Search
Sections
< All Topics
Print

28. HARAM KHANA AUR USSAY HASIL KARNA [Consuming & receiving unlawful property]

HARAM KHANA AUR JIS TARAH BHI HO USE HASIL KARNA: 

 

Allah عزوجل ne farmaya:

 

وَلَا تَأْكُلُوٓا۟ أَمْوَٰلَكُم بَيْنَكُم بِٱلْبَٰطِلِ

 

“Aur apas mein nahaq aik dusre ka maal na khao”

Al-Baqara 2: 188

Ya’ani tum mein se koi nahaq kisi ka maal na khae, Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya: ya’ani aadmi baatil jhuti qasam kay zarie apne bhai ka nahaq tareeqe se maal na khae, aur nahaq tareeqe se maal khana do tarah se hai:

(1) Zulm kay taur par jese ghasab, khiyanat aur chori

(2) Hansi mazaq aur khel waghera kay zarie jesa keh juwe aur aalate lahwo la’ib aur is tarah kay zaraae’ se

RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Jo log Allah kay maal mein nahaq tasarruf karte hain, un kay lie Roz-e-Qayamat aag hogi” [Bukhari]

Sahih muslim mein hai jab Nabi ﷺ ne zikar farmaya: “aadmi dur daraz ka safar tay karta hai, paragandah haal, bikhre baal, paun gard aalood hain, woh aasman ki taraf hath buland karta hai aur kehta hai ae Rabb! ae Rabb! Jab keh uska khana, uska peena aur uska libas haram hai uski ghiza hi haram hai, tou aise shakhs ki dua kese qubool hogi”

Anas رضي الله عنه bayan karte hain: main ne arz kia: Allah kay Rasul! Allah se dua farmaen keh woh mujhe mustajabud da’wat bana de tou aap ne farmaya:

“Anas! Apni kamai pakeezah kar le, teri duaen qubool hongi, kyun keh aadmi haram ka luqmah Apne munh ki taraf uthata hai tou uski 40 roz tak dua qubool nahin hoti “

Baihiqi ne apni asnad se riwayat kia hai keh RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Beshak Allah ne tumhare mabain tumhare akhlaq taqseem kie jis tarah us ne tumhare darmian rizq taqseem kie aur Allah Dunia apne pasando napasand sabko deta hai lekin woh deen apne sirf pasandeedah shakhs ko hi ataa karta hai, pas Allah jis shakhs ko deen ataa kar de tou woh uska pasandeedah shakhs hai aur bandah jo haram maal kamata hai aur woh us mein se kharch karta hai taakeh us mein us kay lie barkat ho, aisa nahin hota aur woh us mein se jo sadqah karta hai woh bhi qubool nahin hota aur jo maal apne peeche chor jata hai tou woh uska Jahannum ki taraf zaade rah hai kyun keh Allah burai kay zarie burai ko khatam nahin karta balkeh woh naiki kay zarie burai ko khatam karta hai”

Ibne Umar رضي الله عنه bayan karte hain, RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Dunia sheereen wa sarsabzo shadab hai, jis ne us mein halal tareeqe se kamaya, use us kay haq mein kharch kia, Allah ne use sawab ataa kia aur use apni jannat mein dakhil kardia aur jis shakhs ne us mein najaiz tareeqe se maal kamaya aur use nahaq kharch kia tou Allah ta’ala use zillato ruswai kay ghar mein dakhil farmaega aur basaa oqat (nafs ki khuwahish par haram mein) tasarruf karne wale kay lie Qayamat kay roz Jahannum hogi”

Aur Aap ﷺ se marwi hai keh aap ne farmaya:

“Jo shakhs is cheez ki parwah nahin karta keh us ne maal kahan se kamaya hai tou Allah bhi parwah nahin karega keh woh use kia darwaze se Jahannum mein dakhil farmaega “

Abu Huraiah رضي الله عنه bayan karte hain :

“Tum mein se koi shakhs apna munh matti mein dale yeh usse behtar hai keh woh apna munh haram mein dakhil kare” [Ahmad]

