Search
Sections
< All Topics
Print

(57) WUZOO MEIN MUWALAAT (PAY DAR PAY AAZAA KO DHAUNA) WAJIB HAI

(57) WUZOO MEIN MUWALAAT ( PAY DAR PAY AAZAA KO DHAUNA ) WAJIB HAI

 

 

Sayyiduna Omar Ibn-e-Khattab ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh aik admi nay wuzoo kiya to us kay qadam par aik nakhun kay barabar jagah khushak rah gayi, Chunancheh Nabi ﷺ nay usay dekha to farmaya:

” إرجع فأحسن وضوء “

” Wapis jaao aur apna wuzoo dorust karo “

Woh shakhs wapis gaya aur wuzoo karnay kay baad namaz padhi.(1)

 

Is hadith say maloom huwa keh muwalaat zaruri hai, Kiyonkeh Nabi ﷺ nay usay wuzoo karnay ka hukam diya na keh siraf khushak jagah ko dhaunay ka.

 

( Imam Nawawi ( رحمه الله )

Guzishtah baat ka rad kartay huway raqam-e-taraaz hain keh is hadith mein ihtemaal hai keh Ap ﷺ nay usay dobara wuzoo karnay ka kaha ya ussi wuzoo ko mukammal karnay ka hukam diya,

Aur ihtemaal say wujoob saabit nahi hota.(2)

 

Wazih rahay keh dusri hadith kay alfaaz Imam Nawawi ( رحمه الله ) ki is baat ka rad kartay hain,

Jaisa keh hadith mein hai keh:

” أمره رسول الله ﷺ أن يعيد الوضوء “

” Nabi ﷺ nay usay dobara wuzoo karnay ka hukam diya “.(3)

 

( Shams-ul-haqque Azeem abadi( رحمه الله )

Is hadith mein muwalaat kay wujoob par sareeh daleel maujood hai.(4)

 

( Imam Malik, Imam Ahmad( رحمهما الله )

Muwalaat wajib hai.(5)

 

( Imam Shafie, Imam Abu Hanifah( رحمهما الله )

Muwalaat zaruri nahi.(6)

 

( RAAJIH )

Muwalaat wajib hai.(7)

 

( Shaikh Saalih Al-usaimin ( رحمه الله )

Unhon nay bhi issi kay mutabiq fatwa diya hai.(8)




(1) Musnad-e-Ahamd 1 / 21.

Sahih-ul-Muslim hadith no: 243,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 666.


(2) Sharah-ul-Muslim 3 / 33.


(3) SAHIH:

Sahih Abu Daud hadith no: 161,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 175.

Musnad-e-Ahamd 3 / 146.


(4) Aun-ul-mabood 1 / 68.


(5) Al-mudawwanat-ul-kubra hadith no: 1531.

Hashiyat-ud-dusooqui 1 / 90.

Al-kaafi 1 / 32.

Al-insaaf 1 / 139.

Kashaaf-ul-qanaa 1 / 93.

Al-moharrar 1 / 12.


(6) Al-ummo 1 / 30.

Al-Majmoo’u 1 / 451.

Rauzat-ut-talibeen 1 / 64.

Mughni-ul-mohtaaj 1 / 61.

Al-mabsoot 1 / 56.

Al-hidayah 1 / 13.

Hashiyah Ibn-e-Abideen 1 / 122.


(7) Al-sail-ul-jaraar 1 / 92.

Al-mughni li-Ibn-e-Qudamah 1 / 158.


(8) Fatawah Ibn-e-usaim 4 / 141.

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents