05. MASH’HOOR ASMAA-E-HUSNA KI FEHRIST – AIK JAA’IZAH ⊘
05. MASH’HOOR ASMAA-E-HUSNA KI FEHRIST – AIK JAA’IZAH
Mash’hoor Asmaa-e-Husna ki fehrist jo Waleed bin Muslim ki riwaayat se maujood hai (Tirmizi: 3507) woh sanad paanch buniyaadon par
(Ya’ani: tafarrud, shaaz, muztarab, mudallas aur mudraj hone ki wajah se) muhaddiseen ke paas qaabil-e-radd hai.
(Dekhiye: Fath-ul-Baari: takhreej-e-hadees: 6410, is Hadees par kalaam karne walon mein Baghawi (Sharh-us-Sunnah: 5/35), Baihaqi (Al-Asma was-Sifaat: Safhah: 19), Ibn-e-Kaseer (ولله الاسماء الحسنی……ki tafseer mein), Ibn-e-Hazam (Al-Muhalla li-Ibn-e-Hazam: 11/220), Ibn-e-Usaimeen (Al-Qawaa’id-ul-Muthla), Ibn-ul-Qayyim (Madaarij-us-Saalikeen: 3/307), Ibn-e-Taymiyyah (Majmoo-ul-Fatawa: 6/379), Albaani (Zaeef At-Tirmizi) (Rahimahumullah) shaamil hain.)
Imam Tirmizi (Rahimahullah) ne Hadees zikar karne ke ba’ad likha keh: Yeh Hadees Ghareeb hai.
Imaam Ibn-e-Hazam (Rahimahullah) farmaate hain: Aisi koi hadees sahih nahi jis mein Allah ke saare naamon ko jamaa kiya gaya hai.
(Al-Muhalla li-Ibn-e-Hazam: 11/220)
Shaikh Abdul Muhsin Al-Abbaad, Shaikh Alawi Abdul Qaadir Al-Saqqaaf, Doctor Mahmood Abdul Razaq Al-Rizwaani aur Abdullah bin Saaleh Al-Fauzaan (Athaabahumullah) ki tahqeeq ke mutaabiq is riwayat mein
ikkees / 21 aise naam Allah ki taraf mansoob kiye gaye hain jis par Qur’an-o-Sahih Hadees se koi daleel nahin hai, na Asma-e-Mutlaqa mein aur na hi Asma-e-Muqayyadah mein is ka koi zikr hai.
Woh ikkees / 21 naam yeh hain:
⊘ Al-Khaafiz,
⊘ Al-Mu’izz,
⊘ Al-Muzill,
⊘ Al-Adl,
⊘ Al-Jaleel,
⊘ Al-Baa’is,
⊘ Al-Muhsi,
⊘ Al-Mubdi,
⊘ Al-Mu’eed,
⊘ Al-Mumeet,
⊘ Al-Waajid,
⊘ Al-Maajid,
⊘ Al-Waali,
⊘ Al-Muqsit,
⊘ Al-Mughni,
⊘ Al-Maani,
⊘ Az-Zaarr,
⊘ An-Naafi,
⊘ Al-Baaqi,
⊘ Ar-Rasheed,
⊘ As-Saboor.
Shaikh Muhammad bin Khaleefah At-Tamimi aur Doctor Mahmood Abdul Razzaaq Ar-Rizwaani (Athaabahumallah) ke mutaabiq is riwayat mein
aath 8 aise naam hain jin ka ta’alluq Asma-e-Mutlaqa mein se nahin hai balkeh Asma-e-Muqayyadah ya Asma-e-Muzaafah mein se hain.
Woh aath 8 naam yeh hain:
⊘ Al-Raafi,
⊘ Al-Muhyi,
⊘ Al-Muntaqim,
⊘ Al-Jaami,
⊘ An-Noor,
⊘Al-Haadi,
⊘ Al-Badi,
⊘ Zul-Jalaali wal-Ikraam.
Note: Ma’aloom huwa keh Waleed bin Muslim ki riwayat mein 21 aise naam Allah ki taraf mansoob kiye gaye hain jin par Qur’an-o-Sahih Hadees se koi daleel nahin hai, na Asma-e-Mutlaqa mein aur na hi Asma-e-Muqayyadah mein us ka koi zikr hai. Aur 8 aise naam hain jin ka ta’alluq Asma-e-Mutlaqa mein se nahin hai balkeh Asma-e-Muqayyadah ya Asma-e-Muzaafah mein se hain. Wallahu A’alam.
BOOK: 99 Beautiful Names of Allah
Mualif: Dr. Shaikh Arshad Basheer Umari Madani (Hafizahullah)
Muraaja’ah Shaikh Abdul Azeem Madani (Hafizahullah)
Doctor R K Noor Muhammad (Rahimahullah)