Yousuf bin Asbat ne farmaya: jab naujawan ibadat karta hai tou shaitan apne himayaton se kehta hai: dekho iska khana kesa hai? Agar uska khana bura ho tou kehta hai: use chor do, use takleef aur mashaqqato thakawat bardasht karne do, tumhare lie yeh khud hi kaafi hai, kyun keh iska haram kha kar mehnato koshish karna is kay lie nafa’mand nahin aur aap ﷺ kay farman se iski taaid hoti hai, jab aap ne us aadmi kay muta’alliq farmaya tha jiska khana pina to aur libas haram tha, uski ghiza aur parwarish haram se thi , iski dua kese qubool ho? Aik Hadith mein marwi hai keh Baitul maqdas par aik farishta har roz har ray awaz deta hai:

“Jo shakhs haram khata hai Allah uska nafil qubool karta hai na farz”

Abdullah bin Mubarak ne farmaya: agar main mushabeh aur mashkook ek dirham lene se inkar kar dun tou yeh mujhe ek lakh dirham sadqah karne se ziada pasand hai”

Aur Nabi ﷺ se marwi hai keh aap ne farmaya:

“Jo shakhs haram maal se Hajj kare aur woh kahe labbaik “main hazir hun” tou farishta jawab deta hai: teri hazri qubool hai na tera ana baa’ise sa’adat hai, tera hajj qubool nahin” [1]

Imam Ahmed ne apni masnad [2] mein RasullAllah ﷺ se riwayat kia hai keh aap ne farmaya: “Jo shakhs 10 dirham ka kapra khareede aur uski qeemat mein ek dirham haram kamai se ho tou jab tak woh kapra us kay jisam par rahega, Allah uski namaz qubool nahin karega”

Wahab bin Ward bayan karte hain: agar tum sutoon ki tarah (hamesha) qiyam karo, tou yeh tere lie tab nafa’mand hai keh tu yeh dekhe keh tere pait mein halal dakhil hota hai ya haram

Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya:

“Allah us shakhs ki namaz qubool nahin karta jab keh us kay pait Mein haram ho hatta keh woh is baare mein Allah kay huzoor taubah kare”

[1] Tabrani ne Hadith Abu Hurairah se riwayat kia hai , iski sanad mein Sulaiman bin Dawood Al yamani za’eef hai
[2] Ibne amr ki Hadith se marwi hai keh iski sanad mein Hashim hai, haismi use nahin pehchante , is kay zo’af ki taraf ishara kia hai

 

Sufian Sauri ne farmaya: “Jo shakhs haram maal naik kaam mein kharch karta hai woh us shakhs ki tarah hai jo paishab se kapra paak karta hai jab keh kapra tou pani se paak saaf hota hai aur gunah halal se khatam hota hai “

Umar رضي الله عنه ne farmaya:

Ham haram mein waqe’ hone kay andeshe se halal kay 10 mein se 9 hisse bhi chor dia karte the

Ka’ab bin Ujra bayan karte hain RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Haram se tayyar hone wala jisam jannat mein nahin jaega “ [Tirmidhi; Ibne Hibban]

Zaid bin Arqam bayan karte hain: Abu Bakr ka aik ghulam tha jo un kay lie khiraj wusool kia karta tha ya’ani woh un kay maal par mamoor tha, woh har roz khiraj le kar ata tou ap us se puchte keh tum ise kahan se le kar ae ho? Agar ap use pasand karte tou use kha lete warna chor dete, bayan karte hain keh aik rat woh ap kay pas khana le kar aya , Abu Bakr roze se the, unhon ne usse aik luqma Lelia, ap usse puchna bhul gae, phir unhon ne pucha keh tum ise kahan se lae ho? Us ne jawab dia keh woh daure jahiliyat mein logon kay lie kahanat kia karta tha, halan keh main achi tarah kahanat nahin janta tha, main tou bas unhen dhoka deta tha, Abu Bakr ne farmaya: Tum par afsos ho, Tum tou mujhe halak karne lage the! Phir ap ne apna hath apne munh mein dala aur qay karne lage, lekin woh nikal nahin raha tha, apko bataya gaya keh woh pani kay sath niklega, unhon ne pani mangaya aur pani pi kar qay karne lage hatta keh ap kay pait mein jo kuch tha woh sab nikaal dia, ap se kaha gaya: Allah ap par rehem farmae, yeh sab kuch aik luqme (ko nikalne) ki khatir kia, unhon ne farmaya: agar ise nikalne mein meri jan bhi chali jati tou main use zarur nikalta kyun keh main ne RasullAllah ﷺ farmate hue suna hai:

“Jo jisam haram mein parwarish paae woh aag ka ziada mustahiq hai” [Bukhari]

