Search
Sections
< All Topics
Print

(22B). AUR JOOTA ZAMEEN PAR RAGADNAY SAY PAAK HO JATA HAI

AUR JOOTA ZAMEEN PAR RAGADNAY SAY PAAK HO JATA HAI

 


[[[[ وَالنَّعۡلُ بِالۡمَسۡحِ ]]]]


( Aur joota zameen par ragadnay say paak ho jata hai{1}).

 

{1} Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:

” إذا وطئ أحدكم بنعله الأذى فإن التراب له طهور “

” Jab tum mein say koi apni jooti ko chaltay huway gandagi laga day to Matti usay paak kar deti hai “…! 

 

…Aik riwaayat mein yeh lafaz hain:

” إذا وطئ الأذى بخفيه فطهورهما التراب “

” Jab koi apnay mauzon kay sath gandagi laga day to Matti unhain paak karnay wali hai ” (1).

 

Sayyiduna Abu Saeed Khudri ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:

Jab tum mein say koi masjid aaye to apnay juton ko phair kar dekhay

” فإن رأى خبثا فليمسحه بالأرض ثم ليصل فيهما “

” Agar kisi mein gandagi dekhay to usay zameen kay sath ragad kar un mein namaz padh lay “(2).

 

Ibn-e-Rislaan ( رحمه الله ) ” Sharah-us-sunan ” mein bayan kartay hain keh lafaz-e-Azaa lughat mein har aisi cheez ko kahtay hain jo gandi ( qabil-e-nafrat ) samjhi jati ho, Khawah woh taahir ho ya najas.(3)

 

( Imam Shaukani ( رحمه الله )

In riwayaat say saabit huwa keh jooti zameen par ragadnay say paak ho jati hai.(4)

 

( Abu Hanifah, Abu Yousuf ( رحمها الله )

Yeh hi mo’aqqaf rakhtay hain.

Imam Auzayi, Imam Abu Saur, Imam Is’haque, Ahl-e-zaahir aur Imam Shafi’e-o-Imam Ahmad ( رحمهم الله ) aik aik riwaayat mein issi kay qaail hain.

 

( Imam Muhammad, Imam Shafi’e ( رحمهما الله ):

Zameen par ragadnay say jooti paak nahi hoti.(5)

Guzishtah sareeh ahadith is mazhab ka radd karti hain.

 

Jooton kay sath mauzon ko paak karnay ka bhi yeh hi tariqah hai, Jaisa keh guzishtah pahli hadith mein is ki wazaahat maujood hai.



(1) SAHIH:

Sahih Abu Daud hadith no: 371, 372

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 385, 386.

Sharah Ma’aani-ul-asaar 1 / 511.

Mustadrak Hakim 1 / 166.

Sunan-ul-kubra baihaqui 2 / 406.

Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 292.


(2) SAHIH:

Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 284.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 650,

Kitab-us-salaah.

Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 1017.

Sahih Ibn-e-Hibbaan hadith no: 360.

Sunan-ul-kubra baihaqui 2 / 431.

Sunan Daarimi 1 / 320.


(3) Sharah Muslim lin-nawawi 2 / 196.


(4) Nail-ul-autaar 1 / 92.



(5) Nail-ul-autaar 1 / 92.

Al-mohalla bil’asaar 1 / 105.



 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents