ya Nani aur Chacha ko zindah chodha.

Hal: Biwi ko (1/4), Dadi/Nani ko (1/6) milay ga. Aur Chacha Bator-e-Asabah waaris hai. Asal masla (12) hai Biwi ko (3) Dadi/Nani ko (2) aur baqi (7) Chacha Bator-e-Asabah lay ga.

 

 

12

1/4

Biwi

3

1/6

Dadi / Nani

2

ع

Chacha ain

7

 

Misaal 2: Aik aadmi faut ho gaya aur apni Biwi, Dadi, Nani aur Chacha ko zindah chodha.

Hal: Biwi ko (1/4) mila, Daadi aur Naani donon ko (1/6) mila, Aur Chacha Asabah hai. Is ka asal masla (12) hai Biwi ko (4) milay Daadi aur Naani ko (2) har aik ko (1) mila aur baqi (7) Chacha Bator-e-Asabah lay ga.

 

12

 

12

1/4

3

Biwi

3

1/6

2

Dadi

1

 

 

Nani

1

ع

7

Chacha ain

7

 

Doosri haalat: Daadi aur Naani mundarja zail waarison ki mujoodgi mein wiraasat say mahroom hoti hain.

 

(i) Maan: Mayyat ki Maan ki mujoodgi mein Daadi aur Naani donon wiraasat say mehroom hon gi.

 

Misaal: Aik aadmi faut ho gaya. Us nay apni Maan, Daadi, Naani aur A’ini Bhai ko zindah chodha.

Hal:Maan ko (1/3) mila, Daadi aur Naani wiraasat say mahroom aur Bhai Asabah hai. Asal masla (3) hai. Maan ko (1) mila aur baqi (2) Bhai Bator-e-Asabah lay ga.

 

 

3

1/3

Maan

1

م

Daadi

م

Naani

ع

Bhai ain

2

 

(ii) Baap: Mayyat kay Baap ki mujoodgi say sirf Daadi wiraasat say mahroom hogi lekin Nani (1/6) ki haqdaar hai. Lekin Imaam Ahmed رحمہ اللہ kay nazdeek Baap Daadi ko mahroom nahi karta,

Misaal: Aik aadmi faut ho gaya. Aur apnay Baap, Daadi aur Naani ko zindah chodha.

Hal:Is misaal mein Naani ko (1/6) milay ga aur baqi jaedaad Baap Bator-e-Asabah lay ga. Daadi Baap ki wajah say mahroom hogai.

 

(iii) Qareeb wali Daadi (ام الاب) bae’ed wali padh-Daadi (ام ام الاب) aur padh-Naani (ام ام الام) ko wiraasat say mahroom kar day gi. Isi tarhan qareeb wali Naani (ام الام) door waali padh-Naani aur padh-Daadi ko wiraasat say mahroom kar day gi. Yeh Imaam Abu Hanifa رحمہ اللہ aur Imaam Ahmad رحمہ اللہ kay nazdeek hai. Lekin Imaam Maalik رحمہ اللہ aur Imaam Shafi رحمہ اللہ kay nazdeek qareeb wali Naani door waali sab Dadiyon aur Naaniyon ko wiraasat mahroom kar deti hai. Jabkeh qareeb wali Daadi sirf door waali Daadiyon ko wiraasat say mahroom karti hai lekin door waali Naaniyan qareeb wali Daadi kay hamrah chatay hissa (1/6) mein baraabar ki shareek hon gi.

 

Daadi aur Naani ki waarsat ki Daleel

 

1: عَنْ بَرِيدَةَ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ قَالَ : إِنَّ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ جَعَلَ لِلْجَدَّةِ السُّدس إِذَا لَمْ يَكُنْ دُونَها أم  (رواه ابوداود)

 

2:  رواه قبيصة بن ذؤيب قَالَ : جَاءَت الجدة (أم الام) إلى أبي بکر رضی الله عنه فقالت إِنَّ ابن إبنتى مَاتَ وَقد أخبرتُ أن لى في كتاب الله حَقًّا، فَقال أبوبكر مَا أَجِدُ لَكِ فِي كِتَابِ اللهِ مِنْ حَقٌّ وَمَا سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهِ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَضَى لَكِ شَيْئًا فَارْجِعِي حَتَّى أَسْأَلَ النَّاسَ فَسَأَلَ النَّاسَ فَقَالَ الْمُغِيرَةُ بْنِ شُعْبَةَ حَضَرْتُ رَسُول الله صلى الله عليه وسلم أَعْطَاهَا السدسَ فَقَالَ هَلْ مَعَكَ غَيْرُكَ، فَقَامَ مُحَمَّد بن مسلمة الانصاري فقال مثل ما قال المغيرة فأنفذ لها أبوبكر – وفى رواية ثم جاءت أم الاب إليه طلبت ميراثها، فقال أن ذلك السدس بينكما هو لمن أنفرد منكما (رواه أبو داود ،موطا ابن ماجة ، والترمذي وقال حديث حسن صحيح)

 

3: عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ الله عَنْهُمَا أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّه عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَرَّثَ جَدَّةَ سُدسًا ، رواہ ابن ماجۃ

 

 

Mazkoorah ahadees say saabit hota hai keh Daadi aur Naani ki meeraas chata hissa (1/6) hi hai. Woh aik ho ya aik say zayaada. Agar zayaada hon to chata hissa un kay darmiyaan baraabar baraabar taqseem kiya jaye ga.

 

 

REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi.

 

 

Table of Contents