Kuch Namaazon mein qiraat jahri hai aur kuch mein nahi
[Sawaal]
Maghrib , ‘Isha aur subah ki Namaazon mein qiraat jahri kio hai aur doosri Namaazon mein kio nahi aur is ki daleel Kia hai?
[Jawab]
Un Namaazon mein qiraat jahri karne mein jo hikmat hai, us se to Allah Subhaan-o-Ta’ala hi behtar jaanta hai, Bazaahir yoon ma’loom hota hai ke log raat aur subah ke jahri Namaazon ke auqaat mein Zuhr-o-‘Asar ki nisbat mein qiraat se astifaadah ke ziyaada qareeb hote hain kyunke un auqaat mein un ke mashaaghil bhi nisbatan kam hote hain. Wallahu A’lam.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…