Saufiya ke peeche Namaz ka hukm
[Sawaal]
:
Saufiya kon log hain? Kia un ke peeche Namaz jaaiz hai?
[Jawab]
Saufiya asal mein woh zaahid log hain jo taqasshuf (Muflisi aur darwesh) ki wajah se bhaid bakriyon ki soof (Aun) ke kapde pehente the, ba’d mein un mein bidd’aat’ Raqs-o-surood aur amrad ladkon ki sohbat waghaira jaisi kharaabiyaan paida ho gaein. ‘Ilaawa azeen un mein tasawwur Shaikh aur wahdat-ul-wajood jaise ghalat ‘aqaaid paida ho gae lehaaza ghaali sufiyon ki iqtida mein Namaz adaa karna durust nahi ‘aam sufiyon ki iqtida mein Namaz durust hai.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…