Search
Sections
< All Topics
Print

07. ISTETAAT QUDRAT HONAY KAY BA WAJOOD HAJJ NA KARNA [Not performing hajj when able to do so]

ISTETAAT QUDRAT HONAY KAY BA WAJOOD HAJJ NA KARNA

Allah ta’ala ne farmaya:

 

وَ لِلّٰهِ عَلَى النَّاسِ حِجُّ الْبَیْتِ مَنِ اسْتَطَاعَ اِلَیْهِ سَبِیْلًاؕ

 

“Allah ki taraf se logon par farz hai keh jo us tak pohonchne ki taqat rakhe woh khana ka’abah ka Hajj kare”

(Aal-e-Imran 3:97)

 

Aur Nabi ﷺ ne farmaya: 

 

“Jo shakhs zaade raah aur sawari rakhta ho Jo use baitullahil Haram ka Hajj karne tak pohoncha de aur woh phir bhi Hajj na kare tou phir us par is baat ka koi haraj nahin keh woh yahudi faut ho ya eesai”

[Tirmidhi aur Baihiqi ne a’war ki sanad se Ali رضي الله عنه se riwayat kia hai aur Baihiqi mein Abu umama رضي الله عنه se marwi riwayat iska Shahid hai]

 

Aur yeh islie hai keh Allah ta’ala farmata hai :

 

وَ لِلّٰهِ عَلَى النَّاسِ حِجُّ الْبَیْتِ مَنِ اسْتَطَاعَ اِلَیْهِ سَبِیْلًاؕ

 

Allah ki taraf se logon par farz hai keh jo us tak pohonchne ki taqat rakhe woh khana ka’abah ka Hajj kare”

(Aal-e-Imran 3: 97)

 

Umar bin Khattab رضي الله عنه ne farmaya:

“Main ne iradah kia keh main un shehron ki taraf aadmi bhejun taakeh woh is cheez ka jaaiza len keh jo log taqat hone kay bawajud Hajj nahin karte , tou woh ese logon par jizya Laga den, kyun keh woh musalman nahin hain” [Saeed bin Mansoor ne Hasan Basri se apni Sunan mein riwayat kia hai]

 

Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya:

“Jo shakhs na Hajj karta hai na apne maal ki zakat adaa karta hai tou woh maut kay waqt dobara Dunia ki Zindagi ka sawal karta hai, unse kaha gaya: is tarah ka sawal tou kafir karte hain, unhon ne kaha: ye cheez Allah ta’ala ki kitab mein hai:

 

وَ اَنْفِقُوْا مِنْ مَّا رَزَقْنٰكُمْ مِّنْ قَبْلِ اَنْ یَّاْتِیَ اَحَدَكُمُ الْمَوْتُ فَیَقُوْلَ رَبِّ لَوْ لَاۤ اَخَّرْتَنِیْۤ اِلٰۤى اَجَلٍ قَرِیْبٍۙ-فَاَصَّدَّقَ وَ اَكُنْ مِّنَ الصّٰلِحِیْنَ۞

 

“Aur ham ne jo kuch tum ko de rakha hai isse pehle keh Tum mein se kisi ek ko maut ae (hamari raah mein) kharch karo, warna kahega; ae mere Rabb! Tu ne mujhe thori muddat tak dheel kyun na di tou main khairaat karta aur naik bandon mein se hota”

Al Munafiqoon 63: 10)

 

فأصدق
Ya’ani main zakat adaa karta

واكن من الصالحين
Ya’ani main Hajj karta 

 

وَ لَنْ یُّؤَخِّرَ اللّٰهُ نَفْسًا اِذَا جَآءَ اَجَلُهَاؕ-وَ اللّٰهُ خَبِیْرٌۢ بِمَا تَعْمَلُوْنَ۠۞

 

“Aur jab kisi ki maut ajae tou Allah use qat’an koi dheel nahin deta aur jo kuch tum karte ho, Allah isse Puri tarah waqif hai”

(Al munafiqoon 63:11)

 

Unse pucha gaya, zakat kitne (maal) par wajib hoti hai? Unhon ne farmaya: 200 dirham aur uski qeemat kay sone par, phir pucha gaya: kin halat mein wajib hota hai? Unhon ne kaha: zaade raah aur sawari hone ki surat mein Hajj wajib hojata hai

Saeed bin Jubair رضي الله عنه ne farmaya:

Mera ek maal daar aur khush haal parosi faut ho gaya, us ne Hajj nahin kia tha, pas main ne uski namaze janazah nahin parhai.

 

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.
Episode 7 || Poem On Major Sins ||Urdu Course with Shaikh Zafar Ul Hasan Madani #amau

Table of Contents