Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

07. ASMAA-O-SIFAAT KE MA’ANOON MEIN TADABBUR AUR GHAUR KARNE KE FAAIDE

07. ASMAA-O-SIFAAT KE MA’ANOON MEIN TADABBUR AUR GHAUR KARNE KE FAAIDE

 

  1. Allah ka Chehra Qayaamat ke din dekhne ka shauq paida hota hai aur emaan-o-amal, da’awat, islaah aur sabr par qaa’im rahne ka jazbah bhi paida hota hai.

 

  1. Da’awati maidaan mein ghair Muslim Hazraat ko Allah ka ta’aaruf paish karne mein madad milti hai.

 

  1. Muslim aur ghair Muslim ke andar Allah ki azmat ka ihsaas aur shu’oor paida hota hai.

 

  1. Emaan ki ziyaadati aur taro-taazagi naseeb hoti hai.

 

  1. Allah se ta’alluq mazboot hota hai.

 

  1. Zaahiri aur baatini taur par Allah ka khauf-o-khashiyat paida hone ka zariya hai.

 

  1. Asmaa-o-Sifaat ka sahih ilm shu’oor ke saath aqaa’id, ibaadaat aur mu’aamalaat ke sudhaar ke liye madad karta hai.

 

  1. Aazmaa’ishon mein saabit qadami aur zulm se apne aap ko bachaane ka ihsaas paida hota hai.

 

  1. Allah ki muhabbat paida hoti hai, khauf, umeed, tawakkul aur deegar khasaail-e-hameedah aur a’amaal-e-saalihah paida hote hain.

 

  1. Allah ki naa-farmaani karne mein hayaa aati hai aur Allah ke ahkaam par amal, Us ke nifaaz ka jazbah aur adab paida hota hai.

 

  1. Apne aibon ki islaah par nazar hoti hai. 

 

 

BOOK: 99 Beautiful Names of Allah
Mualif: Dr. Shaikh Arshad Basheer Umari Madani (Hafizahullah)
Muraaja’ah Shaikh Abdul Azeem Madani (Hafizahullah)
Doctor R K Noor Muhammad (Rahimahullah)
Table of Contents