42. Sharah [Al-Wakeel ; Zuljalali wa Ikraam]
Sharah [Al-Wakeel ; Zuljalali wa Ikraam]
77: الوكيل (Makhloqaat ka kaarsaaz, Nigehbaan )
Irshad baari Ta’alaa hai:
اَللّٰهُ خَالِقُ كُلِّ شَيْءٍ ۡ وَّهُوَ عَلٰي كُلِّ شَيْءٍ وَّكِيْلٌ 62
“Allah har cheez ka peda karne wala hai aur wahi har cheez par nigehbaan hai.” (Al Zumar: 62)
Chunancha Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa apne ‘Ilm-e-Kamaal qudrat aur shaamil hikmat ke zari’ya apni makhloqaat ki Tadbeer-o-Intizaam ka nigehbaan hai, Jis ne apne Aulia ki nighdasht ki hai Lihaza un ke liye aasani aur bhlai ka rasta aasaan kar diya hai mushkilaat se daur rakha hai aur tamaam mu’amlaat mein un ke liye kaafi hai .
Lihaza jo Allah ko apna wakeel aur karsaaz banaaye ga Allah us ke liye kaafi hoga, Irshad baari hai:
اَللّٰهُ وَلِيُّ الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا ۙيُخْرِجُهُمْ مِّنَ الظُّلُمٰتِ اِلَى النُّوْرِ
“Imaan laane walon ka karsaaz Allah Ta’alaa khud hai. Woh unhain andheron se roshni ki taraf nikaal le jata hai .”
(Al Baqarah: 257)
78: ذوالجلال والاكرام ( Azmat-o-Izzat wala )
Y’ani Allah Ta’alaa ‘Azmat-o-Kibriyai wala, Aur rahmat sakhawat aur Aam-o-Khaas ahsaan wala hai.
Neez apne Aulia aur barguzedon ki izzat afzai karne wala hai. Jo us ki badai bayaan karte hain us ki tazeem karte hain aur us se mohabbat karte hain. (Taiseer-ul-Kareem-e-Al Rahman Fi Tafseer Kalam-e-Al Mannan: 5/626)
Allah Azzawajal ka irshad hai:
تَبٰرَكَ اسْمُ رَبِّكَ ذِي الْجَلٰلِ وَالْاِكْرَامِ 78ۧ
“Taire Parwar-Digaar ka naam ba barkat hai jo Izzat-o-Jalaal wala hai.” (Al Rahmaan: 78)
79: جَامِعُ النَّاسِ لِيَوْمٍ لا ريب فيه ( logon ko aik din jama karne wala jis mein koi shareek nahi )
Irshad baari Ta’alaa hai:
رَبَّنَآ اِنَّكَ جَامِعُ النَّاسِ لِيَوْمٍ لَّا رَيْبَ فِيْهِ ۭ اِنَّ اللّٰهَ لَا يُخْلِفُ الْمِيْعَادَ Ḍۧ
“Aey hamare Rab! Tu yaqeenan logon ko aik din jama karne wala hai jis ke aane mein koi shak nahi yaqeenan Allah Ta’alaa wadah khilafi nahi karta.” (Aal-e-Imraan: 9))
Chunancha Allah Ta’alaa hi logon ko jama karne wala hai, Aur un ke aamaal aur roziyon ko ikhatta karnay wala hai. Un mein se kisi bhi choti badi cheez ko shumaar kiye baghair na chode ga.
Neez Allah Ta’alaa apni kamaal qudrat aur was’ee ‘ilm ke zari’ya agle pichlle bikhare hue aur matti mein tahleel hue murdon ko bhi ikhatta karne wala hai.
(Tafseer Allamah Abdul Rahman bin Nasir Al Saadi: 5/627 )
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.