Search
07. ASMAA-O-SIFAAT KE MA’ANOON MEIN TADABBUR AUR GHAUR KARNE KE FAAIDE
07. ASMAA-O-SIFAAT KE MA’ANOON MEIN TADABBUR AUR GHAUR KARNE KE FAAIDE
- Allah ka Chehra Qayaamat ke din dekhne ka shauq paida hota hai aur emaan-o-amal, da’awat, islaah aur sabr par qaa’im rahne ka jazbah bhi paida hota hai.
- Da’awati maidaan mein ghair Muslim Hazraat ko Allah ka ta’aaruf paish karne mein madad milti hai.
- Muslim aur ghair Muslim ke andar Allah ki azmat ka ihsaas aur shu’oor paida hota hai.
- Emaan ki ziyaadati aur taro-taazagi naseeb hoti hai.
- Allah se ta’alluq mazboot hota hai.
- Zaahiri aur baatini taur par Allah ka khauf-o-khashiyat paida hone ka zariya hai.
- Asmaa-o-Sifaat ka sahih ilm shu’oor ke saath aqaa’id, ibaadaat aur mu’aamalaat ke sudhaar ke liye madad karta hai.
- Aazmaa’ishon mein saabit qadami aur zulm se apne aap ko bachaane ka ihsaas paida hota hai.
- Allah ki muhabbat paida hoti hai, khauf, umeed, tawakkul aur deegar khasaail-e-hameedah aur a’amaal-e-saalihah paida hote hain.
- Allah ki naa-farmaani karne mein hayaa aati hai aur Allah ke ahkaam par amal, Us ke nifaaz ka jazbah aur adab paida hota hai.
- Apne aibon ki islaah par nazar hoti hai.
BOOK: 99 Beautiful Names of Allah
Mualif: Dr. Shaikh Arshad Basheer Umari Madani (Hafizahullah)
Muraaja’ah Shaikh Abdul Azeem Madani (Hafizahullah)
Doctor R K Noor Muhammad (Rahimahullah)