03. Allah Ke Asmaa-e-Husna ke Dalaa’il, Fazaa’il, Ahamiyyat aur Taqaaze
Allah Ke Asmaa-e-Husna ke Dalaa’il, Fazaa’il, Ahamiyyat aur Taqaaze
وَلِلَّهِ الْأَسْمَاءُ الْحُسْنَى فَادْعُوهُ بِهَا وَذَرُوا الَّذِينَ يُلْحِدُونَ فِي أَسْمَائِهِ سَيُجْزَوْنَ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ (7:180)
Tarjumah: Aur achhe achhe naam Allah hi ke liye hain so un naamon se Allah hi ko mausoom kiya karo aur aise logon se ta’alluq bhi na rakho jo Us ke naamon mein kaj rawi karte hain, un logon ko un ke kiye ki zaroor saza mile gi.
Abu Hurairah (Razi Allah Anhu) se riwaayat hai keh Nabi (ﷺ) ne farmaaya: Beshak Allah Ta’aala ke 99 naam hain, 100 se aik kam, jis ne unhen seekha aur unhen yaad kiya aur un par amal kiya woh Jannat mein jaaye ga.
(Sahih Bukhari: 2376, Sahih Muslim: 7762)
Allamah Ibn-e-Qayyim (Rahimahullah) farmaate hain: Hadees mein lafz “Ihsaa” istemaal huwa hai us ke mundarjah zail ma’ani hain:
(1) Un ko hifz karna
(2) Un ke ma’ani ko jaan’na
(3) Un Asmaa ka jo taqaaza hai us par amal karna
Jab is baat ka ilm ho keh Allah Ta’aala “Al-Ahad” hai to us ke saath kisi ko shareek na thehraaya jaaye aur jab yeh ilm ho keh Allah Ta’aala “Ar-Razzaaq” hai to us ke ilaawah kisi se bhi rozi talab na ki jaaye aur jab us ka ilm ho keh Allah Ta’aala “Ar-Raheem” hai to us ki Rahmat se naa umeed nahi hona chahiye aur isi tarah doosre Asmaa ke baare mein.
(4) Allah Ta’aala ke in Asmaa ke saath Allah Ta’aala se du’aa karna chahiye. Jaisa keh Allah Ta’aala ka farmaan hai: (Aur Allah Ta’aala ke achhe achhe naam hain use un naamon ke saath pukaaro) aur woh is tarah keh yeh kaha jaaye Aye Rahmaan! Tu raham karne wala hai mere haal par raham kar, aur Aye Ghafoor! Tu bakhshne wala hai mere gunaah bakhsh de, aur Aye Tawwaab! Tu taubah qubool karne wala hai meri taubah qubool farma, aur isi tarah doosre Asmaa ke saath bhi.
BOOK: 99 Beautiful Names of Allah
Mualif: Dr. Shaikh Arshad Basheer Umari Madani (Hafizahullah)
Muraaja’ah Shaikh Abdul Azeem Madani (Hafizahullah)
Doctor R K Noor Muhammad (Rahimahullah)