Islie mujhe andesha hai keh kahin is luqme ki wajah se mere jisam mein nashonuma na ho

Aur Aap ﷺ ka farman guzar chuka hai:

“Haram se tayyar hone wala jisam jannat mein nahin jaega”

Ulama رحمهم الله ne farmaya, is baab mein darj zail sab dakhil hain:

Tax wusool karne wala, khiyanat karne wala, ja’al saaz, chor, behooda kam karne wala, sood khane aur khilane wala, yateem ka maal khane wala, jhuti gawahi dene wala, udhar cheez le kar wapas na karne wala, rishwat khor, naap taul mein kami karne wala, kisi cheez kay aib chupa kar farokht karne wala, juwa baaz, jadugar, najumi, musawwir, zania, nauha karne wali, ikhtilat karne wali, dallal, jab woh baae’ ki ijazat kay bagher apni ujrat le le aur khareedar ko ziada qeemat ki khabar dene wala aur woh shakhs jo kisi azad aadmi ko farokht kar kay us ki qeemat kha jae

FASAL:

RasullAllah ﷺ se marwi hai keh aap ne farmaya:

“Qayamat kay din kuch logon ko laya jaega, un kay pas tihama kay paharon jesi naikian hongi hatta keh jab unhen paish kia jaega tou Allah unko urti hui khaak kar dega aur phir unhen Jahannum mein phenk dia jaega”

Arz kia gaya: Allah kay Rasul! Yeh kis tarah? Aap ne farmaya:

“Woh namaz parha karte the, roze rakha karte the, zakat dia karte the aur hajj kia karte the lekin jab uhen koi haram cheez paish ki jati tou woh use le bhi lete the pas Allah ne un kay aa’mal ko zaya kardia” [1]

Ba’az saliheen se riwayat hai keh use uski maut kay ba’ad khuwab mein dekha gaya, tou use kaha gaya keh Allah ne tumhare sath kia sulook kia? Us ne kaha: behtar, lekin aik bat hai keh mujhe aik

 

[1] Tabrani ne Abu Umama bahili ki hadith se riwayat kia hai, iski sanad mein kulsoom bin Ziyad aur bakar bin sahalud damyati donon ki tauseeq ki gai hai aur is mein zo’af hai baqi rijaal sahi hain

(Majma’uz zawaid)

 

Sui ki wajah se, jo main ne aariyatan li thi lekin use wapas nahin kia tha jannat mein jane se rok dia gaya hai

Pas ham Allah se afwo darguzar aur aafiato salamti aur us kay pasandeedah aa’mal ki taufeeq ki darkhwast karte hain kyun keh woh sakhi daata fayyaz shafeeqo meherban hai’

NASEEHAT:

Allah kay bandon! Kia raaten aur din zindagion ko khatam nahin kar dete? Kia dunia mein muqeem rehne ka anjam zawal ki taraf nahin? Kia sehet ka anjam akhir kaar beemari nahin?

Kia salamti ki ghayat, nuqsan kamal nahin? Kia istaqrare hamal kay ba’ad ajaal (maut) hamla awar nahin hoti? Kia tumhare lie ibro nasaaih wazeh nahin hue? Jab keh tumhen misalen bayan kar di gai.

و عزيز ناعم ذل له
كل صعب المرتقى وعر المرام
فکساه بعد لين ملبس
خشنا بالرغم منه في الرغام
ووجوه ناضرات بدلت
بعد لون الحسن لونا كالقتام
وشموس طالعات افلت
بعد ذاك النور منها بالظلام

“Azeez narmo nazuk shakhs, bulandi ki har mushkil aur maqsood ki har rukawat us kay qabu mein agai”

“Narmo mulaim libas kay ba’ad, uski na pasandeedgi kay bawajud use matti mein khurdura libas pehna dia gaya”

“Taro taza chehre, khubsurat rang kay ba’ad siyah gard mein badal die gae”

“Charhte sooraj ghaib ho gae aur us kay noor kay ba’ad ab andhere hain”

“Bulando bala imaraten un kay kinare naram par gae aur unki buniyaden hil gai “

“Dunia kay lie afsos, iski tou adat hi mein hai keh woh ehdo paiman aur aman ka khayal.

 

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.

 

#28 Refusing Intimacy || Shaikh Zafar Ul Hasan Madani || Urdu || Poem on Major Sins

Table of Contents